ishq sahab ...kuch samajh nahi aaya ki ye bhasha hindi hai ki punjabi ke bhojpori ke braj....
magar jo bhi hai lag badi acchi rahi hai
zidd bhai
radhe radhe
kabeer sahib ki bhasha hai to up ki par khadi bhasha hai isliye kai baar samajhne me pareshaani hoti hai par arth gahre hain aapko achhi lagi ye badi baat hai
Aapka Apna
Ishk
'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है
kabeer sahib ki vaani hamesha se prerna stotr rahi hai ye kavita bhi unhone sadhna ki antim seedi ke baad khule me aane ke ahsaas ko lekar likhi hai jahan sab bandhan khatam sab niyam khatam bilkul azad har samay uske naam ke ras me aise doob gaye ki aur kuchh hosh hai hi nahi
sadho sahaj samadhi bhali
guru pratap jaa din se jaagi
din din aur chali
kabeer jee kahte hain ki he sadhko sahaj hona seekho sab bandhno se mukt ho use sahaj kahte hai aur ye jab tak guru kripa se man ke bhav na badal jaayen tab tak nahi hoti isliye guru kripa ho jaaye to ye sambhav hai isme hota kya hai aage kahte hain
jahan jahan dolun so parikrama
jo jo karun so sewa
jo soun to karun dandvat
pujun aur naa deva
ki mai kisi vishesh jagah ki parikarma karne nahi jata jahan bhi mai chal raha hoon vo teri hi to parikarma hai kyonki har jarra tera hi to hai aur jo mai karta hoon vo hi teri sewa hai kyonki mai jo kuchh karta hoon vo tere hi nimit hai aur mai kisi vishesh jagah let kar dandvat nahi karta kyonki jab mai sota hoon to meri dandvat hi hai tu to sab jagah hi hai kahan nahi hai
aage kahte hain
jo sunu so sumiran
jo kahun so naam
khaun piun so pooja
grah ujaar ek sam lekhun
bhav naa rakhun dooja
jo bhi sunta hoon har shabd tera hi naam hai vo hi mera sumiran hai jo mai kahta hoon vo tera hi naam jo mai khaata hoon vo tujhe hi bhog lagta hai kyonki mujhe bhi tu hi baitha hai aur ab meri sthiti aisi hai ki ghar me aur jungle me koi bhaid nazar nahi aata sab jagah tu hi nazar aata hai
aankh naa mundun kaan naa rundhun
tanik kasht nahin dhaaru
khule nain pahichanu
hans hans sundar rup tihaaro
ab sadhna ke liye naa aankhe band karni padti hain naa kaan band karne padte hai kyonki tere siva aur kuchh hai hi nahi har rup me mujhe sirf tu hi nazar aata hai isliye khule naino se mai tera darshan nirantar karta rahta hoon
shabd nirantar so man laga
malin vasna tyagi
uthat baithat kabahun n bisre
aisi taari laagi
ab antar ka shab khul gaya hai uske khulne se jo man ki vaasnaaye thin vo chali gayee hain man nirmal ho gaya har samay uthte baithte sirf tera hi nazara tera hi dhyaan rahta hai aisi tere sang meri taar jud gayee hai
radhe radhe
PS: bas itna hi kahunga ki saadhna ki antim seedi hai yahan tak pahuchne ke liye sadhna karni jaroori hai jaise chhat par jaane ke liye seedi ka pryog karte hain aur chhat par pahuch kar seedi chhodni padti hai jab tak man ke bhav is stage tak na aa jaaye tab tak nirantar prayaas aur sadhna ki jaroorat hai haan jab ye stage aa jaaye tab sadhna karni nahi padti balki sahaj bhav se hoti rahti hai
Aapka Apna
Ishk
'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है
Sirr ji... Aapki ye sharing padh karr to mai aapka aur bhi zyada fan ho gaya hu
Sach me.. Kabeer ji ne to likha he adnhut hai parr aapne vishleshan bahut zabardast kiya hai
Sirr ji... Is type ki creations mujhe bahut achhi lagti hain aur mere liye ye amrit k samaan hoti hain
thanks alott for sharing it
Aapko chuhe aur billi ki kahani sunani hai...
Jisme chuhe ne yaad dilaayi,billi ko nani hai...
lekin chuha bhool gaya tha k wo sapna tha...
aakhir me shamat to chuhe ki he aani hai :D