majrooh sahab ke kuch famous sher pesh hain...
maiN akelaa hii chalaa thaa jaanib-e-manzil magar
log saathe aate gaye aur kaarawaaN banataa gayaa
"Majrooh" likh rahe haiN wo ahl-e-wafaa kaa naam
ham bhii khaRe hue haiN gunah_gaar kii tarah
shab-e-intazaar kii kashmakash na poochh kaise sahar hu_ii
kabhii ik chiraaG jalaa diyaa kabhii ik chiraaG bujhaa diyaa
faraz e dar pe rakhte chalo saron ke charaagh
jahaan talak ye sitam ki syaah raat chale.
fareb e saqi e mahfil na puchiye majrooh
sharab ek hai badle huye hain paimane
zafa ke zikra pe tum kyun sambhal ke baith gaye
tumhari baat nahi baat hai zamane ki..