Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
aah kiije magar latiif-tariin...
Old
  (#1)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Arrow aah kiije magar latiif-tariin... - 10th July 2006, 01:44 PM

aah kiije magar latiif-tariin
lab tak aa kar dhuaa.N na ho jaaye
--Jigar Moradabaadi


Ik qatre ki suurat kaayenaat kar li
Ik lamhe mein humne basar hayaat kar li

Khush dekh kar tujhe pyaar aaya thaa bahut
Beikhtiyaari mein humne jashn-e-raat kar li

Aarzoo-e-jahaan bus mile tujhko
Raat ki raat mein Rab se bhi baat kar li

Hasraton se phir munh pher liya humne
Naam apne veeraani-e-khwaahishaat kar li

Safar mein dhuup na ho yeh soch
Shajar-e-saayadaar teri yaad saath kar li

Mujhe khaak karke hansta raha tuu
Dil khol ke humne bhi barsaat kar li

Sulgaakar mujhe sard aag se tuune
Ik ik zakhm se mere, mulakaat kar li

Luta kar tere pehloo mein sab apna
Tere teeron ki seene pe saugaat kar li

Lau hasraton ki bujh gayi jab ‘paras’
Jalaayaa dil apna, chaandni raat kar li


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Re: aah kiije magar latiif-tariin...
Old
  (#2)
Diggaj_Dave
EK CHAMAKTA HUA SITARA
Diggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to behold
 
Diggaj_Dave's Avatar
 
Offline
Posts: 1,884
Join Date: Jun 2005
Location: Rajasthan,India
Rep Power: 26
Re: aah kiije magar latiif-tariin... - 10th July 2006, 02:03 PM



Khush dekh kar tujhe pyaar aaya thaa bahut
Beikhtiyaari mein humne jashn-e-raat kar li

Aarzoo-e-jahaan bus mile tujhko
Raat ki raat mein Rab se bhi baat kar li


Wah............bohat khoob


Mujhe khaak karke hansta raha tuu
Dil khol ke humne bhi barsaat kar li

Luta kar tere pehloo mein sab apna
Tere teeron ki seene pe saugaat kar li


VEry very nice.........kuch jayada hi ache lage ye sher

Lau hasraton ki bujh gayi jab ‘paras’
Jalaayaa dil apna, chaandni raat kar li


maqtaa dumdaar ho to poori ghazal apne aap dumdaar ho hi jati haiN




Paras jee

ek behad khoobsurat ghazal aapne likhi haiN.Har sher dil ko chhu raha haiN..saath hi saath dard sr bhare ehsaas bhi bohat pyaare haiN...


shukriyah itna acha likhne k liye


Navard-e-ishq mein kya hua kya bataye hum
kabhi humne yu khud ko harata naa dekha


Kaise Samjhau Dil-e-hasarat-nasiib Ko Apne
K Sab Kuch Milta Nahi Chah Lene Se Ish Zamane Mein..... "Diggaj"
 Send a message via ICQ to Diggaj_Dave Send a message via Yahoo to Diggaj_Dave Send a message via AIM to Diggaj_Dave  
Reply With Quote
Re: aah kiije magar latiif-tariin...
Old
  (#3)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Re: aah kiije magar latiif-tariin... - 10th July 2006, 02:17 PM

Quote:
Originally posted by Parastaar
aah kiije magar latiif-tariin
lab tak aa kar dhuaa.N na ho jaaye
--Jigar Moradabaadi


Ik qatre ki suurat kaayenaat kar li
Ik lamhe mein humne basar hayaat kar li

Khush dekh kar tujhe pyaar aaya thaa bahut
Beikhtiyaari mein humne jashn-e-raat kar li

Aarzoo-e-jahaan bus mile tujhko
Raat ki raat mein Rab se bhi baat kar li

Hasraton se phir munh pher liya humne
Naam apne veeraani-e-khwaahishaat kar li

Safar mein dhuup na ho yeh soch
Shajar-e-saayadaar teri yaad saath kar li

Mujhe khaak karke hansta raha tuu
Dil khol ke humne bhi barsaat kar li

Sulgaakar mujhe sard aag se tuune
Ik ik zakhm se mere, mulakaat kar li

Luta kar tere pehloo mein sab apna
Tere teeron ki seene pe saugaat kar li

Lau hasraton ki bujh gayi jab ‘paras’
Jalaayaa dil apna, chaandni raat kar li
Paras ji
Namaskar ..!

bahut acchi gazal likhi hai appney.

Safar mein dhuup na ho yeh soch
Shajar-e-saayadaar teri yaad saath kar li

bahut khoob!

Lau hasraton ki bujh gayi jab ‘paras’
Jalaayaa dil apna, chaandni raat kar li

u r great..........! etne badiya shayri ke liye meri aur se mubarakbaad kbool kijiye.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#4)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
10th July 2006, 02:38 PM

Mujhe khaak karke hansta raha tuu
Dil khol ke humne bhi barsaat kar li

Bohot acche.... kya baat hai madame.. yeh sher accha lagaa... yunn lagaa jaise ek premikaa apne sang-dil sanam se keh rahi hai.. ho sakta hai peRh ke niche..ya deewaar se tekaa liye hue dono baiThe ho.. ya rote rote khat likhte hue....lekin aakhein DubDubaayee huee...

Likhte rahiye...


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#5)
gam-e-lashkar
Registered User
gam-e-lashkar will become famous soon enoughgam-e-lashkar will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 221
Join Date: Nov 2005
Rep Power: 20
10th July 2006, 03:04 PM

Hai paras ji....lot of love - hope u will fine.

paras ji aapke kalaam to bas kya kahe dil cheer kar rakh dete hai...itni tez dhaar hai aapke aashaaro me ki dil ka dard mano saamne aaker bichh jata hai aur ankho ko nam kar deta hai...aapke kalaam to hame bhi kuchh likhne ko mazboor kar dete hai...aur ham b sochte hai ki ham b kya apne gam ko is tareh se shabdo me dhaal kar khud ko sakoon nahi pahucha sakte...fir koshish kiye bina hi ham aapke kalaam ko padh kar apne man ko samjhate hai ki yahi to hm b kehna chahte hai...so lol mano ham keh rahe hai..aur yahi keh kar hi sakoon pane ki koshish karte rehte hai...such me aapke shabdo ki talwaar hamare gamo ko chhed jati hai....

Lol paras ji aapka kalaam padh kar aapki lines per milti julti guftgu hamne b kar di hai....hope u wil like it...aur bura lage to pls. maaf karna...

Hasraton se phir munh pher liya humne
Naam apne veeraani-e-khwaahishaat kar li

- ARMAAN MILA DIYE KHUD K HI KADMO TALE..
AB TO JAANE-JANA HAM SE BAAT KAR LO..

Safar mein dhuup na ho yeh soch
Shajar-e-saayadaar teri yaad saath kar li

- HAM MAR NA JAAYE TADAF TADAF KAR U HI..
AB TO APNI JUBA SE BAS EK BAAR IKRAR KAR LO...

Mujhe khaak karke hansta raha tuu
Dil khol ke humne bhi barsaat kar li

- MUJHE KHAAK ME MILA KAR KYA MILEGA TUMHE..
APNE AGOSH ME CHHUPAR BS EK BAR HAME PYAR KAR LO

Sulgaakar mujhe sard aag se tuune
Ik ik zakhm se mere, mulakaat kar li

- SULGAO NA...AAZMAAO NA MUJE IS KADER APNE PYAR ME..
ZAKHM ROTE HAI...KABR ME JANE SE PEHLE MULAKAT KAR LO..

Luta kar tere pehloo mein sab apna
Tere teeron ki seene pe saugaat kar li

- LUTA CHUKE HAI TERE PEHLOO ME TAMAAM KAAYNAAT..
HAME EK BAAR MAAF KAR DO...YA IS ZINDGI SE RAVAANA KAR DO...

Lau hasraton ki bujh gayi jab ‘paras’
Jalaayaa dil apna, chaandni raat kar li

- LO TAMANNAO KI LAASH LIYE CHAL DI HAI ZINDGI...
BHASM KAR LIYA KHUD KO..AB TO MUJ SUHAGAN KA SHRINGAR KAR DO...

always urs...
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
10th July 2006, 04:09 PM

Namaskaar Paras Ji
Aapki is khubsoorat peshkash ko fir se parhkar bahaut accha laga. Ab isse aapne likha hai tow laazmi hai asardaar hogi.

Isi tarah likhtey rahiyega.


विपिन


   
Reply With Quote
Old
  (#7)
sukanya
Registered User
sukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the rough
 
sukanya's Avatar
 
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
10th July 2006, 07:48 PM

Safar mein dhuup na ho yeh soch
Shajar-e-saayadaar teri yaad saath kar li


Namaskar Paras Ji

Aapki har post par aa kar ek bahut khoobsurat rachna dekhney ko milti hay....It brings a smile ....This one too is beautiful.......Beautiful words Safer mein dhuup to hogi....isliye tere yaad sath kar li.....really touching words...hamare daad kabul kijeyega..

Keep writing
take care
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
11th July 2006, 08:18 PM

Quote:
Sulgaakar mujhe sard aag se tuune
Ik ik zakhm se mere, mulakaat kar li

Lau hasraton ki bujh gayi jab ?paras?
Jalaayaa dil apna, chaandni raat kar li
Bohat khoob! Paras jee.. yeh 2 sher bohat achchhe lage.. Daad haazir hai..

ek sher mere taraf se bhee ummeed hai aap ko pasand aayeGa..


Adam-e-maujuudgi-e-ekhlaas-e-parastaar meiN,
ziinat-e-charkh-e-Hayaat,aalam-e-aaKhirat kar li..

Adam-e-maujuudgi: Gair haazirii
Ekhlaas: Muhabbat
Parastaar: Lover
Ziinat: khoobsuurati
Charkh e hayaat: Jeevan Chakr
Aalaam e aakhirat: zahannum saa


-Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Re: aah kiije magar latiif-tariin...
Old
  (#9)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
Re: aah kiije magar latiif-tariin... - 12th July 2006, 01:56 AM

Hasraton se phir munh pher liya humne
Naam apne veeraani-e-khwaahishaat kar li

Mujhe khaak karke hansta raha tuu
Dil khol ke humne bhi barsaat kar li

Lau hasraton ki bujh gayi jab ‘paras’
Jalaayaa dil apna, chaandni raat kar li


paras dd.

Bahut achha likha hain, daad kubul karna. keep writting. take care!
   
Reply With Quote
Re: aah kiije magar latiif-tariin...
Old
  (#10)
shrdh
Registered User
shrdh will become famous soon enoughshrdh will become famous soon enough
 
shrdh's Avatar
 
Offline
Posts: 1,474
Join Date: Dec 2005
Location: singapore
Rep Power: 21
Re: aah kiije magar latiif-tariin... - 12th July 2006, 06:31 AM

Quote:
Originally posted by Parastaar
aah kiije magar latiif-tariin
lab tak aa kar dhuaa.N na ho jaaye
--Jigar Moradabaadi


Ik qatre ki suurat kaayenaat kar li
Ik lamhe mein humne basar hayaat kar li


wow paras ji apaki ye shuruwas ka sher bhaut khoob raha


Khush dekh kar tujhe pyaar aaya thaa bahut
Beikhtiyaari mein humne jashn-e-raat kar li

Aarzoo-e-jahaan bus mile tujhko
Raat ki raat mein Rab se bhi baat kar li

Hasraton se phir munh pher liya humne
Naam apne veeraani-e-khwaahishaat kar li

Safar mein dhuup na ho yeh soch
Shajar-e-saayadaar teri yaad saath kar li

Mujhe khaak karke hansta raha tuu
Dil khol ke humne bhi barsaat kar li

Sulgaakar mujhe sard aag se tuune
Ik ik zakhm se mere, mulakaat kar li
bhaut khoob


Luta kar tere pehloo mein sab apna
Tere teeron ki seene pe saugaat kar li

Lau hasraton ki bujh gayi jab ‘paras’
Jalaayaa dil apna, chaandni raat kar li

sabhi sher bhaut khoob the ye do apni hi baat kahte lage aapko padhna bhauta achha lagata raha hai aaj bhi wahi hai

aapki
shrdh


  Send a message via Yahoo to shrdh  
Reply With Quote
Old
  (#11)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
12th July 2006, 10:54 AM

meri behna

Sulgaakar mujhe sard aag se tuune
Ik ik zakhm se mere, mulakaat kar li

Luta kar tere pehloo mein sab apna
Tere teeron ki seene pe saugaat kar li

Lau hasraton ki bujh gayi jab ‘paras’
Jalaayaa dil apna, chaandni raat kar li

is tarah ke ashaar jab koee kehne lage to

"koee batlaayo ke hem batlaayein kyaa"

behad khoobsurat andaaz mein nihaayet takleef de kaifiyet ko bayaan kerna ek kohna mashq shayer isi tarah kerta hai.

meri bharpoor daad qubool karo.

bas na jaane bhai hone ke naate dil pareshaan ho jaataa hai jab behan is tarah ke ashaar kehti hai.

meri dua hai ke tum hamesha khush raho, aabaad raho aur her fikr aur pareshaani se duur raho.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#12)
acharya_mj
Zakhm-e-Rooh
acharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud of
 
acharya_mj's Avatar
 
Offline
Posts: 2,220
Join Date: Nov 2004
Location: ahmedabad
Rep Power: 33
hi - 12th July 2006, 04:40 PM

bahut achhe paras di aise hi likhte rahiye
bahut saari daaaaaaaaaaaaad haazir hai aap ke is khubsurat kalaam par

regards
manu
  Send a message via Yahoo to acharya_mj  
Reply With Quote
Old
  (#13)
candyboy
Registered User
candyboy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 21
13th July 2006, 11:56 AM

Pae Lagu my Everluvly Guru Ji,

U r n will always b the ultimate. I've read so many of u're works n am always left in utter amazement at the beauty n depth with which u write this one being no exception. Do keep blessing us with more so.


Luvs,

Salim

If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul

Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.

We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
  Send a message via Yahoo to candyboy  
Reply With Quote
Re: aah kiije magar latiif-tariin...
Old
  (#14)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: aah kiije magar latiif-tariin... - 13th July 2006, 04:05 PM

Ik qatre ki suurat kaayenaat kar li
Ik lamhe mein humne basar hayaat kar li

KYA BAAT HAI SAHIBA...!!! WAH...!!!

Khush dekh kar tujhe pyaar aaya thaa bahut
Beikhtiyaari mein humne jashn-e-raat kar li

AAAHEEYEEEE...KAMAAL HAI..!!!

Hasraton se phir munh pher liya humne
Naam apne veeraani-e-khwaahishaat kar li

WAH...>!!!

Safar mein dhuup na ho yeh soch
Shajar-e-saayadaar teri yaad saath kar li

KIS KIS SHER KI TAAREEF KARUN??????

Mujhe khaak karke hansta raha tuu
Dil khol ke humne bhi barsaat kar li

Sulgaakar mujhe sard aag se tuune
Ik ik zakhm se mere, mulakaat kar li

OHHHHH NO !!!

Luta kar tere pehloo mein sab apna
Tere teeron ki seene pe saugaat kar li

Lau hasraton ki bujh gayi jab ‘paras’
Jalaayaa dil apna, chaandni raat kar li

UFFF...YEH DIL HAI KI DIYASILAI ???

SORRRY SIS
Darsal tum itna gamgeen likhi ho ki mujhe tumhare gam ke dariya ko paar karne ke liye majaak ki kishti par majbooran sawaar hona pada...khair....magar ek baat kahunga...aaj beshaq aap Jigar saheb ki jamin par apni gazal ki imaarat taamir karti hai,,,kal dekhiyega kitne log aapke sheron ki jamin par apne gharondein banane ki hasrat mein koshishein karte milenge....
meri daad kubool kariye....khush rhaiye...waise aap ka andaaj e bayaan kaafi kuch gam-e-lashkar saahiba jaisa hone laga hai...kahin in dono lashkaron ki jung ka maidaan yeh shayri site na ban jaye.......nahin to bahoot khoon-kharaba hoga...itna gam kaise sambhalegi yeh site???
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#15)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
14th July 2006, 07:09 AM

Dosto...

mujhe lagta hai main apne ghamgeen sheron se aap logon ka dil hee dukhaati hoon...gar zindagi ko chupke se bahaar chuu jaaye...tau meri bhi kalam dagmaga kar, kuchh khushi mein, kuchh be-sudh ho kar...apne aap likhne lagegi...lekin wo samaa kab aayega...uska intezzaar karoongi...tabhi kalam uthaaongi...aur aapse milne aa jaaongi...aap sab yoonhi iss shayri com ki raunak banaaye rakhiye...haan aapke kalaam padhoongi zaroor...

mujhe behad pyaar aur izzat mili hai yahan...bhooloongi nahin...luv you all...cheers!


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
28th July 2006, 03:24 PM

Ik qatre ki suurat kaayenaat kar li
Ik lamhe mein humne basar hayaat kar li

Khush dekh kar tujhe pyaar aaya thaa bahut
Beikhtiyaari mein humne jashn-e-raat kar li

Kyaa baat hai....


Aarzoo-e-jahaan bus mile tujhko
Raat ki raat mein Rab se bhi baat kar li

Hasraton se phir munh pher liya humne
Naam apne veeraani-e-khwaahishaat kar li

wellll said...


Safar mein dhuup na ho yeh soch
Shajar-e-saayadaar teri yaad saath kar li

Mujhe khaak karke hansta raha tuu
Dil khol ke humne bhi barsaat kar li

Waaaaaaaah... this one is tooo good...


Sulgaakar mujhe sard aag se tuune
Ik ik zakhm se mere, mulakaat kar li

Luta kar tere pehloo mein sab apna
Tere teeron ki seene pe saugaat kar li

ufff...kya baat kahi hai...


Lau hasraton ki bujh gayi jab ‘paras’
Jalaayaa dil apna, chaandni raat kar li

waaahhh...

Dearest Guruji,

Der se aaya is ghazal par tumhari ghazal mere aaye bin kahan poori hoti... Bahut hi khoobsurat ghazal hai yeh.... really beautiful expression.... Dard pe thhi but i really liked it...

Meri daad kubool karna... ab jaldi se nayi ghazal likho koi... bahut din ho gaye... Do take care of urself too...


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#17)
akelijaan
Mai shayar to nahi
akelijaan is a jewel in the roughakelijaan is a jewel in the roughakelijaan is a jewel in the rough
 
akelijaan's Avatar
 
Offline
Posts: 739
Join Date: Feb 2006
Location: mumbai,india
Rep Power: 21
28th July 2006, 07:22 PM

paras ji,

kya kehne aapke.bahut acha lagta hai aapka likha padhne ko.badi der se nazar padi aapki gazal par.jazbaaton ko alfaaz dena koi aap se seekhe.

yeh sher bahut ache lage mujhe,choo gaye dil ko.

Aarzoo-e-jahaan bus mile tujhko
Raat ki raat mein Rab se bhi baat kar li

Hasraton se phir munh pher liya humne
Naam apne veeraani-e-khwaahishaat kar li

Mujhe khaak karke hansta raha tuu
Dil khol ke humne bhi barsaat kar li

is mehfil mai sada yunhin jagmagaate rahiye.


yun bin bulaaye milne chala aata hai,
gham ko mujh se yeh unsiyat kaisi??

--akelijaan--
  Send a message via Yahoo to akelijaan  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Ye dil udaas to magar aaj bhi hai..... Tanha_Dil Shayri-e-Dard 9 27th June 2009 12:56 PM
Tum naa thi magar Diggaj_Dave Shayri-e-Ishq 0 20th June 2005 12:04 PM
has na magar pyar se. nazu43 Humourous Shayri 0 22nd October 2004 12:36 PM
aye dil magar.... shanjang Anjuman-e-Shayri 0 13th August 2003 02:05 AM
Magar jab bhi koi sadma Nida Siidiqui Shayri-e-Ishq 1 20th May 2003 04:44 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com