Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Humourous Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Old
  (#41)
dil_e_sikast
Nacheej shayra
dil_e_sikast will become famous soon enoughdil_e_sikast will become famous soon enough
 
dil_e_sikast's Avatar
 
Offline
Posts: 557
Join Date: Sep 2002
Location: india(gujarat)
Rep Power: 23
5th August 2003, 03:26 PM

ye virani duniya hamari ab gulsan na ban payegi
ye khijaN e jo khamos hai wo fijaN na ban payegi
koi lakh kosish kar le ab ise badalne ki
ye sanam ki dhadkane kabhi nazam na ban payegi

SaNaM


taqdeer ne kya kam sataya hua tha
jo ab ye bewaqt hi tuje satane aa gaye
logo ne nahi dekha apne girebaan main
aur dekho 'sanam' ko aajmane aa gaye
-> SaNaM
   
Reply With Quote
Old
  (#42)
dil_e_sikast
Nacheej shayra
dil_e_sikast will become famous soon enoughdil_e_sikast will become famous soon enough
 
dil_e_sikast's Avatar
 
Offline
Posts: 557
Join Date: Sep 2002
Location: india(gujarat)
Rep Power: 23
5th August 2003, 03:31 PM

oh khan sahab...dono ne reply de diya
koi baat nahi...me aapke sher se aage badhti hu

na lautenge wo sawan, na lautenge wo hasin lamhe
bas rahengi to wo yaade, wo gamgeen kisse
jinhe ham nikal na payenge jahan se kabhi
Rahenge bas wahi,,,ab fariyad kare bhi to kis se

SaNaM


taqdeer ne kya kam sataya hua tha
jo ab ye bewaqt hi tuje satane aa gaye
logo ne nahi dekha apne girebaan main
aur dekho 'sanam' ko aajmane aa gaye
-> SaNaM
   
Reply With Quote
Old
  (#43)
khan
Nacheez Shayar
khan will become famous soon enough
 
khan's Avatar
 
Offline
Posts: 225
Join Date: May 2003
Location: New Delhi, INDIA
Rep Power: 21
5th August 2003, 03:32 PM

Yaa to mit jaaiye yaa mitaa deejiye
keejiye jab bhi saudaa kharaa keejiye

apne chehre se zulfen hataa deejiye
aur phir chaand kaa saamnaa keejiye

Wajida Tabassum


regards
Sahil Khan
   
Reply With Quote
Old
  (#44)
dil_e_sikast
Nacheej shayra
dil_e_sikast will become famous soon enoughdil_e_sikast will become famous soon enough
 
dil_e_sikast's Avatar
 
Offline
Posts: 557
Join Date: Sep 2002
Location: india(gujarat)
Rep Power: 23
5th August 2003, 03:33 PM

ye kya ho raha hai


taqdeer ne kya kam sataya hua tha
jo ab ye bewaqt hi tuje satane aa gaye
logo ne nahi dekha apne girebaan main
aur dekho 'sanam' ko aajmane aa gaye
-> SaNaM
   
Reply With Quote
Old
  (#45)
khan
Nacheez Shayar
khan will become famous soon enough
 
khan's Avatar
 
Offline
Posts: 225
Join Date: May 2003
Location: New Delhi, INDIA
Rep Power: 21
5th August 2003, 03:37 PM

Sanam Sahiba,
Replyes ka takraao ho raha hai, aisa karen ki aap wait karen, main aapke doosre wale Sher ka jawaab deta hoon phir aap post bkijiyega.
regards
Sahil
   
Reply With Quote
Old
  (#46)
dil_e_sikast
Nacheej shayra
dil_e_sikast will become famous soon enoughdil_e_sikast will become famous soon enough
 
dil_e_sikast's Avatar
 
Offline
Posts: 557
Join Date: Sep 2002
Location: india(gujarat)
Rep Power: 23
5th August 2003, 03:40 PM

Ji bas ab to ham wait hi kar rahe hai
magar pata nahi ye "wait" kab pura hoga

khair...Banno ji aap bhi aa gayee... achha hua... aapke sawalo ka jawab dena achha lagta hai


taqdeer ne kya kam sataya hua tha
jo ab ye bewaqt hi tuje satane aa gaye
logo ne nahi dekha apne girebaan main
aur dekho 'sanam' ko aajmane aa gaye
-> SaNaM
   
Reply With Quote
Old
  (#47)
khan
Nacheez Shayar
khan will become famous soon enough
 
khan's Avatar
 
Offline
Posts: 225
Join Date: May 2003
Location: New Delhi, INDIA
Rep Power: 21
5th August 2003, 03:45 PM

Saadgi par us ki mar jaane ki hasrat dil mein hai
bas naheen chaltaa ki phir Khanjar kaf-e-qaatil mein hai

dekhianaa taqareer kee lazzat ki jo usne kahaa
main ne yeh jaanaa ki goyaa yh bhi mere dil mein hai

Mirza Ghalib


regards
Sahil Khan
   
Reply With Quote
Old
  (#48)
dil_e_sikast
Nacheej shayra
dil_e_sikast will become famous soon enoughdil_e_sikast will become famous soon enough
 
dil_e_sikast's Avatar
 
Offline
Posts: 557
Join Date: Sep 2002
Location: india(gujarat)
Rep Power: 23
5th August 2003, 03:52 PM

hasrate ye badi jalim hoti hai
inse jara bachke rahiyega
kabhi kuchh to kabhi kuchh kehti hai
apne aap ko sambhale rakhiyega

SaNaM


taqdeer ne kya kam sataya hua tha
jo ab ye bewaqt hi tuje satane aa gaye
logo ne nahi dekha apne girebaan main
aur dekho 'sanam' ko aajmane aa gaye
-> SaNaM
   
Reply With Quote
Old
  (#49)
khan
Nacheez Shayar
khan will become famous soon enough
 
khan's Avatar
 
Offline
Posts: 225
Join Date: May 2003
Location: New Delhi, INDIA
Rep Power: 21
5th August 2003, 03:59 PM

Gaee vo baat ki ho guftagoo to kyunkar ho
kahe se kuchh na huaa phir kaho to kyunkar ho

tumheen kaho ki guzaaraa sanam paraston kaa
buton ki ho agar aisee hi Khoo to kyunkar ho

Mirza Ghalib


regards
Sahil Khan
   
Reply With Quote
Old
  (#50)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
5th August 2003, 04:18 PM

husn-o-jawani ho to har aik ko gharoor aata hai
tere bahar adaoon ko dekh kar hamain saroor aata hai
tujeh bahar kaha to iss leye kay har mosaam
shajar se rooth bhi jaye to lot kar zaroor aata hai.

-Raj


Sanam ji.. Hume maaf kar dijiyega.. aap yahan thi, aur hum na aa sake.. kya karein, zor marra ki zindagi aksar is shayri ki duniya se hume door le jaati hai.. hum online to hote hain, magar PC se bohat duur hote hain..:P

Khair chaliye, humare lautne tak yahan ki confusion to duur hui!!


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#51)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
5th August 2003, 06:26 PM

husn bhi tha jawani bhi thi us kaatil mein
kami thi to bas ik dil ki us sangdil mein
Baharein tab thi jab tum thi mere saath
Ab to akela huun phoolon ki mehfil mein


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#52)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
5th August 2003, 06:30 PM

Na phoolon se saji hai,
Na sitaaron se saji hai,
Shama ki mehfil to,
Parwaano se saji hai.

-Banno...

Waise ye aapke naam hai Varinder ji.. aapke yahan aane ki khushi me..


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#53)
dil_e_sikast
Nacheej shayra
dil_e_sikast will become famous soon enoughdil_e_sikast will become famous soon enough
 
dil_e_sikast's Avatar
 
Offline
Posts: 557
Join Date: Sep 2002
Location: india(gujarat)
Rep Power: 23
6th August 2003, 11:50 AM


Hamari taraf ab wo kam dekhte hai
Wo najre nahi jinko ham dekhte hia

-DAAG


taqdeer ne kya kam sataya hua tha
jo ab ye bewaqt hi tuje satane aa gaye
logo ne nahi dekha apne girebaan main
aur dekho 'sanam' ko aajmane aa gaye
-> SaNaM
   
Reply With Quote
Old
  (#54)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
6th August 2003, 11:52 AM

Naam me kya rakha hai, ye unse poochho,
Kisi ke naam par jo jaan dete hain.

-Banno


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#55)
dil_e_sikast
Nacheej shayra
dil_e_sikast will become famous soon enoughdil_e_sikast will become famous soon enough
 
dil_e_sikast's Avatar
 
Offline
Posts: 557
Join Date: Sep 2002
Location: india(gujarat)
Rep Power: 23
6th August 2003, 11:58 AM

hai badi mamuli cheej ye jaan to
jigar rakhne wale to dil dete hai

parwah nahi karte anjam ki deewane
bass.. dil de kar dard lete hai

-SaNaM


taqdeer ne kya kam sataya hua tha
jo ab ye bewaqt hi tuje satane aa gaye
logo ne nahi dekha apne girebaan main
aur dekho 'sanam' ko aajmane aa gaye
-> SaNaM
   
Reply With Quote
Old
  (#56)
bedilMusafir
Registered User
bedilMusafir will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 405
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 22
7th August 2003, 01:36 AM

bedil ki bedilii ka sabab koi jaanta nahiN hai...
sab door se hi nigaaheiN pher lete haiN...

haiN nahi qaabil kisi ke bus yahii sochker...
hum akser khud ko tanhaaiyoN meiN gher lete haiN...


mai 'bedil'
   
Reply With Quote
Old
  (#57)
dil_e_sikast
Nacheej shayra
dil_e_sikast will become famous soon enoughdil_e_sikast will become famous soon enough
 
dil_e_sikast's Avatar
 
Offline
Posts: 557
Join Date: Sep 2002
Location: india(gujarat)
Rep Power: 23
7th August 2003, 11:57 AM

Bedilji... this is for u...


ham to na kahenge ki aap kisi ke qabeel nahi
ye to aap unse puchhiye jinhe aap hasil nahi

dhundne se to kehte hai khuda bhi mil jata hai
na mile dhundne par bhi aisi koi manjil nahi

SaNaM


taqdeer ne kya kam sataya hua tha
jo ab ye bewaqt hi tuje satane aa gaye
logo ne nahi dekha apne girebaan main
aur dekho 'sanam' ko aajmane aa gaye
-> SaNaM
   
Reply With Quote
hi all
Old
  (#58)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
hi all - 7th August 2003, 03:10 PM

hi khan sahab n all others...
and sana g..
waise sana ji aap ne to kaha tha yahan kuch humourous kism ki
shayri hoti hay magar is page per bhi kuch pahle jaisi udasiyan mil hmain..kuch gahre gahre asar mile...are dosto kuch hans liya karo....rote rahna hi nahin chahiye.....ham sochte hain k aap ko hansane ki hmain kiya koshish karni chahiye....chaliye aap ko aik comic shair sunate hain.....
-------____---------
SAMBHAL RAKHNA YEH ULFAT FASANA
KABAL IS K TUMHARI MAA TAK POHNCHE
MOHABTON MAIN SHADI K KAYAL NAHIN HAM
APNA PEGHAM HAY MOHABAT JAHAN TAK POHNCHE....
_----__-
aik choti c koshish ....
aik banjara'''''


banjara''''
agar mohabbat hay to judai kiyon
or judai main mohabbat kasi????
   
Reply With Quote
Old
  (#59)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
13th August 2003, 04:34 PM

Khan bhai.. bare nek khayaal hain aapke to...

I THINK ki CH se shuru karna hai..

Chura liya hai tumne ne jo dilko,
Phir pakRe na jaana sanam,
Badal di maine dil ki chaabi,
Phir try na maarna sanam.

-Humorous shayri par Banno ki ek aur nakaayaab koshish..


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#60)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
13th August 2003, 06:27 PM

hmm M pe shuru karna hai kya..lo

Main nikla gaddi le ke..
Raste par ik Maur aaya
Wahan traffic bahut tha
bhhokh bhi lagi thi ..
to wapas ghar daud aaya

Mujhhe bahut sharam aa rahi hai aisa ghatiya sheyr yahan post karte hue par fir bhi mazza aaya..


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#61)
khan
Nacheez Shayar
khan will become famous soon enough
 
khan's Avatar
 
Offline
Posts: 225
Join Date: May 2003
Location: New Delhi, INDIA
Rep Power: 21
18th August 2003, 01:04 AM

Dear Friends Adaab,
Yeh kya bakwaas aur laffaziyaat shuroo kar di aap logon ne, please is chhichhorepan se is thread ko maaf karen aur adabi shayri jaari rehnen den, hope aap log feel nahin karenge.
regards
khan
   
Reply With Quote
Old
  (#62)
khan
Nacheez Shayar
khan will become famous soon enough
 
khan's Avatar
 
Offline
Posts: 225
Join Date: May 2003
Location: New Delhi, INDIA
Rep Power: 21
18th August 2003, 01:14 AM

Ham dil_e_sikast yani SaNaM sahiba ke sher ko lekar hi aage chalte hain, yani H ya HE se shuroo karna hai,

Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bahut nikle mere armaan lekin phir bhi kam nikle
Mirza Ghalib

regards
Sahil Khan
   
Reply With Quote
Old
  (#63)
khan
Nacheez Shayar
khan will become famous soon enough
 
khan's Avatar
 
Offline
Posts: 225
Join Date: May 2003
Location: New Delhi, INDIA
Rep Power: 21
19th August 2003, 11:07 AM

Friends plz reply
regards
Sahil
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#64)
pari
Registered User
pari will become famous soon enoughpari will become famous soon enough
 
pari's Avatar
 
Offline
Posts: 687
Join Date: May 2003
Location: USA
Rep Power: 22
hi - 19th August 2003, 07:04 PM

To ab nikle word se statr karna hai......

Nikalna Khuld se aadam ka sunte aayaiN haiN lekin
bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle

Gaalib.

pari


Chadha hai aaj bhi uska Rang, jisne kabhi Ranga hi nahi :-)
   
Reply With Quote
Old
  (#65)
khan
Nacheez Shayar
khan will become famous soon enough
 
khan's Avatar
 
Offline
Posts: 225
Join Date: May 2003
Location: New Delhi, INDIA
Rep Power: 21
20th August 2003, 12:16 AM

Lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri
zindagi shamma ki soorat ho Khudaya meri

Door duniya ka mere dam se andhera ho jaye
har jagah mere chamakne se ujala ho jaye

Sir Allama Mohammad "Iqbal"

regards
khan
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#66)
pari
Registered User
pari will become famous soon enoughpari will become famous soon enough
 
pari's Avatar
 
Offline
Posts: 687
Join Date: May 2003
Location: USA
Rep Power: 22
hi - 20th August 2003, 01:44 AM

Ye asar hua hai hampe ek tumhare jane se,
tanhai mein roya karte hain roj naye bahane se

Pari


Chadha hai aaj bhi uska Rang, jisne kabhi Ranga hi nahi :-)
   
Reply With Quote
Old
  (#67)
khan
Nacheez Shayar
khan will become famous soon enough
 
khan's Avatar
 
Offline
Posts: 225
Join Date: May 2003
Location: New Delhi, INDIA
Rep Power: 21
22nd August 2003, 09:16 PM

Saagar se lab lagaa ke bahut khush hai zindagi
sahan-e-chaman mein aake bahut khush hai zindagi

aajao aur bhi zaraa nazdeek jaan-e-man
tum ko qareeb paake bahut khush hai zindagi

Abdul Hameed "Adam"

regards
Sahil Khan
   
Reply With Quote
Old
  (#68)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
23rd August 2003, 08:44 PM

ZindGi .. JaaN pe Ban aaye To .. Maut Bhali
Khushi Jo mujhko Rulaye mujhse DooR bhaLi

Hum Bhala kaise ji sakte haiN Tujhse door ho kar
Zindgi jisme jiya tere bin usse maut bhaLi ..


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#69)
amrit_sharad
Just a normal guy
amrit_sharad is just really niceamrit_sharad is just really niceamrit_sharad is just really niceamrit_sharad is just really niceamrit_sharad is just really nice
 
amrit_sharad's Avatar
 
Offline
Posts: 480
Join Date: Apr 2003
Location: HindusTaaN...
Rep Power: 26
24th August 2003, 08:31 PM

Chaman mein subah yeh kahti thi ho kar chashm-e-tar shabnam,
Bahaar-e-baagh to yun hi rahi, lekin kidhar shabanam.

Arq ki bund us ki zulf se rukhsaar par tapki,
Taajjub ki hai jaage yeh pari khurshid par shabnam.

Hamen to baagh tujh bin khaana-e-maatam nazar aya,
Idhar gul phaarte the jeb, roti thi udhar shabnam.

Kare hai kuchh na kuchh taasir suhbat saaf tabon ki,
Hui aatish se gul ke baithte rashk-e-sharar shabnam.

Bhala tuk subah hone do ise bhi dekh levenge,
Kisi ashiq ke rone se nahin rakhti khabar shabnam.

Nahin asbaab kuchh laazim subak saaron ke uthne ko,
Gayi ur dekhte apne baghair az baal-o-par shabnam.

Na paaya jo gaya is baagh se hargiz suraagh uska,
Na palti phir saba idhar, na phir aai nazar shabnam.

Na samjha Dard ham ne bhed yaan ki shadi-o-gham ka,
Sahr khandaan hai kyon, roti hai kis ko yaak kar shabnam

Khwaja Mir "Dard" .....


ChalTa Hoon.....

AaP Ka DosT
--------------
Amrit
   
Reply With Quote
Old
  (#70)
khan
Nacheez Shayar
khan will become famous soon enough
 
khan's Avatar
 
Offline
Posts: 225
Join Date: May 2003
Location: New Delhi, INDIA
Rep Power: 21
25th August 2003, 04:11 PM

Main nazar se pee rahaa hoon ye samaa badal na jaaye
na jhukaao tum nigaahen kaheen raat dhal na jaaye

mujhe phoonkne se pahle mera dil nikaal lenaa
ye kisee ki hai amaanat kaheen saath jal na jaaye

Anwar Mirzapuri


regards
Sahil Khan
   
Reply With Quote
Old
  (#71)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
25th August 2003, 05:54 PM

YOON TANHA HI CHAL RAHE THE HUM ZINDAGI KI RAAH PAR
US SAATHI KI TALAASH THI JO DIL KO ROG LAGA GAYA..
IS DIL KI AARZOO THI USE DHOOND NIKALNE KI
PAR HUA TO YEH HUA WOH KHUD HI SAAMNE AA GAYA..

KEHNE KO TO BAHUT KUCHH THA..HUM KUCHH NA KEH SAKE..
WOH BIN KUCHH KAHE HI APNI DASTAAN KEH GAYA

APNI MAJBOORIAN BATAKAR WOH WAPAS CHAL DIYE..
YEH DIL NA JAANE KAISE JUDAII KA GAM SEH GAYA..

FIR SE CHAL DIYE GAM KI RAAH PE HUM AKELE
BAS DIL ME HAMARE YAHI KHWAB REH GAYA..
KI US SAATHI KO HUM WAPAS LE AAYENGE..
JO JAZBATON KE SAAGAR MEIN BEH GAYA


Ghayalparwana
--------------------


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#72)
Shayar 4ever
'dil se'
Shayar 4ever has a spectacular aura aboutShayar 4ever has a spectacular aura about
 
Shayar 4ever's Avatar
 
Offline
Posts: 519
Join Date: Aug 2002
Location: Baroda , India
Rep Power: 23
Exclamation 26th August 2003, 03:08 PM

Yahan badi aasani se Dil lagaye jate hain
Par Badi Mushkil se waade nibhaye jate hain
Le jati hain Mohabbat un raahon par
Jahan Diye nahi Dil jalaye jate hain...

-HamzaAli


It is true that Love is Magic...
But Magic may sometimes just be an Illusion...
  Send a message via Yahoo to Shayar 4ever  
Reply With Quote
Old
  (#73)
khushiii
Registered User
khushiii has a spectacular aura aboutkhushiii has a spectacular aura aboutkhushiii has a spectacular aura about
 
khushiii's Avatar
 
Offline
Posts: 934
Join Date: Aug 2003
Rep Power: 23
Smile 26th August 2003, 03:23 PM

na tha kuchh to khuda tha
kuchh na hota to khuda hota
duboya mujh ko hone ne
na hota main to kya hota
Mirza ghalib
khushiii
   
Reply With Quote
Old
  (#74)
khan
Nacheez Shayar
khan will become famous soon enough
 
khan's Avatar
 
Offline
Posts: 225
Join Date: May 2003
Location: New Delhi, INDIA
Rep Power: 21
26th August 2003, 03:58 PM

Tere waade par jiye ham to ye jaan jhoot jaana
Ke khushi se mar na jaate agar aitbaar hota

Mirza Ghalib


regards
Sahil Khan
   
Reply With Quote
Old
  (#75)
khushiii
Registered User
khushiii has a spectacular aura aboutkhushiii has a spectacular aura aboutkhushiii has a spectacular aura about
 
khushiii's Avatar
 
Offline
Posts: 934
Join Date: Aug 2003
Rep Power: 23
26th August 2003, 04:04 PM

tumne chaha hi nahin halaat badal sakte the
mere aansoo teri aaankhon se nikal akte the
tum to thehre hi rahe jheel k paani ki tarah
tum jo chahte to hum bohot door nikal sakte the
(unknown shayar)
khushiii
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#76)
pari
Registered User
pari will become famous soon enoughpari will become famous soon enough
 
pari's Avatar
 
Offline
Posts: 687
Join Date: May 2003
Location: USA
Rep Power: 22
hi - 27th August 2003, 06:00 PM

Her ek shab meree taza azaab mein guzari,
Tumharey baad tumarey hi khuwaab main guzari,
mein to ek phool houn woh mujhe rakh ker bhool gayee, Tamaam umer usi ki kitaab mein guzari.


Pari


Chadha hai aaj bhi uska Rang, jisne kabhi Ranga hi nahi :-)
   
Reply With Quote
Old
  (#77)
khushiii
Registered User
khushiii has a spectacular aura aboutkhushiii has a spectacular aura aboutkhushiii has a spectacular aura about
 
khushiii's Avatar
 
Offline
Posts: 934
Join Date: Aug 2003
Rep Power: 23
27th August 2003, 06:14 PM

ragon mein dodne phirne k hum nahin qail
jo aaankh hi se na tapke woh lahooo kya hai
(MIRZA GHALIB)


~~~~~~~Khushiii~~~~~~~
smile n make others also smile

those sparkling eyes
A 100 watt smile
the majestic walk
the cheerful talk
truly charming personality
Guess,thats enough abt me :D
   
Reply With Quote
Old
  (#78)
amrit_sharad
Just a normal guy
amrit_sharad is just really niceamrit_sharad is just really niceamrit_sharad is just really niceamrit_sharad is just really niceamrit_sharad is just really nice
 
amrit_sharad's Avatar
 
Offline
Posts: 480
Join Date: Apr 2003
Location: HindusTaaN...
Rep Power: 26
27th August 2003, 09:15 PM

hai bas ki har ik unke ishaare meiN nishaaN aur
karte haiN muhobbat to guzarata hai gumaaN aur

yaarab ! wo na samjhe haiN na samjheNge meree baat
de aur dil unko, jo na de mujhko zubaaN aur

abroo se hai kya us nigah-e-naaz ko paiwand
hai teer muqarrar magar uskee hai kamaaN aur

tum shahar meiN ho to hameiN kya GHam ? jab uTHeNge
le aayenge baazaar se jaakar dil-o-jaaN aur

harchand subak_dast hue but_shikanee meiN
ham haiN, to abhee raah meiN hai sang-e-giraaN aur

hai KHoon-e-jigar josh meiN dil khol ke rota
hote kaee jo deeda-e-KHooNnaaba_fishaaN aur


marta hooN is aawaaz pe harchand sar uD jaay
jallaad ko lekin wo kahe jaayaiN ki 'haaN aur'

logoN ko hai KHursheed-e-jahaaN taab ka dhoka
har roz dikhaata hooN maiN ik daaGH-e-nihaaN aur

leta, na agar dil tumhe deta, koee dam cheiNn
karta, jo na marta koee din, aah-o-fuGHaaN aur

paate naheeN jab raah, to chaD jaate haiN naale
ruktee hai meree tab'a to hotee hai ravaaN aur

haiN aur bhee duniya meiN suKHanwar bohot achche
kehte haiN ki 'GHalib' ka hai andaaz-e-bayaaN aur

Asadullah Khan 'Ghalib'


ChalTa Hoon.....

AaP Ka DosT
--------------
Amrit
   
Reply With Quote
Old
  (#79)
khan
Nacheez Shayar
khan will become famous soon enough
 
khan's Avatar
 
Offline
Posts: 225
Join Date: May 2003
Location: New Delhi, INDIA
Rep Power: 21
27th August 2003, 09:17 PM

Hai bas ke har ik unke ishaare mein nishan aur
Karte hain muhabbat to guzarta hai guman aur
Mirza Ghalib

regards
Sahil Khan
   
Reply With Quote
Old
  (#80)
khushiii
Registered User
khushiii has a spectacular aura aboutkhushiii has a spectacular aura aboutkhushiii has a spectacular aura about
 
khushiii's Avatar
 
Offline
Posts: 934
Join Date: Aug 2003
Rep Power: 23
28th August 2003, 01:09 PM

rang-e-nishat-e-bazm do aalam pe chha gaya
jis din ka intezaar tha woh din bhi aaa gaya
(unknown writer)


~~~~~~~Khushiii~~~~~~~
smile n make others also smile

those sparkling eyes
A 100 watt smile
the majestic walk
the cheerful talk
truly charming personality
Guess,thats enough abt me :D
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
ishq di baazi.. D33P Punjabi Poetry 3 26th March 2008 06:07 PM
`~*•~bait Bazi`~*•~ Nikss Shayri-e-Ishq 2 15th November 2006 08:33 PM
baazi................ deshakshi Shayri-e-Ishq 1 31st May 2005 11:57 PM
Bait-Baazi khan Humourous Shayri 0 23rd July 2003 12:15 AM
Ishq ki baazi pari Shayri-e-Ishq 1 16th May 2003 08:30 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com