Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
KUCCH KAMI SI HAI..par kyaa or kahan??
Old
  (#1)
chandsi
Registered User
chandsi will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,192
Join Date: Sep 2004
Rep Power: 21
KUCCH KAMI SI HAI..par kyaa or kahan?? - 11th March 2006, 12:36 PM

old poem with corrections..................(phir bhi kutch kami si hai )

1...........old one.........
Gam-e-gardish-e-ayyaam bas itni si hai
Ek baar toh dekh loon aapko aankho se

Gam-e-getii bas itni si hai
Ek baar toh choo loo aapko haatho se

Gam-e-hastii bas itni si hai
Ek baar tum bhi kaho ki pyaar hai mujh se

Gam-e-hayaat bas itni si hai
Ek baar toh aap bhi dekho mujhe pyaar se

Gam-e-jahaan bas itni si hai
Ek baar toh milne aao apni khushi se

Gam-e-roz-gaar bas itni si hai
Kutch pal toh aapka mile aapke zindagi se

Gam-e-zamaanaa bas itni si hai
Ek baar toh pukaaro mujhko apne jubaan se

Gardish-e-dauran bas itni si hai ……………………………..

2........new one ..............
Gam-e-gardish-e-ayyaam bas itni si hai
Ek baar toh dekh loon aapko______apne ___ _aankho se

Gam-e-getii bas itni si hai
Ek baar toh choo loo aapko______apne ______haatho se

Gam-e-hastii bas itni si hai
Ek baar toh pyaar hai kehdo_____apne _____hontho se

Gam-e-hayaat bas itni si hai
Ek baar toh pyaar se dekho__ ____apne______nayno se

Gam-e-zamaanaa bas itni si hai
Ek baar toh mujhko pukaaro __ ___apne _____jubaan se

Gam-e-jahaan bas itni si hai
Ek baar toh milne aao ___________apni _____khushi se

Gam-e-roz-gaar bas itni si hai
Kutch pal toh mile MUJHKO __ ___aapki ____ zindagi se

Gardish-e-dauran bas itni si hai
kab lout ke aaoge_____________apni _____mehfil se

Urdu: Gam-e-gardish-e-ayyaam
English: Sorrow Of Everyday Life
Hindi: .
Urdu: Gam-e-getii
English: Sorrows Of Life
Hindi: .
Urdu: Gam-e-hastii
English: Sorrows Of Life
Hindi: .
Urdu: Gam-e-hayaat
English: Sorrows Of Life
Hindi: .
Urdu: Gam-e-jahaan
English: Sorrow Of Life
Hindi: .
Urdu: Gam-e-roz-gaar
English: Sorrow Of Life
Hindi: .
Urdu: Gam-e-zamaanaa
English: Sorrow Of Life
Hindi: .
Urdu: Gardish-e-dauran
English: Ups And Downs Of Life

Hindi: .

(sikhne ki chaah ..............ek koshish ........or kutch nahi .........)

.

.
Bada hua to kya hua jaisay paid khajoor,
Panthi ko chhaya nahin, phal laagen ati door.

Nahaye dhoye kya bhala jo man ka mail na jaay
Meen sada jal mein rahe par tan ki baas na jaay

Akath Kahani Prem Ki, Kutch Kahi Na Jaye
Goonge Keri Sarkara, Baithe Muskae

.................................bye and tc ..................

Last edited by chandsi; 11th March 2006 at 12:45 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
chandsi
Registered User
chandsi will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,192
Join Date: Sep 2004
Rep Power: 21
11th March 2006, 01:06 PM

1.........OLD ONE .............

Hai sab-kucch zindagi me par kucch kami si haii
Rukaa rukaa sa mera din, aur raat thhami si haii==NM

Bewajeh gham ko paalein aisi to aadat nahi
aarzoo teri jo utari, aankhon mein nami si haii==NM

zindagi TERE bin adhoori hin nahi
aasoon bhi AANKHO MAIN kutchH rukii sii hai

Qismat se lad sakkoo itna aasAan bhi nahi
khuda ne ki mere sang kutch dillagi sii haii

zindagi tere binn kat bhi jaati magar
aankho main _tere khwaab ki roshni sii haii

TUJHE PAANE KI CHAAH NE ITNA RULAAYA HAII
TANHA HOON AUR ZINDAGI KUTCH PHEEKII SII HAI

HAI NIYAM KE KHILAAF TERA NAAM LENA BHII
YE NIYAM BHI MERE LIYE ZULMII SII HAII

TUM na ho paaye mere toh kya
TUMSE milna bhii _ Maal-e-bandagii SII HAII

.2.........NEW ONE.....................

Hai sab-kucch jeevan main par kucch kamii sii haii
Rukee rukee se mere din, aur raat thamii sii haii==NM

Hai roshni meri jeevan main par kucch albelii sii haii
Sooni sooni sii meri aankhain, aur aansoo jamii sii haii

Hai uska saath jeevan main par kucch dilllagii sii haii
Bujha bujha saa uska pyaar, aur nafrat gulaamii sii hai

Hai kitne rang jeevan main par kucch phikii sii haii
Sehmii sehmii sii merii khushiyan, aur qismat bedamii sii haii

Hai kitne rishte jeevan main par kucch aznabii sii haii
Tanha tanha sii meri zindagi, aur mout berahamii sii haii

.

.
Bada hua to kya hua jaisay paid khajoor,
Panthi ko chhaya nahin, phal laagen ati door.

Nahaye dhoye kya bhala jo man ka mail na jaay
Meen sada jal mein rahe par tan ki baas na jaay

Akath Kahani Prem Ki, Kutch Kahi Na Jaye
Goonge Keri Sarkara, Baithe Muskae

.................................bye and tc ..................
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
chandsi
Registered User
chandsi will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,192
Join Date: Sep 2004
Rep Power: 21
11th March 2006, 01:52 PM

1...old one.......

Dil-e-hasarat-nasiib bas nazar bhar dekhne ki
Ek wo hain jo aankhe churaaya karte hain

Lamhaat –e-yaad –e-yaar yaad bahut aata hai
Ek wo hain jo khwaabon se bhi katraate hain

Mere nas nas main wo aise samaaye hain
Ek wo hain jo naam lene se bhi ghbraate hain

Meri zindagi unse hin shuru unpe hin khtam hoti hai
Ek wo hain jo sangdili ka rukh apnaate hain

Ek hin vaade pe toh meri khushiyono ki buniyaad thi
Ek wo hain jo uss vade ko todne ki baat kehte hain

Zindagi kat hin jaati bas ek unke naam ke sahaare
Ek wo hain jo naam bhool jaane ka vaada lete hain………

2......new one ...

Dil-e-hasarat-nasiib bas nazar bhar dekhne ki
Ek wo hain jo aankhe churaaya karte hain

Lamhaat –e-yaad –e-yaar yaad bahut aata hai
Ek wo hain jo khwaabon se bhi katraate hain

Raahat-e-jaan bankar Mere nas nas main wo samaaye hain
Ek wo hain jo naam lene se bhi ghbraate hain

Afasaanaa-e-hastii unse hin shuru unpe hin khtam hoti hai
Ek wo hain jo sangdili ka rukh apnaate hain

Ek hin vaade pe toh meri Irtiqaa-e-zindagii ki buniyaad thi
Ek wo hain jo vade ko todne ki baat kehte hain

Fursat-e-hastee kat hin jaati ek unke naam ke sahaare
Ek wo hain jo bhool jaane ka vaada lete hain

.

.
Bada hua to kya hua jaisay paid khajoor,
Panthi ko chhaya nahin, phal laagen ati door.

Nahaye dhoye kya bhala jo man ka mail na jaay
Meen sada jal mein rahe par tan ki baas na jaay

Akath Kahani Prem Ki, Kutch Kahi Na Jaye
Goonge Keri Sarkara, Baithe Muskae

.................................bye and tc ..................

Last edited by chandsi; 11th March 2006 at 02:02 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
GKS
Registered User
GKS is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 124
Join Date: Feb 2006
Location: New Delhi
Rep Power: 19
11th March 2006, 11:29 PM

agar aapki ijaazat ho to kya mai kuch aise cheezen likh sakta hun jo mujhe kamiyon jaisi lagi.maine aapse ijaazat isliye maangi kyunki kai baar kuch likhi baatein dil ke itna karib hoti hai ke hum unme kuch bhi badalna nahi chahte.
aapke jawaab ke intzaar mei

GKS
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
chandsi
Registered User
chandsi will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,192
Join Date: Sep 2004
Rep Power: 21
12th March 2006, 09:08 AM

Quote:
Originally posted by GKS
agar aapki ijaazat ho to kya mai kuch aise cheezen likh sakta hun jo mujhe kamiyon jaisi lagi.maine aapse ijaazat isliye maangi kyunki kai baar kuch likhi baatein dil ke itna karib hoti hai ke hum unme kuch bhi badalna nahi chahte.
aapke jawaab ke intzaar mei

GKS

v true ...kaii baar likhne waala jo soch kar shabdon ko baandhta hai usske peeche kooi na kooi wazah hoti hai .............

par yahan par mere dono edited poem se bhi mujhe kaii jagah aisa lag raha ki nahi yahan pe aisa nahi waisa hona chaahiye ........

u most welcome ..............aapko jahan bhi lage aap edit kijiye

ho sakta hai aapka edit kiya huaa mujhe pasand aaye yaa na bhi aaye phir .bhi..........ek dusre ko tips dena kooi buri baat nahi .........
or issi tarah baaki log bhi apne poems likhte waqt kaii baaton ka khyaal rakh paayegain ...................coz jarori hai kooi aapko do shabd pyaar ke saath aapko or aage jaane ke liye aapke galtiyouno ko pyaar se bata jaaye na ki ..................galat way main aapko aisa chot de ki aap likhna hin band kar do ...........

coz sabhi yahan sikh hin rahe hain kooi perfect nahi hai...........

or ek sabse badi baat ki mujhe urdu nahi aati maine abhi shuruaat hin ki hai toh shayad urdu words ko use karna mujhe nahi aaya ho ...........maine toh bas dictionary se words meaning dekh usse use kiya hai .......................or abhi keval sikh hin rahi hoon toh jyaada se jyaada words use kar urdu words ko pehchaanne ke liye aisa kar rahi hoon ..................abhi toh target yahi hai ki urdu words ko jaanu aur poems ke rules ko follow karoon ..............................

.................................................. .............u most wellcome........

.................................................. ..........................................thanksss !

.

.
Bada hua to kya hua jaisay paid khajoor,
Panthi ko chhaya nahin, phal laagen ati door.

Nahaye dhoye kya bhala jo man ka mail na jaay
Meen sada jal mein rahe par tan ki baas na jaay

Akath Kahani Prem Ki, Kutch Kahi Na Jaye
Goonge Keri Sarkara, Baithe Muskae

.................................bye and tc ..................
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
GKS
Registered User
GKS is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 124
Join Date: Feb 2006
Location: New Delhi
Rep Power: 19
14th March 2006, 07:40 PM

hello Chaand ji,
jaisa ke maine kahaa tha mujhe jo kamiyaan lagegi unhe mai aapko bataoonga to aaj mai haazir hun.
aapki pehli kavita mein aapne ek taraff to urdu ke chuninda shabdon ka prayog kiya hai par unhi sheron ke ant mein aapne hindi ke shabdo ka prayog karke acha nahi kiya,agar aap urdu ke hi lafzo ka prayog karti to achaa rehta. jaise aankhon ki jagah nazaron,pyaar ki jagah mohabbat,hontho ki jagah labon etc etc.par haan gum ki itni variety hoti hai yeh humein aapne bataaya.bahut bahut dhanyavaad

2nd one
Hai sab-kucch jeevan main par "kahin"kucch kamii sii haii
Rukee rukee se mere din, aur raat thamii sii haii==N

"kahin" maine add kiya hai aur is sher mein contrast hai "sab kuch " and kamii mein par doosre aur teesre sheron mein kahin yeh element nazar nahi aaya
jaise
Hai roshni meri jeevan main par kucch albelii sii haii
ab ise mai kuch is tarah byaan karta

Hai "roshni" meri jeevan main par kahin kuch "andhera" saa hai
haalanki aapka rhyme "sii hai" chahta hai to iske baare mein aap khud sochiye.

aansu jamii si hai yeh baat kuch jamii nahi
agar aansu jamein se hai tab to thik lagta par aansu jamii sii hai lag raha hai jabardasti lagaaya gayaa hairhyme karne ke liye.

3rd one)iske liye bhi mai wahi advice doonga ke aapne urdu ke shabdon ke saath hindi ke shabdon ka prayog kiya hai jabki aap yahan par urdu ke shabd istemaal kar sakti hai

abhi ke liye itna hi kar raha hun,mujhe darr hai kahin aap khafaa na ho .agar kabhi kuch aur mujhe dikha to zaroor bataoonga.
aur waise bhi abhi tabiyat kuch nasaaz hai
AAKHIR MEIN EK REQUEST
apni rachnaon ko bright colours mein na likhe padhne mein bahut dikkat hoti hai aur acha bhi nahi lagta.

Aag ab bhi wahi hai
Dard ab bhi wahi hai
Waqt shayad badal gaya hai
Meri shakhshiyat ab bhi wahi hai.

GKS
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
chandsi
Registered User
chandsi will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,192
Join Date: Sep 2004
Rep Power: 21
16th March 2006, 11:57 PM

Quote:
Originally posted by GKS
hello Chandsi ji,
jaisa ke maine kahaa tha mujhe jo kamiyaan
l
agegi unhe mai aapko bataoonga to aaj mai haazir hun.

aapki pehli kavita mein aapne ek taraff to urdu ke chuninda

shabdon ka prayog kiya hai par unhi sheron ke ant mein aapne

hindi ke shabdo ka prayog karke acha nahi kiya,agar aap urdu ke

hi lafzo ka prayog karti to achaa rehta. jaise aankhon ki jagah

nazaron,pyaar ki jagah mohabbat,hontho ki jagah labon etc

etc.par haan gum ki itni variety hoti hai yeh humein aapne bataaya.bahut bahut dhanyavaad

hmmmmmmmm...........thanks ...iss tips ke liye ......

par ye kisne keh diyaa apko ki ye saare shabd ..........urdu main nahi use hote ..............

Urdu: Aankh
English: Eye, Optic
Hindi: .

Urdu: Aankheyn
English: Eyes
Hindi: .

Urdu: Pyaar
English: Amour, Kiss, Love
Hindi: .

etc.......................

2nd one
Hai sab-kucch jeevan main par "kahin"kucch kamii sii haii
Rukee rukee se mere din, aur raat thamii sii haii==N

"kahin" maine add kiya hai aur is sher mein contrast hai "sab kuch " and kamii mein par doosre aur teesre sheron mein kahin yeh element nazar nahi aaya
jaise
Hai roshni meri jeevan main par kucch albelii sii hai=== albeli si

hai matlab ye ki .............kutch ajeeb si hai ====kutch baaton ko

deeply sochiye ===trak vitark kijiye ===shabdon ka sahi matlab

dhoondhiye .............

ab ise mai kuch is tarah byaan karta

Hai "roshni" meri jeevan main par kahin kuch "andhera" saa hai
haalanki aapka rhyme "sii hai" chahta hai to iske baare mein aap khud sochiye.

aansu jamii si hai yeh baat kuch jamii nahi====yahan main

shayd galat ho sakti hoon par mera yahan jamii ka matlab yahan ye

tha ki ===jamm jaana .........sookh jaana ............aasoon sookh

gaye hain yaa jamm gaye hain===

agar aansu jamein se hai tab to thik lagta par aansu jamii sii hai lag raha hai jabardasti lagaaya gayaa hairhyme karne ke liye.

3rd one)iske liye bhi mai wahi advice doonga ke aapne urdu ke shabdon ke saath hindi ke shabdon ka prayog kiya hai jabki aap yahan par urdu ke shabd istemaal kar sakti hai

==hmmmm................urdu or hindi words .............bahut saare urdu words hain jo hindi main aam shabd ki tarah use hota hai ................khair its ok ...........aapne mujhe padha itna hin mere liye kaafi hai ..................

abhi ke liye itna hi kar raha hun,mujhe darr hai kahin aap khafaa na ho .agar kabhi kuch aur mujhe dikha to zaroor bataoonga.===do one thing aap mujhe mail hin kiya karo meri galtiyaana bataane ke liye coz yahan pe aise itne notes padhne main ajeeb se lagte hain ..............jahan bhi aapka diyaa tips mujhe sahi laga main aapke naam ke saath apna poem edit karoongi ................pure khushi ke saath .........

aur waise bhi abhi tabiyat kuch nasaaz hai

AAKHIR MEIN EK REQUEST =====but i love to use colurfull fonts =======agar main khush hoon or bas enjoy karti hoon apne shabdoon ko likhne main toh ...........main aksar colourful fonts use karti hoon ...........jab udaas ya susht huui tabhi .....simple way hota hai .......

........poem ka swaad uske chupee bhaavon main hota hai ..........deep deep jaa kar padhiye .............agar kahin lage ki ye kya likh diyaa likhne waale ne ...........toh usse baar baar padhiye ...........batoon ko das roop dijiye ...........tab jaakar sahi meaning samjh aayega .

..................kehte hian jisko pasand ho songs soonna toh wo har gaane ko pyaar se sunta hai warna kisi ko wahi gaana ek SHOR ke alaawa kutch bhi nahi lagta ..........................

apni rachnaon ko bright colours mein na likhe padhne mein bahut dikkat hoti hai aur acha bhi nahi lagta.

thanks for coming .................or aab ki baar mail kijiyega .........

..................................thanks a lot for everything .......................

.
Bada hua to kya hua jaisay paid khajoor,
Panthi ko chhaya nahin, phal laagen ati door.

Nahaye dhoye kya bhala jo man ka mail na jaay
Meen sada jal mein rahe par tan ki baas na jaay

Akath Kahani Prem Ki, Kutch Kahi Na Jaye
Goonge Keri Sarkara, Baithe Muskae

.................................bye and tc ..................
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
chandsi
Registered User
chandsi will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,192
Join Date: Sep 2004
Rep Power: 21
24th March 2006, 09:13 AM

Quote:
Originally posted by chandsi
1.........OLD ONE .............

Hai sab-kucch zindagi me par kucch kami si haii
Rukaa rukaa sa mera din, aur raat thhami si haii==NM

Bewajeh gham ko paalein aisi to aadat nahi
aarzoo teri jo utari, aankhon mein nami si haii==NM

zindagi TERE bin adhoori hin nahi
aasoon bhi AANKHO MAIN kutchH rukii sii hai

Qismat se lad sakkoo itna aasAan bhi nahi
khuda ne ki mere sang kutch dillagi sii haii

zindagi tere binn kat bhi jaati magar
aankho main _tere khwaab ki roshni sii haii

TUJHE PAANE KI CHAAH NE ITNA RULAAYA HAII
TANHA HOON AUR ZINDAGI KUTCH PHEEKII SII HAI

HAI NIYAM KE KHILAAF TERA NAAM LENA BHII
YE NIYAM BHI MERE LIYE ZULMII SII HAII

TUM na ho paaye mere toh kya
TUMSE milna bhii _ Maal-e-bandagii SII HAII

.2.........NEW ONE.....................

Hai sab-kucch jeevan main par kucch kamii sii haii
Rukee rukee se mere din, aur raat thamii sii haii==NM

Hai roshni meri jeevan main par kucch albelii sii haii
Sooni sooni sii meri aankhain, aur aansoo jamii sii haii

Hai uska saath jeevan main par kucch dilllagii sii haii
Bujha bujha saa uska pyaar, aur nafrat gulaamii sii hai

Hai kitne rang jeevan main par kucch phikii sii haii
Sehmii sehmii sii merii khushiyan, aur qismat bedamii sii haii

Hai kitne rishte jeevan main par kucch aznabii sii haii
Tanha tanha sii meri zindagi, aur mout berahamii sii haii

.

har Khushii me.n koii kamii sii hai
.................................................. ................Javed Akhtar

.har Khushii me.n koii kamii sii hai
ha.Nsatii aa.Nkho.n me.n bhii namii sii hai

din bhii chup chaap sar jhukaaye thaa
raat kii nafz bhii thamii sii hai

kisako samajhaaye.N kisakii baat nahii.n
zahan aur dil me.n phir Thanii sii hai

Khvaab thaa yaa Gubaar thaa koii
gard in palako.n pe jamii sii hai

kah gae ham kisase dil kii baat
shahar me.n ek sanasanii sii hai

hasarate.n raakh ho gaii.n lekin
aag ab bhii kahii.n dabii sii hai

bholo raam ne do line likh kar meri neende udaa di thi ..............kaash pehle main iss poem ko padhi hoti tho .........kafiya main thoda sa help mil hin jaata ...........khair ..............................................achc ha hin huaa coz wahin se maine apni galtiyouno pe dhyaandena denashuru kiya ....................thanks bholo raam ..............just kidding ......

.
Bada hua to kya hua jaisay paid khajoor,
Panthi ko chhaya nahin, phal laagen ati door.

Nahaye dhoye kya bhala jo man ka mail na jaay
Meen sada jal mein rahe par tan ki baas na jaay

Akath Kahani Prem Ki, Kutch Kahi Na Jaye
Goonge Keri Sarkara, Baithe Muskae

.................................bye and tc ..................
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
GKS
Registered User
GKS is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 124
Join Date: Feb 2006
Location: New Delhi
Rep Power: 19
27th March 2006, 01:57 AM

are to ab humaara naam bhi badal diyaa,bholu raam.
khair koi baat nahi aap badhi hai ,haq banta hai aapka(dialogue courtesy from kabhi khushi kabhi gum)
kuch din tak mai naaraaz tha aapki baat se par aaj nahi hun isliye yahan likh rahaa hun aaj.kuch wakt lagta hai gusse se jeet paane mein , jise jitna kam wakt lage wo utna hi akalmand. mai itna akalmand nahi isilye kuch wakt lagaa.
abhi chalta hun kuch aur khaas kehne ko nahi.baad mein milte hai

GKS
woh log ab milte nahi jo raah-ae- wafaa pe nikale the khushi dhoondne
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
chandsi
Registered User
chandsi will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,192
Join Date: Sep 2004
Rep Power: 21
28th March 2006, 10:22 AM

bholo raam ==means ==bhola bhala insaan .............

aapki naraazgi door huii .............ye jaankar khushi huii ..............
aapse pm main jitna baat huii uss se pata chala ki aap ek suljhe huye insaan ho..............achcha laga aapko jaan kar .........

kaii baar aisa hota hai ..........ki aap kehna kutch chaahte ho log sajh kutch aur jaate hain ..................abb issmain kehne waali ki kooi galti nahi agar aapne usse thik se nahi samjha ...........issliye usse pooch lena jyaada achcha hota hai ki aap kehna kya chahte the ..........aisa karne se ek dusre ke baaton ko hum samjh paate hain ......................

.
abb aap dhyaan se padhna iss poem ko ...............isse javed ji ne likha hai ......................

har Khushii me.n koii kamii sii hai
.................................................. ................Javed Akhtar

.har Khushii me.n koii kamii sii hai
ha.Nsatii aa.Nkho.n me.n bhii namii sii hai

din bhii chup chaap sar jhukaaye thaa
raat kii nafz bhii thamii sii hai

kisako samajhaaye.N kisakii baat nahii.n
zahan aur dil me.n phir Thanii sii hai

Khvaab thaa yaa Gubaar thaa koii
gard in palako.n pe jamii sii hai

kah gae ham kisase dil kii baat
shahar me.n ek sanasanii sii hai

hasarate.n raakh ho gaii.n lekin
aag ab bhii kahii.n dabii sii hai

abb baataiye ki yahan jamii ka matlab kya hai ...........sach kahoon likhte waqt main bhi yahi sochi thi kahin log isse jameen na samjh baithain................................

so=== jamii and jameen/jamiin main ===farq hai .hai na ?

jaise kitaabo ke upar kitni dhool jamm gayi hai .....jamii huii hai

bas aapko reply dene ke liye hin aai thi .......................

.............................................aab phir kutch poochna ya kehna ho pm kijiyega ....................main yahan likhi taaki wo TOPIC clear ho ..............jamii or jameen waali baat ...............

...................................BYE AND TC ........................................

.

.
Bada hua to kya hua jaisay paid khajoor,
Panthi ko chhaya nahin, phal laagen ati door.

Nahaye dhoye kya bhala jo man ka mail na jaay
Meen sada jal mein rahe par tan ki baas na jaay

Akath Kahani Prem Ki, Kutch Kahi Na Jaye
Goonge Keri Sarkara, Baithe Muskae

.................................bye and tc ..................
   
Reply With Quote
Re: KUCCH KAMI SI HAI..par kyaa or kahan??
Old
  (#11)
Diggaj_Dave
EK CHAMAKTA HUA SITARA
Diggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to behold
 
Diggaj_Dave's Avatar
 
Offline
Posts: 1,884
Join Date: Jun 2005
Location: Rajasthan,India
Rep Power: 26
Re: KUCCH KAMI SI HAI..par kyaa or kahan?? - 28th March 2006, 04:34 PM

kaha kami si hai aap hi bata dijiye

main to khud bachha hu kya jaanu kami kaha hai

Hindi urdu ka bohat acha prayog aapki in rachano mein dekhar khushi hui

mehfil sajati rahiye

Diggaj

Quote:
Originally posted by chandsi
old poem with corrections..................(phir bhi kutch kami si hai )

1...........old one.........
Gam-e-gardish-e-ayyaam bas itni si hai
Ek baar toh dekh loon aapko aankho se

Gam-e-getii bas itni si hai
Ek baar toh choo loo aapko haatho se

Gam-e-hastii bas itni si hai
Ek baar tum bhi kaho ki pyaar hai mujh se

Gam-e-hayaat bas itni si hai
Ek baar toh aap bhi dekho mujhe pyaar se

Gam-e-jahaan bas itni si hai
Ek baar toh milne aao apni khushi se

Gam-e-roz-gaar bas itni si hai
Kutch pal toh aapka mile aapke zindagi se

Gam-e-zamaanaa bas itni si hai
Ek baar toh pukaaro mujhko apne jubaan se

Gardish-e-dauran bas itni si hai ……………………………..

2........new one ..............
Gam-e-gardish-e-ayyaam bas itni si hai
Ek baar toh dekh loon aapko______apne ___ _aankho se

Gam-e-getii bas itni si hai
Ek baar toh choo loo aapko______apne ______haatho se

Gam-e-hastii bas itni si hai
Ek baar toh pyaar hai kehdo_____apne _____hontho se

Gam-e-hayaat bas itni si hai
Ek baar toh pyaar se dekho__ ____apne______nayno se

Gam-e-zamaanaa bas itni si hai
Ek baar toh mujhko pukaaro __ ___apne _____jubaan se

Gam-e-jahaan bas itni si hai
Ek baar toh milne aao ___________apni _____khushi se

Gam-e-roz-gaar bas itni si hai
Kutch pal toh mile MUJHKO __ ___aapki ____ zindagi se

Gardish-e-dauran bas itni si hai
kab lout ke aaoge_____________apni _____mehfil se

Urdu: Gam-e-gardish-e-ayyaam
English: Sorrow Of Everyday Life
Hindi: .
Urdu: Gam-e-getii
English: Sorrows Of Life
Hindi: .
Urdu: Gam-e-hastii
English: Sorrows Of Life
Hindi: .
Urdu: Gam-e-hayaat
English: Sorrows Of Life
Hindi: .
Urdu: Gam-e-jahaan
English: Sorrow Of Life
Hindi: .
Urdu: Gam-e-roz-gaar
English: Sorrow Of Life
Hindi: .
Urdu: Gam-e-zamaanaa
English: Sorrow Of Life
Hindi: .
Urdu: Gardish-e-dauran
English: Ups And Downs Of Life

Hindi: .

(sikhne ki chaah ..............ek koshish ........or kutch nahi .........)

.

Navard-e-ishq mein kya hua kya bataye hum
kabhi humne yu khud ko harata naa dekha

Kaise Samjhau Dil-e-hasarat-nasiib Ko Apne
K Sab Kuch Milta Nahi Chah Lene Se Ish Zamane Mein..... "Diggaj"
 Send a message via ICQ to Diggaj_Dave Send a message via Yahoo to Diggaj_Dave Send a message via AIM to Diggaj_Dave  
Reply With Quote
Re: Re: KUCCH KAMI SI HAI..par kyaa or kahan??
Old
  (#12)
chandsi
Registered User
chandsi will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,192
Join Date: Sep 2004
Rep Power: 21
Re: Re: KUCCH KAMI SI HAI..par kyaa or kahan?? - 29th March 2006, 12:37 PM

Quote:
Originally posted by Diggaj_Dave
kaha kami si hai aap hi bata dijiye

main to khud bachha hu kya jaanu kami kaha hai

Hindi urdu ka bohat acha prayog aapki in rachano mein dekhar khushi hui

mehfil sajati rahiye

Diggaj

Diggaj ji and GKS JI ............................

...........................................KYA AAB YE POEM THIK HO GAYI HAI ?

Gam-e-gardish-e-ayyaam bas itnii sii haii
Ek dafaa toh deed karoon _apne aankhoN see

Gam-e-getii bas itnii sii haii
Ek dafaa choo loo aapko _apne haathoN see

Gam-e-hastii bas itnii sii haii
Ek dafaa ilfat hai kaho _ apne labooN see

Gam-e-hayaat bas itnii sii haii
Ek dafaa laag se dekho _ apne naynoN see

Gam-e-zamaanaa bas itnii sii haii
Ek dafaa sada do mujhko_ apne lughatoN see

Gam-e-jahaan bas itnii sii haii
Ek dafaa mulaaqaat karo _apne be-gamoN see

Gam-e-roz-gaar bas itnii sii haii
ek mousam toh mile mujko _aapke ayyaamoN see

Gardish-e-dauran bas itnii sii haii
ek dafa toh aao _apnii bazm-e-kushaaoN see

..........................THIK KIJIYE JAHAN BHI GALTI HUII HAI ....IF U CAN ...............

.....................................BYE AND TC .....................

.

.
Bada hua to kya hua jaisay paid khajoor,
Panthi ko chhaya nahin, phal laagen ati door.

Nahaye dhoye kya bhala jo man ka mail na jaay
Meen sada jal mein rahe par tan ki baas na jaay

Akath Kahani Prem Ki, Kutch Kahi Na Jaye
Goonge Keri Sarkara, Baithe Muskae

.................................bye and tc ..................
   
Reply With Quote
Re: Re: Re: KUCCH KAMI SI HAI..par kyaa or kahan??
Old
  (#13)
chandsi
Registered User
chandsi will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,192
Join Date: Sep 2004
Rep Power: 21
Re: Re: Re: KUCCH KAMI SI HAI..par kyaa or kahan?? - 29th March 2006, 08:06 PM

Quote:
Originally posted by chandsi
Diggaj ji and GKS JI ............................

...........................................KYA AAB YE POEM THIK HO GAYI HAI ?

Gam-e-gardish-e-ayyaam bas itnii sii haii
Ek dafaa toh deed karoon _apne aankhoN see

Gam-e-getii bas itnii sii haii
Ek dafaa choo loo aapko _apne yadooN //oakooN see

Gam-e-hastii bas itnii sii haii
Ek dafaa ilfat hai kaho _ apne labooN see

Gam-e-hayaat bas itnii sii haii
Ek dafaa laag se dekho _ apne naynoN see

Gam-e-zamaanaa bas itnii sii haii
Ek dafaa sada do mujhko_ apne lughatoN see

Gam-e-jahaan bas itnii sii haii
Ek dafaa mulaaqaat karo _apne be-gamoN see

Gam-e-roz-gaar bas itnii sii haii
ek mousam toh mile mujko _aapke ayyaamoN see

Gardish-e-dauran bas itnii sii haii
ek dafa toh aao _apnii bazm-e-kushaaoN see

Urdu: Yad
English: Hand, Power, Authority, Protection, Succor

Urdu: Oak
English: Palm Of The Hand Contracted So As To Hold Water

..........................THIK KIJIYE JAHAN BHI GALTI HUII HAI ....IF U CAN ...............

.....................................BYE AND TC .....................

.

.
Bada hua to kya hua jaisay paid khajoor,
Panthi ko chhaya nahin, phal laagen ati door.

Nahaye dhoye kya bhala jo man ka mail na jaay
Meen sada jal mein rahe par tan ki baas na jaay

Akath Kahani Prem Ki, Kutch Kahi Na Jaye
Goonge Keri Sarkara, Baithe Muskae

.................................bye and tc ..................
   
Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Kyaa cheez, kyaa patah, hamain saaqee pilaa gayaa? abdbundeli Ghazal Section 2 21st March 2013 04:00 PM
Haadase kyaa kyaa tumhari berukhi se ho gaye.. LAMHA Shayri-e-Mashahoor Shayar 4 9th December 2008 11:28 PM
*sher( kucch apne kucch paraaye)* kuhulika Shayri-e-Dard 14 15th January 2006 02:21 PM
Ek umr bitaa ke duniyaa mein kyaa khoyaa hai kyaa paayaa hai.. sanjoo Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 17th June 2004 07:36 PM
hosh vaalo.n ko Khabar kyaa beKhudii kyaa chiiz hai Neha Haroon Shayri-e-Dard 0 30th April 2003 01:37 PM

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com