Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Chaahat...
Old
  (#1)
tanhaa
Registered User
tanhaa will become famous soon enough
 
tanhaa's Avatar
 
Offline
Posts: 84
Join Date: Jan 2004
Location: delhi, india
Rep Power: 21
Love Chaahat... - 26th December 2007, 10:10 PM

CHAAHAT....

chaahtaa hoon nadi ban jaaun..
har yaad jismein beh jaaye
pani ki tarah..
har gham jismein reh jaaye..
reth ki tarah..
har khwaahish har aarzoo har tamanna
duub jaaye, mar jaaye

chaahtaa hoon samandar ban jaaun..
samet loon saare jahaan ka dard
khud mein.. khaamoshi se chup chaap
har ashq ko lehron ki tarah sajaa loon
khud mein.. wafaadaari se chup chaap
har gham ki aati neher mujhme fana ho jaaye
har sahil mujhe chhu ke muskuraaye

chaahta hoon itna gehraa ho jaaun
ki gehraayi bhi hadd paa na sake meri
chaahta hoon itna gehraa ho jaaun..
khud ko bhi jhaank ke dekh na sakun kabhi
chaahtaa hoon teri rooh ko bana loon seep
aur ban jaaun moti usmein..
chaahtaa hoon teri tasweer ka koi rang ban jaaun
chaahtaa hoon ki ik ehsaas hi ban jaaun
tujhe chhu ke dekhne ka
chaahtaa hoon ek ashq hi ban jaaun
tujhe paane ki khushi ka

itna gehraa samandar ban jaaun..
itni tez rawaan nadi ban jaaun..
bahaa ke rakh doon har mushkil ko
dabaa ke rakh doon har zakhmi manzil ko

chaahta hoon koi baadal ban jaaun
jo bhar le kayi raaz zamaane ke
chaahta hoon chaand ban jaaun
jo zapt kar le kayi khofnaak nazaaron ko
chaahta hoon mausam ban jaaun
jo kabhi kisi ke liye ruka nahi
chaata hoon hawaa ho jaaun
jo kabhi ek pal ko thaki nahi

chaahta hoon dhund ki tarah
dhak loon har khwaahish ki laash
chaahta hoon raat ki tarha
rang loon har us laash ki fariyaad
chaahta hoon ki ban jaaon koi gufaa andheri
jisme dafn hon kayi raaz
chaahta hoon ban jaaun jungle bhayaanak
jismen kaid ho koyi aawaaz

chaahtaa hoon jalaa doon
ye aasmaan ye zameen
ye sitaare ye chaadni bhi
ya jal jaaun khud aur inko jalaa samjhoon
chaahtaa hoon mitaa doon
har yaad har tadap har khwaahish dil ki
har siski har behta lahoo ka katraa
ya khud mitt jaaun aur inko mita samjhoon
chaata hoon bujha doon
har wo manzar, tere aane ka
tere aane ka fir tere jaane ka
tere fir laut ka aane ka
tere fir chhod ke jaane ka
chaahtaa hoon bujha doon
har saans har dhadkan
har ummeed har bahaana
ya khud bujh jaaun aur inko bujha samjhoon

chaahtaa hoon tere aane par waqt thaam loon
thaam ke rakhoon qayaamat aane ke baad bhi
chaahta hoon waqt ban jaaun
aur khud hi tham jaaun

chaata hoon ek yaad ban jaaun
aur mehkun khushboo ki tarah
chaahta hoon chaahta hoon chaahta hoon
par kyu fir ye ho nahi paata
main khul ke ak baar ro nahi paata
chaaha tha nadi banoon
chaaha tha samandar banoon
fir kyu baarish sa banta jaata hoon
kyu pal pal bikharta jaata hoon
kyu baarish sa banta jaata hoon.......

chaahta hoon tasweer ban jaaun
aur dhool se dhak jaaun
chaahta hoon khwaab banke tujhe yaad aaun
aur kuchh der baad toot jaaun
chaahta hoon banoon ek mashaal
duniya ko roshan kar jaaun
chaahta hoon har shaye noor se mehke
chaahe khud hi jal jaaun
chaahta hoon falak pe likh doon naam gumnaam sa
chaahta hoon ya falak hi noch daalun
chaahta hoon khuda ko pukaarun
chaahta hoon ya khuda ko bhi raund daalun
chaahta hoon ek chhote se muskuraate bacche ki
meethi si muskaan ban jaaun
chaahta hoon kisi sehme hue kamzor ki
halki lekin gehri udaan ban jaaun
chaahta hoon chheen loon tujhe is jahaan se
chaahta hoon ya khud hi se khud chhin jaaun
chaahta hoon ban jaaun koi bhoola manzar
aur ashq bankar nazar se gir jaaun
bahott thak chuka hoon ab chaahte chaahte
chaahta hoon ab ek lambi si neend mein so jaaun

chaahta hoon apne haathon ki ungaliyon ke
naakhoon gadaa doon is jalte sooraj ke badan mein
chaahta hoon choomoon apne hi badan ko
aur rooh tak gehre jalte zakhmon ke nishaan banaaun
chaahta hoon ponchh loon chaand ke maathe ka paseena
ya uske chehre pe tezaab chhidak aaun
chaahta hoon chhalni kar doon ehsaas ka seena
ya samet loon aur pi jaaun, apni pyaas bujhaaun
chaahta hoon ris jaaun bankar lahoo khud apne hi badan se
ya chheel doon rooh par se badan apna
chaahta hoon tukde tukde kardoon maazi ki haddiyaan
ya ghont ke gala yaadon ka khud tukde tukde ho jaaun
chaahta hoo cheer doon, kaat doon, faad doon, jalaa doon
us daaman ko jo kabhi thaam liya tha bhool se
chaahta hoon mitaa doon har wo nishaan guzre lamhon ka
ya nishaanon ko wahin rehne doon aur khud mitt jaaun
chaahta hoon ek oonche pahaad pe chadh jaaun
waadiyon mein jhaankun aur zorr se chillaaun
neeche dekhoon, gehri saans loon,
aankhein band karoon aur kood jaaun
chaahta hoon ke jal jaaun
aur shiddat se jaloon der tak
chaahta hoon ya bujh jaaun
aur shole ke jaise sulagta rahoon
chaahta hoon kisi gehre andhe kuuein mein doob jaaun
dafn ho jaaun kisi ko yaad bhi na aaun
ya kisi sakht rassi se kisi ped par jhool jaaun

chaahta hoon koi sookha hua kaanta ban jaaun
aur khud apne hi paaon mein chub jaaun
chaahta hoon koi khanjar ban jaaun
aur khud apne hi seene mein utar jaaun
chaahta hoon tod doon saanson ki is rawaayat ko
aur ek taareek se andhere mein kho jaaun
jaanta hoon chaahat hi sab kuchh nahi
fir bhi na jaane kya kya chaata hoon
jaanta hoon chaahat ki kuchh hasti nahi hoti
fir bhi na jaane kyu itna chaahta hoon

~~~Tanhaa~~~

mujhe phool na dena mujhe unse nafrat hai, dena hai to kaantey de dena ,mujhe unki aadat hai,
wo chubtey hai aur zakhm dete hai imaandaari se, phool to bewafa hotey hai...dhoka dete hai wafadaari se

DARD KO BHI AB DARD HONE LAGA, DARD KHUD HI GAAV BARANE LAGA,
DARD KE MAARE HUM NA ROYE KABHI, DARD HUM KO CHUKAR KHUD HI RONE LAGA..............
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
TariqAhmadAzmi
Registered User
TariqAhmadAzmi will become famous soon enough
 
TariqAhmadAzmi's Avatar
 
Offline
Posts: 386
Join Date: Oct 2006
Location: Lucknow
Rep Power: 18
Thumbs up 28th December 2007, 07:29 AM

Quote:
Originally Posted by tanhaa View Post

Chahat ko shaan ka salam
aaj bhut din baad shayri.com per aaya or aapke ye post dekhi. bahut khoob likha hai isme aapke ahsaas malom hote hain... aap isee trah likhte rahe
aapki agli post ke intezaar me

SHAAN

Gamo ki kader karo or unke sath jiyu,
Gam kabi fareb na denge khushi ki tarah
.
........Shaan......
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Sajid Khan
Registered User
Sajid Khan is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 77
Join Date: Oct 2007
Rep Power: 17
30th December 2007, 11:29 PM

Tanha Aap Ke Is Kalam Ne Aaj Khoon Ke Aansoo Rulaaye Hain

Zabardast Hain Aap Kasam Se Aur Aap Ka Kalaam

Bohot Dard Hain Aap Ke Alfaaz Main

Mazeed Posts Ka Intezar Rahe Ga
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
mylovepriyanka
Registered User
mylovepriyanka is on a distinguished road
 
mylovepriyanka's Avatar
 
Offline
Posts: 8
Join Date: Jan 2008
Rep Power: 0
4th January 2008, 03:52 PM

Quote:
Originally Posted by TariqAhmadAzmi View Post
Chahat ko shaan ka salam
aaj bhut din baad shayri.com per aaya or aapke ye post dekhi. bahut khoob likha hai isme aapke ahsaas malom hote hain... aap isee trah likhte rahe
aapki agli post ke intezaar me

SHAAN
buhat achha likha hai masha Allah umeed karte hain aur behtar sunne ko milega aapse

Rone se gham kam hote to itna rote hum,
is zamee ki hast hi kya hai,aasma tak dubo dete hum.
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
tanhaa
Registered User
tanhaa will become famous soon enough
 
tanhaa's Avatar
 
Offline
Posts: 84
Join Date: Jan 2004
Location: delhi, india
Rep Power: 21
24th January 2008, 02:27 PM

Quote:
Originally Posted by TariqAhmadAzmi View Post
Chahat ko shaan ka salam
aaj bhut din baad shayri.com per aaya or aapke ye post dekhi. bahut khoob likha hai isme aapke ahsaas malom hote hain... aap isee trah likhte rahe
aapki agli post ke intezaar me

SHAAN
dear shaan..
sry for late reply.. achha laga ye jankar ki maeri ye chhoti si koshish aapko itni pasand aayi..
aage bhi aapke saath ki umeed mein bahot jald agli nazm pesh hogi..

~~~Tanhaa~~~

mujhe phool na dena mujhe unse nafrat hai, dena hai to kaantey de dena ,mujhe unki aadat hai,
wo chubtey hai aur zakhm dete hai imaandaari se, phool to bewafa hotey hai...dhoka dete hai wafadaari se

DARD KO BHI AB DARD HONE LAGA, DARD KHUD HI GAAV BARANE LAGA,
DARD KE MAARE HUM NA ROYE KABHI, DARD HUM KO CHUKAR KHUD HI RONE LAGA..............
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
tanhaa
Registered User
tanhaa will become famous soon enough
 
tanhaa's Avatar
 
Offline
Posts: 84
Join Date: Jan 2004
Location: delhi, india
Rep Power: 21
24th January 2008, 02:29 PM

Quote:
Originally Posted by Sajid Khan View Post
Tanha Aap Ke Is Kalam Ne Aaj Khoon Ke Aansoo Rulaaye Hain

Zabardast Hain Aap Kasam Se Aur Aap Ka Kalaam

Bohot Dard Hain Aap Ke Alfaaz Main

Mazeed Posts Ka Intezar Rahe Ga
dear sajid,
sry for late reply..
sabse pehle maafi chaahunga.. ye nazm kisi ko rulane ke liye nahi balki aansoo ponchhne ke liye thi.. lekin main koi shayar to hoon nahi jo kuhh soch samajh ke likh sakoon...
bass jo mann mein aata gaya.. likhta gaya.... aage bhi kuchh achha likhne ki koshish karoonga...

~~~Tanhaa~~~

mujhe phool na dena mujhe unse nafrat hai, dena hai to kaantey de dena ,mujhe unki aadat hai,
wo chubtey hai aur zakhm dete hai imaandaari se, phool to bewafa hotey hai...dhoka dete hai wafadaari se

DARD KO BHI AB DARD HONE LAGA, DARD KHUD HI GAAV BARANE LAGA,
DARD KE MAARE HUM NA ROYE KABHI, DARD HUM KO CHUKAR KHUD HI RONE LAGA..............
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
tanhaa
Registered User
tanhaa will become famous soon enough
 
tanhaa's Avatar
 
Offline
Posts: 84
Join Date: Jan 2004
Location: delhi, india
Rep Power: 21
24th January 2008, 02:31 PM

Quote:
Originally Posted by mylovepriyanka View Post
buhat achha likha hai masha Allah umeed karte hain aur behtar sunne ko milega aapse

Rone se gham kam hote to itna rote hum,
is zamee ki hast hi kya hai,aasma tak dubo dete hum.
dear my..
sry for the late reply...
thanks for honslaa afzaayi

~~~Tanhaa~~~

mujhe phool na dena mujhe unse nafrat hai, dena hai to kaantey de dena ,mujhe unki aadat hai,
wo chubtey hai aur zakhm dete hai imaandaari se, phool to bewafa hotey hai...dhoka dete hai wafadaari se

DARD KO BHI AB DARD HONE LAGA, DARD KHUD HI GAAV BARANE LAGA,
DARD KE MAARE HUM NA ROYE KABHI, DARD HUM KO CHUKAR KHUD HI RONE LAGA..............
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Chaahat R.L.Awasthi Aapki Shayri 1 1st October 2006 12:14 AM
Unki CHAAHAT,Meri CHAAHAT, Wohi to hai Humari CHAAHAT.. chaahat Shayri-e-Ishq 3 29th August 2006 03:53 AM
Chaahat mountainlord Aapki Shayri 5 4th October 2004 02:49 PM
Chaahat CoolAmit Shayri-e-Ishq 1 17th May 2004 11:14 AM
Chaahat sunkirti Shayri-e-Ishq 0 26th April 2004 10:35 AM

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com