Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
doori se baat kar.
Old
  (#1)
RAHUL TRIVEDI
Registered User
RAHUL TRIVEDI is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 68
Join Date: Dec 2001
Location: ahmedabad
Rep Power: 23
doori se baat kar. - 9th January 2002, 03:08 PM

parde me rakh husn ko apne , fir sawalaat kar
kahin utar na jaun teri rooh me .. jara doori se baat kar.


ek sher aur likh lun... azal hote hote
ek umr ho gayi hai... ghazal hote hote
  Send a message via Yahoo to RAHUL TRIVEDI  
Reply With Quote
wah wah......
Old
  (#2)
kayamat
Registered User
kayamat is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 2
Join Date: Jan 2002
Location: delhi
Rep Power: 0
wah wah...... - 9th January 2002, 04:34 PM

wah rahulji wah aaj hi maine shayri.com me id banayi aur pehla sher aapka hi padha. pata nahi kya tha aapke naam me jo hame aap ka hi sher padhne ko dil kiya. vaise sher padh ke sach me khushi hui ki humne sabse pehle aapka hi sher padha.
kya baat likhi hai aapne. teri rooh me na utar jau. wah.
umeed rakhti hun hame apne dosto me ginoge aap.
  Send a message via Yahoo to kayamat  
Reply With Quote
kya baat hai
Old
  (#3)
finder123
Registered User
finder123 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 5
Join Date: Jan 2002
Location: ahmedabad
Rep Power: 0
kya baat hai - 11th January 2002, 09:39 PM

ye bhi kamaal ka tha rahul ji kya aap hardam aise hi sher likhte hain. teri roh me na utar jau thodi doori se bat kar.
kamaal. jawab nahi. kayamt ji ne bhi theek hi kaha hai. kuch to hai aapme jo sabme nahi.
   
Reply With Quote
ye to hamari khushnaseebi hai
Old
  (#4)
RAHUL TRIVEDI
Registered User
RAHUL TRIVEDI is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 68
Join Date: Dec 2001
Location: ahmedabad
Rep Power: 23
ye to hamari khushnaseebi hai - 13th January 2002, 02:36 AM

well kayamat jee aur prachijee shukriya. hame ye jankar bahot khushi hui ki aapko ye sher pasand aaya. actually ye sher to hamne bas aise hi dosto ke beech baithe baithe likha tha. kuch haalaat hi is tarah ke the. vaise is sher ka poora credit mujhse jyada us mahol ko jata hai jisne mujhe is sher ki taraf ishara kiya.
kayamat ji ye to hamari kismat hai ki aapne login hote hi pehle hamara sher padha. vaise jahan tak main samajhta hu main to is samandar ki ek boond tak nahin hu. pehle main bhi jab shayri.com pe login hota tha tab naam padhkar hi sher padhta tha. par fir maine ek naya silsila suru kiya, woh silsila tha sher padhke naam padhne ka. aur yakeen maniyega, hame hamare pehle ke aur baad ke nazariye me bahot farq nazar aaya.
well shayri.com me aise to bahot logo ke sher mujhe pasand aate hain par unme sabse pehla naam maikash jee ka aur shumaila jee ka aata hai.(according to my opinion) kabhi unke sher padh ke dekhiyega. fir to ye rahul aapko nazar tak nahin aayega. maikash jee ke baare to jitna kaha jaye kam hai. unki har ghazal jabardast hoti hai. aur jahan tak shumaila jee ki baat hai unke har sher me aapko kahin na kahin chupa hua dard jaroor milega. zindagi ne jaise bahot kuch sikha diya ho unhe ek chote se haadse me. aur jab haqeeqat kalam se bayan ho to kalam woh likh ke batati hai jo koi na likh sakta ho. padhne wala ho sakta hai sayad us dard ko dhoond na paye. par ye to likhne wala janta hai ki kya tha us choti si baat me jo hame saikh se saaki bana gaya. ye line bhi unhi ke ek sher ki hai. unka har kalaam aisa lagta hai jaise sache dil se likha ho.

nazar ka woh noor na jane kaun le gaya.
chehre ki woh hasi na jane kaun le gaya.
khuda ne ek hi lamha baksha tha khushi ka hame,
hai....... woh lamha bhi na jane kaun le gaya.

rahUL i ( dedicated to shumail jee)


ek sher aur likh lun... azal hote hote
ek umr ho gayi hai... ghazal hote hote
  Send a message via Yahoo to RAHUL TRIVEDI  
Reply With Quote
Shukriya Rahulji!!
Old
  (#5)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Shukriya Rahulji!! - 21st January 2002, 03:27 AM

Aaj browse kar rahi thi aur achanak nazar is post pe paDi aur aapne jo is nacheez ke baare me likha hai..use paDhke to aankhein bhar aayiN...aap ne ye sher bhi hume dedicate kiya hai

nazar ka woh noor na jane kaun le gaya.
chehre ki woh hasi na jane kaun le gaya.
khuda ne ek hi lamha baksha tha khushi ka hame,
hai....... woh lamha bhi na jane kaun le gaya.

samajh me nahi aa raha hai kya kahoon..lafz hi nahi mil rahe hain..bas itna hi kahungi shukriya shukria aur bahut shukriya

Allah hamesha aapko salamat rakhe!!

Ameen,
shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Doori GOPALKDAS Ghazal Section 0 28th June 2008 09:25 PM
Doori qqplus Shayri-e-Ishq 0 7th March 2007 12:08 AM
Doori dilip200 Shayri-e-Dard 3 21st July 2006 11:20 AM
doori dilip200 Hindi Kavitayen 0 18th July 2006 11:47 AM
doori adul_z28 Shayri-e-Dard 0 1st October 2002 01:16 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com