Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
badi khaahisheiN haiN, badi bebasi hai.....Ghazal
Old
  (#1)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
badi khaahisheiN haiN, badi bebasi hai.....Ghazal - 11th May 2007, 09:29 AM

aadaab aur SSA dosto


7 may ko punjabi ke mere mehboob shayar "Shiv Kumar Batalvi" ki barsi thi.

ek punjabi Ghazal likhi hai , uske do she'r Shiv ke naam :

tu hi saeN ik dil da mehram haniya
koyi na puchdaa tere biimaar di

chal manaa uTh kar tayaari vekh taaN
maut boohe 'choN aawaajaaN maardi


.................................................. ....



ab urdu Ghazal ki baari, mula'iizaa farmaayeN :



badi khaahisheiN haiN, badi bebasi hai
yahi ziNdagii hai to kya ziNdagi hai


apne to daaman meiN kaaNTe hi kaaNTe
ti'raa shauq phooloN ki saudaagari hai


yahi soch kar Gham uThaate rahe hum
hamaare ye aaNsoo kisi ki khushi hai


khataa ham se kuch to hui hai yaqeenan
jo aise sazaa par sazaa mil rahi hai


jho'lee failaa ke jo maaNgi kisi se
aisi mohabbat bhi kis kaam ki hai


kahaaN ek dil tha, kahaaN itne Tukde!
tere sadqe, seene meiN raunak badi hai


heere the, patthar baraabar hue haiN
mizaaj-e-sitamgar vahi ka vahi hai


suno meherbaaN yeh Ghazal akhiri hai
ke saaNsoN ki rehmat ghaRi do ghaRi hai


"maikash" kahaaN aur apna thikaanaa
ya maikadaa hai ya unki gali hai




rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 11th May 2007 at 09:32 AM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#2)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
11th May 2007, 09:46 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab aur SSA dosto


7 may ko punjabi ke mere mehboob shayar "Shiv Kumar Batalvi" ki barsi thi.

ek punjabi Ghazal likhi hai , uske do she'r Shiv ke naam :

tu hi saeN ik dil da mehram haniya
koyi na puchdaa tere biimaar di

chal manaa uTh kar tayaari vekh taaN
maut boohe 'choN aawaajaaN maardi


.................................................. ....



ab urdu Ghazal ki baari, mula'iizaa farmaayeN :



badi khaahisheiN haiN, badi bebasi hai
yahi ziNdagii hai to kya ziNdagi hai


apne to daaman meiN kaaNTe hi kaaNTe
ti'raa shauq phooloN ki saudaagari hai


yahi soch kar Gham uThaate rahe hum
hamaare ye aaNsoo kisi ki khushi hai


khataa ham se kuch to hui hai yaqeenan
jo aise sazaa par sazaa mil rahi hai


jho'lee failaa ke jo maaNgi kisi se
aisi mohabbat bhi kis kaam ki hai


kahaaN ek dil tha, kahaaN itne Tukde!
tere sadqe, seene meiN raunak badi hai


heere the, patthar baraabar hue haiN
mizaaj-e-sitamgar vahi ka vahi hai


suno meherbaaN yeh Ghazal akhiri hai
ke saaNsoN ki rehmat ghaRi do ghaRi hai


"maikash" kahaaN aur apna thikaanaa
ya maikadaa hai ya unki gali hai




rab raakha
maikash
maikash ji namaskaar
kaise hai.n aap, aapne jo "Batalvi Ji" ke liye do sher kahey hai.n dil ko chu gaye....unko padna mujhe bhi bahut accha lagta hai....unhoney ne jo bhi likha hai dil se likha hai.....!

aapki gazal padi, aapke ahsaaso.n ko mahsoos kiya, bahut khoob likha hai...dard to aapke har sher mein be-shumaar milta hai....kaash kisi din aap dard ko bhool kar koi kushi ka geet likhey to mujhe bahut accha lageyga.

har lafaz har sher bahut umda likha hai....par yeh sher dil ko bahut udhas kar gaya.

suno meherbaaN yeh Ghazal akhiri hai
ke saaNsoN ki rehmat ghaRi do ghaRi hai



sadha kush raho, har dard aapse door rahey

duao.n ke saath


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
bemisaal
Old
  (#3)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
bemisaal - 11th May 2007, 09:52 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab aur SSA dosto


7 may ko punjabi ke mere mehboob shayar "Shiv Kumar Batalvi" ki barsi thi.

ek punjabi Ghazal likhi hai , uske do she'r Shiv ke naam :

tu hi saeN ik dil da mehram haniya
koyi na puchdaa tere biimaar di

chal manaa uTh kar tayaari vekh taaN
maut boohe 'choN aawaajaaN maardi

maikashji punjabi vich v bhut khub likhiya tusee..........dono ashaar bhut wadhiya ne........
.................................................. ....



ab urdu Ghazal ki baari, mula'iizaa farmaayeN :



badi khaahisheiN haiN, badi bebasi hai
yahi ziNdagii hai to kya ziNdagi hai

wah janaab bhut wadhia shuruwaat..........bilkul sach kaha aapne......

apne to daaman meiN kaaNTe hi kaaNTe
ti'raa shauq phooloN ki saudaagari hai

bhut khub jo phoolon ka saudagar ho usko kaanto se kyaa garz...


yahi soch kar Gham uThaate rahe hum
hamaare ye aaNsoo kisi ki khushi hai

bhut acha khyaal hai......yahi pyaar hai.......

khataa ham se kuch to hui hai yaqeenan
jo aise sazaa par sazaa mil rahi hai


jho'lee failaa ke jo maaNgi kisi se
aisi mohabbat bhi kis kaam ki hai

wah janaab is share par to bhut bhut saari daad peh hai.....mere khyaal mein ye khyaal hasil-e-gazal raha........bhut khub......

kahaaN ek dil tha, kahaaN itne Tukde!
tere sadqe, seene meiN raunak badi hai

maikash ji gazab dhaa rahe ho.......seedha dil mein uttar gyaa,......

heere the, patthar baraabar hue haiN
mizaaj-e-sitamgar vahi ka vahi hai


suno meherbaaN yeh Ghazal akhiri hai
ke saaNsoN ki rehmat ghaRi do ghaRi hai


"maikash" kahaaN aur apna thikaanaa
ya maikadaa hai ya unki gali hai


janaab sandhu sahib nu raj dii sat sri akaal.......kamaal kar chhadiya tusee te bhut umdaa khyaal pesh kite ne......subha subha rouh khush ho gayii........rab kare tusee isay tarha likhde raho........kush meri taraf se....

zakham to diya par nishan bhi nahi hai
ki aadaon mein teri bari saadgii hai

samander mein rehke bhi pyase rahe ham
ki kismat mein apni bass tishnagi hai


rab raakha
maikash
************************************************** *******


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#4)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
11th May 2007, 02:29 PM

Dear maikaSh bhaaii,

kaise haiN aap aur tabiyat kaisi hai??? duaa hai kii sab kuchh Theek Thaak ho...

Aap kii ess Ghazal ke baare meiN kya kahuuN bhaaii, lakKt, lakHt jigar kii jhalak saaf nazar aa rahii hai, aur paRhne waale kaa dil ko bhii lakHt lakHt kiye jaa rahii hai... aur ek baat dil se kahta huuN, aap kii yeh Ghazal mujhe aap ke pahle kii ghazaloN par bohat bhaari lagii hai... to aap kii ess behtariiN Ghazal par mera salaam...

Quote:
badi khaahisheiN haiN, badi bebasi hai
yahi ziNdagii hai to kya ziNdagi hai
Kamaal ka matla hai.. daad!

Quote:
apne to daaman meiN kaaNTe hi kaaNTe
ti'raa shauq phooloN ki saudaagari hai
kya baat hai bhaaii, khuub ehsaas hai.... phool aur kaaNtoN ka rabt bhii khuub hai..


Quote:
yahi soch kar Gham uThaate rahe hum
hamaare ye aaNsoo kisi ki khushi hai
muhabbat ki misaal qaayam kar rahe ho huzuur...daad!


Quote:
khataa ham se kuch to hui hai yaqeenan
jo aise sazaa par sazaa mil rahi hai
kyaa baat hai huzuur.. ek Sher meiN bhi arz karta huuN, aap ke naam yeh,

muhabbat ka ham ko mila falsafaa yeh,
kii,aag-e-dozakh ab muqaddar huaa hai..


Quote:
jho'lee failaa ke jo maaNgi kisi se
aisi mohabbat bhi kis kaam ki hai
waah! waah!


Quote:
kahaaN ek dil tha, kahaaN itne Tukde!
tere sadqe, seene meiN raunak badi hai
kya baat hai, ehsaas aur bayaan ke kya kahne, huzuur dil meiN churiyaaN chala rahii hai aap ki Ghazal.
Quote:
heere the, patthar baraabar hue haiN
mizaaj-e-sitamgar vahi ka vahi hai
mizaaj-e-sitamgar kuchhh aise hii hota hai janaab, verna woh sitamgar bhii kya sitamgar hai jo har pal mizaaj badal le....

Quote:
suno meherbaaN yeh Ghazal akhiri hai
ke saaNsoN ki rehmat ghaRi do ghaRi hai
bhaaaii, ess Sher ne kalejaa noch liya hai.. kahuuNga yehii ki lag jaaye hamaare umr bhii aap ko, aur aap khuub jiyeN, mast raheN hameshaa.. aur yeH ghazal aakhirii nahiiN ek aaghaaz ho naye daur kaa...
Quote:
"maikash" kahaaN aur apna thikaanaa
ya maikadaa hai ya unki gali hai
huzuur, ebb baar to aap ne qayaamat hii le aaye mehfil meiN... jitni taariif kee jaaye kam hai... ess Sher ke Khayaal se ek Sher aay adil meiN.. arz hai aap ke naam...

aalam-e-maikashi meiN bhii kuch sujhaaii nahiiN deta
jaam meiN bhii 'woh' chehra tera dikhaaii nahiiN deta
ess tarah kiya ulfat ne tabah aur dar-ba-dar mujh ko
bajuz-e-maut,raah-e-nijaat-e-gham sujhaaii nahiiN detaa

MaikaSh bhaaii..ek baat bataaaiye, aap kii ess Ghazal ko mayank kii Ghazal kahne ke liye kyaa karna paRegaa.. jee kar raha hai takhallus badalluuN miyaaN.. Bohat hiii pyaari Ghazal hai.. jitni daad dii jaaye kam hai.. yuuN hii mehfil meiN raunaq banaaye rakhiye.... itni khuubsuurat ghazal aap ne mehfil ko nawaaza aur mehfil kiii raunaq afzaayi kee ess ke liye tah-e- dil Shukriyah!... apna Khayaal raKhiye...

Mayank

Last edited by Mayank; 11th May 2007 at 06:55 PM..
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#5)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
11th May 2007, 06:28 PM

maikasH bhaiyaa SSA:

bhaiyaa jab bhii aapkii koYii Ghazal deKHtaa huN to mujHe baRi hii khuShi hoti hai kyuNkii aapke jaZbaatoN aur khayaaloN se ru-b-ru hone kaa maukaa jo miltaa hai ..

Quote:
suno meherbaaN yeh Ghazal akhiri hai
ke saaNsoN ki rehmat ghaRi do ghaRi hai
bhaiyaa ess sher ki jitni bhi taarif karuN kam hai mujHe be-had pasaNd aaYa yeH sher..

ess mukammal aur dilkaSh Ghazal ke liYe meri taraf se dheroN saari mubaarakbaad qabool farmaaYeN.

bhaiyaa ab kaisii hai aapki sehat ..apni sehat kaa khayaal rakhiYeNgaa aur huZ^oor aaraam Z^aroor kareN ..meri duaeN haMeShaa aapkeY saath hai..

apnaa khayaal raKheN aur khuSh raheN

duaoN ke saath ijaazaT

jai shree krishna

aapka
dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
11th May 2007, 09:17 PM

Bhaaji....

Dil khush kitta ji tussi..

Shiv ji.. ohh taan har punjabi de dil di dhadkan ne.. Apne ghama.n nuu unha ne shabdaan 'ch piro ke amar banaa ditta. Us fankaar nuu mera vii bahut bahut salaam.

Rahi baat aapki ghazal ki, bhai uske tau ham shuru se hi deewane hain.

apne to daaman meiN kaaNTe hi kaaNTe
ti'raa shauq phooloN ki saudaagari hai

Wah.. kya kahaa hai, matle mein bebasi ka zikr aur yahaan uska saboot

khataa ham se kuch to hui hai yaqeenan
jo aise sazaa par sazaa mil rahi hai

Badia hai, isse thodi hassi bhi aayi, kayi baar kismat apne aap par thoda shaq paida kar deti hai

kahaaN ek dil tha, kahaaN itne Tukde!
tere sadqe, seene meiN raunak badi hai

Achha hai.. achaa hai, khayaal bahut pasand aaya

Maqta bhi khoob kaha..

Sabko hi ye ghazal bahut pasand aayi, aise hi ye nazraane pesh karte rahiye

Varinder


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
12th May 2007, 01:38 AM

Maikash ji, ssk...

Aaj bade dino baad apki koi gazal padhi. Padha to har sher laa'javaab laga. Bahot hi sundar likha hai apne.

suno meherbaaN yeh Ghazal akhiri hai
ke saaNsoN ki rehmat ghaRi do ghaRi hai


"maikash" kahaaN aur apna thikaanaa
ya maikadaa hai ya unki gali hai

Ye do sher! kya kahane inke to. Daad kabuul kijiyega. Likhte rahiye.

Grazie

Pooja


===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
12th May 2007, 09:12 AM

Quote:
kahaaN ek dil tha, kahaaN itne Tukde!
tere sadqe, seene meiN raunak badi hai
Ustaad aapki kalam ki dhaar aisi hai ki dil ke aar paar ho jaati hai...ek pur-asar nazm aur us par yeh suhaavna sher dil mein ghar kar gaye....

yunhi hum sab par meharbaan rahiYeGaa..

aapka apnaa



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#9)
musafir ek pal
a broken shadow...
musafir ek pal has a spectacular aura aboutmusafir ek pal has a spectacular aura aboutmusafir ek pal has a spectacular aura about
 
musafir ek pal's Avatar
 
Offline
Posts: 1,164
Join Date: Mar 2007
Location: london
Rep Power: 21
13th May 2007, 01:06 AM

maikash g,
namaskar,

aapki nazm padi, pehle to kuch pal samaj hi nahi aaya, kahan se surwat karun. dard ko is tarah bayan ki hai, k bas dil udaas ho gaya padkar. har lafz ka dard main mehsuus kar sakta hun. padte padte hum, aapke likhe khwaalon mein khi gaye. bahut khub janab.
daad hajir hai, kabul kijiye.

god bless u

manish


Life is filled with goodbyes, a million goodbyes, and it hurts every time....and every time my heart dies a little...



Darkness falls on me like rain...
just
one drop at a time....

  Send a message via Yahoo to musafir ek pal  
Reply With Quote
Old
  (#10)
dilip200
Adhoori Aas
dilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud of
 
dilip200's Avatar
 
Offline
Posts: 1,543
Join Date: Jul 2006
Location: india , shivpuri
Rep Power: 31
13th May 2007, 07:51 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab aur SSA dosto


7 may ko punjabi ke mere mehboob shayar "Shiv Kumar Batalvi" ki barsi thi.

ek punjabi Ghazal likhi hai , uske do she'r Shiv ke naam :

tu hi saeN ik dil da mehram haniya
koyi na puchdaa tere biimaar di

chal manaa uTh kar tayaari vekh taaN
maut boohe 'choN aawaajaaN maardi


.................................................. ....



ab urdu Ghazal ki baari, mula'iizaa farmaayeN :



badi khaahisheiN haiN, badi bebasi hai
yahi ziNdagii hai to kya ziNdagi hai


apne to daaman meiN kaaNTe hi kaaNTe
ti'raa shauq phooloN ki saudaagari hai


yahi soch kar Gham uThaate rahe hum
hamaare ye aaNsoo kisi ki khushi hai


khataa ham se kuch to hui hai yaqeenan
jo aise sazaa par sazaa mil rahi hai


jho'lee failaa ke jo maaNgi kisi se
aisi mohabbat bhi kis kaam ki hai


kahaaN ek dil tha, kahaaN itne Tukde!
tere sadqe, seene meiN raunak badi hai


heere the, patthar baraabar hue haiN
mizaaj-e-sitamgar vahi ka vahi hai


suno meherbaaN yeh Ghazal akhiri hai
ke saaNsoN ki rehmat ghaRi do ghaRi hai


"maikash" kahaaN aur apna thikaanaa
ya maikadaa hai ya unki gali hai




rab raakha
maikash
janab maikas sahab
namaskar or ssa

janab kin shwadon main is poori gazal ki tarif karoon samajhiye is prakar ke umda kalam badi mushkil se padne ko milte hian. har ek sher apne aap main mukkmal or jindgii ka falsafa sa bayaa.n karta lagta hai.
poori gazal gunguna ke dekhii bahut pyarii lagii......................

hazaro.n duaao.n ke sath daad hazir hai

shukriyaa

dilip


" Dilip " -Ek Adhoora khwab


Dard bantne se ab darr lagta hai
mere gamo ka usnane falsafa bana diya
  Send a message via Yahoo to dilip200  
Reply With Quote
Old
  (#11)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
14th May 2007, 04:53 AM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
maikash ji namaskaar
kaise hai.n aap, aapne jo "Batalvi Ji" ke liye do sher kahey hai.n dil ko chu gaye....unko padna mujhe bhi bahut accha lagta hai....unhoney ne jo bhi likha hai dil se likha hai.....!

Shiv ki shayad hi aisi koii kavita,Ghazal,geet ya nazm hogi jise padh kar dil reza-reza na hua ho, itna dard,itne se dil meiN dabaa ke rakhna har kisi ke bas ki baat nahiiN, maiN har saal Shiv ki barsi ke din ek punjabi Ghazal ya nazm Shiv ko samarpit karta huuN



aapki gazal padi, aapke ahsaaso.n ko mahsoos kiya, bahut khoob likha hai...dard to aapke har sher mein be-shumaar milta hai....kaash kisi din aap dard ko bhool kar koi kushi ka geet likhey to mujhe bahut accha lageyga.


aapko Ghazal achchii lagi aur aapne mere jazbaat ko izzat bakhshi uske liye shukurguzaar huuN aapka, aur aapke aakhiri misre ke jawaab meiN Javed Akhtar saheb ke do misre aapki nazr:

talkhiyaaN kaise na hoN ash'aar meiN
mujhpe jo guzri, mujhe hai yaad sab!


har lafaz har sher bahut umda likha hai....par yeh sher dil ko bahut udhas kar gaya.

suno meherbaaN yeh Ghazal akhiri hai
ke saaNsoN ki rehmat ghaRi do ghaRi hai



daad ka phir se shukriya, aji ismeiN udaas hone waali kaun si baat hai, aana-jaana to laga rehta hai, is baat par bhi ustaad zauq ka ek matla yaad aa gaya , mula'iiza farmaaiye :

laayii hayaat aaye,kazaa le chali, chale
apni khushi se aaye,na apni khushi chale

kamaal ka she'r hai mujhe behadd pasaNd hai




sadha kush raho, har dard aapse door rahey

duao.n ke saath

duaaoN ka alag se shukriya qabuul kijiye


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 14th May 2007 at 04:57 AM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#12)
Mohammad Kashif
DIL KI BAAT DIL TAK
Mohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant future
 
Mohammad Kashif's Avatar
 
Offline
Posts: 1,185
Join Date: Apr 2007
Location: MORADABAD (U.P.)
Rep Power: 36
15th May 2007, 07:27 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab aur SSA dosto


7 may ko punjabi ke mere mehboob shayar "Shiv Kumar Batalvi" ki barsi thi.

ek punjabi Ghazal likhi hai , uske do she'r Shiv ke naam :

tu hi saeN ik dil da mehram haniya
koyi na puchdaa tere biimaar di

chal manaa uTh kar tayaari vekh taaN
maut boohe 'choN aawaajaaN maardi


.................................................. ....



ab urdu Ghazal ki baari, mula'iizaa farmaayeN :



badi khaahisheiN haiN, badi bebasi hai
yahi ziNdagii hai to kya ziNdagi hai


apne to daaman meiN kaaNTe hi kaaNTe
ti'raa shauq phooloN ki saudaagari hai


yahi soch kar Gham uThaate rahe hum
hamaare ye aaNsoo kisi ki khushi hai


khataa ham se kuch to hui hai yaqeenan
jo aise sazaa par sazaa mil rahi hai


jho'lee failaa ke jo maaNgi kisi se
aisi mohabbat bhi kis kaam ki hai


kahaaN ek dil tha, kahaaN itne Tukde!
tere sadqe, seene meiN raunak badi hai


heere the, patthar baraabar hue haiN
mizaaj-e-sitamgar vahi ka vahi hai


suno meherbaaN yeh Ghazal akhiri hai
ke saaNsoN ki rehmat ghaRi do ghaRi hai


"maikash" kahaaN aur apna thikaanaa
ya maikadaa hai ya unki gali hai




rab raakha
maikash
adab maikash ji bahut khubsurat gazal lagi.esi aur bhi gazal ka hume intezar raheyga.unhi likhterahey
khush rahey hamesha
aap ka dost


"Do Pal Ruka Khushio.n ka Karwan"


Dunia ke sitam ki koi perwah nahi mujhko,
wo kyoun mujhpe ungliya uthaye ja rahe hain.
Jis shaks ko janta tha ek chehre se ''kashif''
Uske kitne chehre samne laye ja rahe hain.




  Send a message via Yahoo to Mohammad Kashif  
Reply With Quote
Old
  (#13)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
18th May 2007, 02:35 PM

Rajveer Sahab Sat Sri Akaal

kamaal taaN tuhaada hai janaab jo is nimaani jehi Ghazal nu tusiiN aapna qeemati waqt kharch karke saraaheya te meri hauNsla-afza'ii keeti.


tuhaadiyaaN mohabbataN da karzdaar haaN

mehr'baani
fateh

maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#14)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
18th May 2007, 03:18 PM

Quote:
Originally Posted by Mayank View Post
Dear maikaSh bhaaii,

kaise haiN aap aur tabiyat kaisi hai??? duaa hai kii sab kuchh Theek Thaak ho...


tabiyat bilkul theek-thaak hai saahab, bohat shukriya

Aap kii ess Ghazal ke baare meiN kya kahuuN bhaaii, lakKt, lakHt jigar kii jhalak saaf nazar aa rahii hai, aur paRhne waale kaa dil ko bhii lakHt lakHt kiye jaa rahii hai... aur ek baat dil se kahta huuN, aap kii yeh Ghazal mujhe aap ke pahle kii ghazaloN par bohat bhaari lagii hai... to aap kii ess behtariiN Ghazal par mera salaam...


ye to badi khushi ki baat hai bhai jo aapko Ghazal is qadar pasaNd aayi, mera kaleja do'gunaa ho gaya sun kar


Kamaal ka matla hai.. daad!


tasleem


kya baat hai bhaaii, khuub ehsaas hai.... phool aur kaaNtoN ka rabt bhii khuub hai..


bottal nayi hai lekin sharaab puraani hi hai miyaaN



muhabbat ki misaal qaayam kar rahe ho huzuur...daad!


daad qubuul hazrat


kyaa baat hai huzuur.. ek Sher meiN bhi arz karta huuN, aap ke naam yeh,

muhabbat ka ham ko mila falsafaa yeh,
kii,aag-e-dozakh ab muqaddar huaa hai..


achcha she'r ataa kiya hai bhai, bohat shukriya




waah! waah!



shukriya!



kya baat hai, ehsaas aur bayaan ke kya kahne, huzuur dil meiN churiyaaN chala rahii hai aap ki Ghazal


duaa hai aapki miyaaN, shukriya


mizaaj-e-sitamgar kuchhh aise hii hota hai janaab, verna woh sitamgar bhii kya sitamgar hai jo har pal mizaaj badal le....


aapki baat bhi theek hai bhai lekin ab socheN zaraa sab kuch luTaane ke baad thodi to narm-mizaaji ki ummiid ghar kar hi jaati hai dil ke kise kone'y meiN, insaan haiN aakhir



bhaaaii, ess Sher ne kalejaa noch liya hai.. kahuuNga yehii ki lag jaaye hamaare umr bhii aap ko, aur aap khuub jiyeN, mast raheN hameshaa.. aur yeH ghazal aakhirii nahiiN ek aaghaaz ho naye daur kaa...


bhai mere apni umr mere kisi kaam ki nahiiN aap apni bhi zaaya hi kareNge mujhe de kar aur mast to chhoTe miyaaN maiN waise bhi rehta huuN, aap fikr mat kijiye. majaaz ka ek she'r suniye :

royeN na abhii ahl-e-nazar haal pe mere
honaa hai abhii mujh ko Kharaab aur zyaadaa


huzuur, ebb baar to aap ne qayaamat hii le aaye mehfil meiN... jitni taariif kee jaaye kam hai... ess Sher ke Khayaal se ek Sher aay adil meiN.. arz hai aap ke naam..

aalam-e-maikashi meiN bhii kuch sujhaaii nahiiN deta
jaam meiN bhii 'woh' chehra tera dikhaaii nahiiN deta
ess tarah kiya ulfat ne tabah aur dar-ba-dar mujh ko
bajuz-e-maut,raah-e-nijaat-e-gham sujhaaii nahiiN detaa


aapki daad mere liye khaas ma'iney rakhti hai, shukurguzaar huuN aapki murravat ka aur aapne jo baNd darj kya hai voh bhi khoob pasaNd aaya


MaikaSh bhaaii..ek baat bataaaiye, aap kii ess Ghazal ko mayank kii Ghazal kahne ke liye kyaa karna paRegaa.. jee kar raha hai takhallus badalluuN miyaaN.. Bohat hiii pyaari Ghazal hai.. jitni daad dii jaaye kam hai.. yuuN hii mehfil meiN raunaq banaaye rakhiye.... itni khuubsuurat ghazal aap ne mehfil ko nawaaza aur mehfil kiii raunaq afzaayi kee ess ke liye tah-e- dil Shukriyah!... apna Khayaal raKhiye...


arrey bhai itni mohabbat se to ko jaan bhi maaNge to maiN inkaar na karuuN is haqeer si Ghazal ki to auqaat hi kya, samajhiye ye Ghazal aapki hui aur dekhiye maqte'y meiN maikash ki jagah "Ghafil" khap bhi khoob raha hai


Mayank
miyaaN aapki mohabbatoN aur duaaoN ke liye karzdaar rahuuNga aapka

ummiid hai jald mulaqaat hogi

maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 18th May 2007 at 03:23 PM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#15)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
11th June 2007, 05:01 AM

Quote:
Originally Posted by dhavalrami4you View Post
maikasH bhaiyaa SSA:

bhaiyaa jab bhii aapkii koYii Ghazal deKHtaa huN to mujHe baRi hii khuShi hoti hai kyuNkii aapke jaZbaatoN aur khayaaloN se ru-b-ru hone kaa maukaa jo miltaa hai ..



bhaiyaa ess sher ki jitni bhi taarif karuN kam hai mujHe be-had pasaNd aaYa yeH sher..

ess mukammal aur dilkaSh Ghazal ke liYe meri taraf se dheroN saari mubaarakbaad qabool farmaaYeN.

bhaiyaa ab kaisii hai aapki sehat ..apni sehat kaa khayaal rakhiYeNgaa aur huZ^oor aaraam Z^aroor kareN ..meri duaeN haMeShaa aapkeY saath hai..

apnaa khayaal raKheN aur khuSh raheN

duaoN ke saath ijaazaT

jai shree krishna

aapka
dhaval

Dhaval miyaaN

namaste

bhai aapki duaa'oN aur mohabbatoN ka ehsaanmaNd huuN

aapne hamesha ki tarah is dafaa bhi dil khol kar hausla afzaa'ii ki so shukriya qabuul kareiN


tabiyat achchi hai,shukriya


aapka PM mila hai uska jawaab kal haazir karuuNga


jai shree krishna
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#16)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
22nd June 2007, 09:16 PM

Quote:
Originally Posted by ghayalparwana View Post
Bhaaji....

Dil khush kitta ji tussi..

Shiv ji.. ohh taan har punjabi de dil di dhadkan ne.. Apne ghama.n nuu unha ne shabdaan 'ch piro ke amar banaa ditta. Us fankaar nuu mera vii bahut bahut salaam.

Rahi baat aapki ghazal ki, bhai uske tau ham shuru se hi deewane hain.

apne to daaman meiN kaaNTe hi kaaNTe
ti'raa shauq phooloN ki saudaagari hai

Wah.. kya kahaa hai, matle mein bebasi ka zikr aur yahaan uska saboot

khataa ham se kuch to hui hai yaqeenan
jo aise sazaa par sazaa mil rahi hai

Badia hai, isse thodi hassi bhi aayi, kayi baar kismat apne aap par thoda shaq paida kar deti hai

kahaaN ek dil tha, kahaaN itne Tukde!
tere sadqe, seene meiN raunak badi hai

Achha hai.. achaa hai, khayaal bahut pasand aaya

Maqta bhi khoob kaha..

Sabko hi ye ghazal bahut pasand aayi, aise hi ye nazraane pesh karte rahiye

Varinder


Sat Sri Akaal bai ji


janaab ek muddat ke baad aapke darshan naseeb hue haiN, khair aaye to haiN yahi bohat badi baat hai

aapne Ghazal pasaNd farmaayi hai uske liye mera shukriya qabuul kareiN aur aapke khat ka jawaab dene meiN hui ta'kheer ke liye muaaf kar dijiyega

rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#17)
EkDharkan
~~Reshma ke Dil ki~~
EkDharkan will become famous soon enough
 
EkDharkan's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: May 2007
Location: Suriname
Rep Power: 17
22nd June 2007, 09:23 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab aur SSA dosto


7 may ko punjabi ke mere mehboob shayar "Shiv Kumar Batalvi" ki barsi thi.

ek punjabi Ghazal likhi hai , uske do she'r Shiv ke naam :

tu hi saeN ik dil da mehram haniya
koyi na puchdaa tere biimaar di

chal manaa uTh kar tayaari vekh taaN
maut boohe 'choN aawaajaaN maardi


.................................................. ....



ab urdu Ghazal ki baari, mula'iizaa farmaayeN :



badi khaahisheiN haiN, badi bebasi hai
yahi ziNdagii hai to kya ziNdagi hai


apne to daaman meiN kaaNTe hi kaaNTe
ti'raa shauq phooloN ki saudaagari hai


yahi soch kar Gham uThaate rahe hum
hamaare ye aaNsoo kisi ki khushi hai


khataa ham se kuch to hui hai yaqeenan
jo aise sazaa par sazaa mil rahi hai


jho'lee failaa ke jo maaNgi kisi se
aisi mohabbat bhi kis kaam ki hai


kahaaN ek dil tha, kahaaN itne Tukde!
tere sadqe, seene meiN raunak badi hai


heere the, patthar baraabar hue haiN
mizaaj-e-sitamgar vahi ka vahi hai


suno meherbaaN yeh Ghazal akhiri hai
ke saaNsoN ki rehmat ghaRi do ghaRi hai


"maikash" kahaaN aur apna thikaanaa
ya maikadaa hai ya unki gali hai




rab raakha
maikash
Bahut Khubsurat!


Dunya ke sitam ka koi hisaab nahi,
Lekin meri houslo ka bhi jawaab nahi...
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
akelijaan
Mai shayar to nahi
akelijaan is a jewel in the roughakelijaan is a jewel in the roughakelijaan is a jewel in the rough
 
akelijaan's Avatar
 
Offline
Posts: 739
Join Date: Feb 2006
Location: mumbai,india
Rep Power: 21
24th June 2007, 06:36 PM

kahaaN ek dil tha, kahaaN itne Tukde!
tere sadqe, seene meiN raunak badi hai


heere the, patthar baraabar hue haiN
mizaaj-e-sitamgar vahi ka vahi hai

adaab maikash ji,
aapko padhna to har kisi ki khuwaahish hai,bahut zabardast likhte hain aap.yeh ashaar bahut pasand aaye.yunhin likhte rahen


yun bin bulaaye milne chala aata hai,
gham ko mujh se yeh unsiyat kaisi??

--akelijaan--
  Send a message via Yahoo to akelijaan  
Reply With Quote
Old
  (#19)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
19th September 2007, 06:32 PM

Quote:
Originally Posted by pooja_d View Post
Maikash ji, ssk...

Aaj bade dino baad apki koi gazal padhi. Padha to har sher laa'javaab laga. Bahot hi sundar likha hai apne.

suno meherbaaN yeh Ghazal akhiri hai
ke saaNsoN ki rehmat ghaRi do ghaRi hai


"maikash" kahaaN aur apna thikaanaa
ya maikadaa hai ya unki gali hai

Ye do sher! kya kahane inke to. Daad kabuul kijiyega. Likhte rahiye.

Grazie

Pooja

namaste Pooja jee

pehel to aapke khat ka jawaab dene meiN huii ta'khiir ke liye muaafi chahta huuN

baat dar-asl yeh hai jab mera thread forum meiN bohat peeche chala jaata hai to reply karne ka koii fa'iidaa nazar nahiiN aata lekin ab ta'y kiya hai ke dostoN ki muhabbat ka ehteraam karna zaroori hai isliye aa'iiNda mujhse yeh bhool dobara nahiiN hogi

aapne do-ek ash'aar pasaNd farmaaye haiN unke liye ,era shukriya tasleem kijiye

rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#20)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
19th September 2007, 06:33 PM

Quote:
Originally Posted by mast View Post
Ustaad aapki kalam ki dhaar aisi hai ki dil ke aar paar ho jaati hai...ek pur-asar nazm aur us par yeh suhaavna sher dil mein ghar kar gaye....

yunhi hum sab par meharbaan rahiYeGaa..

aapka apnaa
bhai meher'baani to aap jaise dostoN ki hai jo mujh jaise naa'laayiq ko saat'veN aasmaan par biThaa ke rakhte haiN, bohat shukriya


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#21)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
19th September 2007, 06:36 PM

Quote:
Originally Posted by musafir ek pal View Post
maikash g,
namaskar,

aapki nazm padi, pehle to kuch pal samaj hi nahi aaya, kahan se surwat karun. dard ko is tarah bayan ki hai, k bas dil udaas ho gaya padkar. har lafz ka dard main mehsuus kar sakta hun. padte padte hum, aapke likhe khwaalon mein khi gaye. bahut khub janab.
daad hajir hai, kabul kijiye.

god bless u

manish

musafir saahab

aadaab


go Ghazal ka maqsad to dard-e-dil ko numaayaaN karna hi tha lekin mujhse yeh kehte nahiiN ban raha ke "mujhe khushii huyi" kyoNke 'kisi ki udaasi kisi ka khushii' waala karobaar maiN apne jimme'y nahiiN lena chahta

Ghazal pasaNd farmaane ke liye shukriya qabuul farmaaiiye


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#22)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
19th September 2007, 06:38 PM

Quote:
Originally Posted by dilip200 View Post
janab maikas sahab
namaskar or ssa

janab kin shwadon main is poori gazal ki tarif karoon samajhiye is prakar ke umda kalam badi mushkil se padne ko milte hian. har ek sher apne aap main mukkmal or jindgii ka falsafa sa bayaa.n karta lagta hai.
poori gazal gunguna ke dekhii bahut pyarii lagii......................

hazaro.n duaao.n ke sath daad hazir hai

shukriyaa

dilip
namaste dilip saahab


bhai ye to aapki dariya-dilii hai jo meri in haqeer Ghazliiyaat ko kisi qaabil samajhte haiN vagarnaa ba'kaul iqbaal :

kahaaN maiN aur kahaaN naKht-e-gul


Ghazal pe apni pasaNdiidagi ki mohar lagaane ke liye shurkurguzaar huuN aapka



rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#23)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
19th September 2007, 06:40 PM

Quote:
Originally Posted by Mohammad Kashif View Post
adab maikash ji bahut khubsurat gazal lagi.esi aur bhi gazal ka hume intezar raheyga.unhi likhterahey
khush rahey hamesha
aap ka dost
Kashif saahab aadaab


daad aur duaaoN ke liye mashkoor-o-mamnuun huuN aapka

bohat shukriya


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#24)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
19th September 2007, 06:41 PM

Quote:
Originally Posted by EkDharkan View Post
Bahut Khubsurat!
bohat shukriya

maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#25)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
19th September 2007, 06:45 PM

Quote:
Originally Posted by akelijaan View Post
kahaaN ek dil tha, kahaaN itne Tukde!
tere sadqe, seene meiN raunak badi hai


heere the, patthar baraabar hue haiN
mizaaj-e-sitamgar vahi ka vahi hai

adaab maikash ji,
aapko padhna to har kisi ki khuwaahish hai,bahut zabardast likhte hain aap.yeh ashaar bahut pasand aaye.yunhin likhte rahen

aapne Ghazal pasaNd ki mujhe khushii hai ke maiN aapki ummiidoN par kharaa utraa huuN, aage bhi yahi kohshish rahegii


pazi'raii ke liye shukurguzaar huuN aapka


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Badi hasrat se apna dil jaate hain chaahat Shayri-e-Dard 13 10th August 2006 06:48 PM
badi mushkil hai... kavitagupta2005 Shayri-e-Dard 0 29th January 2006 03:32 PM
Badi Gaherai...!!! aatish Shayri-e-Dard 0 23rd March 2004 03:35 PM
Ghazal:- .... 'Galib' ki baat badi hai phir bhi,ab waisa kaun aayegA madhegum Shayri-e-Dard 7 24th August 2003 08:44 PM
badi.............. zakhmee Shayri-e-Dard 0 20th May 2003 03:01 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com