Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 2 votes, 5.00 average. Display Modes
aaj dil yeh kehta hai.
Old
  (#1)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
aaj dil yeh kehta hai. - 8th June 2003, 05:36 PM

Doston, nazm meri field naheen hai.
magar mere ek dost ne mujh se kaha musharraf tum rote hi rehte ho , kuch muskurahat ki baaten bhi karo, magar doston mein kya karoon, mein hoon hi aisa.
doston mein bhi muskurana chahta hoon, magar khair , aap ki khidmat mein apni eik kaawish pesh kerta hoon.

AAJ DIL YEH KEHTA HAI
MEIN KOEE GHAZAL KEH DOON
IN HASEEN AANKHON KO
IN GULAAB HONTON KO
EY MERE HASEEN HAMDAM
TU MUJHE EJAZAT DE
JHEEL AUR KANWAL KEH DOON

AAJ DIL YEH KEHTA HAI
UN KAHEE VOH SAB BAATEIN
JO SAHEEN VOH SAB MAATEIN
BIN TERE JO GUZRI HAIN
AH VOH TANAH RAATEIN
SAARI TUJH PE VAA KER DOON
TUJH PE SAB FIDA KER DOON

AAJ DIL YEH KEHTA HAI
SAARE GHAM BHULA DOON MEIN
SAARE DUKH SULAA DOON MEIN
JITNE KHUAAB DEKHE HAIN
SAB KO AB JAGA DOON MEIN

AAJ DIL YEH KEHTA HAI
NEEND MUJH KO AA JAAEY
CHAIN MUJH KO AA JAAEY
TU AGAR NAHEEN AATAA
MAUT MUJH KO AA JAAEY

AAJ DIL YEH KEHTA HAI

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
8th June 2003, 05:57 PM

Musharraf sahab, nazm aapki field na hote hue bhi aapne bohat achhi nazm likhi hai!.. Isme aapki khush rehne ki koshish zara si chhalak rahi hai..bas.. akhir me maut ka zikr kya ho gaya.. thoda andhera sa chha gaya.. Bohat asar hai apke is kalaam mein.. apke har kalaam me..

Tareef qubool kijiyega..


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
9th June 2003, 01:20 AM

banno
bohat shukr guzar hoon aap ka.
aap doston ki hosla afzaaee kaa hamesha mohtaaj rahoon gaa.
thanks again aur apna khayal rakhieye gaa.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
dost
Old
  (#4)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
dost - 9th June 2003, 09:00 AM

mushi dost,
AAJ DIL YEH KEHTA HAI
MEIN KOEE GHAZAL KEH DOON
IN HASEEN AANKHON KO
IN GULAAB HONTON KO
EY MERE HASEEN HAMDAM
TU MUJHE EJAZAT DE
JHEEL AUR KANWAL KEH DOON

yah jheel aur kamal kahna koi nayi baat nahi, bahot se logo ne yah baat kah di hogi... par mushi dost aapka kahne ka andaaj lajawaab hai. bahot achha laga.
har sitam ko har tanha samay ko kisi pe vaar dena fida karna.... aapke pyaar ki had bhi khubsoorti se bayaan ki hai.
dukh bhula ke fir se khwaab ko jagana bhi khub hai...
par fir yah aap ke pyaar ki had hi hai ke aap oonke n aane par jina nahi chahte. aap gam bhula kar fir ek aur baar wahi jine ko taiyaar ho gaye jo ji chukae.
par abke aap kamyaab ho yahi dost ki duaa hai.
   
Reply With Quote
HI
Old
  (#5)
mohit
Guest
 
Posts: n/a
HI - 9th June 2003, 09:08 AM

BOHAT ACCHA LIKHA HAI AAPNE musharrafhusain JI
I LIKE IT
"AAJ DIL YEH KEHTA HAI
MEIN KOEE GHAZAL KEH DOON
IN HASEEN AANKHON KO
IN GULAAB HONTON KO
EY MERE HASEEN HAMDAM
TU MUJHE EJAZAT DE
JHEEL AUR KANWAL KEH DOON"
GREAT......
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
9th June 2003, 10:53 AM

meena ji
mujhe behad khushi hai ke meri is adna si koshish ko aap ne itni tawwajja aur gehri nazar se parha aur itna mufassil aur belaag comments kiya.
bohat khushi huee mujhe aap ke yeh comments per kar.
yeh waqaee eik dost ke comments hain aur mein in ko bohat appreciate karta hoon.
thanks meena
wishing you all the best.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
9th June 2003, 10:56 AM

mohit dost
bohat shukriya aap ka.
meri is saada si nazm ko aap ne pasand kiya aur reply kiya.
aap ki is izzat afzaaee per mein aap ka bohat mashkoor o mamnoon hoon.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
mushi bahi
Old
  (#8)
Nida Siidiqui
Registered User
Nida Siidiqui will become famous soon enough
 
Nida Siidiqui's Avatar
 
Offline
Posts: 301
Join Date: May 2003
Location: i live in a love circle where is only 1 way where ppl can come but cant go
Rep Power: 22
mushi bahi - 9th June 2003, 05:50 PM

behaad hee khoobsuraat likha ahai aap nay

kiya kahoon meraay paas alfaaz nahee haai ......

keep it up aur isee taraan mehfil sajaatey rahyegaa

aap kie behain


Nida


(To love and be loved is the greatest happiness of existence.)
 Send a message via ICQ to Nida Siidiqui Send a message via Yahoo to Nida Siidiqui Send a message via AIM to Nida Siidiqui  
Reply With Quote
bahot khshi hui
Old
  (#9)
mitaparekh1@hot
Registered User
mitaparekh1@hot will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 415
Join Date: Feb 2003
Location: bombay
Rep Power: 22
bahot khshi hui - 10th June 2003, 10:24 AM

Aaj apki nazam ishaq ki dekhkar bahot khusi hui. wo zaroor aayega aur maut ki baten chode. plz try to write more on love.


mita
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
10th June 2003, 04:06 PM

nida
bohat shukriya.
aap ne mere kalam ko saraha, mashkoor hoon aap ka.
please apna bohat khayal rakhen.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
10th June 2003, 04:09 PM

mita dost
mein muntazir thaa ke meri dost ne abhi tak mere kalam per nazar naheen daali shayed.
khushi huee ke aap ko meri yeh kaawish pasand aayee.
isi tarah hosla afzaaee hoti rahi to zaroor likhoon gaa.
magar aap ki tanqeed aur tareef ka hamesha taalib rahoon gaa.
eik baar phir mita thanks a lot.
wishing you all the best

musharrafhusain
   
Reply With Quote
wah.
Old
  (#12)
shyam
Registered User
shyam will become famous soon enough
 
shyam's Avatar
 
Offline
Posts: 196
Join Date: Apr 2002
Location: junagadh
Rep Power: 23
wah. - 10th June 2003, 09:15 PM

Bhai jaan.
Aadaab.

urdu me badi bahi ko kaise sambodhit karate he..wo muje pata nahi isiliye me sirf bhai jaan kaheke sambodhit kar raha hu.
bhai jaan, aapaki ye behad khoobsurat, rangeen nazam ne to hamaari shaam ko bhi rangeen kar diya...me aapaka shukraguzaar hu ki aapane ek bahetarin nazam post ki.
is nazam me hame aapaki kai khoobiya paai...sabase pahele aapane unke hushn ko bade hi rangeen andaaz me bayaan kiya he..aur usake baad unke bina jo vaqt gujharata he..wo sabake saamane pesh kiya....aur usake baad...aapane milane ki jo dil me khooshi he...wo bhi shayarana andaaz me pesh kiya.....aur aakhir me to aapane kamaal hi kar diya....apani chaahat "extreem leval" aapane pesh kar diya....!! ek hi nazam me aapane unake hushn ko apane judaai ke dard ko, apane khwaabo ko, aur apani chaahat ki had ko....sab ko badi khoobi se bayaan kiya he bhai jaan....behad umda nazam he bhai jaan. and i m sorry ki meri nazar nahi padi thi abhi tak...kyunki bhai jaan me sirf shayri-e-dard forum hi padh paata hu..samay ke abhaav se...i m sorry for that.
phir se ek baar khoobi bhari...bahetarin nazam pesh karane liye shukriya..!!
apana khayal rakhiyega.
khuda haafiz.


Shyam..!!
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
11th June 2003, 12:27 AM

shyam mere bhai
aap ke nawazish name ne to mujhe behad masroor aur shaad ker diya hai.
itni mohabbat aur itna khuloos , oh, pata naheen mein is ke qabil bhi hoon yah naheen.
baharhaal bhai behad shukriya aur inayet ke aap ne itni mohabbat aur mufassil andaz mein meri nazm per comment kiya aur khoob kiya.
jahan tak bhaijaan keh ker mukhatib kerne ki baat hai, to yaqeen karo yeh bara ajeeb ittefaaq hai keh mein apne behan bhaiyon mein sab se bara hoon aur sab mujhe bhaijaan keh ker hi mukhatib kerten hain. is tarah is andaaze takhatub per mein bohat khush hoon. meri yeh khuahish ho gi ke aap mujhe aayenda bhi isi tarah mukhatib karein.
baaqi phir aayenda baat ho gi.
ejazat chahta hoon is khuahish ke saath keh aap jahan rahen khush rahen aur apna behad khayal rakhen.
musharrafhusain
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#14)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
hi - 15th June 2003, 03:46 PM

hi musharaf sahab
how r u?
sahab aap ne yeh nazm ishq main post ki
sath main likha k aap chahte hain k aap muskurana chahte hain
aap ne sahi likha tha yeh andaza to hmain aap ka kalam parh kar ho gya tha..
magar sahab aik baat jo ham kahna chahaian gain jo kam insan se nahin ho sake us ki koshisha nahin karni chahiye,,ham jaise log ishq nagar main achay nahin lagte,,kiyon k hamairi sari jaidadain,,or kamaiyan dard nagar main hoti hain,.,to phir yeh nagar apna kaise ho ga,,
is baat ka yakeen ,,bas yeh kahain gain k aap ne nazm ka agaz nihayat
ishqiya ko mohabbat bhare lehje main kiya,,magar hansnte hanste rona kaise ata hay yeh andaza aap ki post ko parhte parhte ho gya,,jaise jaise lafz likhte rahe udasi barhti rahii,,ab agar agaz per nazar dali jaye,,
AA JA MAIN KOI GAZAL KAH
IN HASEEN ANKHON KO
IN GULAB HONTON KO
bohat tareef e hamdam k sath agaz kiya,,chahte thay k puri nazm ko
sanam ki khobsorat adaon tak mahdod kar dain magar sahab,,agaz se end tak ka safar,,kushi se gham ka safar ho gya,,
ab lijiye end ka ahwal...
NEEND MUJH KO AJYE
CHEN MUJH KO AJYE
TO AGAR NAHIN AATA
MUAT MUJH KO AJYE
'''SAHab itna dard bhra ikhtatam shayre dard main hi acha lagta hay
ishq main nahin,,koshish kijiye k shayri,,yah kalam..likhne main kalam or hath aik hi raste main dil ko or soach ko hamdam bana kar chalain,,umeed hay k aap naraz nahin hon gain,,
aik achi koishih thi hansne ki,,khush hone ki
magar behasil..kiyon jis shaks se khushiyan roth jain woh
kabhi hans nahin sakta,,han magar ro kar hans le to or baat hay,,
dua aap k liye,,
khan banjara''''


banjara''''
agar mohabbat hay to judai kiyon
or judai main mohabbat kasi????
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
19th September 2008, 02:31 PM

Musharaf Bhai....kaya andaaz hai aapka....hume aapki nazam ka ek ek lafaz behad pasand aaya....aap gazal to kamaal likhtey hi haiN, nazam mein bhi aapka jawaab nahi....par bhaijaan aaj-kal aap SDC par nazar nahi aa rahe....aapki shayri ka hume hamesha intzaar rahta hai....aate raha kijiye taaki hum jaise bhi aap jaise shayro.n se kuch seekh sakeN

Regards


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Dil kehta hai yasmeenraaz Shayri-e-Dard 9 22nd April 2011 04:17 PM
dil yeh kehta hai... yaas Aapki Shayri 1 8th January 2008 01:26 AM
kehta he nihar Shayri-e-Dard 10 19th November 2007 05:37 PM
log kehta hai terenaam Shayri-e-Ishq 2 13th March 2004 12:28 AM
koi kehta tha Qasid Shayri-e-Dard 0 4th August 2002 09:05 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com