Quote:
Originally Posted by yasmeenraaz
ghazghazal
Masjid ko jalaaya kertae ho
Mandir ko giraaya kertae ho
Nafrat ko bitta ker her dil main
Chaahat ko bhagaaya kertae ho
Ghaeroan ko bhi apna kerna tha
Apnoan ko praaya kertae ho
Ae waqt ka ajger zaalim hai
Tum isko jagaaya kertae ho
(ajger,,,,anaconda)
Phooloan ki jaga,is gulshan main
Kaantoan ko ugaaya kertae ho
Achcha hai uttatae girtoan ko
Girtoan ko giraaya kertae ho
Naadaan ho,mohabbat ki duniya
Mitti main milaaya kertae ho
Tum apni wafaaoan kae khissae
Behroan ko sunaaya kertae ho
(behroan...deaf)
Wo jis ki saza hai tum ko mili
Ab wo hi dobaara kertae ho
Kiya phir sae bahaaraen aayaengi?
Kiyoon khawaab dikhaaya kertae ho
Zindoan ka tumhaen kuch hosh nahin
Khabroan ko sajaaya kertae ho
( insaan jab tak zinda rehta hai us kae liyae duniya ki cheezaen zaroori hain ,mernae kae baat usae na phooloan ki zaroorat hai na agarbattioan ki
magar aksar aesa hota hai khud apnae ghar main koi takleef main hai padoasi dukhi hai kisi ko koi faraq nahin pardta
magar uskae merjaanae kae baad us kae khabr per phooloan ki maalaayaen chardhaayee jaati hain jo kae mernae walae kae kisi kaam ka nahin )
Ab daekh kae apni ae haalat
kiyoon ashk bahaaya kertae ho
Zakhmi hai RAZ ka toota dil
Kiyoon teer chalaaya kertae ho
razia
|
ASSALAM WALEKUM ,
kaash main aapko kuch keh sakti,bas itna hi kahungi.ki aap ke khayalat aapka likha ek ek lafz ,MASHA ALLAH dil ko chhu jate hain.
bas aap likhte rahiye,aur hum aapko padhkar ,kuch sikhne ki koshish karenge.
apna khayal rakhiye
**************************
NAFRAT se MOHABBAT hai badi cheez..
is duniya main aaye ho ,to PYAR kharido.
**********(¨`·.·´¨) Always *************
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep
(¨`·.·´¨)¸.·´ Smiling!
`·.¸.·´