|
|
|
|
|
|
|
|
Sifar
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 42
|
6th October 2015, 04:05 PM
Jee waise ye platform is liye nahi tha .. par kya farq padta hai .. kyuNki isme koi buraai nahi .. agar sab saaf hai to sabke saamne bhi ho to kya ... aur mujhe nhi lagta unke mere beech koi gila shikwa tha .. jaise maine zaahir bhi kiya hai .. shayad kuch baateN thi jo misinterpret ho rahi thi .. rahi baat roopali ki to mujhe nahi lagta wo ab mujhe ya kisi ko bhi uska afsos hona chaiye .. wo meri zindagi ka ek khushnuma hissa hai .. jise maiN waise hi rakhna chahta huN .. ab na wo waqt wapas aa sakta hai na main ruk sakta huN us waqt ke liye.. haan dukh ye zaroor hai ki wo ab saamne nahi rehti .. rishta ho na ho log gayab nahi hone chaiye .. aisa mera maanna hai.. kyuNki logoN nahi maloom hota ki jo gayab ho ke sochte hai aisa karne se hum nahi raheNge .. wo ghalat hai .. aisa nahi hota hai .. balki unki presence badh jaati hai aur jyada.. zindgi wakai nahi rukti .. aapki duaoN ka shukriya .. aur aapki dua already qubool ho chuki hai .. itna hi kehna chahunga.. koi hai jo mujhe mujhse jyada samajhta hai ...
khyaal rakheN apna
Kunaal
KunaaL (Sifar).........
Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
6th October 2015, 05:07 PM
Quote:
Originally Posted by KunaaL
Jee ye acchi soch hai .. aage badh jana...
jee mere maine kaha mere shauk kayi haiN .. par maiN unhe bhi samay nahi de paa raha .. iska matlab ye katayi nahi ki maiN bohat buzy huN ya kuch .. baki baat ye hai ki mere haalaat nahi hai aise ki maiN apne shauk poore kar sakuN ...
movie koi bhi bas thodi serious aur sensible ho .. genre chahe koi bhi ho .. jaise mujhe Leonardo DiCaprio ki sabhi movies pasand hai .. aur INCEPTION meri fav movie hai ..
song to koi bhi .. Mohd rafi to Honey singh..
For holidays india maiN to kahiN bhi chale jao .. i think holidays ke liye to sab bhadiya hai .. but i want to go to las vegas once in my life..
shayri.. n songs .. kayi baar khmoshi..
Ye accha sawaal hai .. maiN apne dostoN maiN koi cheez expect nahi karta .. kyuNki mujhe lagta hai koi jaisa hai use waise hi apna lo .. phir aise main sawaal aata hai to kya har kisi ko apna bana liya jaye .. waise isme koi burai nahi phir bhi ye dunia humeN iski ijazat nahi deti .. lekin ek baat hai ... kayi baar hum kisi ko dekhte hai .. humeN use dekhte hi gussa aane lagta hai .. man karta hai usme ek rakh ke do .. bhale usse koi raabta na ho .. usne humara kuch na bigada ho .. aur wahiN kabhi kabhi iske ulat hota hai .. kisi ko dekhte hi humeN pyar aata hai.. bhale wo kaisa ho .. bhale wo bura ho.. bas main inhi main se chun leta huN .. jo mujhe accha lage mere dil ko bha jaye .. main use apna dost bana leta huN .. bhale wo mere sath kaisa ho .. mera maanna hai humeN bas apna 100 percent dena chaiye ...insaan pyar ka bhooka hota hai.. patthar bhi pighal jaate hai isse.. main wahi karta huN bas.. phir jo anjaam ho uski parwah kya karna ..
waise iska jawaab ek tarah se main de chuka huN upar .. muhabbat hi zindagi hai .. iski koi shaql nahi hai .. bas isko sahi tareeqe se samajhne ki zaroorat hai .. aur bas humeN apna 100% dena chaiye .. to ye na hoke bhi zindagi maiN rahegi .. aur agar hum bas give n take main pahunch gaye to ye hoke bhi nahi rahegi .. sath hi zindagi bhi nahi rehne degi..
Shukriya aap phir se aayiN.. khushi hui aapko dekh ke dobara..
Apka apna
Kunaal
|
kunaal ji bahut achcha laga...dost aur dosti ke bare me aapne jo bhi kaha kyun ki mere sath bhi kuch aisa hota hai..aur shayad ise hee dil ki awaaz kahte hain..ki kabhi kabhi ajnabi apne se lagte hain.....
aur haan di ko jo baat batayi aapne ki unki dua qubool ho chuki hai...uske liye mubarak baad....
khush rahein....
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Sifar
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 42
|
6th October 2015, 08:35 PM
Quote:
Originally Posted by Madhu 14

Dear Madhu..
Darasal hota aksar aise hi hai .. koi kisi ko nahi chunta .. par log ek illusion main rehte hai .. aur aise hi kehte hai ki main to aise dost banata huN waise banaata huN .. mera maanna hai jo dil se rishte banaaye jaate hai usme koi dekh hi nahi paata .. aur agar wakai main log dekh ke soch ke samajh ke rishta dosti kuch bhi banaate hai .. to wo kabhi nahi tik sakti .. wo to sauda hai .. saude ki umra kya ... ek makaam pe pahunch ke bas result reh jaata hai ..
aur haan sunita di ki dua zaroor qubool hui hai .. par abhi mubarakbad dene ka waqt nahi aaya hai .. jab aayega .. tab koi gift vift leke aana .. mubarak baad dene
KunaaL (Sifar).........
Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 39
|
6th October 2015, 10:56 PM
Quote:
Originally Posted by KunaaL
Jee waise ye platform is liye nahi tha .. par kya farq padta hai .. kyuNki isme koi buraai nahi .. agar sab saaf hai to sabke saamne bhi ho to kya ... aur mujhe nhi lagta unke mere beech koi gila shikwa tha .. jaise maine zaahir bhi kiya hai .. shayad kuch baateN thi jo misinterpret ho rahi thi .. rahi baat roopali ki to mujhe nahi lagta wo ab mujhe ya kisi ko bhi uska afsos hona chaiye .. wo meri zindagi ka ek khushnuma hissa hai .. jise maiN waise hi rakhna chahta huN .. ab na wo waqt wapas aa sakta hai na main ruk sakta huN us waqt ke liye.. haan dukh ye zaroor hai ki wo ab saamne nahi rehti .. rishta ho na ho log gayab nahi hone chaiye .. aisa mera maanna hai.. kyuNki logoN nahi maloom hota ki jo gayab ho ke sochte hai aisa karne se hum nahi raheNge .. wo ghalat hai .. aisa nahi hota hai .. balki unki presence badh jaati hai aur jyada.. zindgi wakai nahi rukti .. aapki duaoN ka shukriya .. aur aapki dua already qubool ho chuki hai .. itna hi kehna chahunga.. koi hai jo mujhe mujhse jyada samajhta hai ...
khyaal rakheN apna
Kunaal
|
Hmmmm.....
To jab milwa rahe hain devar ji Sunita di Ki dua se?.....
Waise ek chakkar laga he lo Mumbai ka. Phir khul kar baat hogi.
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
7th October 2015, 10:42 AM
Quote:
Originally Posted by KunaaL
Dear Madhu..
Darasal hota aksar aise hi hai .. koi kisi ko nahi chunta .. par log ek illusion main rehte hai .. aur aise hi kehte hai ki main to aise dost banata huN waise banaata huN .. mera maanna hai jo dil se rishte banaaye jaate hai usme koi dekh hi nahi paata .. aur agar wakai main log dekh ke soch ke samajh ke rishta dosti kuch bhi banaate hai .. to wo kabhi nahi tik sakti .. wo to sauda hai .. saude ki umra kya ... ek makaam pe pahunch ke bas result reh jaata hai ..
aur haan sunita di ki dua zaroor qubool hui hai .. par abhi mubarakbad dene ka waqt nahi aaya hai .. jab aayega .. tab koi gift vift leke aana .. mubarak baad dene
|
zaroor ayenge aur vo bhi gift ke sath..............
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 64
|
7th October 2015, 12:33 PM
Quote:
Originally Posted by KunaaL
Oh door ke musafir
humko bhi sath le le re
hum reh gaye akele re
hum reh gaye akele ..
jawaab to de diye par ye kya humari baari main hi khisakne lagi aap .. ye to sahi nahi hai bhai .. khair aapki journey khoobsoorat ho aur aap jaldi wapas aayeN salamti se ... dua raheGi .. aur aapka intezaar rahega..
Kunaal
|
door rehkar bhi rehegi tum par meri nazar meri nazar se Kunaal ji aap ab nahi bach paogey
ham to har pal aapke/sdc ke saath hai...dooriya faaslon (miles) mein chahe hon par dilon meiN na hon
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
.....Sunita Thakur.....
यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 64
|
7th October 2015, 12:37 PM
Quote:
Originally Posted by KunaaL
Jee waise ye platform is liye nahi tha .. par kya farq padta hai .. kyuNki isme koi buraai nahi .. agar sab saaf hai to sabke saamne bhi ho to kya ... aur mujhe nhi lagta unke mere beech koi gila shikwa tha .. jaise maine zaahir bhi kiya hai .. shayad kuch baateN thi jo misinterpret ho rahi thi .. rahi baat roopali ki to mujhe nahi lagta wo ab mujhe ya kisi ko bhi uska afsos hona chaiye .. wo meri zindagi ka ek khushnuma hissa hai .. jise maiN waise hi rakhna chahta huN .. ab na wo waqt wapas aa sakta hai na main ruk sakta huN us waqt ke liye.. haan dukh ye zaroor hai ki wo ab saamne nahi rehti .. rishta ho na ho log gayab nahi hone chaiye .. aisa mera maanna hai.. kyuNki logoN nahi maloom hota ki jo gayab ho ke sochte hai aisa karne se hum nahi raheNge .. wo ghalat hai .. aisa nahi hota hai .. balki unki presence badh jaati hai aur jyada.. zindgi wakai nahi rukti .. aapki duaoN ka shukriya .. aur aapki dua already qubool ho chuki hai .. itna hi kehna chahunga.. koi hai jo mujhe mujhse jyada samajhta hai ...
khyaal rakheN apna
Kunaal
|
areeee wahhhhhhhhh...yeh hue na baat...majja aa gya....to kab milva rhe ho hame apni dulhania se
Kunaal ji, hame apni "Unka" naam bhi bata dijiye
ham duaa karte hai aap jaldi se shaadi ke bandhan meiN bandh jayeN aur bahuttttt hi khush-haal jeevan beetayeN
sach meiN bahut accha lga aapse yeh khabar sunkar...god bless u always
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
.....Sunita Thakur.....
यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 64
|
7th October 2015, 12:41 PM
Sarika....Madhu ab jaldi se shaadi ke liye suit, lehnga aur sarees taiyaar karwa lo......kabhi bhi shaaadi ka (Kunaal ji ka) band baj sakta hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
.....Sunita Thakur.....
यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...
|
|
|
|
|
Sifar
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 42
|
7th October 2015, 12:54 PM
Raaz ki baat keh dun to
jaane mehfil mai phir kya ho
Majboor huN uska naam yahan abhi nahi likh sakta maiN.. is daur-e-haazir main abhi ye mumkin nahin.. par yaqiin kijiye jaldi hi waqai aapko dawat dounga.. apki duaoN ka shukriya ..
KunaaL (Sifar).........
Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
|
|
|
|
|
Sifar
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 42
|
7th October 2015, 12:55 PM
Dont worrie mera band nahi bajne dounga main.. meri to baat hi isi shart pe hui hai .. haan aap tayari kar lo.. bulawa kabhi bhi aa sakta hai..
KunaaL (Sifar).........
Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 64
|
7th October 2015, 03:53 PM
Quote:
Originally Posted by KunaaL
Dont worrie mera band nahi bajne dounga main.. meri to baat hi isi shart pe hui hai .. haan aap tayari kar lo.. bulawa kabhi bhi aa sakta hai..
|
taiyaari poore jorroN par hai...aap bas niyota bhejo jaldi se
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
.....Sunita Thakur.....
यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...
|
|
|
|
|
Yaadon ka!
Offline
Posts: 6,801
Join Date: Jan 2002
Location: gujarat-India
Rep Power: 46
|
7th October 2015, 04:38 PM
Oho to is mahine kunal ki band bajnewali hain......
Sunita di kitne sawaal ....bechare ki jaan loge kya?
Waise is baat se tumhara kya matlab mausam meri dost thi........yeh tumne thik nahin kaha ......ab tum Gaye....
Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN
Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se
|
|
|
|
|
Sifar
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 42
|
7th October 2015, 05:15 PM
Quote:
Originally Posted by mausam
Oho to is mahine kunal ki band bajnewali hain......
Sunita di kitne sawaal ....bechare ki jaan loge kya?
Waise is baat se tumhara kya matlab mausam meri dost thi........yeh tumne thik nahin kaha ......ab tum Gaye....
|
Kya band bajne wali hai .. sawaal poochne wale thak gaye .. meri taraf se sab clear hai .. ab socho kiski band baji hai ..
aur ek baat batao ... 1 tareekh ka shuru interview tum 7 tareekh ko aao to kya kaha jaayega aisi dost ko mujhe to tum dikhti nahi .. badi aayi dost kehne wali
hahahaha
KunaaL (Sifar).........
Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
|
|
|
|
|
Sifar
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 42
|
7th October 2015, 05:17 PM
Quote:
Originally Posted by sunita virender
taiyaari poore jorroN par hai...aap bas niyota bhejo jaldi se
|
kya nyota bhejuN .. aap to USA jaa rahi ho .. aur ye interview kam chit chat jyada ho gaya hai ..
Kunaal
KunaaL (Sifar).........
Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
7th October 2015, 06:16 PM
ek baar fir se swagat hai aapka
kunaal ji....
aapki taraf se sab clear nahi hai..aapne apni likhi huyi apne dil ke kareeb 5 ghazalon ka link nahi diya ab tak....
Kya aapka koi faisla aisa raha kabhi jiske liye aapko hamesha afsos hota ho...
Aap ka koi secret jo aapne kisi se na kaha ho..
Bachpan ki Koi aisi shararat jisse anjane me kisi ko takleef pahunchi ho...
Khud me sabse achchi kya baat lagti hai aapko....
Aap jawaab dijiye...main jald hazir hoti hoon...
Takecare..
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Yaadon ka!
Offline
Posts: 6,801
Join Date: Jan 2002
Location: gujarat-India
Rep Power: 46
|
7th October 2015, 07:41 PM
Quote:
Originally Posted by KunaaL
Kya band bajne wali hai .. sawaal poochne wale thak gaye .. meri taraf se sab clear hai .. ab socho kiski band baji hai ..
aur ek baat batao ... 1 tareekh ka shuru interview tum 7 tareekh ko aao to kya kaha jaayega aisi dost ko mujhe to tum dikhti nahi .. badi aayi dost kehne wali
hahahaha
|
Lo pata bhi hona chahiye na interview ka......
Chalo ab ayi hoon to ek sawaal pooch hi leti hoon.....
"Kya doobara apka Sunday ishq special padhne milega????....
Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN
Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 64
|
8th October 2015, 10:11 AM
Quote:
Originally Posted by KunaaL
kya nyota bhejuN .. aap to USA jaa rahi ho .. aur ye interview kam chit chat jyada ho gaya hai ..
Kunaal
|
areeee areee bhai, aap bulao ham na aayeN aise ko halaat nahi
aur haa chit-chat bhi hona chahiye thoda bahut
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
.....Sunita Thakur.....
यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 64
|
8th October 2015, 10:16 AM
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
.....Sunita Thakur.....
यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 64
|
8th October 2015, 10:17 AM
Quote:
Originally Posted by mausam
"Kya doobara apka Sunday ishq special padhne milega????....
|
Kunaal ji...yeh sawaal mera bhi hai...aapka Sunday Ishq hamne bhi pada hai kai baar hame phir se aapke Sunday Ishq ka intejaar rhega.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
.....Sunita Thakur.....
यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
|
8th October 2015, 07:40 PM
Hello Kunaal
Itne saare sawaal aur sabka tumne bahut ache se jawaab diya.Main to bahut chotta sa sawaal poochungi...tumhari likhi sabse pehli rachna/poem ke bare mein batana.Agar ho sake to kuch akshar uss rachna ke sunana.
Sada kush raho
Di
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
9th October 2015, 12:38 PM
kunaal ji guftguu me aapka intzaar ho raha hai.......
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 64
|
9th October 2015, 12:45 PM
awaz de tu kahan hai ?
guftagu ka silsilla jawaaN hai
Kunaal ji..........kahan busy ho gye aap...sawalon ka daur jaari hai...jawaaboN ki raftaar kam ho chali hai jaldi aayeN sahiib bazm aapne intejaar meiN
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
.....Sunita Thakur.....
यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...
|
|
|
|
|
Sifar
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 42
|
9th October 2015, 10:48 PM
Quote:
kunaal ji....
aapki taraf se sab clear nahi hai..aapne apni likhi huyi apne dil ke kareeb 5 ghazalon ka link nahi diya ab tak....
Kya aapka koi faisla aisa raha kabhi jiske liye aapko hamesha afsos hota ho...
|
Madhu jee ..
yaqiin jaaniye .. mujhe mera likha kuch pasand hi nahi hai.. aur mera likha sb kuch yahan available hai aap dekh jo aapko sahi lage padh lijiye .. phir bhi ek link de raha huN .. ye meri nayi shuruwaat ki pehli peshkash thi ..
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=78078
mujhe to meri bohat see baatoN ka afsos hai .. par jaisa maine kaha main waqai afsos nahi karta akhir kaar kya mila .. lekin yahan ek baat share karna chahuNga .. ho sakta hai ye jumla kashi lage .. par meri zindagi ki sacchai hai .. maine humesha doosroN ke kiye ko hi bhugta hai .. bas yahi afsos hai .. ki sabke hisse ka chahuN na chahuN bhogna mujhe padta hai .. ye vidambna kahiye ya kuch bhi .. kash maiN share kar paata isse jude kisse ..
Quote:
Aap ka koi secret jo aapne kisi se na kaha ho..
|
Mere paas secret hi secret hai.. kyuNki main kisi ke saamne kabhi apne aap ki koi baat nahi kehta .. sivay uske jise maine maan liya ho isme aur mujhme koi farq nahi .. baaki sabke saamne hansta khelta rehta huN ...
Quote:
Bachpan ki Koi aisi shararat jisse anjane me kisi ko takleef pahunchi ho...
Khud me sabse achchi kya baat lagti hai aapko....
|
in dono baatoN ka jawaab juda hua hai sath hi maiN.. isi liye sath likh raha huN ,.. maiN kabhi shararti nahi raha jaise maine peeche bhi kaha hai .. maine kabhi anjaane main bhi kisi se shararat nahi ki kisi ko takleef pahunche .. par ye duniya hai yahan bohatoN ko bohat kuch bura lagta hai .. aur isi tareeqe se meri bohat see baatoN se bohatoN ko taqleef pahunchi hai .. mujhe mere andar yahi baat sabse acchi lagti hai .. main kabhi aisi baat sochta tak nahi jisse kisi ko bura lage .. main apne aap maiN rehne wala insaan huN .. lekin mere mazaaq halke phulke bhi kayiyoN ko bure lage hai .. aur main tabhi ke tabhi muafi maang leta huN .. mujhe mera khud maiN rehna accha lagta hai .. aur ab ye meri zindagi ho gayi hai ..
aapka phir se intezaar rahega
aapka dost
Kunaal
KunaaL (Sifar).........
Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
|
|
|
|
|
Sifar
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 42
|
9th October 2015, 10:50 PM
Quote:
Originally Posted by mausam
Lo pata bhi hona chahiye na interview ka......
Chalo ab ayi hoon to ek sawaal pooch hi leti hoon.....
"Kya doobara apka Sunday ishq special padhne milega????....
|
abhi to pata hai na ...ab kahan ho tum aur wo sunday ishq.. ab to mujhe hanshi aati hai uska soch ke ...
KunaaL (Sifar).........
Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
|
|
|
|
|
Sifar
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 42
|
9th October 2015, 10:56 PM
Quote:
Originally Posted by sukanya
Hello Kunaal
Itne saare sawaal aur sabka tumne bahut ache se jawaab diya.Main to bahut chotta sa sawaal poochungi...tumhari likhi sabse pehli rachna/poem ke bare mein batana.Agar ho sake to kuch akshar uss rachna ke sunana.
Sada kush raho
Di
|
Didi
aap aayi bohat accha laga .. mere jawaab acche the ya nahi ye mujhe nahi pata maine wo kaha jo mujhe laga .. didi mujhe waqai yaad nahi maine pehli baar kya aur kab likha tha .. lekin yahan likhi pehli rachna aapke saamne rakh raha huN ... hansna nahi .. kyuNki hansi mujhe bhi bohat aati hai apna aisa likha dekh kar
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=25995
aapka apna
Kunaal
KunaaL (Sifar).........
Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
|
|
|
|
|
Sifar
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 42
|
9th October 2015, 10:58 PM
Sunita jee .. aur madhu ji..
Maine phir se clear kar diya hai sab .. umeed hai jald hi naye sawaaloN se mukhatib houNga ..
Apka
Kunaal
KunaaL (Sifar).........
Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
10th October 2015, 01:43 PM
Quote:
Originally Posted by KunaaL
Madhu jee ..
yaqiin jaaniye .. mujhe mera likha kuch pasand hi nahi hai.. aur mera likha sb kuch yahan available hai aap dekh jo aapko sahi lage padh lijiye .. phir bhi ek link de raha huN .. ye meri nayi shuruwaat ki pehli peshkash thi ..
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=78078
mujhe to meri bohat see baatoN ka afsos hai .. par jaisa maine kaha main waqai afsos nahi karta akhir kaar kya mila .. lekin yahan ek baat share karna chahuNga .. ho sakta hai ye jumla kashi lage .. par meri zindagi ki sacchai hai .. maine humesha doosroN ke kiye ko hi bhugta hai .. bas yahi afsos hai .. ki sabke hisse ka chahuN na chahuN bhogna mujhe padta hai .. ye vidambna kahiye ya kuch bhi .. kash maiN share kar paata isse jude kisse ..
Mere paas secret hi secret hai.. kyuNki main kisi ke saamne kabhi apne aap ki koi baat nahi kehta .. sivay uske jise maine maan liya ho isme aur mujhme koi farq nahi .. baaki sabke saamne hansta khelta rehta huN ...
in dono baatoN ka jawaab juda hua hai sath hi maiN.. isi liye sath likh raha huN ,.. maiN kabhi shararti nahi raha jaise maine peeche bhi kaha hai .. maine kabhi anjaane main bhi kisi se shararat nahi ki kisi ko takleef pahunche .. par ye duniya hai yahan bohatoN ko bohat kuch bura lagta hai .. aur isi tareeqe se meri bohat see baatoN se bohatoN ko taqleef pahunchi hai .. mujhe mere andar yahi baat sabse acchi lagti hai .. main kabhi aisi baat sochta tak nahi jisse kisi ko bura lage .. main apne aap maiN rehne wala insaan huN .. lekin mere mazaaq halke phulke bhi kayiyoN ko bure lage hai .. aur main tabhi ke tabhi muafi maang leta huN .. mujhe mera khud maiN rehna accha lagta hai .. aur ab ye meri zindagi ho gayi hai ..
aapka phir se intezaar rahega
aapka dost
Kunaal
|
Bahut shukriya janaab....aap aaye aapne jawaab diye achcha laga...
Ab next..
Kunaal ji...aap kahte hain ki aapko kuch bura nhi lagta...
To is bharose pe kuch batein aur poochna chahoongi guftguu ko aage badhate huye...yakeen hai aap hamesha ki tarah sach hee kahenge....
-Aap ne kaha aapka likha kuch bhi pasand nahi aapko...
Iski vajah kya hai?
-Kyun ki jahaan tak main janti hoon...ek mali ko apne bageeche ka har paudha pyara hota hai...ek maa ko apne sare bachche...shayri bhi shayr ke dil se janm leti hai aur use likhkar vo sukoon mahsoos karta hai...to aap in baton se ittefaq nahi rakhte kya....
-Aur agar aapka likha apko sukoon nahi deta pasand hee nhi to aap use sabke samne kaise rakh pate hain .
-Aap kisi se apne dil ki baat kyun nahi chahte kyun har baat chhipa kar sirf dikhawati hansii apnana achcha lagta hai....kya kisi par bharosa karna itna mushkil hai....
-Aap ki chhoti chhoti baton ka log bura maan lete hain aapne kaha ki aap mafi bhi maang lete hain...par maafi maang lene se kya vo insaan aapke sath fir pahle jaisa hee ho pata hai ..
-Kya aapne kabhi khud ko janne ki koshish nahi ki...ki aakhir kyun logon ko aapke halke fulke mazak bhi bure lagte gai ...
Khud me aisa kya badlaaw karein ki log aapse khulkar mil payein.apki batein dil pe na lein....
Jawaab dil se milenge janti hoon main...
Intzaar rahega..
Khush rahiye..
Madhu.
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
10th October 2015, 01:45 PM
. phir bhi ek link de raha huN .. ye meri nayi shuruwaat ki pehli peshkash thi ..
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=78078
Shukriya link dene ke liye....aur mujhe bahut pasand aayi aapki ye ghazal.......
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
|
10th October 2015, 11:51 PM
Kunaal
Bahut acha laga tumhari pehli peshkash dekh.Mughe woh din yaad aaya jab tumhara ek cute sa avtaar hota tha ek dancing elephant if I remember correctly aur tumhara signature saccha_pyar hota tha sifar nahin .Time really changes so fast.
Apna khyal rakhna
Di
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
12th October 2015, 09:49 PM
Kunaal sahab...sawaal aapke intzaar me hain ......
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
13th October 2015, 12:16 AM
Thode din bahar tha...waapas aakar catch up kar raha hoon is thread par behad umdaa jawaab de raho to chote miyaan...
Chalo kuch aur sawaal jo zehan ko shayad thoda sochne par majboor karein...
1. What insipres you as a shayar? Koi aisa khayal koi aisa shaqs koi tasveer jise tum is nazariye se dekhte ho?
2. Koi aisi theme ya khayaal jis par tumne kabhi na likha ho aur likhne ki tamanna rahi ho?
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Sifar
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 42
|
15th October 2015, 11:09 AM
Quote:
Bahut shukriya janaab....aap aaye aapne jawaab diye achcha laga...
Ab next..
Kunaal ji...aap kahte hain ki aapko kuch bura nhi lagta...
To is bharose pe kuch batein aur poochna chahoongi guftguu ko aage badhate huye...yakeen hai aap hamesha ki tarah sach hee kahenge....
|
Muafi ka talabgaar huN deri ke liye .. thoda roz marra ki aazmaaish mai phansa hua tha .. khair aapne bharosa jataaya hai .. to bharosa kaayam rakhunga ... yaqiin kijiye
Quote:
-Aap ne kaha aapka likha kuch bhi pasand nahi aapko...
Iski vajah kya hai?
-Kyun ki jahaan tak main janti hoon...ek mali ko apne bageeche ka har paudha pyara hota hai...ek maa ko apne sare bachche...shayri bhi shayr ke dil se janm leti hai aur use likhkar vo sukoon mahsoos karta hai...to aap in baton se ittefaq nahi rakhte kya....
|
Mujhe nahi lagta in do baatoN main koi match hai .. shayri ek kalaa hai .. isme dil ke sath dimag bhi istemal hota hai .. jiski justification hoti hai .. bacche paida karna koi kalaa nahi hai .. ye ek neimat hai .. aur iska koi justification ho sakta hai .. mere khyaal se kabhi nahi ...
Koi Shayri sukooN deti hai wo apna zaati mas'alaa hai par ek hunar hai ye .. jaise khana ban ke pet to har koi bhar sakta hai .. par uska swad har kisi ka alag alag hota hai .. aur usme accha bura hota hai .. humme apni shayri ke sath insaaf karne ki himmat honi chaiye .. humeN pata hona chaiye ki hum jo likh rahe hai wo kitna accha hai .. aur pasand na aana isko aur nikhaarne ki taraf aur bada kadam hai ..
aur ek baat waqt ke sath maine shaa'iiri ke qaa'ide bhi jaan liye hai to thoda aur apne aapko parakhne laga huN .. mujhe shaa'iiri maiN ek mukaam banaana hai kisi aur ke liye nahi apne liye .. ki jab maiN na rahuN tab bhi log ise padheN aur ye ek level saabit kare.. jo mujhe lagta hai abhi main usse bohat peeche huN ...
Quote:
-Aur agar aapka likha apko sukoon nahi deta pasand hee nhi to aap use sabke samne kaise rakh pate hain .
|
is mua'mle maiaap mujhe nahi keh sakti ... maiN bohat kam hi shayrii logoN ke saamne rakh raha huN .. aur usko logoN ke hawaale kar deta huN .. jo main logoN ke saamne rakh raha huN .. usme kahiN hadd tak maiN apne kured chuka hota huN wo bhi tab rakhta huN .. aur logoN ke khyaal ka teh dil se isteqbaal karta huN .. aur ek baat ye kisne keh diya ki hum jo sukooN deta hai logoN ke saamne rakh dete hai.. mera to manna hai jo humeN sukooN deta hai use logoN se bacha ke rakha jaata hai .. jaisa ki aaj kal main kar raha huN .. asli maal to chupa rakha hai ..
Quote:
-Aap kisi se apne dil ki baat kyun nahi chahte kyun har baat chhipa kar sirf dikhawati hansii apnana achcha lagta hai....kya kisi par bharosa karna itna mushkil hai....
|
Kisi pe bharosa karna mushkil nahi hai .. par wo 'kisi' milta badi mushkil se hai .. maine zik'r kiya hai ki maiN jise maan leta huN isme mujhme koi farq nahi usse maiN kuch nahi chupaata .. aur har baat to har kisi ko nahi bataai jaa sakti .. maiN ho sakta hai kisi se apne dil ki baat na kahuN .. lekin maiN koii jhooth bhi nahi rakhta .. apni baatoN ko na bataana maiN nahi samajhta jhooth bolna hai .. phir bhi maiN koshish karta huN .. har kisi se jisse miluN .. use us 'kisi' maiN shaamil kar sakuN .. phir to waqt hi faisla karta hai ki mujhe kya milta hai .. maze ki hi baat hai .. ki wo 'kisi' har koi nahi ho paata ..
Quote:
-Aap ki chhoti chhoti baton ka log bura maan lete hain aapne kaha ki aap mafi bhi maang lete hain...par maafi maang lene se kya vo insaan aapke sath fir pahle jaisa hee ho pata hai ..
-Kya aapne kabhi khud ko janne ki koshish nahi ki...ki aakhir kyun logon ko aapke halke fulke mazak bhi bure lagte gai ...
Khud me aisa kya badlaaw karein ki log aapse khulkar mil payein.apki batein dil pe na lein....
|
well maiN samajh jaata huN kisko kaha bura laga .. to mujhe nahi lagta ki mere jhuk jaane maiN koi buraai hai .. mujhe farq nahi padta maiN ghalat huN ya nahi .. rahi baat wo insaan pehle jaisa hota hai ya nahi .. to mujhe nahi lagta chote baat ka bura bada lagaata hai koi.. choti baat pe naaraazgi bhi choti hi hoti hai ... baaki maiN apna 100% effort karta huN .. bbacha hua saamne waale ki marzi ..
doosra sawaal zara atpata hai .. maiN kaise jaan sakta huN kisko kya bura lag jayega .. jispe koi bura nahi maanta pata nahi lagta uspe koun bura maan jaaye .. mujhme badlaaw ki zaroorat mujhe is liye nahi lagti kyuNki maiN kisi se aisa ban ke milt hi nahi ki log mujhse khul kar na mil paayeN .. yaqiin jaaniye to logoN ko kayi baar bura ye lag jata hai ki ye khul kar kyuN mil raha hai .. aur kabhi kabhi ye bhi bura lagta hai .. ki hum khul kar kyuN mil liye ....
Quote:
Jawaab dil se milenge janti hoon main...
Intzaar rahega..
Khush rahiye..
Madhu.
|
jawaab ungliyoN ke zariye dil se diye gaye hai .. haha ab phir se aapka intizaar hoga ..
aap khushi se jyada khush raheN
Kunaal
KunaaL (Sifar).........
Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
|
|
|
|
|
Sifar
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 42
|
15th October 2015, 11:10 AM
Quote:
Originally Posted by Madhu 14
|
aapko pasand aayi mujhe behad khushi hai .. sath dene ka shukriya ..
Kunaal
KunaaL (Sifar).........
Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
|
|
|
|
|
Sifar
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 42
|
15th October 2015, 11:12 AM
Quote:
Originally Posted by sukanya
Kunaal
Bahut acha laga tumhari pehli peshkash dekh.Mughe woh din yaad aaya jab tumhara ek cute sa avtaar hota tha ek dancing elephant if I remember correctly aur tumhara signature saccha_pyar hota tha sifar nahin .Time really changes so fast.
Apna khyal rakhna
Di
|
u hit it correctly sis.. aisa avtar tha maine banaya tha khud se gif file .. waqt nahi badla hum hi badal gaye
aap bhi khyaal rakhiye
Kunaal
KunaaL (Sifar).........
Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
|
|
|
|
|
Sifar
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 42
|
15th October 2015, 11:19 AM
Quote:
Thode din bahar tha...waapas aakar catch up kar raha hoon is thread par behad umdaa jawaab de raho to chote miyaan...
Chalo kuch aur sawaal jo zehan ko shayad thoda sochne par majboor karein...
|
Aapki raah dekh hi raha tha maiN .. accha laga aapko dekhkar .. chaliye sawaaloN ki taraf chalte haiN
Quote:
1. What insipres you as a shayar? Koi aisa khayal koi aisa shaqs koi tasveer jise tum is nazariye se dekhte ho?
|
mujhe to sab kuch inspire karta hai bhaisaahab .. aap bhabhi madhu sunita ji, praveen bhai, SDC, facebooK, Suraj , chaand, sab.. maiN bas sab ko dekh ke jumla kashi karta rehta huN .. jo accha lagta hai usme apna experience milata huN .. aur phir use baandh deta huN ..ye duniya khyaaloN se bhari padi hai .. par humeN bas chunna hota hai .. aur jo dil kehta hai use chunn leta huN maiN ,...
Quote:
2. Koi aisi theme ya khayaal jis par tumne kabhi na likha ho aur likhne ki tamanna rahi ho?
|
MaiN ek aisa qaumi taraana likhna chahta huN jo sabko ek kar de.. par bakhuda aise alfaaz aaj tak nahi mile jo khoon maiN alfaaz le aayeN .. koshish to maine bohat kee hai .. par insaallah ek din zaroor qaamyaab hounga..
shukriya aane ke liye
Kunaal
KunaaL (Sifar).........
Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
15th October 2015, 11:40 AM
Quote:
Originally Posted by KunaaL
Aapki raah dekh hi raha tha maiN .. accha laga aapko dekhkar .. chaliye sawaaloN ki taraf chalte haiN
mujhe to sab kuch inspire karta hai bhaisaahab .. aap bhabhi madhu sunita ji, praveen bhai, SDC, facebooK, Suraj , chaand, sab.. maiN bas sab ko dekh ke jumla kashi karta rehta huN .. jo accha lagta hai usme apna experience milata huN .. aur phir use baandh deta huN ..ye duniya khyaaloN se bhari padi hai .. par humeN bas chunna hota hai .. aur jo dil kehta hai use chunn leta huN maiN ,...
MaiN ek aisa qaumi taraana likhna chahta huN jo sabko ek kar de.. par bakhuda aise alfaaz aaj tak nahi mile jo khoon maiN alfaaz le aayeN .. koshish to maine bohat kee hai .. par insaallah ek din zaroor qaamyaab hounga..
shukriya aane ke liye
Kunaal
|
bahut sahi baat kahi aapne..... ye duniya khyaaloN se bhari padi hai .. par humeN bas chunna hota hai .. .......
aur khushi huyi aapki chahat ke bare me jaankar....dua karti hoon....aapko jald hee kamyabi mile......
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
15th October 2015, 11:45 AM
Quote:
Originally Posted by KunaaL
Muafi ka talabgaar huN deri ke liye .. thoda roz marra ki aazmaaish mai phansa hua tha .. khair aapne bharosa jataaya hai .. to bharosa kaayam rakhunga ... yaqiin kijiye
Mujhe nahi lagta in do baatoN main koi match hai .. shayri ek kalaa hai .. isme dil ke sath dimag bhi istemal hota hai .. jiski justification hoti hai .. bacche paida karna koi kalaa nahi hai .. ye ek neimat hai .. aur iska koi justification ho sakta hai .. mere khyaal se kabhi nahi ...
Koi Shayri sukooN deti hai wo apna zaati mas'alaa hai par ek hunar hai ye .. jaise khana ban ke pet to har koi bhar sakta hai .. par uska swad har kisi ka alag alag hota hai .. aur usme accha bura hota hai .. humme apni shayri ke sath insaaf karne ki himmat honi chaiye .. humeN pata hona chaiye ki hum jo likh rahe hai wo kitna accha hai .. aur pasand na aana isko aur nikhaarne ki taraf aur bada kadam hai ..
aur ek baat waqt ke sath maine shaa'iiri ke qaa'ide bhi jaan liye hai to thoda aur apne aapko parakhne laga huN .. mujhe shaa'iiri maiN ek mukaam banaana hai kisi aur ke liye nahi apne liye .. ki jab maiN na rahuN tab bhi log ise padheN aur ye ek level saabit kare.. jo mujhe lagta hai abhi main usse bohat peeche huN ...
is mua'mle maiaap mujhe nahi keh sakti ... maiN bohat kam hi shayrii logoN ke saamne rakh raha huN .. aur usko logoN ke hawaale kar deta huN .. jo main logoN ke saamne rakh raha huN .. usme kahiN hadd tak maiN apne kured chuka hota huN wo bhi tab rakhta huN .. aur logoN ke khyaal ka teh dil se isteqbaal karta huN .. aur ek baat ye kisne keh diya ki hum jo sukooN deta hai logoN ke saamne rakh dete hai.. mera to manna hai jo humeN sukooN deta hai use logoN se bacha ke rakha jaata hai .. jaisa ki aaj kal main kar raha huN .. asli maal to chupa rakha hai ..
Kisi pe bharosa karna mushkil nahi hai .. par wo 'kisi' milta badi mushkil se hai .. maine zik'r kiya hai ki maiN jise maan leta huN isme mujhme koi farq nahi usse maiN kuch nahi chupaata .. aur har baat to har kisi ko nahi bataai jaa sakti .. maiN ho sakta hai kisi se apne dil ki baat na kahuN .. lekin maiN koii jhooth bhi nahi rakhta .. apni baatoN ko na bataana maiN nahi samajhta jhooth bolna hai .. phir bhi maiN koshish karta huN .. har kisi se jisse miluN .. use us 'kisi' maiN shaamil kar sakuN .. phir to waqt hi faisla karta hai ki mujhe kya milta hai .. maze ki hi baat hai .. ki wo 'kisi' har koi nahi ho paata ..
well maiN samajh jaata huN kisko kaha bura laga .. to mujhe nahi lagta ki mere jhuk jaane maiN koi buraai hai .. mujhe farq nahi padta maiN ghalat huN ya nahi .. rahi baat wo insaan pehle jaisa hota hai ya nahi .. to mujhe nahi lagta chote baat ka bura bada lagaata hai koi.. choti baat pe naaraazgi bhi choti hi hoti hai ... baaki maiN apna 100% effort karta huN .. bbacha hua saamne waale ki marzi ..
doosra sawaal zara atpata hai .. maiN kaise jaan sakta huN kisko kya bura lag jayega .. jispe koi bura nahi maanta pata nahi lagta uspe koun bura maan jaaye .. mujhme badlaaw ki zaroorat mujhe is liye nahi lagti kyuNki maiN kisi se aisa ban ke milt hi nahi ki log mujhse khul kar na mil paayeN .. yaqiin jaaniye to logoN ko kayi baar bura ye lag jata hai ki ye khul kar kyuN mil raha hai .. aur kabhi kabhi ye bhi bura lagta hai .. ki hum khul kar kyuN mil liye ....
jawaab ungliyoN ke zariye dil se diye gaye hai .. haha ab phir se aapka intizaar hoga ..
aap khushi se jyada khush raheN
Kunaal
|
chaliye der se sahi ...aap aaye to sahi....
aur bade itminaan se jawaab diye hain....khushi huyi...
zara fursat me baat karte hain....in par..kuch naye sawaal aa gaye hain zehan me jawaab padhkar....
to unke sath jald aati hoon....
duaon ka shukriya sahab...
aap bhi khush rahiye hamesha.
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
15th October 2015, 10:39 PM
Namaskaar kunaal ji..
Mujhe nahi lagta in do baatoN main koi match hai .. shayri ek kalaa hai .. isme dil ke sath dimag bhi istemal hota hai .. jiski justification hoti hai .. bacche paida karna koi kalaa nahi hai .. ye ek neimat hai .. aur iska koi justification ho sakta hai .. mere khyaal se kabhi nahi ...
Shayri ki gahrai ko aap bakhoobi samajhte hain kunaal sahab par maaf kijiyega mere sawaal ko shayad aap samajh nahi paye ya shayad mera poochna hee bemani tha....
Main to yahi manti hoon ki agar dil me khayaal aayenge hee nahi to kitna bhi dimaag laga lijiye aap kuch bhi kahne layak nahi likh sakte..aur haan...mera sawaal ye bilkul bhi nahi tha ki bachche paida karna aur shayri karna in dono me kya fark hai.....ye main aapse behtar janti hoon...
Khair...yahaan baat aapke nazariye ki hai kyun ki guftaguu aapse ho rahi hai aur sawaal mere hain to na chahte huye bhi main apni baat kah deti hoon...
Par is baat ki daad doongi ki aap vahi kahte hain jo aap sochte hain...
..
ek baat ye kisne keh diya ki hum jo sukooN deta hai logoN ke saamne rakh dete hai.. mera to manna hai jo humeN sukooN deta hai use logoN se bacha ke rakha jaata hai .. jaisa ki aaj kal main kar raha huN .. asli maal to chupa rakha hai ..
To kya samjhu ki sdc par sirf vo shayri post hoti hai...jo kuch khaas nahi hoti....
mujhe shaa'iiri maiN ek mukaam banaana hai kisi aur ke liye nahi apne liye ..
Meri dua hai...aap us mukaam par zaroor pahunchey.
..
maze ki hi baat hai .. ki wo 'kisi' har koi nahi ho paata ..
Bilkul sahi kaha ye sabke sath hota hai....har koi kisi ke liye 'kisi' nahi ho pata..aur haan ye baat bhi bahut achchi hai ki aap jhooth nhi bolte.....
maiN samajh jaata huN kisko kaha bura laga ..
doosra sawaal zara atpata hai .. maiN kaise jaan sakta huN kisko kya bura lag jayega .
ek hee jawaab mein do alag alag batein.....??
jawaab ungliyoN ke zariye dil se diye gaye hai .. haha ab phir se aapka intizaar hoga ..
Jee bahut shukriya... jawaab dene ke liye bhi aur intzaar karne ke liye bhi....
Aapko bhi zamane ki sari khushiyaan naseeb hon...
Jald vapas aati hoon..
Madhu...
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
16th October 2015, 06:32 PM
namaskaar kunaal ji...
jaisa aapne kaha aap ek naye rishte me bandhne ja rahe hain to zaroor taiyaar honge nayi zimmedariyon ko nibhane ke liye...mere sawaal bhi usi vishay me hain...
-kya aapki hone wali jeevan sangini ko shayri ka shauk hai?...agar hai to please unka likha kuch hamse bhi baantiye..
-apne partner se kya expect karte hain aap...aur married life me hamesha balance banaye rakhne ke liye kya batein zaroori lagti hain aapko..
filhaal itna hee..
ijazat chahoongi...
jawaab ke intzaar me
madhu.

Thread Tools |
|
Display Modes |
Rate This Thread |
Linear Mode
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is On
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
|