Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Pathar ro padenge
Old
  (#1)
Sham Kumar
SHAKIR
Sham Kumar is a jewel in the roughSham Kumar is a jewel in the roughSham Kumar is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 27
Join Date: Sep 2012
Location: Noida, NCR
Rep Power: 0
Pathar ro padenge - 16th October 2012, 09:25 PM



pathar ro padenge

cheeni se lekar chritar tak, sab milaavt hai,

begaanon se lekar, mitr tak, bahut dhokhe hain,

arre, shraafat kee deevar se utha ke dekhiye parda,

jhrokhe hee jhrokhe hain,


mohabbat kee chaadar mein hain surakh, falak ke

sitaaron jitne,

aaj din main hai andhera, raat se badkar,

hum to sunte hain cheekhen butkhanon se,

kya keejiye jo khuda hee gunehgaar huye,

oho.. Yeh aadhunikta hai,

khareedeeye yahan sab kuchh bikta hai,

gaddi se lekar aizaz tak,

kaffan se lekar zinda maas tak,

imaan se lekar ehtraam tak,

mehbooba se lekar ishq-e-jaam tak,

shayar se lekar shohrat tak,

khuda se lekar rehmat tak,

sab bikaau hai,


yayan insaan se seekhe hai, girgit rang badlna,

yahan bashreeyat udhaari hai,

yahan khuda bhi noton ka chamcha hai,

yahan zindagi bus udhari hai,

arre, giraavt kee gehraeeyan na poocheeye hazoor,

kyonki, gunehgaar pujaaree hai.


koyee le chalo hamen shamshanon main,

suna hai, roohen zafa nahin karti,

mun hai, khandahar mein banaa len ghar apna,

aur jum ke nikaalen mun ke gubaar,

ai magarmachh ke aansoo valo,

mera daava hai pathar ro padenge

mera daava hai pathar ro padenge


sham kumar
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com