khamoshi khud apni sada ho
aysa bhi ho sakta hai
sannata hi gunj raha ho
aysa bhi ho sakta hai
mera mazi muj se bichar kar
kiya jane kis haal mein ho
meri tarha woh bhi tanha ho
aysa bhi ho sakta hai
sehra sehra kab tak mein dhundu
ulfat ka ik alam
alam alam bhi ik tarha ho
aysa bhi ho sakta hai
ehle toofaan soch rahe hai
sahil duba jata hai
khud unka dil dub raha ho
aysa bhi ho sakta hai