Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Stories/Quotes/Anecdotes > Inspiring Stories

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
sudha, ek adna sa charitra
Old
  (#1)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
sudha, ek adna sa charitra - 6th January 2004, 04:12 PM

Sudha.... saare aashmaan ko apni baahaon maie bharne ki chah ke sathh sudha badi hoti gayi. Par ladki thhi... aashmaan dekhne tak ki fursad kam hi mili... socha.. shadi kar ke hi yah sukh paa legi. Aur isi aash maie maata pita ne jaha kaha waha shadi bhi kar li.
Ab Sudha ke pariwaar maie, pati aur do bachhe- ramesh aur jalpa thhae. Aarthhik parishiti achhi thhi... yeh kah sakte hai k kisi cheez ki kami na thhi.
Patni ko poora kharcha milna chahiyae aur kya.. yah sudha k pati ki samajdaari thhi... aur itni hi thhi. Aur bachhe bhi isi samajdaari maie bade ho gayae. Ramesh, jalpa ya oon k pitaji koi bhi baat ho, chhoti ya badi.... sudha ko batana jaroori nahi samajte thhae... oos se kabhi mashwara karna bhi jaroori n thha... sabhi khayaal se sudha ko door rakha jaata. Oos ki to haa.n hi hogi... oos se kya puchhna?
Aur sudha ne bhi zindgi ke kai kimti saal haan kahne maie hi bita diyae. Waise oos ki na bhi hoti to kon soon ne wala thha yaha? Barsho se milte aaye hadso se sudha ne itna to jaan liya thha k khud, apne pariwaar maie kaendr maie to kabhi n thhi par wartul maie bhi kahi ooska astitwa nahi nazar aa raha thha. Tab se woh ghar k kariib banae huae ek aashram maie jaane lagi.
Samaaj ne jin ko chhod diya ho aisi kai streeya thhi jo is aashram maie rahti thhi. Sudha oonhe apna wakt dene lagi... oonhe samahlti... samjati... zindgi ko naye tarike se jina sikhati.. oonki bimari maie pyaar se oonka jatan karti.. oonki chhoti badi samsya ko dhyaan se soonti aur badi suj ke sathh ooska hal batati. Ab sudha har jagah sudhaji se jaan ne lagi. Log oonhe maan se dekhne lagae... kai log jo samaaj maie rahte thhae woh bhi ab oos ki salaah lene lagae... oose badi izzat milne lagi thhi.
Jalpa ki shadi ho gayi... pati ya ramesh ko sudha ki prasidhhi se ya oos ke kisi kaam se matlab n thha ... haan, oonki ghar ki sab khwaahishae poori ho rahi thhi to oonhe chain thha.
Wakt ka kya hai... kab kis taraf moad kar le pata nahi chalta. Achanak pati ki maut k baad sudhaji aur bhi apna wakt aashram maie bita ne lagi...
Ek din ramesh, office se ghar aaya tab oos ke sathh reena bhi aayi. Ramesh ne maa se kaha ke, “ oosne reena se shadi kar li hai.”
Sudha to bole to kya bole? Ramesh, muje kaha tak nahi tumne?
Par is maie kahne ki kya baat hai? Tu thhodi na kahne wali thhi, or pahly pata chale ke baad maie... kya fark pada?
Haan haan koi fark nahi padta.... bahu to meri hi hui na... achanak mile huae is hadse ko maan maie hi ghhadte huae sudha ne, swasthtaa prapt kar bhi li or bahu ke sar par hathh rakha. Apne shadi ki ek matr nishani... hathh ke kangan bahu ke liye le aayi, pal bhar ko khayal aaya bhi.. shadi ki ek hi nishani hai... par fir socha ke yah to wastu matr hai... is maie kya moh? Or waise bhi bahot si yaade to ooske sathh hi thhi... fir bhlae hi thhodi mithhi or jyada kadwi thhi par ooski khud ki yaade thhi.
Reena ne turant kaha, yah to poorane lag rahe hai... inhe tod kar maie naye banwaaungi.
Aankho maie umadte huae aanshuao ko rokti hui sudha, rasoi maie jaate huae boli, ‘ maie sheera poori banati hu, tum jalpa ko khabar de do or oonhe bhi yaha khane ki dawat de do.
Par oose rokte huae ramesh ne kaha ke, koi jaroorat nahi hai khana banaa ne ki... hum baahar khana khane wale hai or jalpa ko pata hai woh bhi hamaare sathh hi aane wali hai.
Fir ek dukh ne sudha ko tadpaya.... ab bhi sudha hi ghar ka sara kaam karti thhi. Reena ne office jana bandh nahi kiya thha... ghar par koi kaam nahi karti thhi or fir bhi sudha oose pasand nahi thhi.oonka pyaar bhara hathh jo sar par firta to woh jatka de kar oose dur kar deti... oonki anupsthiti hi oose khatakti thhi.
Sudha, kabhi kabhi aashram ki bahno ko ghar par bhi khane par bulati or yaar se khilati... reena ko yah katai pasand n thha... or ek din ramesh ne sudha ko kah hi diya, ‘ tumhe in sab ko khana khilane ka itna hi saukh hai to oonke sathh hi rah kar roz oonhe khana bana kar khilaao, mere paas inko khilaane ke faltu ke paise nahi hai.
Or sudha, aashram maie rahne chali gayi. Ghar or office dono ki jimmedari reena se nahi ho pa rahi thhi... naukri chhodni padi, or bachha hone ke baad to ooski haalat bahot kharab ho rahi thhi.... kitna kaam badhh jata thha...... kabhi to dono ko ek khayal aa hi jata thha ke ‘maa yahi hoti to kaam to karti.’ Oonki savaliyat to samhal jaati.
Ek din ramesh ne ghar aa kar kaha ke boss ke waha khane ki dawat hai.... kis liye dawat de rahe hai woh wahi batayenage. Dono taiyaar huae jaane ke liyae.. montu ko bhi sathh lena pada... kis ke paas chhod kar jaate?
Waha ja kar kya dekhte hai.......
Sudha sab ko sarbat ke gilaas de rahi thhi.... to kya? Woh yaha par naukri kar rahi thhi? A re kitni galat baat... or fir yahi karna thha to khud ke ghar par hi karne aa jati.. ramesh or reena ko shayed sathh hi yah khayal aaya.
Thhodi hi der maie ramesh ke yuwaan boss ne jaaher kiya, ‘ ke maine aaj yah dawat is liye di hai kyun ki aaj maine maa ko gode liya hai. Sudhaji ko apne paas le kar sab se parichit karwaate kaha ke aaj se yah meri maa hai. Or sathh hi maie ek aashram bana raha hu jise maa dekhbhaal karegi. Taliao ki gunj charsu fir oothhi.
Aage baat badhaate huae kaha ke, yah hai sudhaji, aaj se meri maa, ek sachi sewa bhavika. In ke paas samaaj ko, insaanko dene ke liye bahot sara pyaar or suj – samaj hai... par lene wala oonka apna koi n thha... muje yah sahbhagy mil gaya hai.
Ramesh or reena to, kaato to khun na bahae... aisi halat mahesoos kar rahe thahe....... maa ke paas gaye...
Badi makkamta se sudha ne kaha, mere paas dene ke liye bahot kuchh thha, par lene wala koi n thha. Or sudhha aage badhh gayi.
Sudha ek adna sa charitra....... samjo to bhi or na samjo tab bhi.
   
Reply With Quote
Shukriya
Old
  (#2)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Cool Shukriya - 7th January 2004, 11:35 AM

Meenaji bahut achha laga.... aapki ye post parhkar mujhe bhi kuchh seekha hai .... mai ise hamesha yaad rakhunga.

Shukriya

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
7th January 2004, 01:39 PM

chaand dost,
n jaane kyun? mere dil ne chaha ke tum sudha ko jaano... par kahne ki himmat nahi badhi to tumhe mail kar hi rahi thhi ke... tum khud yaha aa gaye...... mere liye bahot badi aashcharya ki baat hui. khair.... mail ab bhi kar rahi hu par ab wajah koi or bana deti hu. lol
tumne sudha ko jaana... or tumne kaha ke tum is se kuchh sikhae... yah badi baat hui mere liye... tahe dil se dost..... shukriaaa.
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
9th January 2004, 12:52 PM

meena ji,

bahut khuub, main ek aisee hee shaksiyat ko jaanti hoon shayad...aur aap bhi jaanti hain...hai na? Sudha adna nahin ek mahaan charitr hai...bahut kuch seekh sakte hain Sudha se...kisi ko bhi itni ehmiyat nahin deni chahiye...ki wo tumhein apni hee nazaron se gira de...tumhara astitva hee khone lage...keep up the good work...

nicely written...

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
9th January 2004, 01:44 PM

Quote:
Originally posted by Parastaar
meena ji,

bahut khuub, main ek aisee hee shaksiyat ko jaanti hoon shayad...aur aap bhi jaanti hain...hai na? Sudha adna nahin ek mahaan charitr hai...bahut kuch seekh sakte hain Sudha se...kisi ko bhi itni ehmiyat nahin deni chahiye...ki wo tumhein apni hee nazaron se gira de...tumhara astitva hee khone lage...keep up the good work...

nicely written...

paras
paras,
pahaly to tumhara shukriaa, ke tumne yah kahani padhhi......
tumne kaha hai ke tum ek aisi shaksiyat ko jaanti ho to kahu ke... yah to bahot swabhawiik hai, jo hum padhhte hai hame lagta hai aisa kahi n khai soona dekha hai....
tumne yah bhi kaha ke maie bhi jaanti hu to muje aascharay huaa hai... kyun ki sudha sirf mera patra hai ... or koi pahchaan nahi mujse... mere sabhi kahaniao ke patra meri kalpna hi hote hai... siwaay ek komal kahani ke....
khair.....
ek baar or shukriaa.
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
8th March 2004, 04:43 PM

Bohat achha likha hai meena!

Aksar hum insaan ko pechaan nahi paate hain, uski kaabiliyat parakh nahi paate hain, uska maahatv samajhh nahi paate hain.. ye tab hume pata chalta hai jab wo shaks hume chhod kar chala jaata hai.. simple aur mashhoor kahaawat hai 'You don't know what you have, till its gone'.. baRi khoobi se tumne ye baat is kahaani ke zariye batai.. Kaash Sudha ko uske ghar waale hi parakh lete.. khair, der se hi sahi, use jo sammaan milna chaahiye, wo to mila!


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
10th March 2004, 07:42 PM

Meenaa Ji,

Kahaani bakai bahut achhi hai. Aur aise ghatnaayeN humaare aas pass har roj kahiin na kahiin ho rahi hai. Sudhaa ka kirdaar ko aap ne bahut hi behtar dhang se utaaraa hai. Ye kahaani achhi sikh bhi de jaati hai.

Hume pasand aayi yah kahaani.

Daad Kabul farmayiegaa.

TTTY

Mayank Ek Anjana Rahi
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#8)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
10th March 2004, 07:46 PM

mayank ji,
aapki bahot aabhari hu jo aapne iise padhha ...... par aapne jo muje maahir kaha thha woh baat nahi hai..... meri kahaniya sirf ek ahesaas hai mere .... chhuaye to kabhi unchhuae..... jaise sawan ke mausam ki pahli bauchhar se...... bas maan se baras padte hai......
thanx again
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
UDAS
Registered User
UDAS has a spectacular aura aboutUDAS has a spectacular aura about
 
UDAS's Avatar
 
Offline
Posts: 652
Join Date: Aug 2004
Location: India
Rep Power: 21
29th October 2004, 04:35 PM

helo menu di...

na jaane kaise aa gayi main aapki is kahani per...main khud nahi jaanti...

anyways....aapne jawab me logo ko likha ki aap k chhua-unchhuai sirf bhaav/vichaar hi hote hai...ye bhi ek bahut bari baat hai ki apne bhaavo ko aap kitni kushalta se kahani ka roop de paate hai...sabhi k dil me kai baar kai tareh k vichaar uthhte hai...lekin sab me ye sakshamta nahi hoti ki vo un vicharo ko kisi shabdo k sahi roop me dhaal paaye...aur ye sakshamta hamesh maine aapki rachnaao me paayi hai..halanki maine bhi kahani likhi per mujhe nahi lagta ki main acchhi tareh shabdo ko ek sahi saanche me dhaal paati hu..

kahani k baare me kya likhu...hamesha ki tareh aaj bhi satabhdh hu...ki kaise aapne ek baat ko kitne acchhe dhang se likh diya...ek baar to main sudha ji me kho gayi aur mujhe laga ki sudha ji koi aur nahi meri menu di hi hai...lekin such jo bhi ho...mujhe sudha ji main ek kami si nazer aayi ki unhe aapne astitve k liye larna chahiye tha..

kahani bahut hi asardaar hai...such me hamare paas bhi bahut kuchh dene k liye hota hai..aur shayad saamne waala uski keemat nahi jaanta..kabhi kabhi..

thanx to share ur views...aage bhi intzaar rahega..

urs udas


DARD JAB HAD SE GUZERTA HAI TO GAA LETI HOO
ASHK AANKHO ME CHHUPA KER GAM PE MUSKURA LETI HOO
********
"Haale dil to dil me hi rakhte hai, in ankho ka kya karai.n
Jinse yaad main tumhari hardam aansu behte hai"
~~~~~
**
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
2nd November 2004, 05:20 PM

Quote:
Originally posted by Afshan
Bohat achha likha hai meena!

Aksar hum insaan ko pechaan nahi paate hain, uski kaabiliyat parakh nahi paate hain, uska maahatv samajhh nahi paate hain.. ye tab hume pata chalta hai jab wo shaks hume chhod kar chala jaata hai.. simple aur mashhoor kahaawat hai 'You don't know what you have, till its gone'.. baRi khoobi se tumne ye baat is kahaani ke zariye batai.. Kaash Sudha ko uske ghar waale hi parakh lete.. khair, der se hi sahi, use jo sammaan milna chaahiye, wo to mila!

meri afshan,
n jaane yaha kyun tumhe jawaab nahi diya hai................
sunita ke reply se yaha aayi or yah pata chala... ki tumhe jawaab nahi diya hai.........

humesha ki tarah tumne mere ahesaas ko samja hai...

meena
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
2nd November 2004, 05:23 PM

Quote:
Originally posted by UDAS
helo menu di...

na jaane kaise aa gayi main aapki is kahani per...main khud nahi jaanti...

anyways....aapne jawab me logo ko likha ki aap k chhua-unchhuai sirf bhaav/vichaar hi hote hai...ye bhi ek bahut bari baat hai ki apne bhaavo ko aap kitni kushalta se kahani ka roop de paate hai...sabhi k dil me kai baar kai tareh k vichaar uthhte hai...lekin sab me ye sakshamta nahi hoti ki vo un vicharo ko kisi shabdo k sahi roop me dhaal paaye...aur ye sakshamta hamesh maine aapki rachnaao me paayi hai..halanki maine bhi kahani likhi per mujhe nahi lagta ki main acchhi tareh shabdo ko ek sahi saanche me dhaal paati hu..

kahani k baare me kya likhu...hamesha ki tareh aaj bhi satabhdh hu...ki kaise aapne ek baat ko kitne acchhe dhang se likh diya...ek baar to main sudha ji me kho gayi aur mujhe laga ki sudha ji koi aur nahi meri menu di hi hai...lekin such jo bhi ho...mujhe sudha ji main ek kami si nazer aayi ki unhe aapne astitve k liye larna chahiye tha..

kahani bahut hi asardaar hai...such me hamare paas bhi bahut kuchh dene k liye hota hai..aur shayad saamne waala uski keemat nahi jaanta..kabhi kabhi..

thanx to share ur views...aage bhi intzaar rahega..

urs udas

sunita,
tumne likha hai ke ..........[ mujhe sudha ji main ek kami si nazer aayi ki unhe aapne astitve k liye larna chahiye tha..]

darasal yah charitr ko is tarah batana jaroory thha kyun ki yah charitra ka shirshak muje diya gaya thha....... [ mere paas dene ke liye bahot kuchh thha, par lene wala koi n thha.]
yah charitr ko is tarah batane ki yahi vajah hai...

meenu di
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Aman_rahi
Paigaam-e-Aman
Aman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really nice
 
Aman_rahi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 26
17th November 2004, 04:13 PM

meena ji.....

yahi hota hai... jo kabhi tukrata hai... baad mein usi ko tarasta hai.....

shayad kisi ki aankhen khul jaayne is-se...



**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......

AMAN RAHI
  Send a message via Yahoo to Aman_rahi  
Reply With Quote
Old
  (#13)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
19th January 2005, 09:32 AM

Quote:
Originally posted by Aman_rahi
meena ji.....

yahi hota hai... jo kabhi tukrata hai... baad mein usi ko tarasta hai.....

shayad kisi ki aankhen khul jaayne is-se...

aman,

maafi chahti hu ... reply bahut der se kar rahi hu.........

haan ...... aksar yah hota raha hai..... jise thukra diya ho oosi ko taras jaate hai....

meena
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 26
17th July 2005, 01:38 PM

Maa...

aksar aisa hota hai.. jo saath ho saamne ho usaki pehchaan ho hi nahi paati..


Bahoot hi niraale andaaj me aapne sudha ko charitrath kiya hai.. kaash aisa hota ki is sabke pahale hi sudha ko usake ghar waale samajh paate.. lekin aaj tak aisa huwa hi nahi.. aise waqt ka intezaar rahega.. har pal.

bahoot pyaari lagi ye kahani..

aapka bacha


Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
Old
  (#15)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
18th July 2005, 07:47 PM

Quote:
Originally posted by garima
Maa...

aksar aisa hota hai.. jo saath ho saamne ho usaki pehchaan ho hi nahi paati..


Bahoot hi niraale andaaj me aapne sudha ko charitrath kiya hai.. kaash aisa hota ki is sabke pahale hi sudha ko usake ghar waale samajh paate.. lekin aaj tak aisa huwa hi nahi.. aise waqt ka intezaar rahega.. har pal.

bahoot pyaari lagi ye kahani..

aapka bacha

priy garima,

shukriaa......

maa
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
18th July 2005, 08:41 PM

meena di.


Waakai hi bahut hi dilchasp hai Sudha ji... iss kahani se hum bahut kuch sikh sakte hai... khub khub dhanyvaad yaha post karne ke liya... khush rehna!
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
19th July 2005, 09:58 AM

Quote:
Originally posted by Parul
meena di.


Waakai hi bahut hi dilchasp hai Sudha ji... iss kahani se hum bahut kuch sikh sakte hai... khub khub dhanyvaad yaha post karne ke liya... khush rehna!

priy parul,

di ko is tarah padhne k liye tumhara tahe dil se shukriya.
sudha... ek aadarsh hai... aam insaan agar chahe to asadharan poorwaar kar hi deta hai apne aap ko....


di
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
salamat rahe saaqi mera...Maham ki adna kavish! MahamAzmi Shayri-e-Sharaab 29 26th December 2009 09:55 AM
Gumaan!Maham ki eik adna kaavish MahamAzmi Shayri-e-Dard 17 24th November 2007 03:42 PM
Piyar to hei Sajan ji...Maham ki eik aur adna kavish MahamAzmi Shayri-e-Ishq 18 10th November 2007 08:10 PM
Zindagi...Maham ki eik aur adna kavish MahamAzmi Shayri-e-Dard 16 26th October 2007 10:19 AM
Ek Lafaz-e-Mohabbat Ka , Adna Yeh Fasaana Hai... sanjoo Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 31st August 2004 01:53 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com