Bade bhaiya
maje le rahe hain meri ... theek hai theek hai
lijiye aapka haq banta hai
Sunita Di
mai aa gaii na to bhaiya ko aise hi majedaar mood me dekhengi... kabhi ham dono bahut maje karte thay... fir my fault mai hi sabse door ho gaii... par abhi to mai wapas aa gaii hun na... double masti
ab aapko bade bade jawaab chahiye to jhelo....
sawal no 1
Arre bhai bahut saaal bhagwaan ji ko man kiya ki wo ek jaudgar ko niche jameen par paida karein...
unhone bahoot saare jadugar ko bheja par baat nahi bani....
jadugar aisa hona chahiye tha jo logo ke chehre par smile laaye bina paise ke... jo khushi de khushiyaan baatein... aur unhone mujhe banaya
to finally 31 march 1984 ko maine is dharti par apna kadam rakha aur mujhe dekhkar logo ko hasi aaii hogii... pata hai kyun...
nahi pata na.... kaise pata chalega jab tak mai bataaungi nahin...
wo kya huwa bhagwaan ji ne bahut bada sir de diya... (jaroori bhi tha) itna bada sir nahi dete to sabko khush rakhne ki capacity kaise aati... par bada sa sir dene me wo bhool gaye ki isko sabmbhaalne ki stamina bhi deni chahiye...
kuchh logo ko meri ye haalat dekhkar bahut mauj aayaa tha... maine jahaan tak suna hai....
ab bhagwaan ji ne bade se sir ke istemaal ke liye stamina nahi di thi to shuruaati din shanti aur gambhirta me beetein
isliye mere do naam khaas pehchaan me aaye "Shanta" aur "Garima".
mai itni shaant rahti thi ki kisi ko meri awaaj sunaaii hi na de par jab bolti thi to damdaar bolti thi.... aur ye dono hi naam meri habit ko dekhkar rakhe gaye....
Kalantar me shanta ki shant prawriti dhire dhire hatati gaii to ye naam bhi logo ke jehan se utarta gaya
haan Garima bani rahi.... jise banaaye rakhne ka prayaas aaj tak karti aa rahi hun.... halanki mai maanti hun ki mera naam Garima ke alaawa kuchh aur bhi hota to bhi mai wyaktitva to yahi rahti na... fir bhi ab mere bade bujurgo ne ek aisa gift diya hai mera naam... jo meri pehchaan hai... jo hamesha mere saath rahegii to ise bachakar rakhna mera uttardayitva bhi hai...
haan naam ki baat bata rahi hun to bataaun ki... mujhe shuru se ek cheej pasand nahi wo ye ki mere naam ko koi ulta sidha banakar bole... jaise logo karte hain sidharth ko sid etc
mai hamesha ye maanti hun ki iske bajaay aap koi naam alag se rakh lijiye agar aapko bade naam bolne ki aadat nahin...
meri is jidd ki wajah se mere aur bhi koi lambe chhote bade mote naam bante gaye....
kuchh to ab yaad bhi nahin... jo yaad hain wo bata rahi hun
mera ek naam hai Muskaan mujhe syed bhai ne ye naam diya tha... unka kahna tha ki wo jab bhi mujhse milte hain kitne bhi niraash ho muskuruhaat unke chehre par aapse aap aa hi jaati hai.... isliye wo mujhe muskaan bulaane lage
Anaya- NLP teacher meri kahti thi, kyunki mai unse related kisi bhi topic par bejhijhak ghanto bak bak kar sakati thi aur na hi bak bak karti balki uspar jabarjast explanation bhi deti
tokri- haha haha tokri matlab to aap jaante hi hain... 7th ke mere math sir bolte hain... kahte thay ki jaise tokri mere saare phal sajakar rakhte hain aur tokri kitni halki hone ke baawjood sabko sambhaal leti hai... waisa hi mera beta hai... isliye tokri... :P
Gartu- Garima the unique.... ye mujhe 2 logo ne kaha "meena maa " ne aur "Amit bhaiya" mujhje ascharya huwa ki ye dono ek dusre ko nahi jaante... door door tak fir bhi dono ne ek hi naam kaise socha... baad me meena maa ne gartu se garu bolna shuru kiya jiska full form mujhe nahi pata... ab wo aisa nahi bolti haim
jaane kyun
Gudiya- a very common name for all girls.. as it is mera bhi hai...
Gudi- iska aawishkaar mere sweet heart gaurav ne kiya... wo chhota tha to pura naam bol nahi paata tha gudiya to gudi bolta... abhi tak ye gudi hi hai halanki ab gudiya bol sakta hai... gaurav ke baad juhi and even mahima bhi sometimes isi naam se mujhe bulaate hain
lucky girl- mere kuchhek friends mujhe isi naam se bulaate hain... reason to wahi jaanein... haan yahaan bhi ye baat hai ki wo friends ek dusre ko bilkul nahi jaante... fir bhi ek jaisa naam kaise soch liya... ascharya ki baat hai
jaan- a name used by shradha dii... wo mujhe hamesha hi jaan bolkar sambodhit karti hain... mai samajhti hun dusro ko bhi karti hongii... par usse kya mujhe bahut maja aata hai... "jaan" word sabse pahle shardha di ne hi use kiya tha... ab is bheed me kaii log hain, aur mujhe sabse sunna pasand hai... as shradha di, rajeev bhaiya, deepika etc etc
sweetheart- sabse pahle yahaan jasleen di ne mujhe kaha tha sweet heart.... aap sab jasleen di ko to jaante hi hain... haan ab ispar bhi kaafi logo ka adhikaar hai
sweetu- common name used by lots of friends in the short form of sweet heart
Gabbar - hahaha bade bhaiya aapko yaad hoga... karan usne mujhe bola tha... sirf ek baar shayad par mai use bhool hi nhi paaii... mujhe bahut maja aata hai yaad karke... so sweet... haan uske baad aajtak mujhe kisi ne gabbar nahi bola... (please koi ye na samjhe ki mai kisi jang ko hawa de rahi hun, mai bas naamo ki kadi me ise shaamil kar rahi hun)
Garv- abhi tak maine jo kaha usme log mujhse mile meri aadato ko dekha aur us hisaab se naam rakha... lekin "Garv" is naam se mujhe prerna mili... maine khood ko apane aaine me dekha aur taiyaar kiya ki isko sanjo ke rakhna hai... is gurutwata ko banaaye rakhna hai... hamesha... hamesha ke liye.. Vipin uncle thanks for giving me a new ray of light to live my life with others as well as... I am and will be obliged for life time
aise aur bhi kaii saare nick names hain... jo beech beech me yaad aate rahenge to mai bataati rahungii mahine bhar me....
baba sirf naam par mai itna bol gaii to aage kitna bolungii... soch rahe honge na aap sab
par meri galti nahin.... kahte hain sote huwe sher ko nahi jagaana chahiye... aur aapne to jaga diya to jhelo
khair meri paidaaish... hamaare desh hindustan me huwa... hindustaan yaanki wo jagah sambhaaw ke saath sabhi ko sthaan mil sake use hindustaan kahte hain...
mera bharat... waise mujhe mere desh ko tukdo me todne ki adat nahin... fir bhi parichay ke liye bata rahi hun ki... uttar pradesh me ek district hai "Ballia" wahaan ek chhota sa nanha sa lekin bahoot teekha gaao hai "gonhia chhapra" wahaan meri paidaaish huii thi...
27 years pahle aur aaj me wahaan kuchh nahi badla... logo ki maansikta aaj bhi utni hai jitni ki tab tha, haan agar badla hai to ek cheej ki kuchh mujh jaise bhi wahaan paida ho gaye galti se...
naam me kya rakha hai ji... kaii saari ladkiyaan hain jisne gonhia chhapra ke kattarta ko todte huwe kuchh naya karke ki himmat ki, salute for them
haan to ek kattar gaao me jahaan ladki ki paidaaish hi kisi bure bhoot ke saaya jaisa hota hai wahaan mera ghar bhagwaan ki daya se thoda achha raha... meri dadi ne kaafi had tak apne riti riwaajo ko taakh par rakha
mere dada ji ke liye to mai unki jindagi hun....
maine apne bachpan ki saari nind chacha ji ke pet par gujaari hai... aisa kahte hain ki mai dubli patli si thi aur chacha ji mujhe apne pet par lita lete aur thapkiyaan dete rahte... aur mai soii rahti
chhote chacha ji ki masti bhari yaadein... hamesha majak masti... aur mujhe pareshaan karna... mera ruthna fir unka manaana...
pyaari si mummy... waise mai samjhti hun ki us umra par wo mera khayaal rakh sakein aisa anubhaw hi nahi hoga... chhoti umra... fir bhi mujhe bahut sambhaala
tab itne hi log thay... haan bua ji aur mama ji par inke baare me jyaada yaad nahin... bachpan ke liye kaaran ki mai apna saara samay dada ji ke saath bitaati thi... dada ji ke kandhe par chadhkar... hamesha
to mai kisi aur ke saath jyaada rahi hi nahin... mere dada ji aur mai... koi hame alag dekh hi nahi paata... isliye dada ji ke saare mantra sanskaar mujhe virasat me mile... unke jaise bolne ki aadat, adhyatm par pakad... aur bhi bahut kuchh
aur mere hero papa ji... halanki papa ji saath me kam rahte thay, lekin wo mere hero thay hain aur rahenge... mere dada ji hamesha papa ji ke baare me achhi achhi cheejein bataate rahte thay... aur mujhe lagta ki mere papa ji "Hanu-man" hain aaj ki bhasha me... haan tab mai hamesha kahti ki mai badi hokar papa ji jaisa banungii... aur mere dada ji mujhe gale lagakar kahte ki mai to allready unke jaisi hi hun
haan ek cheej jisne mere bachpan ko prabhaawit kiya jisme mujhe ehsaas nahi huwa ki mai bachi hun....
jaane kyun mujhe aisa lagta ki mai apne pure pariwaar ko sambhaal lene ke liye sakchham hun... aur papa ji ke baad mera ye kartavya banta hai ki mai aisa karun.. kisi ke jor jabarjasti me aakar nahin... dil se
aur yahi karan tha ki mai shant rahti... kam bolti aur jyaada kuchh karne ke liye sochti rahti...
kisi ke najar me meri ye bewkoofi ho sakati thi par mai to
dhire dhire pariwaar badhta gaya... sabse pahle mahima ki new entry I was so happy that time... mai tab 7 saal ki thi... and uske baad lagbhag 6 mahine baad meri nai chachi ji ki entry 2 saal baad mere cousin ke entry.... aisa karte karte lambi chaudi family ho gai... jo mai aapko bata chuki hun
mujhe hamesha yahi laga aur aaj bhi lagta hai ki sab mere hain... even my friends, wo bhi mere pariwaar ke antargat aate hain
kaaran ki koi bhi rishta kisi ek rishte ki jagah nahi le sakta hai... prem ka aakaash itna vishaal hai ki isme jo bhi aayega wo iska ho jaayega... aur use kisi tarah ki ghutan ka ehsaas nahi hoga...
basharte ek cheej ka dhyaan rakhna chahiye ki jitne log hain utne alag alag vyaktitva hain... aapse inka sambandh alag hai aur jaroori nahi ki aapke kisi aur sambandhi se bhi uska waisa hi sambandh bane jaisa aapka usse hai... to fir iska upaay ye hai ki unki duri ko aap maintain rakhein... itna ki ye ek dono ke aakaash me kabhi dakhal andaaji na kar sakein
dusri cheej maine hamesha yaad rakhi ki... agar aap prem ki talash me jaayenge to aapko kuchh nahi milega... kyunki yahaan jitne log hain wo prem ki talash me hain... par koi aisa bhi hona chahiye jahaan prem ki talash khatm ho... jo dena jaane... ab aisa kisko dhundh ke le aati... to khood ko banaaya
'Its hard to search a trusthworthy person, but its easy to be a trust worthy person by doing such good deeds"
maine hamesha koshish ki is baat ko apne vyaktitiva me shumaar rakhun
aut teesri baat... jise jo chahiye wo wahi tikta hai... agar aapka koi mitra aapko samajh nahi paata aur aapse dosti aage nahi badhaana chaahta to just leave him/her
kyunki aap jo hain wo use nahi chahiye, par aapka jo wyaktitva hai wahi aapki pehchaan hai jiske kaaran aap is duniya me hain... fir kisi ek shaks ke liye us pehchaan ko mitne na diya jaaye to hi achha hai
ye kuchh formulae jo mai apne liye banaayein.... aur in par amal kiya to takleefein kam rahi... aur khushiyaan jyaada mili... abvious hai jo mere paas hoga wahi mai kisi ko de sakati hun... mere paas khushiyaan hai... jo aayega use wahi milengi
"waise log chehre par muskuraahat chaahte hain, mai aapke dil me chaahti hun, so keep smiling for me"
kitta saara ho gaya... itna aap padh lein to fir aage....
aage jhelne ke liye taiyaar rahna