Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Stories/Quotes/Anecdotes > General Stories

View Poll Results: kya meri story aapko pasand aayi agar haa toh pls vote karna
bad 2 50.00%
fair 0 0%
good 0 0%
exellent 2 50.00%
Voters: 4. You may not vote on this poll

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 18 votes, 4.56 average. Display Modes
zindagi aisi bhi hoti hai...........
Old
  (#1)
sanam khan
Registered User
sanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the rough
 
sanam khan's Avatar
 
Offline
Posts: 121
Join Date: Oct 2008
Location: zindagi ki baaho me
Rep Power: 19
Love zindagi aisi bhi hoti hai........... - 31st October 2008, 07:08 PM

hi mera naam sanam hai me ek nayi member hu is site me agar mujhse koi bhi galti ho likhne me toh maaf karna muujhe
yeh kahani meri hai pata nahi aapko pasand aayegi ya nahi fir bhi koshish karti hu me jab bohut chhoti thi tab mere papa ne mujhe aur meri maa ko chhod diya tha hum log calcutta me rehte the fir hum mumbai aaye yeh 20 saal pehle ki baat hai mumbai me meri aunty kaam karti thi unhone hume rakha sahara diya tab hum log bohut garib the meri maa meri aunty sab kaam karte the lekin tab halat kuch aur the meri nani dusre ghar me kaam karke mujhe khilati thi dheere dheere me badi hoti gayi me school padti thi tab me 8th me padhti thi tab hamare ghar ke saamne ek ladka rehta tha uska naam yogesh tha woh mujhe hamesha dekhta rehta tha me kahi jaati toh mere piche aata me uske ghar ke saamne se jati thi toh woh mujhe rok leta aur baat karna chahta tha me darti thi kahi mere ghar walo ko naa pata chal jaye agar pata chal jayega toh woh mujhe bohut gussa karege mere mama (mummy ke bhai) woh log hamesha ghar pe rehte the meri mummy aur aunty kaam karti aur paisa deti woh log kbhi nahi kaam karte bachpan me mujhe nahi pata chalta tha ke zindagi kaisi guzarti hai aur ghar me mard kamata hai aurat nahi, ab us ladke ki baat karti hu ek din hamare ghar ke saamne ek function tha new year ka usme usne performance kiya tha me dekh rahi thi use achanak woh mere paas ayaa aur mujhse kehne laga ke me tumse pyar karta hu i love you.............me kuch pal ke liye thandi pad gayi samjh nahi aa raha tha me kya karu me waha se sidhe apne ghar gayi aur chup chap baith gayi mere pet me jaise titliya udne lagi me kuch samjh nahi paa rahi thi me khana bhi nahi khaa paa rahi thi mere gale se khana nahi jaa raha tha meri mummy ne pucha ke kya hua tu 3 din se thik se nahi khaa rahi kisine kuch bola kya ya tabiyat kharab hai me kuch nahi boli aur chali gayi kuch din tak me usse baat nahi karti thi ek woh mere ghar pe aaya maine door open kiya aur dekha woh saamne hai me dar gayi me jaise puchne jaa rahi thi ke waise mummy aayi aur boli ke beta aao andar aao me dar gayi kya hua mummy ne kyu bulaya usko mummy ne usko dvd diya aur kaha ke le jao usne bola aunty me apko 2 din me dunga wapas mujhe fir shanti mili ke yeh toh dvd lene aaya tha fir woh chala gay mujhe bhi usko dekhna acha lagta tha shayad me bhi usse pyar karti thi aur me usko dekhe bina nahi reh pati thi isi bich mere nana serious ho gaye aur unko hospital me admit karna padha unke piche bohut paise gaye unko bachane ke liye bohut koshish ki lekin jo khuda ko manzur hai woh hi hota hai me tution me thi tab meri mummy ayee tution me aur boli ke tu ghar pe jaa nani akeli hai ghar me mama bhi nahi tere hospital me hai nana ki tabiyat bohut kharab hai humlog jaa rahe hai me ghar gayi nani ne mujhe bola ke aur nahi rahega woh chala jayega nana nahi rahege tere kuch der baad fone koi kuch nahi bol raha tha lekin sabke rone ki awaaaz aayi mujhe me samjh gayi ke shayad ab koi nahi hoga jise me nana keh paugi us din sab ke upar jaise qayamat aayi thi kuch dino baad mujhe aise laga jaise paiso ki kami ho rahi ahi uar upar se meri padhai kaha se meri aunty aur mummy puara karegi mere mama log toh kaam nahi karte hai maine 10th paas karke padhai chhod di meri mummy ne mujhe bohut samjhaya ke tu padh le fir bhi me apne faisle pe atal thi ghar pe bohut pareshani ho rahi thimujhe kuch samjh nahi aa raha tha me kya karu ek din maine ek ladki ko apne ghar pe aate dekha meri mummy ne bola ke tu bahar jaa me soch rahi thi ke mujhe kyu bahar bhej rahi thi tab me chupke baat sun rahi thi maine jo suna mujhe yakeen nahi hua ke yeh sach ho sakta hai maine suna ke meri mummy aur meri aunty bar dancer hai woh bar me kaam karti hai woh ladki jo aayi thi woh meri aunty ko sahara diya tha jab woh pehli baar mumbai aayi thi me soch bhi nahi sakti ke sirf meri wajah se aur ghar ko chalane ke liye unhone itna kuch kiya hai meri aakho se aasu rukne ka naam nahi le rahe the me toh jaise mar gayi thi mujhe khudke upar sharm aane lagi thi ke meri wajah se unko yeh kaam karna padha mujhew us din se nafrat ho gayi apne aap se aur mere mama se jo sab kuch jante huye bhi unke paise se apni shok pura karte the unhe sharam bhi nahi aayi ke apni behan ke paise se aish karte hai me toh jaise tut gayi thi me ab sirf yeh soch rahi thi ke ab kya hoga ghar kaise chalega ..........................



aage ki story me next thread me likhugi me janti hu ke aap log kya sochoge ek yeh ladki pagal hai yeh baatein hum logo ko bata rahi hai lekin kya karu mera koi dost nahi jisse pani dil ki baat share kar saku aaj mauka mila toh kar diya ummid hai apko pasand aayegi yeh story me aage jarur likhugi bhale pasand aaye ya naa aaye...............
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
31st October 2008, 11:14 PM

Aadaab 0 tasleemaat !


sabse pehle to moHterma appka SDC per suaagat hai ,

moHterma maiN ne app ki bayan ki huwi kahani paRhi , ager yeh sirf kahani hai to sach maaniye bahut hi umda hai aur ager yeh haQeeQat hai to mujhe nihayat afsoos hai app ke beete huwe kal par , bus duaa go hoN appka ajj bahut acha guzre , appke har aane waale kal jinhoN ne ajj meN tabdeel hona hai sabhi ache guzrieN ,


rahi baat voting ki to moHterma bahut mushkil hai voting kerna kisi ki aisi zindagi guzre aur hum use yeh keh daiN keh Excellent hai , mera khayal hai yeh mujh se nahieN ho ga ... haaN kahani ke liHaaz se nihayat umda hai


Khush rahiye

duago
Mujeeb
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#3)
sanam khan
Registered User
sanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the rough
 
sanam khan's Avatar
 
Offline
Posts: 121
Join Date: Oct 2008
Location: zindagi ki baaho me
Rep Power: 19
1st November 2008, 06:06 PM

thank u mujeeb ji yeh story padhne ke liye thank u vry much
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
sanam khan
Registered User
sanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the rough
 
sanam khan's Avatar
 
Offline
Posts: 121
Join Date: Oct 2008
Location: zindagi ki baaho me
Rep Power: 19
1st November 2008, 07:23 PM

yeh kahani yeh anjaam legi mujhe nahi pata tha ............................
yeh sochte sochte ke ab me kya karu woh ladki jo mummy se aur aunty se milne aayi thi woh mere saamne se gayi maine socha ke me jake usse baat karu me uske ghar gayi bohut samjhaya usko ke aap mujhe leke chalo us jagah jaha aap kaam karte ho usne saaf mana kar diya mujhe maine unke per pakde ke aapko khuda ka waasta aap mujhe waha le chalo aakhir me woh maan gayi usne mujhe 7 baje bulaya ek jagah me gayi jab hotel pahudhi toh har taraf sirf shor aur sharab tha kahi koi nach raha hai koi gaali de raha koi udaas baitha hai koi sharab pi raha hai yeh sab dekh kar mujhe ron aa gaya hotel me ek greeb room hota hai jaha ladkiya aake make up karti hai me waha baithi thi achanak woh ladki aayi usne bola ke yaha har koi aa sakta hai lekin koi yaha ki zindagi nahi jee sakta kya ab bhi tu kaam karegi aur apni zindagi barbad karegi maine sirf usse yeh kaha ke bohut dusro ki zindagi ko jala ke apni zindagi ko roshni di hai ab mmeri baari hai us raat ko me jab ghar gayi toh mummy ne mujhe bohut gussa kiya aur mara maine kuch nahi kaha bas 2500 rs unke hath me de diya aur kaha ke jab aap dono ne itna kuch kiya hai merre liye toh aaju meri baari hai kuch karne ki woh bohut royi aur krhne lagi ke itna mushkil se tujhe padhaya lekin tune aisa faisla liya tab meri aunty ne mujhse kaha ke chal mujhe tujhse kuch baat karna hai kuch batan hai me waha se chali gayi hum dono raat ko bahar baithe the meri aunty hi meri ek dost hai jisko me har ek baat batati hu unhone mujhse kaha ke aaj me tujhe apni zindagi ke barre me batati hu ke is ln me aake maine kya paya aur kay khoya...............................



to be continued
   
Reply With Quote
Same
Old
  (#5)
n_ravinder
Registered User
n_ravinder is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 28
Join Date: Sep 2008
Location: nagpur
Rep Power: 0
Same - 1st November 2008, 07:29 PM

DEAR
KHAN JI


THXXXXXXXXXXXXXXX A LOTSSSSSSSSSSSSSSSSSSSSSSSS


MANA APKE PURI KHANI PADHI AUR LAGA KE MZBURIYON K HATH BIK GAYA HTA APKA ZAZBAT

BURA MAT MANANA

THX

RAVINDER
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
sanam khan
Registered User
sanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the rough
 
sanam khan's Avatar
 
Offline
Posts: 121
Join Date: Oct 2008
Location: zindagi ki baaho me
Rep Power: 19
Love 1st November 2008, 07:43 PM

unhone mujhse kaha ke tune bohut hi mushkil faisla liya hai lekin jab tere hath se zindagi chali jayegi tab tujhe pachtava hoga maine kaha ke maine jo kiya soch ke kiya unhone kaha ke meri shaadi ho gayi thi jab 17 saal ki thi aur teri mummy 16 saal ki thi meri shaadi ke 5 saal baad mere pati ne mujhe talaak de diya usne dusri shaadi kar li tu soch sakti hai mujhe kitni taklif hui hogi uske baad teri nummy ki shaadi hui aur me mumbai aa gayi waha ek ladki se mulakat huyi jo bar dancer thi tab mujhe nahi pata tha yeh sab kya hota hai tab sirf paise kamana tha kyuki ghar me bohut pareshani thi mujhe woh ladki hotel le gayi kuch din tak toh aise laga jaise ab zindagi me kuch nahi hai kyu na me apni jaan de du lekin fir ghar ka khyal aata lekin waq ke saath sab jakhm bhar jate waqt ne mujhe bhi jina sikha diya apne liye naa sahi tum logo ke liye usi bich mujhe ek aadmi mila jo mujhse pyar karta tha woh mera ek customer tha usne meri har jarurat ko pura kiya paise se lekar har cheez diya tab mujhe pata chala ke tu paida hui hai maine tere liye har ek cheez bheja jiski tujhe jarurat ho sab kuch thik jaa raha tha lekin fir zindagi ko meri khushi achi nahi lagi usne use chhin liya jo mujhse pyar karta tha fir se mujhe raste pe laa khada kiya zindagi ne fir pata chala tere papa jo calcutta me hai usne bhi teri mummy ko chhod diya maine unse kaha mere papa toh yaha hai ( me tab nahi janti thi ke jisko me papa samjhti hu woh mere mummy ke dusre husband hai) unhone kaha ke nahi woh tere papa nahi hai woh teri mummy ke customer hai unhone teri mummy se shaadi kiya aur unko dekhte hai ab tak aur ghar me chalati hu maine kaha kyu woh nahi dekhteunhone jawab diya ke customer kbhi kisika ghar nahi dekhta jisse usko matlab ho use dekhta hai meri umar ab 35 saal hai aur teri 20 saal kya tu apni zindagi meri jaise barbad karna chati hai soch kya yeh sahi hai meri khwahish thi ke mujhe ek bacha ho leki ghar walo ke liye maine woh sapna bhi tod diya kyuki agar me me bacha paida karugi toh ghar kaun dekhega agar tu bhi is line me aayegi toh tujhe bhi apni zindagi aisi barbad karni padegi meri aakho se aaasu rukne ka naam nahi le rahre rhe soch rahi thi ke kay karu ek taraf zindagi ek taraf pyar aur ek taraf ghar wale unhone mujhe kaha agar kbhi bhi lage tujhe kuch mujhe kehna hai toh mere paas aa jana zindagu ne bohut se khel khele hai mere saath kya tu bhi apni zindagi ko khelne degi .......................

to be cont...............
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
sanam khan
Registered User
sanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the rough
 
sanam khan's Avatar
 
Offline
Posts: 121
Join Date: Oct 2008
Location: zindagi ki baaho me
Rep Power: 19
1st November 2008, 07:46 PM

thank ravinder ji padhne ke liye..................
majburiyo ko maine hi apni zindagi se gale lagay shayad isliye zindagi mera mazak uda rahi hai woh toh aapko agli post me pata chalega aaj jis mukaam pe khadi hu ummid nahi thi mujhe is mukaam ki
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Sanjana_A
my life is just not good
Sanjana_A is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 25
Join Date: Jan 2008
Location: Germany
Rep Power: 0
1st November 2008, 11:54 PM

u story is really sad

i want to know the hole story can u pls send me that hole story ???
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
sanam khan
Registered User
sanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the rough
 
sanam khan's Avatar
 
Offline
Posts: 121
Join Date: Oct 2008
Location: zindagi ki baaho me
Rep Power: 19
2nd November 2008, 04:46 PM

aage ki story....................
jab unhone mujhse yeh kaha shayad me us waqt is halat me nahi thi ke kuch samjh pau maine unse keh diya ke me nahi jaugi aaj ke me aapko apna dost manti hu kbhi aapki baat nahi bhulugi..................
subah hui maine yogesh ko dekha jo mujhse pyar karta tha me bhi usse pyar karne lagi thi sab fir se waise ho gaya jaise pehle tha ek din me yogesh ke ghar ke paas se guzar rahi thi maine use ek ladki ke saath dekha jis halat me maine use dekha me apni aakho pe yakeen nahi kar payi maine us insaan se itna pyar kiya aur usne mere saath aisa kiya uske bohut dosto ne mujhse bohut kuch bola tha lekin me bharosa nahi karti lekin jab sab mere aakho ke saamne ho raha hai toh me kaise yakeen na karu ..........................
shayad meri zindagi fir se mujhe us raaste pe le aayi me apne aap se bohut sharminda thi maine us pe bharosa kiya lekin mera bharosa tod diya usne,
kuch diin biite mujhe kuch acha nahi lag raha tha maine socha jab me usse bhula nahi sakti lekin apne aap ko saza toh de sakti hu me taiyar hui aur meri aunty se baat kiya ke mujhe kaam karna hai aur woh bhi hotel me main apne aap ko aisi saza dena chati hu ke me zindagi bhar usko baddua du meri aunty ne bola gar teri marzi yeh hai toh thik hai lekin tu mere saath kaam karegi maine bombay me 1 saal kaam kiya uske baad mujhe aur ghutan ho rahi thi uski shakal dekhke maine apna passport banaya aur bahrain chali gayi waha bhi dance bar hai waha bhi dance karna padta hai waha jane ke baad aisa laga ke ab kis pe bhi bharosa nahi karna mujhe bas apna kaam karna hai waha jane ke baad mere ghar walo ki yaad toh bohut aayi lekin apne aapko roka maine 3 mahine ka trip hota hai bahrain me mujhe ek customer mila uska naam faisal tha usne bhi kaha me tumse bohut pyar karta hu maine socha ke jab me ek sidhi ladki thi tab dhoka mila ab jab is line hu ab kya hoga mujhe pyar se nafrat si ho gayi thi isliye usse pyar toh nahi tha lekin dost ban sakta tha lekin customer ko jhuth bolna padta hai kya karu naa chahte huye bhi mujhe usse jhuth bolna pada usne meri har jarurat pura kiya jab bhi kuch mangti mujhe mil jata har cheez,aise karte karte 3 mahine pure ho gaye ab jane ka waqt tha bohut taklif huyi aate waqt 3 mahine me meri dost ban gayi thi bohut ladki jo mere saath show me kaam karti thi fir bhi ghar toh jana tha maine socha shayad faisal mujhse pyar karta hai isliye woh itna ro raha tha aane ke waqt airport me bhi maine usko phone kiya woh bohut dukhi tha maine bola me bombay jake fone karugi tumhe usne kaha thik hai me bombay pahuchi sab bohut khush the mere aane se maine sabke liye kuch na kuch layi thi sab ko diya fir maine socha faisal ko phone karti hu maine usse phone kiya usne pucha thik se pahuch gayi ya nahi kuch cheez ki jarurat hogi toh batana mujhe yeh sab bolke phone rakh diya hum 6 ladki gayi thi lekin 1 ladki waha pe reh gayi thi kyuki usko repeat kiya tha maine us ladki ko phone kiya us ladki ne kaha ke faisal aaya tha hotel me kisi aur ladki se baat kar raha tha aur paise de raha tha maine jab yeh suna toh fir se nafrat si ho gayi aur hasi aa gayi ke mujhe aaye 1 din nahi hua aur kisi ladki se pyar kar raha hai ab aap sab jante hoge mujhe kaisa laga hoga yeh sunkar maine use uske baad phone bhi nahi aur usne bhi nahi kiya me soch me pad gayi ki jo insaan mujhse baat kiye bagair nahi reh sakta woh aaj mujhe phone tak nahi kar raha .............
kya bataye tumhe kal hum bhi chaman wale the
yeh na pucho ki hai viraniyo me kyu hum
shayad ab aur zindagi me koi makasad nahi raha kab tak aakhir aisa hoga dekhte hai hamesha kismat hume aazmati hai aaj hum kismat ho aazamayegen aaj se shuru hoga apne zindagi ko barabad karna yeh sochke aage badhege



woh jo milte the kbhi humse diwano ki tarah,
aaj yu milte hai jaise koi pehchan na thi,
dekhte bhi hai toh yu meri nigaho me kbhi
ajnabi jaise milte hai raho me kbhi...........................


to be cont...............................
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
2nd November 2008, 08:58 PM

............................kuch nahi hai kahne ko...........aapki zindgi ki bare mein jaankar bahut udhas ho gaye hoon.....aisa aaj tak kahaniyo.n ya films mein dekha suna tha....par aaj us ladki ki jubaaN (kalam) se sun rahi hoon jis par yeh sab beeta hai......par afsos shayad hum kuch nahi kar sakte tumhare liye sharam aa rahi hai mujhe khud par aur apne es gandhe samaaj par

sanam, voting kis baat ki karuN.........ek ladki ki badtar zindgi par....muaaf karna main aisa nahi kar sakti.

bhagwaan se dua kar sakti hoon ki tumhe es jilaat bhari gandgi se door kare.

god bless u dear


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...



Last edited by sunita thakur; 2nd November 2008 at 09:01 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
sanam khan
Registered User
sanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the rough
 
sanam khan's Avatar
 
Offline
Posts: 121
Join Date: Oct 2008
Location: zindagi ki baaho me
Rep Power: 19
2nd November 2008, 09:15 PM

sunita ji aapko afsos ho raha hai lekin mujhe toh khud pe hasi aa rahi hai kya karu ab tak bohut aasu bahaye ab nahi ho sakta mujhse ek baat ki khushi hai ke aapne ise padha aur mere liye apni zindagi ke 2 pal meri zindagi ke liye aasu bahaye woh hi bohut hai shukriya sunita ji, me yeh story kisi maksad ke liye post nahi kar rahi me isliye yaha post kar rahi hu kyuki me kisise yeh baatein share karna chahti thi bas ummid hai aap mujhe samjhegi
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
sanam khan
Registered User
sanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the rough
 
sanam khan's Avatar
 
Offline
Posts: 121
Join Date: Oct 2008
Location: zindagi ki baaho me
Rep Power: 19
Smile 3rd November 2008, 04:30 PM

aaage...............
aise hote hote 5 saal guzar gaye log toh bohut mile lekin koi pyar karne wala nahi mila ab toh aadat si ho gayi thi jhuth ka sahar lene ki kya karu ghar bhi toh dekhna tah lekin ek baat ka afsos tha ke me khudko bhul gayi jawani me pyar toh nahi mila lekin jhuthe rishte mile aakhir kya karti me un rishto ka jiska koi wajood nahi hai sirf 3 mahine ka pyar ab toh har 3 mahine me pyar ka sauda karna padta yun kahiye ki maine apne dil ke saath khel khela hai shayad pyar ke mamle me main har jati thi hamesha yogesh na jo jakhm diya tha ab tak woh jakhm nahi bhara tha sirf ummid thi kisike aane ki aate toh bohut log aur chale bhi jate pyar ka khel khelke, me rona chahti toh ro bhi nahi sakti thi kyuki mujhe kamzor nahi padna tha lekin hamesha mere naseeb ne mujhe apne saamne ghutne tekne ko majbur kar diya aisa lagta hai meri zindagi ki raat bhi meri nahi hai sirf apne the toh sirf tute sapne the mere raat ko neend aati toh so nahi sakti thi kyuki itni darr gayi thi ke khud pe bharosa nahi karti me mere dono mama ki shaadi hui bade mama ke do bache hai aur chhote mama ke ek ladka hai ab sirf ghar ka nahi bachho ki bhi jarurat ko pura karna tha chalo me bhi khush thi ke ab mama log apni zimmedari ko samjhege lekin mujhe kya pata tha ke waqt badal gaya lekin yeh nahi badlege chalo yeh bhi me apne kandhe me utha lugi maine kbhi unse koi shikva gila nahi kiya mujhe abudhabi jana tha show ke liye me gayi 1 mahina guzra dusra mahina mere liye khushi le aayega me janti nahi thi meri mulakat ek aadmi se huyi uska naam mustafa hai jab uski baato me kuch aisi kashish hai ke na chahte huye bhi mujhe uski karib le aayi me khudko bohut rokna chahti thi lekin nahi hua aise me uske karib jati rahi 3 mahine guzre maine socha yeh kahani bhi yehi khatm ho jayegi lekin aisa nahi hua usne mera itna saath diya me yakeen nahi kar sakti thi usne mujhe dhoka nahi diya bada hi nek banda hai woh usne mujhse ek din kaha ke jab me tumhari har jarurat ko puar karta hu toh tum kaam kyu karti ho chhod do ab is hotel line me tum kaam nahi karogi tumko jitne paise ki jarurat ho mujhe bolna me apne aap ko bech ke bhi dunga lekin tum mat kaam karo mujhe apne aap pe bharosa nahi hua ke aisa insaan bhi ho sakta hai duniya me chalo iske sine me dil toh hai me bohut khush thi shayd ek arse ke baad itni khushi huyi apno ne toh kbhi itni khushi nahi di aur gair ne itni khushi de di aalah is khushi ko kahi meri nazar na lag jaye aur lag bhi gayi nazar meri na sahi mere apno ki me ghar pe rehti thi kaam nahi karti thi mujhe jab jab paise ki jarurat thi usne mujhe diya lekin shayad mere maa aur me jise papa kehti unko meri khushi se jyada paise chahiye tha dekho mera naseeb ab tak toh koi pyar nahi mila jab mila toh kisiko raas nahi aaya ab kitna kisi insaan ko bolu paise ke liye agar nahi milta paisa toh meri mummy mujhse naraz ho jati kya karu kuch nahi samjhta mujhe har taraf se me piche reh jati sabko maine apni manzil pe pahuchaya lekin isi bich me apni manzil pe nahi pahuch payi maine apni aunty se baat ki is baare me tab unhone kaha dekha maine tujhse kaha tha ke teri zindagi beet jayegi lekin tu kbhi apni zindagi ke liye waqt nahi nikal payegi aaj jab pyar mila toh teri maa aur papa ko tujhse jyada paise ki jarurat agar paise do ttoh khush agar na do naa khush maine tujhe samjhaya tha ke kuch bhi karna hai toh soch samjh ke kar aakhir me karli barbad zindagi koi bhi insaan itna nahi karta jitna mustafa ne kiya hai tere liye tere paas do raaste hai ya toh mustafa se shaadi kar le ya toh usko chhod de apne ghar walo ke liye kyuki agar shaadi karegi toh tujhe tera pyar mil jayega aur agar ghar wale aise hi paise mangte rahege toh woh tujhe bewafa samjhega kisiko itna pareshan karna thik nahi hai me waha se chali gayi maine bohut socha kabhi socha ke shaadi kar lu mujhe bhi toh kisiki jarurat hai fir socha ke nahi agar me ghar walo ko chhod dungi toh unka kya hoga 3 bache hai ghar me kaun unko dekhega kaun unko padhayega aakhir me maine faisla liya ke me mustafa se dur ho jaugi yeh bohut mushkil tha mere liye aisa lag raha tha ke koi mere sine me khanjar bhok raha hai lekin mujhe majburi ke aage yeh faisla lena padha me usse dur hoti gayi usne mujhe bohut baar phone kiya agar woh 10 baar karta toh me ek baar uthati aur gusse se baat karke rakh deti fir bhi woh kaisa insaan tha itna hone ke baad bhi woh mere liye pareshan hota usne mujhse kaha tumko aur paisa chahiye toh bolo me dunga lekin mujhse dur mat raho aisa mat karo mere saath agar mujhse koi galati ho gayi hai toh mujhe batao lekin aisi saza mat do kuch din tak aisa hua mujhe bhi apne aap par sharm aati ke maine yeh kya kiya kyu usse itna pyar kiya ke woh bhi jee nahi pa raha aur me bhi nahi kuch din baad me fir abu dhabi gayi waha kumar naam ka aadmi mila aur mustafa bhi aaya tha waha mjhe dekhne mujhe uski shakal dekhe bbohut bura kag raha tha mujhe rona aagaya maine usse maafi mangi aur bola me tumhe kbhi nahi chhodugi maaf kar do mujhe usne kaha koi baat nahi 3 mahine guzre me ghar aa gayi usko phone kiya lekin koi jawab nahi aaya me bohut pareshan ho gayi aakhir kya jo usne mujhe phone nahi kiya aisi kya galti ho gayi mujhse aalah kaun si janam ki saza mujhe de raha tha kuch pata nahi kuch dino baad uska letter aaya usme likha tha.....

pata nahi mere pyar me koi kami hogi jiske wajah se tum kumar ke saath mohabbat karne lagi ho aur usko apna jism tak de chuki ho meri sab se badi galti thi ke me tum jaisi ladki ko us jagah se le aaaya jaha sirf jism bikta hai aur tum bhi waisi ho mujhe kisine khabar di hai is baat tumhari jagah woh hi hai tum jaisi ladkiya kisiki biwiw nahi ban sakti tumhari aukat hi yeh hai


khuda hafiz


yeh sunte hi mere pairo ki niche se zameen hat gayi kuch nahi bacha tha bolne ko aur kehne ko waah re kismat kay khub khela hai tune jo mila use bhi haar gayi me 1 hi chaal kismat ne kheli aur mere haath me sirf uski yaadein reh gayi bas maine use phone kiya yeh puchne ke liye ke yeh sab kisne kaha usko lekin usne apna number change kar diya tha fir maine bhi usko ek letter bheja


jana me tumhe koi safai nahi dena chahti bas itna kehna chahti hu ke itna hi bharosa tha mere upar tumne kaise kisiki baato me yaakeen kar liya ke me aisa kar sakti hu mujhe nahi janna ke kisne kaha yeh aur haa ek baat toh tumne achi kahi jis jagah se tum mujhe le aaye the aaj mujhe us jagah me jane ko keh rahe ho itni nafrat ho gayi ke aaj mujhe us gandi nali me jane ko keh rahe ho thik hai agar tumhari yeh marzi hai toh yeh hi sahi me sirf tumhe khush dekhna chahti hu aur ek baat me tumse kehna chahti hu ke agar zindagi me kabhi mulakat ho meri tumse toh muuh na fer lena mujhe dekh kar ek bazaru aurat sahi lekin tumne mujhse kabhi toh pyar kiya tha yeh samjhkar baat kar lena mujhse hamesha tumse pyar karugi jana




yeh meri kahani thi jo ab tak hui mere saath maine bayan kar di aaj me fir akeli reh gayi naseeb bhi dekho jab maine usko chhodna chaha toh nahi chhod payi lekin dusre ke behkave pe aake usne mujhe chhod diya fir zindagi ki baho me aake so gayi jis ghar me mere jaisi maa hai,papa hai,3 bache, 2 mama hai us ghar ki ladkiyo ki naseeb me shaadi nahi hoti ab toh sirf zindagi ki aakhri shaam ka intezar hai bas shayd aaj ho woh shaam ab toh aakho me aasu bhi nahi aate .......................

aarzoo thi hume itna zeh kismat mil jaye,
sari duniya me kisise toh mohabbat mil jaye,
jite jee paya na kuch humne aae zamane walo,
ab janazae ko toh rukasat izazat mil jaye.....................

khuda hafiz

Last edited by sanam khan; 3rd November 2008 at 04:39 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
sanam khan
Registered User
sanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the rough
 
sanam khan's Avatar
 
Offline
Posts: 121
Join Date: Oct 2008
Location: zindagi ki baaho me
Rep Power: 19
3rd November 2008, 04:33 PM

aap sab ko shayd yeh meri aakhri salaam ho sabko meri taraf se pyar aur dua allah aapko khush rakhe agar aap me se kisiko bhi mohabbat mila hai toh aapse yeh guzarish hai ke aap yeh sochna ke zindagi aisi bhi hoti hai sabko sab kuch nahi aur kisko tohh kuch bhi nahi milta meri tarah

Last edited by sanam khan; 3rd November 2008 at 04:36 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
Diya_Jale
Huii Sabse Paraayi
Diya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Diya_Jale's Avatar
 
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 44
3rd November 2008, 08:38 PM

Sanam ji
aapki kahani sunke aankhoon main aansun aagayi...aise halat main bhi log gujarte haiN....meri apni gham to aapke Hisab se kuchh bhi nahin hai ....God bless u sister

yeh shairi aapkeliye
............

Toot Jaata Hoon Jab Yaad Karta Hoon
Bikhar Jaata Hoon Jab Bhi Sochta Hoon

Zarra Zarra Mera Jal Ke Shola Ho Jaata Hai
Rom Rom Mein Tees Si Utthne Lagti Hai
Dil Bechaara Chup Chaap Dekhta Rehta Hai
Aur Aankhein Baadal Ban Jaati Hain

Mehsoos Karta Hoon Kuchh Armaanon Ki
Zindaa Laashon Ko Jalaa Dena
Suntaa Hoon Unki Cheekhon Ko Kaan Bandd Karke
Bedard Se Dard Ki Bedard Hasi

Mazzakk Udaane Lagti Hai
Utthhaati Hai Ungali Meri Laachaari Ki Taraf
Aur Dhoondh Kar Sabse Zakhmi Ragg
Use Dabaa Dabaa Kar Poochhti Hai

Yaheen Hai Na Dard...??? Aur Ye Lab Bhi Bewafaa
Apni Tabassum Ke Aagosh Mein Khoye Rehte Hain
Sard Hawaa Chheel Kar Badan Ki Jeeld Ko
Jaane Kya Talaash Karti Hai....

Khurach Khurach Kar Ek Ek Tamanna Ko
Uski Har Parat Ko Teh Nikaal Kar
Usmein Chhupe Dard Ko Kheench Kar Masalti Hai
Teri Yaad Jab Bhi Aati Hai....

Bebass Sa Mehsoos Kartaa Hoon
Bebass Sa Mehsoos Karta Hoon
Teri Yaad Jab Bhi Aati Hai.....

not mine



Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai


Goodbye SDC

Diya
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
sanam khan
Registered User
sanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the rough
 
sanam khan's Avatar
 
Offline
Posts: 121
Join Date: Oct 2008
Location: zindagi ki baaho me
Rep Power: 19
3rd November 2008, 09:14 PM

thanks diya thank u vry much me soch bhi nahi sakti ke aap log meri majburi ko samjhe maine socha shayd mere upar zamane ki ungliya uthegi
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
Diya_Jale
Huii Sabse Paraayi
Diya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Diya_Jale's Avatar
 
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 44
3rd November 2008, 09:26 PM

Quote:
Originally Posted by sanam khan View Post
thanks diya thank u vry much me soch bhi nahi sakti ke aap log meri majburi ko samjhe maine socha shayd mere upar zamane ki ungliya uthegi
Sanam ji

bas aap himmat mat hariye ..Ehi zindegi hai aur Zindegi ek bar milti hai ..Ho sake to agli bar sirf apneliye Hi sochna ...Hum sab ki Dua aapke saath hai



Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai


Goodbye SDC

Diya
   
Reply With Quote
zindagi se dosti ki hai humne
Old
  (#17)
sanam khan
Registered User
sanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the rough
 
sanam khan's Avatar
 
Offline
Posts: 121
Join Date: Oct 2008
Location: zindagi ki baaho me
Rep Power: 19
Love zindagi se dosti ki hai humne - 4th November 2008, 02:56 PM

thanks diya zindagi toh ek baar milti hai aur mauka bhi ek baar milta kya kare khuda ne hum insaan ki zindagi me thode gham bhi diye hai aur kisko khushi bhi shayad mere naseeb me gham hai..............
diya zindagi me na ishq mila aur na hi khuda,
is bedard zamane me hume dard ke alava kuch na mila,
hum gam kyu kare ke woh hume na mile,
are gam toh woh kare jise hum na mile..........................

Last edited by sanam khan; 4th November 2008 at 03:22 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
sanam khan
Registered User
sanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the rough
 
sanam khan's Avatar
 
Offline
Posts: 121
Join Date: Oct 2008
Location: zindagi ki baaho me
Rep Power: 19
23rd November 2008, 12:06 PM

hi ritu aur dinesh ji woh dusra thread tha usme adhura likha hua hai is thread me puri story hai aap padh sakte ho aur mujhe ummid hai ke aap sab mujhe galat na samjhe pls shayad yeh meri zindagi ka sabse bura pal tha


Har ek prem kahaani main,
mera hi kissa aata hai..........
surat main apni dekhu,
aur nazar woh aata hai..........
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
shellybharti
Registered User
shellybharti is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 8
Join Date: Jul 2009
Location: Jalandhar
Rep Power: 0
28th October 2009, 05:07 PM

Sanam ji
maine aap ki kahani paddi aap ne apni dard bari kahani humse share kar k ye bata diya k hum sab ka gum kitna kam hai aap k samne ..........
main aap se ye b nahi keh sakti k ye kahani achi thi becoz ye kahani nahi aap ki zindgi thi bahut himat wali hai aap jo aap ne apni baate yaha hum se share ki ...... bahut dard saha hai aapne
bus hum to god se yahi pray karege k aap ki anee wali zindgi bahut khushnuma ho or aap se yahi kahugi k ....... kabi agr tum apne khuda se kisi ko mango or wo tume na mile to itna jaan lo k kahi koi or tume apne khuda se maang raha hai or uski mohabat me tumse jyada shidat hai ..........
God bless u my dear frnd ......... b happy


$hEllY
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
sanam khan
Registered User
sanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the rough
 
sanam khan's Avatar
 
Offline
Posts: 121
Join Date: Oct 2008
Location: zindagi ki baaho me
Rep Power: 19
5th November 2009, 03:05 PM

shayad aapne sahi kaha shelly ho sakta hai par ab koi tamnna nahi hai
aur kisise shikayat bhi nahi hai jo ho raha hai usse hone dena chahiye
dekhte hai aage kya hone wala hai take care and thanks for your lovely comments


Har ek prem kahaani main,
mera hi kissa aata hai..........
surat main apni dekhu,
aur nazar woh aata hai..........
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
imran4nothing
Registered User
imran4nothing is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 1
Join Date: Nov 2009
Rep Power: 0
14th November 2009, 09:50 PM

hi sanam
mein bhi naya reader hun
per aaj tak mein yeh sochta tha ki duniya ke sare gham mere hisse mein likhe hai
per tumhari story padh kar mujhe afsos ho raha hai ki khuda ne kuch easa aur logo ko bhi dukh diya jo mere dukh se buhut kam hai
himmat ka jawab nahi rakha aapne
mein accha to nahi keh sakta per aapki zindagi mein khushi aur pyar ke liye dua kar sakta hun
   
Reply With Quote
thanks
Old
  (#22)
sanam khan
Registered User
sanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the rough
 
sanam khan's Avatar
 
Offline
Posts: 121
Join Date: Oct 2008
Location: zindagi ki baaho me
Rep Power: 19
thanks - 18th November 2009, 01:25 PM

Quote:
Originally Posted by imran4nothing View Post
hi sanam
mein bhi naya reader hun
per aaj tak mein yeh sochta tha ki duniya ke sare gham mere hisse mein likhe hai
per tumhari story padh kar mujhe afsos ho raha hai ki khuda ne kuch easa aur logo ko bhi dukh diya jo mere dukh se buhut kam hai
himmat ka jawab nahi rakha aapne
mein accha to nahi keh sakta per aapki zindagi mein khushi aur pyar ke liye dua kar sakta hun
thanks imraan zindagi hai aur bohut lambi hai insha allah dekhte hai ab bhi khush rahiye duniya hume rota hua dekhke roti nahi hai take care and allah aapko khush rakhe khuda hafiz


Har ek prem kahaani main,
mera hi kissa aata hai..........
surat main apni dekhu,
aur nazar woh aata hai..........
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
Baqtiar
Loquacious Adonis
Baqtiar is a name known to allBaqtiar is a name known to allBaqtiar is a name known to allBaqtiar is a name known to allBaqtiar is a name known to allBaqtiar is a name known to all
 
Baqtiar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Sep 2008
Location: ......
Rep Power: 23
18th November 2009, 02:48 PM

First thing Sanam, Story ki polling kyun kar rahey ho...???

Secondly why did u published it.....??

Thirdly What do u want in life.....?

Cuz i dont feel pity on you.... frankly speaking har insaan ko Allah dimagh deyta hai sonchne samajne ke liye aur hum khud apni ghalti se apni zindagi karab karleyte hai aur phir... zindagi par aur Allah par rootey rehte hai....

I have many questions...... lekin ye tumhari personal life hai isliye forum par discuss karna... munasib nahi hoga....

Jus one thing.... JANAM SAMJHA KARO .....kitne bar dekhi hai tum ne...????
   
Reply With Quote
Old
  (#24)
sanam khan
Registered User
sanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the rough
 
sanam khan's Avatar
 
Offline
Posts: 121
Join Date: Oct 2008
Location: zindagi ki baaho me
Rep Power: 19
19th November 2009, 02:53 PM

1. maine polling isliye ki kyuki main dekhna chati thi ke main jis raaste guzri hu woh raasta kitno ko sahi laga

2.maine yeh yaha isliye published kiya kyuki main itne saalo apne tak har baat rakhke thak gayi thi aur mujhe isse acha jagah nahi laga jaha main apni taklif bata sakti hu sirf issi ummid pe ke mera dil halka hoga maine yeh kisiko apne taraf khichne ke liye nahi kiya main kisike liye nahi jiti main bas apni dil ki baat batana chahti thi sirf usko jo samjhe

3. mujhe kuch nahi chahiye aur na kisiko kuch dena chahti hu

main nahi chahti ke koi pity feel kare mujhpe aur naa hhi mera koi maksad tha aur mainn yeh achi tarah se janti hu ke allah sabko dimag deta hai sochne samjhne ka shayad uss umar main itna dimag nahi tha aur naa hi sochne ka waqt aur main isse apni galti nahi maanugi yeh mera faisla tha aur upar wale ka farmaan aur haa main allah ko kyu kasurwar tehrau yeh mera naseeb tha aur jo hona hai woh jarur hoga

aur aapko jo bhi sawaal puchna hai beshaq puchiye mujhe khushi hogi
thank u very much








thank u bakhtiyar......................................... ....................................


Har ek prem kahaani main,
mera hi kissa aata hai..........
surat main apni dekhu,
aur nazar woh aata hai..........

Last edited by sanam khan; 19th November 2009 at 03:06 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
Baqtiar
Loquacious Adonis
Baqtiar is a name known to allBaqtiar is a name known to allBaqtiar is a name known to allBaqtiar is a name known to allBaqtiar is a name known to allBaqtiar is a name known to all
 
Baqtiar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Sep 2008
Location: ......
Rep Power: 23
21st November 2009, 01:22 PM

1. Log agar sab ke sab kahe ke raasta theek tha.... Does it matter...????

What matters is .... tum kya sonchti ho ... kisi aur ko jawab deyne ki koi zaroorat nahi hai ..... Do you think wo raasta theek tha/hai...????

2. Tou phir dil halka hova.....confession kar ke...???

3. uss umar mein na-samjhi mein kuch kiya....
but i pressume ab tou tum samajhdar ho...
Aur naseeeb insaan apni bana bhi sakta hai....(likha apni jagah) Allah maangne walon ko deyta hai...


And Lastly.... I feel you are a talented gal, so just dont hang on to your past and cry over the split milk.

Hope you understand....

Ek sher...... for You

Tadbeeer ke dast-e-zareen se TAQDEEER darakshaaan hoti hai
Khudrat bhi madaat farmati hai jab khoshish-e-insaan hoti hai..
   
Reply With Quote
Old
  (#26)
sanam khan
Registered User
sanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the rough
 
sanam khan's Avatar
 
Offline
Posts: 121
Join Date: Oct 2008
Location: zindagi ki baaho me
Rep Power: 19
21st November 2009, 09:04 PM

thanks bakhtiyar ............................


Har ek prem kahaani main,
mera hi kissa aata hai..........
surat main apni dekhu,
aur nazar woh aata hai..........
   
Reply With Quote
Old
  (#27)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
22nd November 2009, 06:06 PM

Quote:
Originally Posted by Baqtiar View Post
[B]F

Jus one thing.... JANAM SAMJHA KARO .....kitne bar dekhi hai tum ne...????

Tum bhi stud ho ek dum ... sach mai... kuch aur kehna munasib nahi hoga.. bada hi serious thread hai ye ...




Sanam khaan jee aapse baad mai baat karuNga ... aap kahengi to.. Aur haaN ab aap chahti kya hai ..?? jaisa baqs ne poocha ye zaroor batiyega....

Kunaal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..

Last edited by KunaaL; 22nd November 2009 at 06:24 PM..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#28)
Baqtiar
Loquacious Adonis
Baqtiar is a name known to allBaqtiar is a name known to allBaqtiar is a name known to allBaqtiar is a name known to allBaqtiar is a name known to allBaqtiar is a name known to all
 
Baqtiar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Sep 2008
Location: ......
Rep Power: 23
23rd November 2009, 10:25 PM

Quote:
Originally Posted by KunaaL View Post
Tum bhi stud ho ek dum ... sach mai... kuch aur kehna munasib nahi hoga.. bada hi serious thread hai ye ...




Sanam khaan jee aapse baad mai baat karuNga ... aap kahengi to.. Aur haaN ab aap chahti kya hai ..?? jaisa baqs ne poocha ye zaroor batiyega....

Kunaal
Kunal.... Serious thread hai ye..........

Ek dum ICU jitna serious hai.....
   
Reply With Quote
Old
  (#29)
sanam khan
Registered User
sanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the rough
 
sanam khan's Avatar
 
Offline
Posts: 121
Join Date: Oct 2008
Location: zindagi ki baaho me
Rep Power: 19
Talking 30th November 2014, 11:27 PM

Quote:
Originally Posted by Baqtiar View Post
Kunal.... Serious thread hai ye..........

Ek dum ICU jitna serious hai.....
Hahahaha hi bakhtiyar aapse kuch pal ki mulakat karna chahugi I mean in words type krke jab aap aaye toh pm kar dijiyega....

Desperately waiting fr u......

ohhh haa agar koi yha bakhtiyar ko personally jante ho toh inform kr de pls its a request....


Har ek prem kahaani main,
mera hi kissa aata hai..........
surat main apni dekhu,
aur nazar woh aata hai..........
   
Reply With Quote
Old
  (#30)
sanam khan
Registered User
sanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the rough
 
sanam khan's Avatar
 
Offline
Posts: 121
Join Date: Oct 2008
Location: zindagi ki baaho me
Rep Power: 19
Smile 30th November 2014, 11:29 PM

Quote:
Originally Posted by KunaaL View Post
Tum bhi stud ho ek dum ... sach mai... kuch aur kehna munasib nahi hoga.. bada hi serious thread hai ye ...




Sanam khaan jee aapse baad mai baat karuNga ... aap kahengi to.. Aur haaN ab aap chahti kya hai ..?? jaisa baqs ne poocha ye zaroor batiyega....

Kunaal
Hlo kunaal ji ooopsss kunaal sifar......
wow kaafi famous hai aap Masha Allah....
mujhe bhi aapka intezar rhega agar aap baat karna chahe toh....


Har ek prem kahaani main,
mera hi kissa aata hai..........
surat main apni dekhu,
aur nazar woh aata hai..........
   
Reply With Quote
Old
  (#31)
Harash Mahajan
MaiN Our Meri Tanhaayii
Harash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud of
 
Harash Mahajan's Avatar
 
Offline
Posts: 984
Join Date: Oct 2006
Location: Delhi
Rep Power: 31
1st December 2014, 03:53 PM

2009 ke baad...........itni muddat ke baad jaagaa ye thread.............definitely a serious story if original......God Bless you
  Send a message via Yahoo to Harash Mahajan Send a message via MSN to Harash Mahajan  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
zindagi aisi bhi hoti hai........... sanam khan General Stories 12 4th March 2014 11:13 AM
dosti aisi hoti hai............. rooswa_zindagi Aapki Shayri 0 31st January 2006 05:45 PM
aisi baate bhi hoti hai shayar_abhishek Shayri-e-Dard 0 18th October 2005 01:29 PM
Aisi hoti hai dosti Rimjhim Shayri-e-Dard 1 5th May 2003 12:28 PM
Aisi hoti hai dosti Rimjhim Shayri-e-Ishq 0 4th May 2003 08:58 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com