Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Intzaar..........
Old
  (#1)
pari
Registered User
pari will become famous soon enoughpari will become famous soon enough
 
pari's Avatar
 
Offline
Posts: 687
Join Date: May 2003
Location: USA
Rep Power: 22
Love Intzaar.......... - 26th September 2003, 07:01 PM

"dil hi dil mein tumse pyar kiya karte hai,
khaboon mein bhi tera didar kiya karte hai,
yun to namumkin hai tera har rah se guzarna,
phir bhi tera har rah pe intzar kiya karte hai............."
------------------------------------------------------------------------------------
"Chale bhi aao hum tumse pyar karte hai,
Yeh woh gunah hai jo ham bar-bar karte hai,
Jala ke rahe-mohabbat mai hasrato ke chirag,
Bas... har lamhaa tere aane ka intazar karte hai ! "
-----------------------------------------------------------------------------------
"teri yaad aati hai,
to kuchh nagme likh lete hai,
sach hai yaar pyaar mein,
log kya kya sikh lete hai. "
------------------------------------------------------------------------------------
"Tum pe hamein yaakein hain,
Maut pe hai aitbaar,
Dekhte hain kaun pehle aata hain,
Dono ka hai intezaar !!
------------------------------------------------------------------------------------

pari


Chadha hai aaj bhi uska Rang, jisne kabhi Ranga hi nahi :-)
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
gulie
Registered User
gulie will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 93
Join Date: Aug 2003
Location: Ahmedabad-India
Rep Power: 21
26th September 2003, 07:08 PM

Tum pe hamein yaakein hain,
Maut pe hai aitbaar,
Dekhte hain kaun pehle aata hain,
Dono ka hai intezaar !!
---------------------------------
---------------------------------------------------


waah pari

kya khoob kaha hai

be-jod andaz hai aapke

aisa hi likhte raho.. ye hamaari umeed hai

see u

gulieeeeeeeeeeeeeeeeee


drgulie
   
Reply With Quote
--
Old
  (#3)
pari
Registered User
pari will become famous soon enoughpari will become famous soon enough
 
pari's Avatar
 
Offline
Posts: 687
Join Date: May 2003
Location: USA
Rep Power: 22
-- - 26th September 2003, 07:24 PM

Thanx qulie ji,
aapki daad milti rahi to aise hi likhte rahenge....
keep writting..
pari


Chadha hai aaj bhi uska Rang, jisne kabhi Ranga hi nahi :-)
   
Reply With Quote
Hi
Old
  (#4)
Pari Agarwal
Registered User
Pari Agarwal is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 16
Join Date: Aug 2003
Location: USA
Rep Power: 0
Hi - 26th September 2003, 07:29 PM

Pari ji hum aapko kuch batana chahenge agar aapko bura naa lage to, aapne yeh jo shayri post ki hai yeh chori ki hain. Humne mana ki aapne quotes mai likha hai phir bhi aapko yeh likhna chahiye tha ki yeh shayri aapne nahi likhi hai. Iss se pehle bhi bahaut si shayri aapne chori ki post ki hai. Hum yeh jaante hain. Asha hai aap phir se aisa nahi karengi.

Pari


"To handle urself, use ur head; To handle others use ur heart."

"If someone betrays you once, it's his/her fault; If he/she betrays you twice, it's ur fault."

I didn't write them but i certainly believe these quotes...
  Send a message via Yahoo to Pari Agarwal  
Reply With Quote
Re: Intzaar..........
Old
  (#5)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: Intzaar.......... - 26th September 2003, 08:25 PM

[QUOTE]Originally posted by pari
[B]"dil hi dil mein tumse pyar kiya karte hai,
khaboon mein bhi tera didar kiya karte hai,
yun to namumkin hai tera har rah se guzarna,
phir bhi tera har rah pe intzar kiya karte hai............."

"Tum pe hamein yaakein hain,
Maut pe hai aitbaar,
Dekhte hain kaun pehle aata hain,
Dono ka hai intezaar !!

pari ji
bahot dinon ke baat aap ko yahan padh raha hoon,,,,aur yakeen janiye kya khoob likha hai aapne....alfaaz nahin hai mere paas tareef ke liye....dil ko choo gayi yeh panktiyaan...hanmari dil se nikli daad qubool kijiye....
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
-----
Old
  (#6)
pari
Registered User
pari will become famous soon enoughpari will become famous soon enough
 
pari's Avatar
 
Offline
Posts: 687
Join Date: May 2003
Location: USA
Rep Power: 22
----- - 26th September 2003, 08:42 PM

Hi pari agarwal ji,
Is site pe mostly jo bhi quotes mein shayri likhi hoti hai wo suni sunayi hi hoti hai.......gaur kijiyega maine "mostly"likha hai..sabhi nahi...lekin unke shayar kaa naam nahi pata hota.........mein bhi kabhi kuch "khud ki "ya kabhi koi suni hui shayri likh deti hoon......sabke saath share karne ke liye
--aur ismein mein koi burai nahi samajhti.....aur kisi shayri ke neeche "unknown"likh dene se us shayri ka maja kam ya duguna nahi ho jaata ............haa itna jaroor hai ki aap jaise logo ko ek "satisfaction" mil jaata hai......
Mein ek baat sabhi se poochna chahti hoon ki ye ek open forum hai ..koi kuch bhi likh satka hai..yaha sabhi dostan tarike se baat karte hai...ek doosre se majjak karte hai......lekin aap jaise kuch log is site pe sirf..."kisi ko chor"kehne ya unki insult karne hi aate hai..kyuki ismein bhi aapko ek "satisfaction"milta hai......
Mein poochti hoon kyu nahi sab log shayris padhne ka majja le
bajaye ye dhyan dene ke ki kisne likhi..kyu likhi ..aur kab likhi.etc.etc.....
Maine bhi ek baar nahi huzaar baar yaha aisi shayris padhi hai jo pehle bhi kai baar padhi hui thi......per maine to kabhi nahi ye kaha ki ..ye chor hai ..ya wo chor hai....ismein mujhe kya mil jaata...maine to bas use padha aur uska mukkamal reply kiya...

ISLIYE PARI AGARWAL JI AUR UNKE JAISE LOGO SE MERI ILTAZAA HAI KI WO LOGON PE CHEETA KASHI KARNA AUR TAANE MAARNA CHOD KE SAHYRIS KA MAJJA LE......THATS ALL..

PARI


Chadha hai aaj bhi uska Rang, jisne kabhi Ranga hi nahi :-)
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
mohit
Guest
 
Posts: n/a
26th September 2003, 09:26 PM

waaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhh
waaaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhh
Pepsi....
i mean yeh dil maange more....
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
mohit
Guest
 
Posts: n/a
26th September 2003, 09:30 PM

Hiiiiiiii
yaar pari agarwal jo bhi kehti hai kehti rahe...
humne to pehli baar sune hain aapke shayers
and bohat achhe hain....
aur hain to jaldi se likh dijiye
mere kaam aayenge....
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
27th September 2003, 05:14 PM

I've got no words to explain the beauty of these lines. all are really nice. Keep up the good work.


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Re: -----
Old
  (#10)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 28
Re: ----- - 27th September 2003, 06:55 PM

Pari ji

maiN pari agarwal ji ki baat se sehmat huuN.
Aapko maiNe bhi ek baar likha tha ke aap duusroN ke kalaam apne naam se yahaN post karti haiN aur baqaeda undi daad ka jawab bhi aise deti haiN jaise ke aapne likha ho.

is thread meN bhi aapne aisa kiya hai.
Aapko maiN ye pehle bhi bata chuka huuN ke aisii shyrii jo kisi aur ki ho uske liye yahN 2 Khaas forum haiN 1 Shayri-e-Ustaad aur Shayri-e-Mashoor Shayar. Yeh sab jaan lene ke baad bhi aap yahaaN post kyuuN karti haiN.

Sirf quotes meN likh dene se kaafi nahiiN hota. Shayar ka naam diya jaana zaruuri hota hai. Agar aapko naam maluum nahiiN hai to uske saath "Annonymous Poet ya Unknown Poet"Likha jaan chahiye.

jaisa ke aapne Pari Agarwal ji ko likha ke yahaN log kisne likhi ki parwah nahiiN karte tau aap Ghalat haiN. HameN farq prta hai. ye qanuunan jurm hai aur iaisa karna Ghalat hota hai. Isliye aap ye behtar hoga ke Khud apne bartaav ki taraf ghaur kareN. Is tarah ke harkateN yahaaN nahiiN chal paayeN gi.

Aap Ghalat haiN aur jo aapko Ghata bata raha hai us par Khafaa hona to pari ji zidtii hai. Aisa karna achcha nahiiN. Is se aage aur kuch kehna mere liye munasib nahiiN hoga. Aap bhi samajhdaar haiN.

Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Intzaar........ rajinderseep Shayri-e-Ishq 0 20th March 2010 11:46 PM
Intzaar Parul Shayri-e-Ishq 1 29th January 2005 07:58 AM
Intzaar eyes_2_me Shayri-e-Dard 2 27th September 2004 09:36 PM
Intzaar...Intzaar... chaahat Hindi/Urdu Lyrics 0 1st September 2004 02:06 AM
Intzaar UDAS Shayri-e-Dard 1 23rd August 2004 11:33 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com