Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
‘Qayamat se pehle qayamat na hoti’ (paras)
Old
  (#1)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Arrow ‘Qayamat se pehle qayamat na hoti’ (paras) - 24th June 2006, 12:05 PM

Dosto...

Mayank aur Talib ji ki khuubsurat ghazalein padhkar...ek jurrat ki hai maine bhi ki iss tarahi misre pe main bhi kuchh kahoon...Talib Sir ne dare kiya and I took up the dare...lol...wo mere Ustaad hain aur main unko let down nahin kar sakti...Mushi Bhayyia aapki nazar-e-inaayat ke liye bhi ehsaan-mand hoon aapki...maine yeh kalaam likha hai tau sirf apne shayri.com ke doston ke liye...lijiey arz kiya hai...

‘Qayamat se pehle qayamat na hoti’
Jo dil ki khalish mein ye lazzat na hoti

Na inqaar mein tere iqraar hota
aur hem ko bhi teri zaroorat na hoti

Na sharmaate surkhi-e-ruskhsaar pe ham
Jo chaahat mein teri vahadat na hoti

Bana lete hum kisi ko bhi apna
Teri guftagu ki jo aadat na hoti

Na karte tassavvur daar-o-rasan ka
Jo Maut tujhse milne ki hasrat na hoti

Yahan ger gale se lagaa lete ahbaab
Vatan humko tujhse yuun nisbat na hoti

[color=dark brown]Lazzat = enjoyment
vahadat = uniqueness
guftaar = conversation
daar-o-rasan = scaffolding and a hangman's noose
ahbaab = friends[/color]

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan

Last edited by Parastaar; 24th June 2006 at 12:26 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Thumbs up 24th June 2006, 12:53 PM

Parse Ji

maine mayank ji, talib ji aur appki, sab ki esi topic par likhi hue nazam padi hai, app sab to ek se bad kar ek ho. kitna badiya likhtey ho.
samaj hi nahi aata ki appki rachna ki tareef kin sabdo mai karu:
sach mai kamaal ki shayri kartey hai app. aur shayri bhi aise shabdo mai ki dil mai uttar jaye:

mubarakbaad kabool kijiye.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#3)
akelijaan
Mai shayar to nahi
akelijaan is a jewel in the roughakelijaan is a jewel in the roughakelijaan is a jewel in the rough
 
akelijaan's Avatar
 
Offline
Posts: 739
Join Date: Feb 2006
Location: mumbai,india
Rep Power: 21
24th June 2006, 04:24 PM

parasji,
kya kahun alfaaz nahi milrahe,sach kahun to god i really feel jealous at times ,wish i cud also be like u.har sher behad khoobsurat hai.yeh do sher to dil ko choo gaye.dil se daad kabool kijiye.

Bana lete hum kisi ko bhi apna
Teri guftagu ki jo aadat na hoti

Na karte tassavvur daar-o-rasan ka
Jo Maut tujhse milne ki hasrat na hoti
  Send a message via Yahoo to akelijaan  
Reply With Quote
Old
  (#4)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
25th June 2006, 09:38 AM

Meri behan

is khoobsurat matle ko aap sab doston ne ek khooburat guldasta sa bana diyaa hai apni ghazloan se.
aur behna tumhari ghazel ki to kyaa baat hai.
choti behar mein kehna aur saadgi aur pur-kaari ke saath khoobsurat tashbihaat like "daar-o-rasan" ka istemaal kerna , yeh tum hi ker sakti ho is qader khoobsurti ke saath.
yeh ghazel ek aur khoobsurat ezaafa hai tumhari takhliqaat mein.
bhai bohat fakhr mehsoos kerta hai jab jab tum ko parhta hai aur aisi zabardast ghazloan se jure tumhare naam ko dekhta hai.
dua hai hamesha khush raho aabaad raho aur zindagi ko isi tarah gul-o-gulzaar banati raho.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
sukanya
Registered User
sukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the rough
 
sukanya's Avatar
 
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
25th June 2006, 12:59 PM

‘Qayamat se pehle qayamat na hoti’
Jo dil ki khalish mein ye lazzat na hoti

Na inqaar mein tere iqraar hota
aur hem ko bhi teri zaroorat na hoti

Namaskar Paras Ji

Pehle bhi issey title ki khoobsurat Ghazal dekhein aur abb aapki khoobsurat Ghazal dekhi......same words says so many different things.........it's really beautiful to see everyone's beautiful poetry...hamare daad kabul kijeyega......

Take care
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
candyboy
Registered User
candyboy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 21
25th June 2006, 08:54 PM

My Everluvly Guru Ji,

Frankly, i am just amazed at how u all took a simple line and just churned out such wonderful masterpieces. Each one amazing in their own rights and all so different in the underlying meaning. Absoposilutively brilliant My heartfelt salutations 2 u all 4 givin us such luvly gems.

Luvs,

Salim

If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul

Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.

We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
  Send a message via Yahoo to candyboy  
Reply With Quote
Old
  (#7)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
26th June 2006, 09:47 AM

Paras Ji
Aapko Namaskaar

Bahaut accha raha aapko parhna.

विपिन

Reply With Quote
Old
  (#8)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
27th June 2006, 11:18 AM

Paras jee,

Namste:

Sab se pahle ek achchhi koshish ke liye daad qubool keejiyegaa.. kuchh arz karna chaahta huuN par aap jaisii shaayra ke saamne kuchh kehnaa himaakat hi kahaa jaayega. Aap isko tanqeed to bilkul na leN, Matla puuri tarah wazn meN hai.. (Maaf keejiyega iss ke alaava sabhee sher beh'r se khaariz haiN, ho sakta hai meN galat bhee huuN ,) Maine matle ke dono misroN ko palat kar paRha tau mujhe zeyaadah achchha laga..

'Jo dil kee khalish meN ye lazzat na hotee
Qayamat se pehle qayamat na hotee’

Iss ke alaava yeh sher bhee khoob farmaaYa hai aap ne...

Na sharmaate surkhi-e-rukhsaar pe ham
Jo chaahat mein teri vahadat na hoti

waah! bohat khoob,

Kuchh jagah typo error hai..

Hoti: hotee
Surkhi-e-ruskhsaar: surkhi-e-rukhsaar
Tassavvur: Tasavvur
Guftagu: guftugu
Daar o rasan: scaffolding and a hangman's noose>> symbol of death and punishment

-Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#9)
Aman_rahi
Paigaam-e-Aman
Aman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really nice
 
Aman_rahi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 26
27th June 2006, 01:20 PM

Meri HB GB Behna..................

matle se maqte tak ...........har misra khoobsurat............ek gehraai............ek pukhtagi...............

aaj ashaar nahi hain ki tumhari taaref mein kutch bayan kar sakooon.................

zehan mein aaj kai roz baad kutch aaya tumhe padte hue.....to likhta chaloon...............

'Qayamat se pehle qayamat na hoti’
tu jo us roz yun be-gairat na hoti...........

zindagi, zindagi ki tarah chand roz jee lete.......
tere ashaaron mein jo karwaahat na hoti.......

mayane raqabat-e-raqeeb ke bhi samajhte.........
tujhse gar is kadar mohabaat na hoti.............

shayad ye sehar aakhiri muqaam hai ^AMAN^....
warna 'Qayamat se pehle qayamat na hoti’.....

khush raho..........meri behna..........

tumhara apna....................

**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......

AMAN RAHI
  Send a message via Yahoo to Aman_rahi  
Reply With Quote
Old
  (#10)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
28th June 2006, 04:44 AM

Dear Sunita jee...

pehli baar shayad aap meri kisi post pe aayi hain...aur daad bhi kitne khuubsurat tareeke se dee hai...umda sukhanwaaron ke beech is nacheez shayra ka naam lekar...tahe dil se shukriya apka...khayaal rakhein apnaa

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
28th June 2006, 04:46 AM

Sweet Akelijaan...

aap jab bhi aatin hain pyaare se jawaab se man moh leti hain...yoonhi saath deti rahieygaa...ok

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
28th June 2006, 04:54 AM

Quote:
Originally posted by musharrafhusain
Meri behan

is khoobsurat matle ko aap sab doston ne ek khooburat guldasta sa bana diyaa hai apni ghazloan se.
aur behna tumhari ghazel ki to kyaa baat hai.
choti behar mein kehna aur saadgi aur pur-kaari ke saath khoobsurat tashbihaat like "daar-o-rasan" ka istemaal kerna , yeh tum hi ker sakti ho is qader khoobsurti ke saath.
yeh ghazel ek aur khoobsurat ezaafa hai tumhari takhliqaat mein.
bhai bohat fakhr mehsoos kerta hai jab jab tum ko parhta hai aur aisi zabardast ghazloan se jure tumhare naam ko dekhta hai.
dua hai hamesha khush raho aabaad raho aur zindagi ko isi tarah gul-o-gulzaar banati raho.

musharrafhusain
Mere Bhayyia...ko gar kalaam pasand aa jaaye tau iss se badhkar shabaashi kya hogi mere liye...aapki tanz o tanqeed ke gauhar jab saath hon mere...tau shayri bhi khud b khud behtar ho jaati hai...ummiid hai ki aage bhi issi tarah saath dete raheinge aap...duaaon ke liye dher saara pyaar mere bhayyia ke liye

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
29th June 2006, 06:00 PM

Namaskaar Sukanya ji...

Mujhe laga yeh misra hi qayamat dhaa raha hai...ispe likhna bahut achha laga...shukriya daad ke liye

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
29th June 2006, 06:04 PM

My EverSugary Shishye...

kya baat hai...naukri aur chhokriyon se chutti nahin milti ki tum shakl bhi nahin dikhaa sakte yahan...you should come and visit your old friends at the bazm...thanks for the wonderlicious reply...

take care

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
1st July 2006, 12:33 PM

Wah Wah Wah Wah ki dil ki gehraayiyon se awaaaz kuch aisi aa rahi hai ki

Teri aarzoo par yun hairat na hoti
jo sanam humko tumse mohabbat na hoti

Sakhi tumhari har ghazal dil par woh zakhm kar jaati hai ki bas kya kahen...

Khud hi gungunaate hai
aur khud hi muskuraate hai

iski bhi ek dhun si ban gayi hai..as usual yuh to puri nazm mashaallah thi par ek sher tha ki dil ko aab tak cheer raha hai maano

Quote:

Bana lete hum kisi ko bhi apna
Teri guftagu ki jo aadat na hoti

Yunhi mehfil par chaye rahiYeGaa

-aapka apnaa

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#16)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
1st July 2006, 12:36 PM

meri Paras,

Meena
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
1st July 2006, 02:47 PM

Qayamat se pehle qayamat na hoti’
Jo dil ki khalish mein ye lazzat na hoti

Na inqaar mein tere iqraar hota
aur hem ko bhi teri zaroorat na hoti

waaaaaah.... its so true paras... well written...

Na sharmaate surkhi-e-ruskhsaar pe ham
Jo chaahat mein teri vahadat na hoti

Bana lete hum kisi ko bhi apna
Teri guftagu ki jo aadat na hoti

beautifullll.....

Na karte tassavvur daar-o-rasan ka
Jo Maut tujhse milne ki hasrat na hoti

Yahan ger gale se lagaa lete ahbaab
Vatan humko tujhse yuun nisbat na hoti

well said....

Dear Paras,

Read all three of this qayamat series... sabhi bahut acche thhe and this one is veyr well expressed too... Pehle do sher mujhe bhut acche lage.... Likhti raho bass aise hi... TC

Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#18)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
3rd July 2006, 11:35 AM

Vipin jee…

Nawazish aapki…aapne waqt nikala aur mujhe padhaa…

--------

Mayank Sahab…

Bahut meherbaani, ki aapne meri galatiyon ki or dhyaan diya aur mujhe saraha bhi…aage se gaur karoongi…lekin beher ki na tau samajh hai…na main promise hee kar sakti hoon ki aage beher mein hee hogi meri shayri…lekin aap zaroor tanz o tanqeed se nawaazte rahiegaa…apna khayaal rakhieyga…

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
3rd July 2006, 11:38 AM

'Qayamat se pehle qayamat na hoti’
tu jo us roz yun be-gairat na hoti...........

zindagi, zindagi ki tarah chand roz jee lete.......
tere ashaaron mein jo karwaahat na hoti.......

mayane raqabat-e-raqeeb ke bhi samajhte.........
tujhse gar is kadar mohabaat na hoti.............

shayad ye sehar aakhiri muqaam hai ^AMAN^....
warna 'Qayamat se pehle qayamat na hoti’.....

Bahut khuub Aman Veere...

yeh jawaabi shayri bhi mashallaah kahi aapne...

sabse achha yeh sher laga mujhe...

zindagi, zindagi ki tarah chand roz jee lete.......
tere ashaaron mein jo karwaahat na hoti.......

shukriya...mera saath dene ke liye hamesha ki tarah...duaaon ke saath

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#20)

3rd July 2006, 11:40 AM

Shukriya Anu...

Khud hi gungunaate hai
aur khud hi muskuraate hai

tumne tau gaate gaate yeh lines kahi hongi...i can imagine it...lol...aur kaise hai sab...khuub garmi hai na mumbai mein...how are you keeping...take very good care of yourself...ok

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
3rd July 2006, 11:42 AM

Arre meri Meena jee...

khamoshiyon ki shehzaadi...jee

apna khayaal rakhiegaa

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
3rd July 2006, 11:44 AM

Pulkit...

Der aaye durust aaye...lekin koyi baat nahin...bade aadmi ho gaye ho na... BIG SHOT...can't expect ki hum adna shayaron ko padhne ka time bhi milta hogaa...Phir bhi tum aaye...take care...

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
3rd July 2006, 03:03 PM

aap Parastaar Devi hain to aapke shihshya bhi to Big Shot hone chaahiye naa lol.... ek line yaad aa gayi....

humaar kavita ka jaaga naseeba
ke gaavat hai dekho parastaar devi

hehehehehe.....

Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#24)
Aman_rahi
Paigaam-e-Aman
Aman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really nice
 
Aman_rahi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 26
8th July 2006, 09:22 PM

Quote:
Originally posted by Parastaar
'Qayamat se pehle qayamat na hoti’
tu jo us roz yun be-gairat na hoti...........

zindagi, zindagi ki tarah chand roz jee lete.......
tere ashaaron mein jo karwaahat na hoti.......

mayane raqabat-e-raqeeb ke bhi samajhte.........
tujhse gar is kadar mohabaat na hoti.............

shayad ye sehar aakhiri muqaam hai ^AMAN^....
warna 'Qayamat se pehle qayamat na hoti’.....

Bahut khuub Aman Veere...

yeh jawaabi shayri bhi mashallaah kahi aapne...

sabse achha yeh sher laga mujhe...

zindagi, zindagi ki tarah chand roz jee lete.......
tere ashaaron mein jo karwaahat na hoti.......

shukriya...mera saath dene ke liye hamesha ki tarah...duaaon ke saath
Shukriya........

magar thaale likhya nahi .........teri HB behna...............

**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......

AMAN RAHI
  Send a message via Yahoo to Aman_rahi  
Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
'qayamat say pehlay qayamat na hoti'....rajveer...... rajveeer Shayri-e-Dard 13 24th July 2010 08:06 PM
qayamat say pehlay qayamat na hoti,.....(rajveer)...... rajveeer Shayri-e-Ishq 6 19th July 2006 01:40 PM
Qayamat daalmeinkala Shayri-e-Dard 2 26th August 2003 01:56 PM
qayamat say qayamat tak romance Shayri-e-Dard 4 7th February 2003 12:27 PM
Qayamat pyaasa Shayri-e-Dard 0 17th April 2002 11:00 PM

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com