Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Ek nazar idhar bhi
Old
  (#1)
karan q
Registered User
karan q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of light
 
Offline
Posts: 1,098
Join Date: Jun 2004
Location: 238, Jagriti Enclave - Delhi
Rep Power: 26
Ek nazar idhar bhi - 19th August 2005, 09:51 AM

urdu poetry ke bemisaal shayar ,na naam khatam hote hain na unke kalaam phir bhi kuch behtareen nagme chun sakaa janaab
sahab khumaar barabankvi ke.. to yahaan pesh hain..
He was a poet with less varity i guess but what ever he had was awesome,

aisaa nahii.n ki un se mohabbat nahii.n rahii


aisaa nahii.n ki un se mohabbat nahii.n rahii
jazbaat me.n vo pahalii sii shiddat nahii.n rahii

sar me.n vo intazaar kaa saudaa nahii.n rahaa
dil par vo dha.Dakano.n kii hukuumat nahii.n rahii

paiham tavaaf-e-kuuchaa-e-jaanaa ke din gaye
pairo.n me.n chalane phirane kii taaqat nahii.n rahii

paiham-- Continuous

chehare kii jhurriyo.n ne bhayaanak banaa diyaa
aa_iinaa dekhane kii bhii himmat nahii.n rahii

kamzorii-e-nigaah ne sanjiidaa kar diya
jalvo.n se chhe.D-chhaa.D kii aadat nahii.n rahii

allaah jaane maut kahaa.N mar gaii 'Khumar'
ab mujh ko zindagii kii zaruurat nahii.n rahii

-----------------------------------------------------------------------
ek pal me.n ek sadii kaa mazaa ham se puuchhiye


ek pal me.n ek sadii kaa mazaa ham se puuchhiye
do din kii zindagii kaa mazaa ham se puuchhiye

bhuule hai.n unhe.n raftaa raftaa mudatto.n me.n ham
qishto.n me.n Khud_kushii kaa mazaa ham se puuchhiye

aaGaaz-e-aashiqii kaa mazaa aap jaaniye
anjaam-e-aashiqii kaa mazaa ham se puuchhiye

aaGaaz-- bigning

jalate diyo.n me.n jalate gharo.n jaise zau kahaa.N
sarakar raushnii kaa mazaa ham se puuchhiye

vo jaan hii gaye ke hame.n un se pyaar hai
aa.Nkho.n kii muKhbarii kaa mazaa ham se puuchhiye

ha.Nsane kaa shauq ham ko bhii thaa aap kii tarah
ha.Nsiye magar ha.Nsii kaa mazaa ham se puuchhiye

ham taubaa kar ke mar gaye bemaut ai 'Khumar'
tauhiin-e-maikashii kaa mazaa ham se puuchhiye


-----------------------------------------------------------------------
ham unhe.n vo hame.n bhulaa baiThe


ham unhe.n vo hame.n bhulaa baiThe
do gunah_gaar zahar khaa baiThe

haal-e-Gam kah kah ke Gam ba.Dhaa baiThe
tiir maare the tiir khaa baiThe

aa.Ndhiyo.n jaao ab aaraam karo
ham Khud apanaaa diyaa bujhaa baiThe

jii to halkaa huaa magar yaaro
ro ke ham lutf-e-Gam ba.Dhaa baiThe

besahaaro.n kaa hausalaa hii kyaa
ghar me.n ghabaraaye dar pe aa baiThe

jab se bichha.De vo muskuraaye na ham
sab ne chhe.Daa to lab hilaa baiThe

ham rahe mubtalaa-e-dair-o-haram
vo dabe paao.N dil me.n aa baiThe

uTh ke ik bevafaa ne de dii jaan
rah gaye saare baavafaa baiThe

hashr kaa din hai abhii duur 'Khumar'
aap kyo.n zaahido.n me.n jaa baiThe


---------------------------------------------------------------------
hijr kii shab hai aur ujaalaa hai


hijr kii shab hai aur ujaalaa hai
kyaa tasavvur bhii luTane vaalaa hai

Gam to hai ain zindagii lekin
Gam_gusaaro.n ne maar Daalaa hai

ishq majabuur-o-naamuraad sahii
phir bhii zaalim kaa bol_baalaa hai

dekh kar barq kii pareshaanii
aashiyaa.n Khud hii phuu.Nk Daalaa hai

kitane ashko.n ko kitanii aaho.n ko
ik tabassum me.n us ne Dhaalaa hai

terii baato.n ko mai.n ne ai vaa_iz
ahataraamaa ha.Nsii me.n Taalaa hai

maut aaye to din phire shaayad
zindagii ne to maar Daalaa hai

sher nazme.n shaguftagii mastii
Gam kaa jo ruup hai niraalaa hai

laGziishe.n muskuraa_ii hai.n kyaa kyaa
hosh ne jab mujhe sambhaalaa hai

dam andhere me.n ghuT rahaa hai Khumaar
aur chaaro.n taraf ujaalaa hai


Fainsle Qayamat taq multavee ho gaye
Sach kahe na gaye to shayri ho gaye

Mai or samander,do gehre khwaab khuda ke.....
  Send a message via Yahoo to karan q  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
19th August 2005, 11:08 AM

Karan Sahib...

bahut khubsurat kalaamon se rubaruu karaaya aapne...Khumaar Sahib ke baare mein socha main bhi kuch jodti jaaon...

Khumar Barabankvi ka asli naam Mohammed Haider Khan thaa.Wo 1919 mein Barabankvi, Uttar Pradesh mein paidaa huye thhe. Unki shayri 'Aatish-e-Tar' naam se chapi thee. 1999 mein wo iss jahan se chal base. Unhone hindi filmon ke liye bhi nagme likhe. Jinmein se Tasveer banata hoon tasveer nahi banti, kaafi jaana pehchana hai...



tasviir banaataa huu.N tasviir nahii.n banatii
ek khvaab saa dekhaa hai taabiir nahii.n banatii

bedard muhabbat kaa itanaa saa hai afasaanaa
nazaro.n se milii nazare.n mai.n ho gayaa diivaanaa
ab dil ke bahalane kii tadabiir nahii.n banatii

dam bhar ke liye merii duniyaa me.n chale aao
tarasii huii aa.Nkho.n ko phir shaql dikhaa jaao
mujhase to merii biga.Dii taqadiir nahii.n banatii

--------------------------------------


ai maut! unhe.n bhulaaye zamaane guzar gaye
aa jaa ki zahar khaaye zamaane guzar gaye

O jaane vaale aa ki tere intazaar me.n
raste ko ghar banaaye zamaane guzar gaye

Gam hai na ab Khushii hai na ummiid hai na yaas
sab se najaat paaye zamaane guzar gaye

kyaa laayaq-e-sitam bhii nahii.n ab mai.n dosto.n
patthar bhii ghar me.n aaye zamaane guzar gaye

jaane bahaar phuul nahii.n aadamii huu.N mai.n
aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gaye

kyaa kyaa tavaqqo_at thii aaho.n se ai 'Khumar'
ye tiir bhii chalaaye zamaane guzar gaye


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan

Last edited by Parastaar; 19th August 2005 at 11:11 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
21st August 2005, 02:27 PM

karan saheb

mein daad deta hoon aap ke zauq-e-intkhaab ki.
khumaar saheb ki bohat khoobsurat ghazlein aap ne post ki hain.
aap ka mutale-aa kaafi wasi maloom hota hai.
isi tarah miyaari kalam irsaal kerte rahein. hem parh ker istifaada haasil kerte rahein ge.
paras aap ka bhi shukriyaa, mazeed maloomaat dene ka khumaar saheb ke bare mein.
umeed kerta hoon yeh meyaari silsila is forum per jaari rahe gaa.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Ek nazar idhar b .... hiddenpain Hindi Kavitayen 2 5th July 2006 07:25 AM
Jara Ek Nazar Idhar Bhi...... paplupopat Shayri-e-Ishq 0 25th February 2005 08:22 PM
Ek Nazar Idhar Bhi rumi Aapki Shayri 2 19th January 2004 01:27 PM
Woh nazar kyun idhar nahin hoti AAmirjani Shayri-e-Ishq 1 10th November 2003 02:31 PM
idhar nazar daaliye saagar sahab Shayri-e-Ishq 0 3rd March 2003 09:19 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com