Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
maushiqikar-e- aajam Naushaad saheb ko shardhanjali
Old
  (#1)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
maushiqikar-e- aajam Naushaad saheb ko shardhanjali - 6th May 2006, 10:48 AM

yeh jindagi ke mele ...
dunia mein kam na hongen
afsos hum na honge
yeh jindagi ke mele.....!


shayri se waabasta rakhne wala koi shkash Naushaad saheb ke naam se waakif na ho,,yeh naamumkin hai. kal naushaad saheb ke inteqaal ke saath sunhehre daur ka ek aur bacha chiraag bujh gaya...wo shaksh jisne maushiqui ki ibaadat karte hue ek se badh kar ek nagmon se hindi film ko sajaya..wo sangeet aur wo filmein jo aaj meel ka pathar hai...mother india,mughal-e-aazam,baijun baawra,leader,ganga jamuna,udankhatola,deedar,dil diya dard liya,aadmi jaisi kai naamwar filmon ke mausikikar janab Nushaad saheb the.
pop aur remix ke is daur ke shor-sharabe aur nange_pan ko dekhne aur sun_ne wale naujawan shayad Naushad saheb ke naam se waakif bhi na hon,,..folk music aur classical music par jabardast pakad rakhnewale naushad saheb ke sangeet se aati apni mitti ki khushboo unke har geet se mehsoos ki ja sakti hai.Awadh (UP)ke folk dhunon ka unhone apne sangeet mein bahoiot khubsurat istemaal kiya..
naushaad saheb hi wo music director hai jinki saye tale Shakeel Badauni ki shayri parwaan chadhi aur unhi ke saaye tale Majrooh Sultaanpuri ne apne carrier ka aagaz kiya(film: shahejahan (1947))..lata mangeshkar ke fann ko ubharne mein ek bada haath naushaad saheb ka tha aur Rafi saheb ko unhone hi break de kar shohrat ki bulandion tak pahunchaya,,film Anokhi Adda mein uma devi (tuntun) se gawaya unka geet "afsana likh rahi hoon dil-e-beqaraar ka" ko kaun bhool sakta hai bhala..
remix aur pop ki hamesha naushaad saheb ne mukhalfat ki...khud unke alfaazon mein....

daayar-e-gair se fann ki bheekh kyun maangein
jab apne hi ghar mein maujood khajane bahooot hai.


Naushaad saheb ko mera shat shat naman.

-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.

Last edited by manoj kureel; 6th May 2006 at 10:54 AM..
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
hi
Old
  (#2)
acharya_mj
Zakhm-e-Rooh
acharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud of
 
acharya_mj's Avatar
 
Offline
Posts: 2,220
Join Date: Nov 2004
Location: ahmedabad
Rep Power: 33
hi - 6th May 2006, 11:02 AM

...
  Send a message via Yahoo to acharya_mj  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
6th May 2006, 11:05 AM

Namaskaar Manoj bhai,

Naushad saahab ki jhankaar kal bhi goonja karti thi aur kal bhi goonjti rahegi. Jisse aaj ka re-mix rok bhi nahin sakta.
Aapne unhe yaad kara aur humey bhi yaad karaaya tow bahaut accha laga. Mujhe unka "Tthare Rahiyo" naamak geet bahaut pasand hai. jise main apne kareeb rakhta hoon.

Aapka dhanyavaad Manoj Bhai

vipin


विपिन


   
Reply With Quote
Old
  (#4)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
6th May 2006, 11:28 AM

namashkar vipin bhai
bahoot acha laga yeh jaan kar ki aap bhi purane geeton ke shauqeen hai.. "thare rahiyon " geet mujhe bhi behad pasand hai...Paakizah film ke is geet se judi ek jaankaari mein aapke saath share karne chaunga...is film ke music director hai Janab Ghulam Mohammad,,joki ek jamane mein Naushaad saheb ke assistante hua karte the...pakeezah film mein unhone indipendent ho kar music diya tha,,,magar is film ke kuch claasical thumri ke liye unhone apne ustaad Naushaad saheb ki madad li thi....
magar yeh ghulaam mohammad saheb ki badkismati thi ki is film ke releas hone se pehle hi unka inteqaal ho gaya,,,.wo apne sangeet ki maqbooliyat dekhne ke liye is dunia mein nahin rahe,,aur ham sab IS baat se waaqif hai ki paakizah ka music kitna laajawab hai.
take care
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.

Last edited by manoj kureel; 6th May 2006 at 11:32 AM..
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#5)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
6th May 2006, 12:11 PM

Quote:
Originally posted by manoj kureel
namashkar vipin bhai
bahoot acha laga yeh jaan kar ki aap bhi purane geeton ke shauqeen hai.. "thare rahiyon " geet mujhe bhi behad pasand hai...Paakizah film ke is geet se judi ek jaankaari mein aapke saath share karne chaunga...is film ke music director hai Janab Ghulam Mohammad,,joki ek jamane mein Naushaad saheb ke assistante hua karte the...pakeezah film mein unhone indipendent ho kar music diya tha,,,magar is film ke kuch claasical thumri ke liye unhone apne ustaad Naushaad saheb ki madad li thi....
magar yeh ghulaam mohammad saheb ki badkismati thi ki is film ke releas hone se pehle hi unka inteqaal ho gaya,,,.wo apne sangeet ki maqbooliyat dekhne ke liye is dunia mein nahin rahe,,aur ham sab IS baat se waaqif hai ki paakizah ka music kitna laajawab hai.
take care
-MANOJ
Ji haan Manoj bhai, aapne bahaut accha kiya jo is geet ke baareek pehluvon ko hamaare saath share kiya. Ghulam Mohammad ji sach mein hee Naushad saahab ke shaagird reh chuke tthey. Isi geet ki ek khaas baat aut thi ki isse do diggazon ne apne shabd diye tthey. Kamaal Amrohi aur Kaifi Azmi ne is geet ko aur behtareen bana diya tha.
Isi tarah aage bhi charcha hoti rahey isi ummeed se vida leta hoon.
aapka
vipin


विपिन



Last edited by Vipinbox; 2nd February 2009 at 07:45 PM..
   
Reply With Quote
naushad
Old
  (#6)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
naushad - 6th May 2006, 02:07 PM

naushad jab yaae ayenge lagega ek insan jo hindu-muslaman kee pahchan se bahut ooper tha
jis dil se dhun banayee thee unhone is geet kee us ke bare main wah ke siwa kya kahs akte hain

o dunya ke rakhwale

man tarapat hari darshan ko aaj

sukh ke sab sathee

aaj kal apnee hee geeton ke remix se bahut pareshan bhee the

achha huya apne geeton ka aur bura hal dekhen se pahale hee asamno se ja mile eeshwar un kee atma ko shantee de
Anil


mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote
Old
  (#7)
shrdh
Registered User
shrdh will become famous soon enoughshrdh will become famous soon enough
 
shrdh's Avatar
 
Offline
Posts: 1,474
Join Date: Dec 2005
Location: singapore
Rep Power: 21
6th May 2006, 03:23 PM

-----------------


ye geet ye achhe khyaal hi unhe zinda rakhenge


  Send a message via Yahoo to shrdh  
Reply With Quote
Hope You Are Well :)
Old
  (#8)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Hope You Are Well :) - 6th May 2006, 05:17 PM

You Made Me Smile **Uss Waqt Main Jiyada Na Likhh Saki_Khair, Ab Kuchh Likhhdeti Houn**

Dharti Ko Aakaash Poukaare_Aa Jaa Aa Jaaa Prem Dware-Aana Hii Hogaa
Iss Duniya Ko Chod Ke Pyaare_Jhoute Bandhan Tod Ke Saare-Jaana Hii Hogaa
Aapko Pata Hoga Ki Naushad Ali Jee Ne Sapnon Mein Iss Geet Ki Dhoun Banaya Tha~Aur Haan, Shamshad Begum Jee Ki Aawaaz Mein Hain Aur Mukesh Jee Ki Bhi**

Lata Jee Pahle Noor Jahan Jee Ki Tarah Gaati Thi Lekin Naudhad Jee Ne Hii Unko Khud Aapni Andaz Mein Gaana Gaane Ki Zor Di**
Iss Waqt Yaad Nahiin Aa Rahi Hain Theek Tarah Se Ki Woh Kaunsi Geet Se Lata Jee Khud Ki Andaz Se Gayi Thi Lekin "Baalam" Ki Lafz Thhe Zorour**Waise Ye Geet Ho Sakti Hain-(I Am Not Sure)**
Ab To Aa Jaaon Baalam~Fourqat Ke Maare Ro Diye,
Haal Par Duniya To Duniyaa_Chaand Taare Ro Diye**

Naushad Ali Jee Ki Dhoun-Shakeel Badayuni Jee Ki Lyrics Aur Mohd. Rafi Jee Ki Aawaaz~In Short "3 In 1**Hor Ki Kwa?

Dil Ki Gehraaion ki Gehraaion Se Dher Dher Saare Phoul,Shukriya **Khush Rahiye ye Duwaaon Ke Saath Ijaazat...**Take Care...**God bless You**


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Re: Hope You Are Well :)
Old
  (#9)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: Hope You Are Well :) - 8th May 2006, 11:28 AM

SHIMUL JI
NAMASHKAR
aapne ek bahoot ache pehloo par roshni daali hai... Naushaad saheb se judi ek aur baat mujhe yaad aa rahi hai...wo apne kaam ke itne pakke the ki jab tak ek film ka music poora nahin ho jata tha wo dusri film mein kaam karna to door use sighn bhi nahin karte the.....yeh baat us waqt ki hai jab Mughal-e-aazam ke director K Asif unhe apni mega budget film ke liye sighn karwane unke ghar gaye,,tab naushaad saheb kisi aur film ka music tayyar kar rahe the,..
naushaad saheb ne
asif saheb ko saaf kar diya ki jab tak unki mauzooda film ka music muqammal nahin ho jata wo mughal-e-azam ko sighn nahin karenge,.,,ispar Kasif ne hare hare noton ki gaddi nikaal kar naushaad saheb ke saamne rakh di,,aur unhe lubhaya ki aap pehle meri film mein kaam shuru kar dijiye....is par naushaad saheb ne na aav dekha na taav unke noton ki gaddi utha kar bolcony se neeche phek di.... Kasif saheb dang reh gaye wo samjh gaye ki is kalaakaar ko paise ka koi moh nahin hai....wo bhi ke sache kalakaar ki pehchaan rakhte the,,unhone bhi kaha ki theek hai naushaad saheb meri film ka music to aap hi denge.,.mein aapke liye rukne ko tayyar hoon....
aur dunia janti hai ki fir jo hua wo itihaas hai Mughal-e-aazam ka sangeet aur mujghal-e-azam ek dharohar ban chuki hai aaj hamare liye.

-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
:)
Old
  (#10)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
:) - 8th May 2006, 06:16 PM

Namaskar Dear Manoj Jee, I Just Came Here To Say Regarding The Song I Mentioned Earlieron Were Actually This One: Uthaaye Jaa Unke Sitam Aur Jiiye Jaa-Younhii Muskouraaye Jaa-Aansoun Peeye Jaa~Yehii Hain Mohabbat Kaa Dastour Aye Dil_Wo Gham De Toujhe Tuu Duwaaen Diye Jaa~*~Lata Jee **Aur Haan, Aapne To Zorour Meri Submit Ki Houi Thread Parh Liya Hoga Aur Woh Link Bhi Jo Naushad Ali Jee Ke Bade Mein 5th May Ko Hindustani Times Mein Aaya Tha, Right ? Naushad Ali Jee Ke Bade Mein Kehne Lagoun To Ruk Jaana Mushkil Hain... **Aapko Baad Mein Reply Karoungi **Dil Ki Gehraaion Ki Gehraaion Se Dher Saare Phoul,Shukriya **Khush Rahiye ye Duwaaon Ke Saath Ijaazat...**God bless You.**


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
9th May 2006, 11:48 PM

Manoj sahab...

Aapka Bahut Shukriya ke ik be-misaal mausiki ke diggaj ko yahan shardanjili pesh ki aur saath hi saath unke jeewan pe bhi roshni daali..

Sach woh hameshaa apni dhunon mein amar rahenge..

Shimul jee aur Vipin ji, aapne jo jaankari dee uska bhi main dil se aabhari huun.. wo ik sache kalakaar the aur kal hamesha zinda rehti hai..

hun hor ki kwa? .. unko yaad kar ke iuk baar bas muskura deta huun

Varinder
   
Reply With Quote
How Is Life :)? Unko Humaara Salaam Pahuncha Dijiyega :)**
Old
  (#12)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
How Is Life :)? Unko Humaara Salaam Pahuncha Dijiyega :)** - 10th May 2006, 03:48 AM

Dear Varinder Jee, You Made Me Smile **Hope You are well Dil Ki Gehraaion Ki Gehraaion Se Dher Dher Dher Saare Phoul,Shukriya **Khush Rahiye ye Duwaaon ke saath ijaazat...**Take Care... **God bless You.**


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
This is my all time best of Gulzar Saheb abdul dost Hindi/Urdu Lyrics 3 16th July 2005 04:13 PM
Song of Gulzar Saheb... check out abdul dost Hindi/Urdu Lyrics 0 15th June 2005 07:50 PM
shardhanjali manoj kureel Shayri-e-Dard 15 29th November 2004 04:58 PM
gulzar saheb....the great one... amaan7am Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 28th October 2004 08:30 PM
Nazm from Gulzar saheb Roshan Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 12th July 2003 04:16 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com