Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Roshni se darte hain
Old
  (#1)
Lailaa
Registered User
Lailaa is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 15
Join Date: Apr 2005
Rep Power: 0
Roshni se darte hain - 16th April 2005, 12:45 PM

sher se shayari se darte hain,
kam nazar roaushni se darte hain,

log darte hain dushmani se teri,
hum teri dosti se darte hain,

duniya mein majbooron ki aah ke siva,
aur hum kab kisi se darte hain,

humko gairon se dar nahi laghta,
apne dosto hi se darte hain

kayamat ke din khuda to baksh de shayad,
haan magar maulawi se darte hain,

roothta hai to ruth jaaye jahaan,
unki hum berukhi se darte hain,

har kadam per hai dhoop hi dhoop,
ab to hum chaandni se darte hain.

Lailaa....


Aapse bichadker kis kadar akelii hoon mein,
Lag raha hai yuun jaise gumshuda pahelii hoon mein.
  Send a message via Yahoo to Lailaa  
Reply With Quote
Old
  (#2)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 26
16th April 2005, 01:48 PM

Bahoot khoob laila ji.. aapke sabhi sher achhe hai lekin mujhe sabse jyada bhaaw in do shero me mile--

duniya mein majbooron ki aah ke siva,
aur hum kab kisi se darte hain,

humko gairon se dar nahi laghta,
apne dosto hi se darte hain



bahoot achha likha hai aapne ... keet it up

Thanks
Garima


Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
Old
  (#3)
jaf
Registered User
jaf will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 76
Join Date: May 2003
Location: lucknow
Rep Power: 21
16th April 2005, 01:56 PM

Laila ji salam sab se pahele
or aap ka kalaam pada
PUS bahot achha chuna aap ne likhne ke liye
agar ye hume mila hota topic likhne ko to hum nahi likh sakte the sach kah rahe hai
kyo ki aaisa tasavur hum nahi kar sakte jismain itni gahrai ho

anyways
Likhti rahiye
or haan
Khush raho aap



hairat farog jawla badati chali gayi
aaina- aaine ko dikhati chali gayi

wohshat hazaar yaadain bhulati chali gayi
jalte hu-e- chiraag bujhati chali gayi

afsos us hayaat par jo saih ke 100 alam
afsaanaye firaq sunati chali gayi

samjhe the wo na tutegi zanjere pa kabhi
aai bahaar zor badati chali gayi

ishq uska dard ban ke rago main rawaa raha
yaad uski dil main aag jalati chali gayi

mujhe ko sambhale koan ki teri negaahe naaz
saukhufta aarzoo-e- jagaati chali gayi

mere gham-e- aalam se fizaaye udaas hain
kaali ghata bhi ashq bahati chali gayi

Hasan gila karo na kisi bewafi ka
kya khush adaa thi hass ke lubhati chali gayi.

Hasan'Jaf the great' Jafri
from the land of poets
Lucknow, India
  Send a message via Yahoo to jaf  
Reply With Quote
Old
  (#4)
Lailaa
Registered User
Lailaa is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 15
Join Date: Apr 2005
Rep Power: 0
16th April 2005, 01:58 PM

Shukriya meharbani Garima

ek aisaa raaz diya hai mujhe chupaane ko,
jise woh chaahte to khud bhi
chupa nahi sakte the,
aankh mein aansoo,lab pe khaamoshi,
dil ki baat ab raaz kahaan.

Lailaa....


Aapse bichadker kis kadar akelii hoon mein,
Lag raha hai yuun jaise gumshuda pahelii hoon mein.
  Send a message via Yahoo to Lailaa  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Darte Hain friendnidhi Shayri-e-Ishq 4 12th January 2008 11:29 AM
darte hain agg se.... arjun pandit Aapki Shayri 3 10th September 2006 12:33 AM
Zamaane se jo darte hain shalini Anjuman-e-Shayri 0 28th January 2005 10:17 AM
Darte Hain nilofer17 Shayri-e-Dard 0 2nd July 2004 03:36 PM
kehne se darte hain musafir Shayri-e-Ishq 0 19th July 2002 09:18 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com