Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
maut to ek sachaai hai......
Old
  (#1)
RAHUL TRIVEDI
Registered User
RAHUL TRIVEDI is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 68
Join Date: Dec 2001
Location: ahmedabad
Rep Power: 23
maut to ek sachaai hai...... - 29th December 2001, 03:11 PM

maut to ek sachaai hai , zindagi jhoothla ke dekh
kisi ke etbaar ki kismat luta ke dekh
meri tasveer tere zahan me aate hi roob-roo ho jaunga,
mera intezaar kyon kar rahi hai, zara nazrein utha ke dekh.


ek sher aur likh lun... azal hote hote
ek umr ho gayi hai... ghazal hote hote
  Send a message via Yahoo to RAHUL TRIVEDI  
Reply With Quote
Nice sher!!
Old
  (#2)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile Nice sher!! - 30th December 2001, 02:47 AM

Rahul ji ...aap bahut acche acche sheyrs post karte hain..short and meaningful...........Kya ye sab aapne likhe hain??

Post karte rahiyega...

Bye,
shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
feeling u.......
Old
  (#3)
RAHUL TRIVEDI
Registered User
RAHUL TRIVEDI is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 68
Join Date: Dec 2001
Location: ahmedabad
Rep Power: 23
feeling u....... - 30th December 2001, 11:25 PM

shukriya shumaila jee,
is baat ki khushi hui ki sher aapko acha laga. par is baat ka thoda sa afsos hua ki aapko ye sher mera nahi laga. viase isme aapki koi galti nahi hai. is choti si umr me zindagi insaan ko sayad itna tajurba nahi deti vaise mere is sher ke peeche ek choti si kahani hai shayri.com se hi related. woh ye ki .....
kuch din pehle main khud ka likha ek sher arj kiya tha aur release bhi kiya tha. woh kuch is tarah tha...

zahan me teri saql tak nahi
fir bhi junoon hai tujhpe etbaar ka
aye yaar kuch to sila de
mere intezaar ka.

to miss chaitna kanda ne iske reply me ek sher bheja tha jo sayad aapne padha ho. us sher me kuch aisa tha ki mujhe woh mere sher ka jawab laga. aur fir jawab talab agar shayri me ho to baat me maja aa jata hai. khair pehle aap unka jawab padh lijiye...

maut pe hai humko yakeen
tujhpe bhi etbaar hai
dekhte hain kaun pehle aata hai
hame dono ka intezaar hai.

tareefe qabil tha chaitna kanda ji ka ye sher. hame is sher me hamare sher se jyada wajan laga. to fir hamne bhi iske jawab me ek nahi poore 5 sher reply kiye. aur unhe saath hi main page bhi release kiya tha. sayad aapne padha ho.
in sheron ke likhne ne hame waqt to kam laga lekin is baat ki khushi thi ki sher ache bane. us din agar waqt hota to shayad kuch aur dekh pati hamare zahan ki nigaah. khair hamesha apne sheron me wajan aur woh tajurba dhoondne ki koshish me lage rehte hain. kisi jamane me hamare liye ye mumkin nahi tha par shayad waqt hame bahot kuch sikha raha hai. woh masumiyat jo kai salo pehle hoti thi woh to shayad ab mumkin nahi par fir bhi hame khud se jyaada hamari kalam pe etbaar hai. vaise jate jate aapke pattern sher ke addition me ek sher arj hai. ummeed hai pasand aayega.

nigaah ko itna paak rakh, o karigar taqdeer ke,
ke teri nazar sabse pehele taqdeer - e - khuda pe pade
ghazal ko taqdeere - e -maut pehloo samajh ke likh,
ki usko agar khuda padhe to woh bhi ro pade


aadaab..
likhte rahiye hame intezaar rahega.
bye and take care.


ek sher aur likh lun... azal hote hote
ek umr ho gayi hai... ghazal hote hote
  Send a message via Yahoo to RAHUL TRIVEDI  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
duniya ki ek sachaai hai ajay nidaan Inspiring Stories 0 17th January 2010 03:54 PM
Ek Kadvi Sachaai.. Aashique Aapki Shayri 8 23rd May 2009 06:57 PM
Pyar ki Sachaai... chaahat Shayri-e-Ishq 18 23rd September 2004 08:22 PM
sachaai cnidhi Aapki Shayri 0 17th August 2004 01:18 PM
Tum ho meri sachaai ho Neha Haroon Shayri-e-Ishq 1 28th March 2003 04:28 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com