 |
|
|
|
|
 |
|
|
Registered User
Offline
Posts: 199
Join Date: Oct 2010
Rep Power: 21
|
......zikr-e-sanam kerte hain! -
20th December 2010, 11:06 AM
Dil k zakhmon ko kuch is terha se hum bharte hain,
Ashq aur lahu k qatron se iska malham kerte hain!
Saij per sotay hain wo phoolon ki, kaheen humko bhulaker,
Kanton k bister per yahaan, yaad unko hum kerte hain!
Kabhie ho jaati hai takleef, jo bardasht se zyada,
Laga tasveer dilse unki, aankh phir se namm kerte hain!
Mohabbat aaj bhi is qadar aye dost, unsay hum kerte hain,
Malak-ul-maut ki aamad per bhi hum, zikr-e-sanam kerte hain!
|
|
|
|
|
RADHE RADHE
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
|

20th December 2010, 11:45 AM
Quote:
Originally Posted by EnigmA
Dil k zakhmon ko kuch is terha se hum bharte hain,
Ashq aur lahu k qatron se iska malham kerte hain!
Saij per sotay hain wo phoolon ki, kaheen humko bhulaker,
Kanton k bister per yahaan, yaad unko hum kerte hain!
Kabhie ho jaati hai takleef, jo bardasht se zyada,
Laga tasveer dilse unki, aankh phir se namm kerte hain!
Mohabbat aaj bhi is qadar aye dost, unsay hum kerte hain,
Malak-ul-maut ki aamad per bhi hum, zikr-e-sanam kerte hain!
|
wah bahut umda khyal pesh kiya hai bhai daad..................
Aapka Apna Ishk
'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है
email: rkm179@gmail.com
|
|
|
|
|
~$uper M0der@tor~
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 60
|
20th December 2010, 11:49 AM
Saij per sotay hain wo phoolon ki, kaheen humko bhulaker,
Kanton k bister per yahaan, yaad unko hum kerte hain!
waah mere bhai.. soze dil nazar aata hai aapke kalaamo me se.. ek alag hi ard jiski tees yahn tak mahsoos hoti hai.. upar ikha sher to bas cheer gaya dil ko.. likhte rahen yoonhi.
Duaaon ka muntazir..
shaad...
|
|
|
|
|
Aapki dost
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 56
|
20th December 2010, 02:51 PM
Quote:
Mohabbat aaj bhi is qadar aye dost, unsay hum kerte hain,
Malak-ul-maut ki aamad per bhi hum, zikr-e-sanam kerte hain!
|
BOHAT KHOOB ENIGMA SAHAB,
aapki ghazaloN me maqte ki kami mehsoos hoti hai,
maqte ka ek aur faida yeh hojayega ke hame kam se kam aapka taqallus pata chal jayega, jisse hum aapse muqatib ho sakenge,,enigma sahab kehna bada ajeeb lag raha hai...
khair itna bhi ajeeb nahi hai, ab yahaaN, ishk, zidd,mayoos,fikr,kasak jaise naam hain tou ek aur enigma bhi sahi.... ..
KEEP WRITING
Zainy
PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...
Nm
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,105
Join Date: Oct 2010
Location: Faisalabad
Rep Power: 34
|
20th December 2010, 03:22 PM
Quote:
Originally Posted by EnigmA
Dil k zakhmon ko kuch is terha se hum bharte hain,
Ashq aur lahu k qatron se iska malham kerte hain!
Saij per sotay hain wo phoolon ki, kaheen humko bhulaker,
Kanton k bister per yahaan, yaad unko hum kerte hain!
Kabhie ho jaati hai takleef, jo bardasht se zyada,
Laga tasveer dilse unki, aankh phir se namm kerte hain!
Mohabbat aaj bhi is qadar aye dost, unsay hum kerte hain,
Malak-ul-maut ki aamad per bhi hum, zikr-e-sanam kerte hain!
|
Enigma Ji...... Sab Se Pehlay Achay Khyalaat Pesh Krnay Pr Mubarik Baad Wasool Farmaiye....
Majmoi Tor Pr Dekha Jaye To Aap Ki Ghazal Boht Khooob Hai....
Magr Sirf Aik Jaga Mujhy Kuch Theak Nahi Laga.....
Aap Ne Matla Me "Hum BHarte Hain" Or Malhum Krte Hain" Istemaal Kia Hai........... Jabke Baqi Tamam Ashaar Me Ap Ne "NUM, Sanam Or Hum Ko Qafia Ke Tor Pr Istemaal Kia Hai Or " Krte Hain" Ko Radeef Lia Hai.......
Agr Aap Is Ghazal Ke Pehlay Misray Me Bhi"Bharte Hain Ki Jaga"Karte Hain " Kr Len TO Ye Ghazal Wazan Me Theak Ho Jaye Gi Or Waqae Khubsuraat Tareen Ban Jaye Gi.....
Umeed Hai K Aap Naraz Nahi Hon Gy.....
Khush Rahen
Ay Chaara-Saaz Dil Pe M're Daal Ik Nazar
Mujhko Bas Aik Jism Ka Aazaar Hee Nahi
AHMAD ALI SHAKIL
|
|
|
|
|
Anshumali
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 86
|
20th December 2010, 10:30 PM
Quote:
Originally Posted by EnigmA
Dil k zakhmon ko kuch is terha se hum bharte hain,
Ashq aur lahu k qatron se iska malham kerte hain!
Saij per sotay hain wo phoolon ki, kaheen humko bhulaker,
Kanton k bister per yahaan, yaad unko hum kerte hain!
Kabhie ho jaati hai takleef, jo bardasht se zyada,
Laga tasveer dilse unki, aankh phir se namm kerte hain!
Mohabbat aaj bhi is qadar aye dost, unsay hum kerte hain,
Malak-ul-maut ki aamad per bhi hum, zikr-e-sanam kerte hain!
|
Aapne bahut acche se khayaloN ko sajaayaa hai ... yeh peshkash bhi khoob lagi hume ... tahe dil se daad hazir hai ... aise hi likhte rahen ... khush rahen ...
aur jo zainy ji ne kaha hai ...... uspar bhi gaur kariyega ... !
duaaon ke saath ... !
YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...
Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...
---Naresh Mehra----
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 199
Join Date: Oct 2010
Rep Power: 21
|
.....zikr-e-sanam kerte hain!(Revised) -
21st December 2010, 01:53 AM
Tamaam arbaab-e-zoq ko Aadaab! Pehli baat, mujhe badi masarrat hui jab aap sab ka pyar dekha, dil baaghbaan hogaya. Aaap sab -Janab Ishk Sahab, Sameer Shaad Sahab, Naresh Mehra Sahab , Zainy Sahiba aur Ahmad Shakil Saahab ki daad aur pazirai ka tah-e-dil se shukrguzaar hoon!
Doosri aur aham baat ye ke mujhe aur bhi zyada khushi hui jab aap sab ne meri islah ki fikr ko numayan kia. Zainy sahiba boht shukriya aapka maqtay se mutalliq apni raai ki inayat ka. Bas itna izhar kerna chahunga k maine jaan boojh ker maqta nahi rakha apni kaavishon mein. Bas itna samajhiye main gumnaami pasand kerta hoon. Aur janaab Ahmad Shakil sahab ka tah-e-qalb se shukriya wazn k mutalliq apne beshqeemti mashwaray ka. Janab bura to wo mante hain jinki aankh kaan aur zahan sab ek terfa khulte hon. Mujhe to apka qaloos nazar aaya. To lee jiye janab aap ki rehnumai se sahi hui ghazal neeche paish-e-qidmat hai.
Dil k zakhmon ko kuch is terha se kam kerte hain,
Ashq aur lahu k qatron se iska malham kerte hain!
Saij per sotay hain wo phoolon ki, kaheen humko bhulaker,
Kanton k bister per yahaan, yaad unko hum kerte hain!
Kabhie ho jaati hai takleef, jo bardasht se zyada,
Laga tasveer dilse unki, aankh phir se namm kerte hain!
Mohabbat aaj bhi is qadar aye dost, unsay hum kerte hain,
Malak-ul-maut ki aamad per bhi hum, zikr-e-sanam kerte hain!
Last edited by EnigmA; 21st December 2010 at 02:06 AM..
|
|
|
|
|
masttt...
Offline
Posts: 2,151
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 40
|

21st December 2010, 02:27 PM
janaab enigma saheb...
ek pur lutf peshkash par tahe dil se daad haazir hai, qubuul farmaiyega...
aapka dost,
vikram ''masttt...''
'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....
vikramjethi@gmail.com
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
|
21st December 2010, 03:07 PM
Namaskaar sir,
aapko aaj pahli baar pada hai maine, aapke ahsaas dil ko chu gye, aapki poetry meiN dard mahsoos hua, vaise dard se hi nikhaar aata hai poetry par aur adrd ki bina poetry bhi adhoori si mahsoos hoti hai yeh mera maan.na hai.
aapko padna accha laga, bhagwaan aapki kalam meiN aur nikhaar deN....ameeN
god bless u
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
.....Sunita Thakur.....
यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 199
Join Date: Oct 2010
Rep Power: 21
|
Thanks! -
24th December 2010, 05:51 PM
Sunita Jee aapki pazirai ka mashkoor aur mamnoon hoon! Boht Boht Shukriya sarahne ka! Khush Rahein!
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,714
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
|
26th December 2010, 02:42 PM
Quote:
Originally Posted by EnigmA
Dil k zakhmon ko kuch is terha se hum bharte hain,
Ashq aur lahu k qatron se iska malham kerte hain!
Saij per sotay hain wo phoolon ki, kaheen humko bhulaker,
Kanton k bister per yahaan, yaad unko hum kerte hain!
Kabhie ho jaati hai takleef, jo bardasht se zyada,
Laga tasveer dilse unki, aankh phir se namm kerte hain!
Mohabbat aaj bhi is qadar aye dost, unsay hum kerte hain,
Malak-ul-maut ki aamad per bhi hum, zikr-e-sanam kerte hain!
|
waah enigma ji !! zabardast kalaam rahaa aapkaa. lagaa har misra dil ke lahoo ki syaahee se likha huwa tha. daad aur duaon ke saath ... zarraa
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 199
Join Date: Oct 2010
Rep Power: 21
|
Shukriya! -
30th December 2010, 07:44 PM
Quote:
Originally Posted by zarraa
waah enigma ji !! zabardast kalaam rahaa aapkaa. lagaa har misra dil ke lahoo ki syaahee se likha huwa tha. daad aur duaon ke saath ... zarraa
|
Takheer-e-shukrguzari k liye maazrat talab hai Zarra Sahab! Boht nawazish aapki! Khush Rahein!
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 651
Join Date: Apr 2010
Location: Chandigarh
Rep Power: 19
|
8th January 2011, 03:47 PM
"Saij per sotay hain wo phoolon ki, kaheen humko bhulaker,
Kanton k bister per yahaan, yaad unko hum kerte hain!
Mohabbat aaj bhi is qadar aye dost, unsay hum kerte hain,
Malak-ul-maut ki aamad per bhi hum, zikr-e-sanam kerte hain!"
Bahut Khoob Engima Jee, Bahut khubsurat lage ye do sher.....!!! Aise hi likhte rahiye...!!! Dil se daad hazir hai....Kabool kijiyegaa......!!!
KAVITA NEGI
Hame ehbab ki lambi qataron sy nahi matlab..........!!
Jo dil sy hamara ho hame wo ik shaksh kaafi he......!!
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 199
Join Date: Oct 2010
Rep Power: 21
|
Shukriya! -
18th January 2011, 01:25 AM
Quote:
Originally Posted by Kavita Negi
"Saij per sotay hain wo phoolon ki, kaheen humko bhulaker,
Kanton k bister per yahaan, yaad unko hum kerte hain!
Mohabbat aaj bhi is qadar aye dost, unsay hum kerte hain,
Malak-ul-maut ki aamad per bhi hum, zikr-e-sanam kerte hain!"
Bahut Khoob Engima Jee, Bahut khubsurat lage ye do sher.....!!! Aise hi likhte rahiye...!!! Dil se daad hazir hai....Kabool kijiyegaa......!!!
|
Mohtarma Kavita Jee, Adaab! Khushaamdeed! Boht mashkoor aur mamnoon hoon aapki daad ki inayat ka! Khush Rahein!
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 748
Join Date: Oct 2009
Location: new york U.S.A.
Rep Power: 28
|
18th January 2011, 06:18 AM
bahut hi khoob laga meary bhai.......
daad hazir hai,qbool kareiN
rajinderseep
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 199
Join Date: Oct 2010
Rep Power: 21
|
Sorry for the delayed Thanking.... -
13th October 2011, 08:26 PM
Adaab Janaab Rajinderseep Sahab!
Kya kahen.....boht sharminda hain jo overlook hogayee aapki paziraai humse....maazrat talab hai! Jahan tak mujhe yaad hai aap he wo pehle shaqs that jisne meri awwal kavish..ko apni beshqeemti raaye s e nawaza thaa aur sanjog ki baat k aap he aakhir bhi hai jinhe main Shukriya kehraha hoon yahan!
Dua Hai Rab Se Aapko Khush Rakhe, Abaad Rakhe!
|
|
|
Thread Tools |
|
Display Modes |
Rate This Thread |
Linear Mode
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2023, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
 |