|
|
|
|
|
|
|
|
Humanity
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 43
|
Some memories... -
13th May 2006, 10:26 AM
Firends,
Aaj kaafi time baad kucch likha hai... Of late everyone of us has become so busy, so occupied that no time left for each other even. aise me bachpan ke khayal aate hain jab sirf masti hi masti rehti thi.... just penned some of my experiences.....
=========================================
yaad aata hai kabhi kabhi bachpan kaa zamaanaa
befikr duniyaa se, khelna koodna masti manaanaa
woh har shararat par maa kaa aankhen dikhaanaa
aur har baar pitne se Amma* ka mujhe bachaanaa
wo rehnaa bhai ke peeche peeche banke poonchh
tauji* ka chhoti badhi baaton pe hume ladhvaanaa
har chhotii badii bimaarii par amma ka kholna petii*
aur raaton ko thakne par mera unke pair dabaanaa
dimaag rehnaa padhaaiyon se hardam koson door
aur woh Bio teacher ka "Blank Child" keh bulaanaa
Pahunch jaanaa school time se teen ghantaa pehle
aur faand deewaren volleyball court me utar jaanaa
woh daraa kar seniors ka chheen lenaa ball mujhse
fir mera bhai* ke haathon sab ki dhunai karvaanaa
Din wo khaas jab mili thhi mujhko merii apnii Cycle
aur shaan se pehle din school me use ghumaanaa
masti bhare pal thhe, masti bhara thha har taraanaa
aasaan lagtaa thha kitnaa zindagi kaa har afsaanaa
Khaatii-meethii chhotii-badii kucch baaton kaa maine
Bachpan naam se dil me chhupaayaa hai khazaanaa
=========================================
Amma* - My daadi (grand mother)
Peti* - her box of homeopathic medicines.
Tauji* - My uncle (Father's eleder brother)
Bhai*- not bhai as in Don... my elder cousin (Mine is a joint family... we stay togther)
Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,474
Join Date: Dec 2005
Location: singapore
Rep Power: 22
|
13th May 2006, 11:27 AM
bachpan wo alhadh masti wo chhoti chhoti bataine nathkht hona
shratain maa ka gussa dadi ka laddh dular
tumne bhaut achha likha hai pulkit padhkar aankhein bhar aayi kassh bachpan ka bholapan kabhi jaaye hi na
shrdh
|
|
|
|
|
ek shoonya
Offline
Posts: 1,749
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 31
|
13th May 2006, 12:00 PM
Namaskaar Pulkit bhai,
Abhi kya kahun....bas aapki yeh panktiyaan ek anootha sangam hai zindagi ka. wo bachpan ki sharaaratein, wo larna-jhagrna, woh chupna-chupaana, woh raaton ko patthar se lychee ke gucchey giraana, woh Maa se dupak-kar Maa ko hasaana, woh 'home-work' na karna, Report card chupaana. Woh cycle se girna, baarishon per ucchalna.
Pulkit Bhai, main bahaut khusnaseeb hoon jo maine aapko parha. aapka bahaut bahaut dhanyavaad.
aapka
v i p i n
विपिन
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 3,937
Join Date: Dec 2003
Rep Power: 33
|
Re: Some memories... -
13th May 2006, 01:17 PM
Hi Pulkit,
True... we all do hope that we can return to those days some day... fearless...innocent... full of energy... things change with time... but i hust hope we all can rekindle the child within us... for being a kid was the best time of our life....
Well written....
tc
Rohin
|
|
|
|
|
Sifar
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 42
|
13th May 2006, 01:19 PM
Pullu Bhai
Aur jeewan maiN bachta kya hai .. sivay yaadoN ke .. aur shayad bachpan ki yaad hi jeewan ki dharohar hai .. meri mubarak baad aapko ek saccha aur accha kalaam likhne ke liye ...
waise ek baat hai sab abhi tak kehte hai mera bachpan gaya nahi aapko to jyada anubhav hai ... kyuN
apna khayal rakhiye
Kunaal
KunaaL (Sifar).........
Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 544
Join Date: Mar 2006
Location: Delhi
Rep Power: 21
|
13th May 2006, 03:46 PM
Pulkit ji aapki rachana padi aur ham sab ek baar fir se apne bachpan mein jhaank aaye ...........sach yah bachpan jindagi ka sabse masoom hissa hai .................aapne bahut sundarta se sahbdo ko bachpan ke eahsaso ko peerooya hai..........is ko parah kar mujhe jagit ji ki gayi gazal yaad aagyi ..........".yeh daulat bhi le lo, yeh shohart bhi le lo........bhale chheen lo mujhse meri jawaani , magar mujhko loata do woh bachpan ka sawan , woh kagaz ki kishitee , woh barish ka paani............."
.
aapki yah do lines bachpan ke ehasas ko bahut khubsurati se apne mein samate hain................
masti bhare pal thhe, masti bhara thha har taraanaa
aasaan lagtaa thha kitnaa zindagi kaa har afsaanaa
with best wishes
ranju
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
|
13th May 2006, 05:44 PM
masti bhare pal thhe, masti bhara thha har taraanaa
aasaan lagtaa thha kitnaa zindagi kaa har afsaanaa
Khaatii-meethii chhotii-badii kucch baaton kaa maine
Bachpan naam se dil me chhupaayaa hai khazaanaa
Hello Pulkit
Tumhari yeh rachna shayad sabko apney bachpan mein le jayegi........so sweet .......good memories....yeh memories sabke liye khaas hoti hain....bahut khoobsurti se tumney inn memories ko apni poetry mein piroya hay......
Keep up the good work
Take care
Di
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,270
Join Date: Jul 2005
Location: New Delhi.(India)
Rep Power: 38
|
13th May 2006, 06:06 PM
hi buddy
how are you?
ik baar phirse pyari si creation... saccch bachpann kitna accha hota hai... college se acchey school ke din at least kucch karne ko to milta hai... or gharwale to humesha hi saath dete hai chahe bachpann ho ya jawaani
aise hi yaadein taaza karwaate rehne ka or apna khayaal rakhne ka ok biddoo
SHWETA
jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai
uth jati hai kalam likhne ko
wo pyar deewana hota hai
kar deti hai haal-e-dil bayaan
wo kalaam shayraana hota hai
jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai...
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
duniya mein kitna gam hai
apna gam phir bhi kam hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 32
|
kyon ho gaye bare ham -
13th May 2006, 06:20 PM
bahut khoob kaha hai tum ne tab sochte the bare hona kitnee baree baat hai ab samhj ata hai bara hona to chotee see baat hai chota ho pana bahut baree baat hai kash woh din laut ayen wah kya khoob kah diya tum ne
Anil
mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
|
|
|
|
|
Tanhaa Raahi
Offline
Posts: 3,700
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 55
|
13th May 2006, 09:28 PM
Chote Bhaiya...!
Hum ko bhi apne bachpan ke din yaad dilaa diya toumne...! Waah...Kya zamaana tha !
Daad kaboul karna iss khubsurat kalaam ke liye...!
Weisse jab hum busy nahin hote, to lazy ho jaate hein...!
Yahaan ke ache ache shayron ko padhne padhte waqt na
jaane kaise guzar jaata hai aur apne threads par reply karna
bhoul jaate hein...! I am always here with all of you...
Apna khayaal rakhna thik se...ok ?
With blessings
Jeene ke liye mujhe ek sapna dedo
Haqeekat meri jaaN liye jaa rahi hai
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 144
Join Date: Nov 2005
Rep Power: 24
|
13th May 2006, 10:08 PM
Gupta jee
Nice one..... Childhood is the best time in a human's life... and u have explained it very well.... BACHPAN ...its small word to say but it carries alot in it....
sager
Her pal dekta hoon,
dharti ko aasma se milte huye,
her pal dikh jati hai isliyat mujhe.....
aur rah jata hoon bus yehi kahte huye......
shitiz yeh nahin hai,
SAGER tere aasma se pyar ki
|
|
|
|
|
Humanity
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 43
|
14th May 2006, 10:16 AM
Shraddha,
Yehi to pala hain jinhe haum zindagi bhar cherish karte hain.... Its so important that we have that kid living in us somewhere forever.....
Am glad that u liked my thoghts as always
Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
|
|
|
|
|
Humanity
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 43
|
14th May 2006, 10:17 AM
Quote:
Originally posted by Vipinbox
Namaskaar Pulkit bhai,
Abhi kya kahun....bas aapki yeh panktiyaan ek anootha sangam hai zindagi ka. wo bachpan ki sharaaratein, wo larna-jhagrna, woh chupna-chupaana, woh raaton ko patthar se lychee ke gucchey giraana, woh Maa se dupak-kar Maa ko hasaana, woh 'home-work' na karna, Report card chupaana. Woh cycle se girna, baarishon per ucchalna.
Pulkit Bhai, main bahaut khusnaseeb hoon jo maine aapko parha. aapka bahaut bahaut dhanyavaad.
aapka
v i p i n
|
Vipin bhai,
Sach me bachpan ke woh ehsaaas bahut hi khaas hote hain.... har ek chhoti badi baat dil ke kareeb rehti hai... woh masoom sharaarat, woh bewakoofiyan....
bahut accha laga aap mere ehsaasat mehsoos kar paaye... yun hi saarth dete rahiyega... apna khayala rakhiyega
Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
|
|
|
|
|
Koshish
Offline
Posts: 214
Join Date: Jul 2005
Rep Power: 21
|
14th May 2006, 02:04 PM
Pulkit...
bahut khoob!.....bachpan ki sair kara di aapne.....bahut hi pyara kalaam.....main toh apne bachpan mein hi kahin kho gayi....bahut acah laga.....issi tarah likhte raho....khush raho!
Aaina mujhse meri pehli si surat maange
|
|
|
|
|
Humanity
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 43
|
Re: Re: Some memories... -
15th May 2006, 10:32 AM
Hi Rohin,
Sacha kaha yaar... woh din alag hi hote thhe... If one cud just save a par of that innocence for a life time... wud be great....
Do keep reading me... take care
Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
|
|
|
|
|
Humanity
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 43
|
15th May 2006, 10:34 AM
Quote:
Originally posted by sacccha_pyar
Pullu Bhai
Aur jeewan maiN bachta kya hai .. sivay yaadoN ke .. aur shayad bachpan ki yaad hi jeewan ki dharohar hai .. meri mubarak baad aapko ek saccha aur accha kalaam likhne ke liye ...
waise ek baat hai sab abhi tak kehte hai mera bachpan gaya nahi aapko to jyada anubhav hai ... kyuN
apna khayal rakhiye
Kunaal
|
Kunaal,
Hmmmm. yeh to humaare oopar hai ke hum kya bacchaate hain siva yaadon ke... ab jaise tumne to bahut kucch bachaya hai bachpan se :-p....
mujhe tumhaara ek kalaam yaad hai... "mera bachpan naam thha uska"......
Aise hi saath raho... khayal rakho apna... tc...
Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,089
Join Date: Jun 2004
Location: Toronto,Canada
Rep Power: 32
|
16th May 2006, 07:19 AM
mere pulkit
wow tuharii har ek post mein ek nayii kahanii hoti hai n this one is so touching .... saach mein childhood days r the BEST days in life... sumthing which can treasure through out lifwe ... ek haseen khazana
keep writing
love u alot
take a good carew of urself
urs di
mandy
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 28
|
17th May 2006, 11:33 AM
Bhole bhaale, saada se lafzon mein masti mein jhuumta yeh taraana sa nazar aata hai...Pulkit bahut achha likhte ho...bachpan ka chakkar hum bhi lagaa aaye tumhare saath saath...keep it up buddy!
nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho
mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho
--Sayyidaa Fatimaa Hasan
|
|
|
|
|
Humanity
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 43
|
17th May 2006, 06:47 PM
Hi Ranjana,
aap humesha hi bahut acche se appreciae karti hain... Accha laga jaankar ke is baar bhi aapko meri koshish pasand aayi... aise hi saath deti rahiyega... apna khayal rakhiye...
Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
|
|
|
|
|
Humanity
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 43
|
17th May 2006, 06:57 PM
Didi,
Bachpan ka samaa hota h itna pyaara hai... tension free... relaxed... Aapko acche lage yeh ehsaas jaan accha laga... aise hi saath deti rahiye...... khayal rakhiyega apna
Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
|
|
|
|
|
Humanity
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 43
|
17th May 2006, 06:59 PM
Shweta,
Tumhe acchi lagi yeh ghazal jaankar accha laga... haan yaar those days were good... khiar tumhara to abhi bhi masi maarne ka time hai... enjoy whatever bit of time is left... yeh waapis nahi aata... keep coming... Take care
Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
|
|
|
|
|
Humanity
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 43
|
Re: kyon ho gaye bare ham -
19th May 2006, 04:38 PM
Anil,
Sahi kaha aapne... bachpan ke din laut paate to kyaa baat hoti... its so imporatnt ke humaare andar ka baccha humesha jeeta rahe... aapko pasand aaye ehsaas... accha laga...
yun hi saath dete rahiye.. apna khayal rakhiyega...
Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
|
|
|
|
|
Humanity
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 43
|
19th May 2006, 04:41 PM
bhaiya,
Lol... laziness ki to baat mat poochiye... aalas peecha kab chhodta hai.... lekin aapko kucch bhoolne ki permision nahi hai... aise hi humaare saath rahiye... apna khayal rakhiye... take care
Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
|
|
|
|
|
Humanity
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 43
|
19th May 2006, 04:50 PM
Sager,
Sahi kaha aapne... bachpan ke din khaas hote hain... aapko ehsaas acche lage khushi hui... yun hi haunsla badhaate rahiyega... khayal rakhiye...
Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
|
|
|
|
|
Humanity
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 43
|
21st May 2006, 10:25 AM
Hi Wafa,
Aapko accha laga... and it made you revisit ur childhood... am glad.... un hi saath deti rahiye... I'll try to to keep writing... TC...
Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
|
|
|
|
|
Humanity
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 43
|
21st May 2006, 10:27 AM
Dear Mandy,
Well... meri posts ko tum jisi perspective se dekho vaiai nazar aayengi... haan ek taraf aajkal yeh sab ek doosre se juda hain as they are different aspects of life...on the other hand they are similar as they are all aspects of ife
haan bachpan sach me bahut khaas hota hai.... tumhe accha laga mujhe bhaut khushi hui... yunm hi saath deti raho.. Do take lots of care
Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
|
|
|
|
|
Humanity
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 43
|
21st May 2006, 10:29 AM
Dearest Guruji,
My guru is there to write heavy naa so i write light things.... Tumh bhi bachpan ki sair ho gayi accha laga.... yun hi mere saath raho.. apna khayal rakhna acche se... Taek careee
Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 124
Join Date: Feb 2006
Location: New Delhi
Rep Power: 19
|
22nd May 2006, 02:21 AM
hi bro,
mere bachpan ke khoye khazaane ki yaad dilaane ke liye shukriyaa. bahut si muskurahatein waapas dene ke liye shukriya.
pataa nahi kaise bhool gaya tha mai ke yeh khazaana bhi kahi chupaaya tha kabhi , aaj dil bhar ke muskuraoonga yaad karke woh bachpan ki yaadein, shararatein harkatein aur na jaane kya -kya.
bahut achaa likhaa , bahut si muskuruhate di . shukriyaa dost
Aag ab bhi wahi hai
Dard ab bhi wahi hai
Waqt shayad badal gaya hai
Meri shakhshiyat ab bhi wahi hai.
GKS
|
|
|
|
|
a broken shadow...
Offline
Posts: 1,164
Join Date: Mar 2007
Location: london
Rep Power: 21
|
29th April 2007, 04:40 AM
hello pukit g,
namaskar,
very well written, bahut khushi hui isse padkar. great time...great experience....unforgetable memories...
tc
Manish
Life is filled with goodbyes, a million goodbyes, and it hurts every time....and every time my heart dies a little...
Darkness falls on me like rain... just one drop at a time....
|
|
|
|
|
Humanity
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 43
|
3rd May 2007, 05:57 PM
Hi Guru,
Kahaan ho dost? Long time no see at all...
Welll... I am glad you liked these feelings... Bachpan ki yaadein waakayi me ek pyaari muskuraahat le aati hain...
Take care and keep motivating me...
Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
|
|
|
|
|
Humanity
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 43
|
3rd May 2007, 05:59 PM
Hi Manish,
Yeh post kahaan se mil gayi aapko...It was written long back... but dobara padhke..woh baatein yaad karke accha laga... Thanks for making me revisit my bachpan and for appreciating my work...
Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
|
|
|
Thread Tools |
|
Display Modes |
Rate This Thread |
Linear Mode
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Similar Threads
|
Thread |
Thread Starter |
Forum |
Replies |
Last Post |
Making Memories
|
zaynie |
General Stories |
42 |
21st January 2007 07:11 AM |
Some Memories
|
luv_dude88 |
Shayri-e-Ishq |
3 |
29th July 2005 11:43 PM |
wEb Of mEmOrIeS
|
shattered soul |
English Poetry |
0 |
26th February 2005 01:24 PM |
Memories...
|
Amanush... |
English Poetry |
12 |
13th November 2003 02:27 AM |
In My Memories Forever
|
Aunali |
Shayri-e-Ishq |
0 |
26th January 2002 06:28 PM |
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
|