Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Kabhi pastiyooN me utar gaya Kabhi waQt E bad me utar gaya ..
Old
  (#1)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
Kabhi pastiyooN me utar gaya Kabhi waQt E bad me utar gaya .. - 15th July 2003, 08:37 PM

Chahat hamesha begani rahti hai .. mohabbat hamesha bewafa rahti hai .. meharbaniyaN bojh bani rahti haiN ... Berukhi mera naseeb rahti hai


Kabhi pastiyooN me utar gaya Kabhi waQt E bad me utar gaya
Ki tere khulos O talaash me MaiN kahaN kahaN se utar gaya

Jo Khuda E ishQ tha kabhi MaiN vo aasmaaN se utar gaya
Teri ek nazar ki talaash me MaiN har ek nigaah se utar gaya

MaiN vo ishQ ki fariyaad huN Jo pahuch ke Abra ae utar gaya
Ki kshitiz falak se utar gaya Aur maiN palak se utar gaya

Jo basar tha meri aankh me Mere aasunoN se utar gaya
Tu bhale diloN ka karaar ho Mere iss Zigar se utar gaya


andaaz

Last edited by kshitiz; 15th July 2003 at 08:40 PM..
   
Reply With Quote
Kabhi......
Old
  (#2)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Kabhi...... - 15th July 2003, 08:45 PM

Dear Kshitiz, aapka yeh shayri bohot bohot acha hein. Waise aapka jawab nehi, mein bayan nehi karsakti.
Itna hi bolungi ke aap likhte rahiyega. Hum parte rahenge.
Zindegi isshi tarha guzar jaye toh keya baat hein.
Waqt karta jo bwafa aap humare hote. That was from a song, I think you already heared this song.
It's a beautiful one. So as this one:
Tu ish tarha se meri
zindegi shamil hein,
Jaaha bhi jau yeh lagta hein
teri manzil hein.
Aapna khayal rakhiyega.
Thanks for sharing. God bless.
Regards, Shimul.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
15th July 2003, 08:50 PM

Shimul ji ..

Aap padhti rahiye beshaQ hum likhte rahenge ..

WaQt karta jo wafa aap humare hote
hum bhi auroN ki tarah aapko pyare hote

sung by mukesh sahab manpasand gano me se ek hai mere ..

Tu ish tarha se meri
zindegi shamil hein,
Jaaha bhi jau yeh lagta hein
teri manzil hein.

Ye padh kar bahut achha laga .. So
keep writing & Take Care

MIlte haiN Fir ..


andaaz
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#4)
pari
Registered User
pari will become famous soon enoughpari will become famous soon enough
 
pari's Avatar
 
Offline
Posts: 687
Join Date: May 2003
Location: USA
Rep Power: 22
hi - 15th July 2003, 09:07 PM

hello kshitiz ji,
bahut hi umda gazal likhi hai aapne....ab kya kahe lafj hi nahi mil rahe tarrif ke liye....sabhi linein ek se ek behtar hai mujhe ye sabse jyada pasand aayi..

Jo Khuda E ishQ tha kabhi MaiN vo aasmaaN se utar gaya
Teri ek nazar ki talaash me MaiN har ek nigaah se utar gaya

aise hi likhte rahiye..
pari


Chadha hai aaj bhi uska Rang, jisne kabhi Ranga hi nahi :-)
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
15th July 2003, 09:17 PM

Pari ji ..

Tareef ke liye bahut shukriya aapne apne keemti alfaaz se navaaz kar meri jis tarah se izzat O afzayi kari hai maiN uske liye bahut shukrguzar huN ..

Likhti rahiye

Apna khyaal rakhiye ..


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
madhegum
Madah-E-gum
madhegum will become famous soon enough
 
madhegum's Avatar
 
Offline
Posts: 147
Join Date: Jun 2003
Rep Power: 21
15th July 2003, 09:37 PM

Kshitiz jii

bahut hi accha likha hai aur sach kahu to jo meion ne likhi hai agar mein aap ko sunauga to aap ke dard ko shayad sakoon mil sake dost agli ghazal khass tauur par aap ke liye hogii

aur mein chahuga ki us ke dekhe jaroor shayad aap ko bhi kuch rahat mile

sirf tareef se nahin dil se bhi aap ka chahne wala


madhegum

*************************

jo dard mila hai madine se mila hai
allah ka isfan unke ghar se mila hai
jisko bhi mila hai mukaddar sse mila hai
humko to mukaddar bhi unke ghar sse mile hai
  Send a message via Yahoo to madhegum  
Reply With Quote
Old
  (#7)
naraz
dhalta hua suraj
naraz is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 43
Join Date: Nov 2002
Location: wats in the location. a human can not stay at a place. i am also changing my location day to day
Rep Power: 0
16th July 2003, 10:05 AM

hi kshitiz
(i think its okay with u for not calling u JI as u r also a guy)
maine to socha tha aapki ek gazhal padhne ke liye
lekin yaha to gazhalo ka kafila hai__kya padhe aur kya nahi
isse pehle wali post me aapki aur banno ji ki shari gazhale padh kar mai soch raha hu ki itni sari kala to hamare desh ke alawa kahi nahi hongi, aap ka kya kehna hai?
mai bahot pehle se shayri.com par aata hu lekin jiyadatar post amanji,sanamji aur priyaji ki hi padhta tha lekin ab to sochta hu kise padhu aur kise chhodu
aapki ye gazhal bhi kabile taarif hai.BTW muje reply dena nahi aata is liye me jiyadatar reply nahi deta agar kuchh ajeeb likha ho to sorry.
Any ways..i love ur way of writing
keep it up
Aaquib


aaquib
Tum nahi pass,koi pass nahi
Ab muje jindagi ki koi aas nahi
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 26
16th July 2003, 12:47 PM

Kshitiz, tum jab bhi likhte ho, hume ek mushkil si me daal dete ho.. samajh nahi aata ki tumhaari shayri ki tareef karein, ya tumhaare ghum me shirkat karein.. ek saath, tumhaara kalaam paR kar bohat khushi bhi hoti hai, aur behad ghum bhi.. Bas, yahi kahenge ki jitna ho sake khush raho..

Tumhara kalaam, humesha ki tarah, lajawaab hai.. har ek sher apne aap me kaamil.. behad asar hai tumhaare lafzon me.. tum har kalaam ke saath shayri ki nayi uunchaii haasil karte ho...


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
dil_e_sikast
Nacheej shayra
dil_e_sikast will become famous soon enoughdil_e_sikast will become famous soon enough
 
dil_e_sikast's Avatar
 
Offline
Posts: 557
Join Date: Sep 2002
Location: india(gujarat)
Rep Power: 23
16th July 2003, 02:53 PM

Mr. Horizon...
kya pata yaha konsi gehrayee mehsus hoti hai
Kabhi pastiyooN me utar gaya Kabhi waQt E bad me utar gaya
Ki tere khulos O talaash me MaiN kahaN kahaN se utar gaya

kya pata yaha kis baat pe nigahe nam hoti hai
Jo Khuda E ishQ tha kabhi MaiN vo aasmaaN se utar gaya
Teri ek nazar ki talaash me MaiN har ek nigaah se utar gaya

kya pata yaha kis abra se aansu behte hai
MaiN vo ishQ ki fariyaad huN Jo pahuch ke Abra se utar gaya
Ki kshitiz falak se utar gaya Aur maiN palak se utar gaya

kya pata yaha kis baat se dil bekara ho gaya
Jo basar tha meri aankh me Mere aasunoN se utar gaya
Tu bhale diloN ka karaar ho Mere iss Zigar se utar gaya

aapke aakhri sher par ek sher yaad aa raha hai..
Maana ke aapke nazron main kisi kabil nahin hain hum,
Magar unse jaakar poochiye, jinhe haasil nahin hain hum
No need to say 'keep writing'
SaNaM


taqdeer ne kya kam sataya hua tha
jo ab ye bewaqt hi tuje satane aa gaye
logo ne nahi dekha apne girebaan main
aur dekho 'sanam' ko aajmane aa gaye
-> SaNaM
   
Reply With Quote
aafrin
Old
  (#10)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
aafrin - 16th July 2003, 03:34 PM

dost kshitiz,
meri tarif kubul kijiyae... aafrin .... bahot hi benamoon kalaam likha hai aapne hamesha ki tarah...
   
Reply With Quote
mein shayar to nahi
Old
  (#11)
chetan agrawal
Registered User
chetan agrawal is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 41
Join Date: Jul 2003
Location: bhopal
Rep Power: 0
mein shayar to nahi - 16th July 2003, 04:08 PM

hi kashtiz
hello
her traha se app ki yeh rahna tarif e kabil hai
my good wishes always with you
keep it up
ok bye bye


chetan
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
16th July 2003, 09:11 PM

Madhe sahab ..

Sakht guzarish hai ki likhiye vo jiska aapne jikar kliya hai ..

Tareef ke liye bahut shukrguzaar huN aur aapki agli ghazal ka behad besabri ke sath intezaar rahega ..

khuda hafiz



AaQib sahab ..

bahut meharbani aapki aaj aapne nazreiN inayat idhar bhi kar li aapne jinke naam liye aman bhai , sanam ji aur priya ji mujhe pahle ke shayar haiN aur beshaQ inka auhda bhi mujhse upar hai .. maiN khud inke Qalaam padhta huN aur sabak leta huN ..

Aur bhai jaan ab ye na likhiyega ki aapko javaab dena nahi aata isse behatar tarike se kaise kari jati hai ab ye to fir sochne wali
baat ho jayegi ..

Bahut bahut shukriya aapka ..
Khuda hafiz ..



Afshan ..

Gum na kiya karo .. iss par kuch gariboN ka haQ hai unhi ka rahne do isse ..

Ye baat kahne me koi hurz nahi hai ki Tareef insaan ka hausla badhati hai aur mashware insaan ko nikharte haiN

Aap hamesha hausla badhati haiN .. Aapki tareef me maiN kya kahuN aapke Qalaam bayaN karte haiN ..

Hamesha khush rahiye .. muskurati rahiye
Upar wala aapko hamesha mahfuz rakhe




Sanam ji ..

Maana ke aapke nazron main kisi kabil nahin hain hum,
Magar unse jaakar poochiye, jinhe haasil nahin hain hum

Bahut hasin sheir hai .. magar ye to bataiye aapne humare har ashaar par savaal kyoN kiya .. ???

Sawalaat zindgi ko javaboN ke darmiyaaN uljha dete haiN ..

Khyaal rakhiye apna ..




Meena ji ..

Aapki tareef kabul nahi sir aankho par hai

Aap humse shukriya kabul ki jiye ..



Chetan ji bahut bahut shukriya tareef ke liye aapne apna waQt nikala mere liye bahut khushi hui

Take care


andaaz
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Kabhi Kabhi....late ho gaya.. talib Shayri-e-Dard 22 9th July 2010 03:48 PM
Us Ne Kaha Ke Ishq Ka Nasha Utar Gaya....... rizi_humtum Shayri-e-Ishq 4 26th August 2008 06:53 PM
Ab Kastiya Samet Lo Dariya Utar Gaya faraj_maqbool Chit-Chat & General Discussion Forum 0 1st March 2008 11:14 PM
Kabhi So Gaya Zamana....Khushbu ~Khushbu191~ Aapki Shayri 3 5th July 2005 11:32 PM
ye zehar mere lahoo mein utar gaya kaise.......Taamil Chandpuri..... Aman_rahi Shayri-e-Dard 16 31st March 2005 09:19 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com