Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Hawaon ka bharosa na kijiye..
Old
  (#1)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
Hawaon ka bharosa na kijiye.. - 26th April 2003, 02:01 PM

*************************

Hawaon ka bharosa na kijiye,
Apna dil kisi ko na dijiye,
Bewafai hai insaan ki fitrat,
Aytbaar toofano ka na kijiye.

*************************


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
bedilMusafir
Registered User
bedilMusafir will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 405
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 22
6th September 2003, 03:35 PM

Hawaon ka bharosa na kijiye,
Apna dil kisi ko na dijiye,
Bewafai hai insaan ki fitrat,
Aytbaar toofano ka na kijiye.


sach kaha aapne.. kiska aitbaar kareN aisi duniya meiN...
per phir bhi pata nahi kyoN hum aitbaar karte haiN...
shayad isliye qki bewafaii hi raas aati ab hume...
kam lafzoN meiN bhi bohat kuch keh diya aapne...
jazbatoN ko lafzoN meiN shaandaar tareeqe se dhaala hai ...

daad qubool kijiye...

likhti rahiye aur muskuraati rahiye...


mai 'bedil'
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
6th September 2003, 03:52 PM

Oye Bedil!

Ye sher to kitna puraana hai!!.. Late lateefi ki bhi hadh hoti hai yaar!

But seriously.. theek hi to hai.. insaan doosron par pal bhar me bharosa kar leta hai, magar khud par zindagi bhar aitbaar nahi karta.. shayad yahi sabse baRi wajah hai dil tooTne ki.. lekin safar ka maza tab hota hai, jab koi saathi ho.. aur aksar, ye saathi dagha kar jaate hain.. lekin isse naahi safar rukta hai, aur naahi saathi ki chaah..



Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
bedilMusafir
Registered User
bedilMusafir will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 405
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 22
6th September 2003, 04:17 PM

ohh...

Banno ji...

zindagi ki sachchai ko bayaaN ker diya aapne...

sach keh raha hooN aaj aapke reply per waah waah karte rehne ko jee ker raha hai...

sach kaha aapne safar nahi rukta unke na hone se...
aur phir jab is mehfil sa parivaar mil jaaye to safar meiN maza bhi aane lagta hai...
dard bhi bohat sukoon pohchata hai...

aapki muskuraahat meiN bhi kai baar bohat dard nazar aata hai...

phir bhi

muskuraati rahiye...


mai 'bedil'
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Hawaon Ke Chalne Baadshah! Doston Ki SMS Shayri 2 21st October 2006 12:38 PM
hawaon ne yeh kaha cutemunda_2005 Shayri-e-Ishq 2 23rd March 2006 10:27 PM
Naye Shaayar Ki Galtiyaa Maaf Kijiye.. Aur Kuch Galtiyaa hai to usme Sudhaar Kijiye.. rajshayar Shayri-e-Ishq 2 7th March 2006 03:08 PM
Ya sitam kijiye,ya julam kijiye, karan q Anjuman-e-Shayri 4 9th January 2005 03:46 PM
Hawaon Ka Shukriya salman shaikh Shayri-e-Ishq 15 18th October 2002 11:11 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com