|
|
|
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,098
Join Date: Jun 2004
Location: 238, Jagriti Enclave - Delhi
Rep Power: 27
|
Tera naam thaa,tera naam hai -
14th March 2005, 02:13 AM
Again i m trying something diffrent
new rythem With diffrent style:-
Tera naam thaa,tera naam hai
Jo mai likh ker mitaya kerta thaa
Tera naam thaa,Tera naam hai
Gali Gali tere naam se ek Shaks
Badnaam thaa,badnaam hai
Tera naam thaa,tera naam hai
Wo jo ghul gaya mere maazi me
Tera ehsaas hai,mere paas hai
Qayamat ke tujhbin bhee mujhko
Aaraam thaa,aaraam hai
Tera naam thaa,tera naam hai
Mushkil thaa ki kat-ti zindgi
Teri raah me,teri chaah me
Ek khwaab barso se aankhon ka
Mehmaan thaa mehmaan hai
Tera naam thaa,tera naam hai
Yehi mera andaaz-e-zindgi thaa
Kuch khoo diya or ro diya
Tamasha bazaar-e-muhobbat me
Sar-e-aam thaa,sar-e-aam hai
Tera naam thaa,tera naam hai
Jo bhee rahe hum bas unke he rahe
Muntzir kaho ya kaafir kaho
Intzaar hume usske aane ka
Her shaam thaa,her shaam hai
Tera naam thaa,tera naam hai
Ek tere rishtey ki khaatir mai
Kabhi jhuk gaya or ruk gaya
Tere pehlu me zindgi guzre ye
Armaan thaa,armaan hai
Tera naam thaa,tera naam hai
Jo paas thaa humare wo de diya
Wo wafaa kahen,ya zafaa kahen
Husn per marr mitna karan
Asaan thaa asaan hai
Tera naam thaa ,tera naam hai
karan.q
Fainsle Qayamat taq multavee ho gaye
Sach kahe na gaye to shayri ho gaye
Mai or samander,do gehre khwaab khuda ke.....
Last edited by karan q; 14th March 2005 at 02:19 AM..
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 37
Join Date: Nov 2004
Location: delhi
Rep Power: 0
|
tera naam tha tera naam hai -
14th March 2005, 02:45 AM
Wo jo ghul gaya mere maazi me
Tera ehsaas hai,mere paas hai
Qayamat ke tujhbin bhee mujhko
Aaraam thaa,aaraam hai
Tera naam thaa,tera naam hai
realy veryyy nice gr8 like allwas yunhi likhte raho hum padte rahenge esi bahane tumhare sath rahene
rose
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,098
Join Date: Jun 2004
Location: 238, Jagriti Enclave - Delhi
Rep Power: 27
|
bahane bhee jaroori hain -
14th March 2005, 11:13 AM
Hii rose rose rosy
Haan sahi kahaa tumne
bahane bhee chaahiye saath rehne ke liye
Khair .. mera likhna or tumhara padhna
koi nayi baat to nahi hai
Aati raho
izzajat
karan.q
Fainsle Qayamat taq multavee ho gaye
Sach kahe na gaye to shayri ho gaye
Mai or samander,do gehre khwaab khuda ke.....
|
|
|
|
|
Tanha
Offline
Posts: 528
Join Date: Sep 2004
Location: Uttaranchal
Rep Power: 21
|
Re: Tera naam thaa,tera naam hai -
14th March 2005, 11:17 AM
Jo mai likh ker mitaya kerta thaa
Tera naam thaa,Tera naam hai
Gali Gali tere naam se ek Shaks
Badnaam thaa,badnaam hai
Tera naam thaa,tera naam hai
Bahut khoob karanji!!!
Wo jo ghul gaya mere maazi me
Tera ehsaas hai,mere paas hai
Qayamat ke tujhbin bhee mujhko
Aaraam thaa,aaraam hai
Appko padte rahne ka humara...
Aarman tha, aarmaan hai
Shalini
[color=dark brown]Mujhse pehle kitne shayar aaye aur aa kar chale gaye,
Kuch nagme gaa kar chale gaye kuch aahe bhar kar laut gaye,
Wo bhi ek pal ka kissa the mein bhi ek pal ka kissa hoon,
Kal tumse juda ho jaaonga jo aaj tumhara hisa hoon[/color]
|
|
|
|
|
Eyes and Dreams..
Offline
Posts: 1,228
Join Date: Jan 2005
Location: Mumbai
Rep Power: 22
|
hi! -
14th March 2005, 11:33 AM
Uff......!!!
Wo jo ghul gaya mere maazi me
Tera ehsaas hai,mere paas hai
Qayamat ke tujhbin bhee mujhko
Aaraam thaa,aaraam hai ......
haye...ye ghul jana ehsaas ka!!...touched my soul!
har roz naya phul nayi khushbu hai
teri rangat nyab hai, lajavab hai..
tere har lafz, har saaz ko mera
salaam thaa, salaam hai!
awsomme! Karan...wat 2 say....bas tum khushbu ki tarah bikhar
jate ho... zehen mein!
tc
komal
|
|
|
|
|
Humanity
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 43
|
14th March 2005, 03:03 PM
Jo mai likh ker mitaya kerta thaa
Tera naam thaa,Tera naam hai
Gali Gali tere naam se ek Shaks
Badnaam thaa,badnaam hai
Tera naam thaa,tera naam hai
Kya baat hai Karan? Tooo good!!
Wo jo ghul gaya mere maazi me
Tera ehsaas hai,mere paas hai
Qayamat ke tujhbin bhee mujhko
Aaraam thaa,aaraam hai
Tera naam thaa,tera naam hai
Aaahhhhh... Classyyy Loved this sher....
Mushkil thaa ki kat-ti zindgi
Teri raah me,teri chaah me
Ek khwaab barso se aankhon ka
Mehmaan thaa mehmaan hai
Tera naam thaa,tera naam hai
Waaaaahhh.. yeh sher bhi behad khoobsurat hai!!
Yehi mera andaaz-e-zindgi thaa
Kuch khoo diya or ro diya
Tamasha bazaar-e-muhobbat me
Sar-e-aam thaa,sar-e-aam hai
Waahh Waaahhh!
Jo bhee rahe hum bas unke he rahe
Muntzir kaho ya kaafir kaho
Intzaar hume usske aane ka
Her shaam thaa,her shaam hai
Mtaazir yaa Kaafir.. Well hum to aapko shayar kahenge janaab! bhaut khoob!!
Ek tere rishtey ki khaatir mai
Kabhi jhuk gaya or ruk gaya
Tere pehlu me zindgi guzre ye
Armaan thaa,armaan hai
Coool...
Jo paas thaa humare wo de diya
Wo wafaa kahen,ya zafaa kahen
Husn per marr mitna karan
Asaan thaa asaan hai
Kya baat hai!!!
Dear Karan!
Fabulous piece of work dear.. Kya kahoon kaun sa sher zyada ayaa.. yahan to har ik sher ki saadgi par hum fida hain... Dost dil see daad kubool karna Ise padhkar ek sama sa bandha gaya hai... Bahut gehra asar chhodte hain tumhare shabd....
Likhte Rehan Dost.. and Do TC
Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,098
Join Date: Jun 2004
Location: 238, Jagriti Enclave - Delhi
Rep Power: 27
|
Hii Shalini -
14th March 2005, 07:40 PM
Hii shalini
Cum he aati ho humari mehfil me nazar
Khair...
I keep trying new things ..
And luckyly i always get very good responce for that
Ek naya chehra nazar aana humari mehfil me
Humare Liye to badi khushi ki baat hai
Aati rahiye.. mehfil sajati rahiye
izzajat
karan.q
Fainsle Qayamat taq multavee ho gaye
Sach kahe na gaye to shayri ho gaye
Mai or samander,do gehre khwaab khuda ke.....
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,098
Join Date: Jun 2004
Location: 238, Jagriti Enclave - Delhi
Rep Power: 27
|
Hi komal -
14th March 2005, 07:42 PM
har roz naya phul nayi khushbu hai
teri rangat nyab hai, lajavab hai..
tere har lafz, har saaz ko mera
salaam thaa, salaam hai!
Wah wah .. pakki shayar ho gayi ho
Kuch bhee banaa deti ho
likh deti hai .. Khair
Khusbu ki tarah bikhar jaate hain zehan me
To tumhara zehan bhee kissi garden se cum to nahi
breath of my poertys
CHali aayi...!
Izzajat
karan.q
Fainsle Qayamat taq multavee ho gaye
Sach kahe na gaye to shayri ho gaye
Mai or samander,do gehre khwaab khuda ke.....
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,098
Join Date: Jun 2004
Location: 238, Jagriti Enclave - Delhi
Rep Power: 27
|
hii pulkit -
14th March 2005, 07:45 PM
Tumhara to pata nahi
lekin hum tumhare replly dene ke andaaz per fida ho gaye
I always use to believe
Every good Poerty deserve the same
A diffrent explination of Diffrent qataa's
I m sure few people will definatly admire Your style
As it tells How deeply you read the poertys
or shayad You are the one who takes lods of time to read
Which is the best way really
and thats why its my pradictation
After 18 months
You will be Writing very good poertys
Izzajat
karan.q
Fainsle Qayamat taq multavee ho gaye
Sach kahe na gaye to shayri ho gaye
Mai or samander,do gehre khwaab khuda ke.....
|
|
|
|
|
Eyes and Dreams..
Offline
Posts: 1,228
Join Date: Jan 2005
Location: Mumbai
Rep Power: 22
|
HI karan! -
14th March 2005, 07:47 PM
he he he he..kuch bhi bana leti hu sahi bola...!
Well..belated Happy B;day!...usi din wish nahi kar payi..as i had off...par mene paigaam bheja tha..isse pehel ki u go offline again!..i thout i wd wish u!
tc
komal
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,098
Join Date: Jun 2004
Location: 238, Jagriti Enclave - Delhi
Rep Power: 27
|
14th March 2005, 10:35 PM
jaan tumper nisaar kerta houn
Mai nahi jaanta duaa kya hai
hum hain mushtaaq or wo bezaar
ya ilaahi ye maazraa kya hai
Very good ghazal of ghaalib.. In the voice of
chitra and jagjeet
I love chitra one
this one with .. dil he to hai na sangokhist
Khair .. thanx that you remember my b'day
my dear dear fav. kid
I like ghalib as well.. if you wish
I have complete ghazals of ghaalib
I mean .. those which he have written
singer's ne sirf 4-5 qataa's gaaye hain
not complete ones
aati raho .. mehfil sajaati raho
breaths of my poerty
izzajat
karan.q
Fainsle Qayamat taq multavee ho gaye
Sach kahe na gaye to shayri ho gaye
Mai or samander,do gehre khwaab khuda ke.....
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
|
Bahut khub karan.... -
15th March 2005, 12:44 AM
Jo mein likh ke mitaya karta tha....
tera naam tha, tera naam hai....
Bahut khub Karan,
Kaash ki isi tarah zehan se bhi naam mitaana mumkin hota...
Wo jo ghul gaya mere maazi me
Tera ehsaas hai,mere paas hai
Qayamat ke tujhbin bhee mujhko
Aaraam thaa,aaraam hai
Laajawaab...
Mohabbat....
Naina
Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,098
Join Date: Jun 2004
Location: 238, Jagriti Enclave - Delhi
Rep Power: 27
|
hii naina -
15th March 2005, 03:20 PM
iss sher ko sabne accha kaha hai
shayad koi khaas baat hogi
khair.. Mujhe to saari poetry he khaas lagti hai
Dil se jo likhta houn
La-jawab kaha tumne
magar mere khyaal se tumhare paas jawab hai
her baat ka
izzajat
karan.q
Fainsle Qayamat taq multavee ho gaye
Sach kahe na gaye to shayri ho gaye
Mai or samander,do gehre khwaab khuda ke.....
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 962
Join Date: Jul 2004
Location: Delhi
Rep Power: 29
|
17th March 2005, 12:44 AM
Hi Karan,
Each word of your shayri is superb, and mind blowing
har roz jisko karti hun yad
woh shaks khus khas hai
rehta hai mere khawabon ki duniya mein
woh mera pyar tha, pyar hai
karti hun jisko yad main ghanto har ghari
woh mujhe bhul gaya
par har waqt mera saya
uske sath tha, sath hai
Yar these are some feelings which instantly run in my mind after reading your shayri, pls dont mind abt me posting them also
Regards Nidhi
Na Chaho kisi ko itna ~ ~ ki chahat tumhari majboori ban jaye ~ ~ chaho kisi ko itna ki ~ ~ tumhara pyar us ke liye zaroori ban jaye...............
Friend Nidhi - A Silent Tear
"Shedding a Tear When You are Lonely - So Peaceful yet so Painful...."
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,098
Join Date: Jun 2004
Location: 238, Jagriti Enclave - Delhi
Rep Power: 27
|
hii Nidhi -
17th March 2005, 07:27 PM
tumhari himmat kaise hui meri Shayri per kuch arz kerne ki
hain... aage se aisa kiya to aisa sabak sikhaunga ki humesha yaad rakhogi
samjhi...
darr gayi?
hmmm
Are Pagal.. kya formality lagaa rakhi hai..
Feelings humesha best hoti hain.. kaisee bhee hon
saamne rakh diya karo.. issme poochne waali kya baat hai?
Mehfil meri nahi hai.. tumhari he hai..
tum chali aati ho chaandni ki ronak liye
or mujhe accha laga .. Ki tumne jo mehsoos kiya
likh diya.. or likha karo...
Accha likhti ho
Nidhi at her very best
now smile please
okey ..
izzajat
karan.q
Fainsle Qayamat taq multavee ho gaye
Sach kahe na gaye to shayri ho gaye
Mai or samander,do gehre khwaab khuda ke.....
|
|
|
Thread Tools |
|
Display Modes |
Rate This Thread |
Hybrid Mode
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is On
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
|