Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
ek ghazal meray naam
Old
  (#1)
romance
Registered User
romance will become famous soon enoughromance will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 305
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 24
ek ghazal meray naam - 6th April 2003, 02:47 AM

koi to ho jo ek ghazal meray naam likhay
dil ko jo chu jaye aisa kalaam likhay

likhay kuch aisa keh mu'atar ho her lafz
na bhool paon jisay parh ker woh paighaam likhay
[mu'atar = scented]

likhay keh meray bina us ka jeena hay mushkil
apna sub kuch day diya mujhay inaam, likhay

meray baray main sochna aur meri yadoN main khona
kerti rehti hay her pal woh yehi kaam, likhay

ker day bayaaN dil ki batain sari woh mujh say
aur akhir main woh piyar bhara salaam likhay
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 24
6th April 2003, 02:56 AM

waah!
kya khoob ghazal pesh karii hai aapne!
sach meiN yaar, paD kar tabiiyat khush ho gayi. is meiN dilkashii ke saath saath khoobiyat bhi bahot hai!


"meray baray main sochna aur meri yadoN main khona
kerti rehti hay her pal woh yehi kaam, likhay
"
«-- waah! har koii yehi chahta hai waise

mubaaraq-baad qabuul ki jiye

taareef ke saath,
aman



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
Old
  (#3)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 25
6th April 2003, 04:08 PM

Romance ji,

Sach keh raha huun,aapki yeh Ghazal jis had tak pasand aayi hai woh main bayaan nahin kar paa raha huun..

Har sheyr laajawab hai,har sheyr mein chupa ik haseen khwab hai
Yakeen keejiye romance ji,aapki shayri par hamein Naaz hai

Ab bahut jyaada tareef kar ke aapko sharminda nahin karna chahta,to aapki in sheyron ko dohraata hua chalta huun--

likhay keh meray bina us ka jeena hay mushkil
apna sub kuch day diya mujhay inaam, likhay

meray baray main sochna aur meri yadoN main khona
kerti rehti hay her pal woh yehi kaam, likhay

ker day bayaaN dil ki batain sari woh mujh say
aur akhir main woh piyar bhara salaam likhay


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
romance
Registered User
romance will become famous soon enoughromance will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 305
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 24
8th April 2003, 05:35 AM

aman sahab,

tareef ka shukria... aapas ki baat hay... yeh ghazal likh ker main nay aik experiment kiya hay... aur yeh jaan ker khushi howi ki aap ko yeh pasand aayi.

ghayalparwana ji,

aap nay to itni tareef ker di keh waqai mujhay ajeeb sa mehsoos ho raha hay. Yeh mera style to nahin, bus aik idea aaya aur yeh ghazal likhi. Mujhay umeed nahin thi keh yeh itni pasand ki jaye gi.
Waisay mujhay is forum ki ladies kay comments ka bhi intezaar tha laikin shayad un main say kisi ko yeh pasand nahin aayi
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
bedilMusafir
Registered User
bedilMusafir will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 405
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 22
8th April 2003, 11:11 PM

Aadab arz hai Romance sahab,

waise to aapne poori ghazal hi bohat achchi likhi hai per mujhe iska pehla sher sabse jyada achcha laga...

"koi to ho jo ek ghazal meray naam likhay
dil ko jo chu jaye aisa kalaam likhay"

ab iske baad wo jo kuch bhi likhengi aapko pasand jaroor aayega.... sahi kaha na

khair bahut achcha likha hai....
aise hi likhte rahiye aur muskurate rahiye


mai 'bedil'
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
romance
Registered User
romance will become famous soon enoughromance will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 305
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 24
10th April 2003, 02:47 AM

bedilMusafir sahab,

tareef ka shukria. Aap nay sahi kaha, magar yehi to problem hay kay koi kuch likhta hi nahin intezaar rahay ga kisi kay likhnay ka.

Phir miltay hain.
   
Reply With Quote
nice
Old
  (#7)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 34
Thumbs up nice - 24th April 2003, 11:08 AM

bahut khoob!



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 43
3rd May 2005, 04:31 PM

koi to ho jo ek ghazal meray naam likhay
dil ko jo chu jaye aisa kalaam likhay

likhay kuch aisa keh mu'atar ho her lafz
na bhool paon jisay parh ker woh paighaam likhay
[mu'atar = scented]

likhay keh meray bina us ka jeena hay mushkil
apna sub kuch day diya mujhay inaam, likhay

meray baray main sochna aur meri yadoN main khona
kerti rehti hay her pal woh yehi kaam, likhay

ker day bayaaN dil ki batain sari woh mujh say
aur akhir main woh piyar bhara salaam likhay


Waaaahh!

Is khoobsurat ghazal se mujhe mere dost akshat ne milvaaya thha... Just loved this one so much that cud not prevent brninging it up...

Kahan hain Romance saahab.. Kucch Nazar hum chaahne waalon ki traf bhi kijiye... bahut samay hua aapko dekhe hue!!


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#9)
chandsi
Registered User
chandsi will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,192
Join Date: Sep 2004
Rep Power: 22
3rd May 2005, 05:33 PM

kaash ye sapna sabka pura ho jaaye
sabko chaahe jaannat mile, mujhe bas tera pyaar mill jaaye
kutch toh mujh main bhi aisa, ki tujhe bhi likhna aa jaaye
main aapki, aap ho mere ,main dill ,toh tum dhadkann
kutch aisa likho, ki mujhe bhi khudd pe guroor aa jaaye
par sach hai pehle aapko mujh se pyaar toh ho jaaye ..........hahahhah


pyaar ho jaata hai kiya nahi jaata ......pyaar main shayri aa hin jaati hai jabardasti kutch likha nahi jaata ...........




.
Bada hua to kya hua jaisay paid khajoor,
Panthi ko chhaya nahin, phal laagen ati door.

Nahaye dhoye kya bhala jo man ka mail na jaay
Meen sada jal mein rahe par tan ki baas na jaay

Akath Kahani Prem Ki, Kutch Kahi Na Jaye
Goonge Keri Sarkara, Baithe Muskae





.................................bye and tc ..................
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
meray dilvar meray humdum......... rajinderseep Ghazal Section 0 19th November 2009 10:43 AM
mazhab kae naam per honae walae fasaadaat kae naam aek ghazal yasmeenraaz Ghazal Section 7 13th November 2007 03:47 PM
Meray Khuwab Meray Sapnay Meray Tak Hain DreamHealer Shayri-e-Ishq 0 18th January 2007 09:10 PM
Ek Ghazal Aap Ke Naam surinder_rawat Shayri-e-Ishq 0 6th April 2006 11:00 AM
Aye piyar meray, aye yaar meray, bus piyar hum he say kerna tum Neha Haroon Shayri-e-Ishq 0 30th April 2003 12:34 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com