kaal -
29th April 2005, 06:21 PM
Collage ke aagan se class room mein aati chatra ke haath se kitab gire
Ek chatr ne daudkar uthai,kitab thamate hue dhire se chatra ki ungli dabai
Chatra bhi halke se muskurai,maane ki chatra ki barnso ki sadhna safal hui
Ki ab haath se nahi kahi ja sakti mui
”fir dono mein hone lagi bainte
badne lagi mulakate,chand raato mein jagane laga
basant dono ko tilmilane laga,raat karvat badalte bit jaati
chehra aankho mein aisa samaya,ki nind nahi aati
Kul milakar dono ka bura haal hai”
YEH HINDI SAHITYE KA RITI KAAL HAI
Khansi ,khushi aur prem,
chupaye nahin chupte…………..
ladki ke pahelwan bhai ko ek din bahin ka vyawhar badla-2 laga
ek din pehlwan ne kiya picha, ladki ja to rahi thi collage lakin pahunch gayi bagiche, purv niyojit karyakram ke anusar dono premi mile, charon or milan ke phool khile, aapas mein jatane lage pyar..Pehlwan bhai ki samjh mein agya bahin ka badla hua veyvhar..bahin ko dhakela Premi ko dono hatho se uthaya fir lamba sa chakkar lagaya,uthne lagi dhool aur bawandar ,
zameen par patak te hi Premi ban gaya khandar,laat ghunso ki maar aur bhinshan chitkar
prhar par prhar ghanghor tankar
charo aur mach gaya hahakar
YEH HINDI SAHITYE MEIN KAHLAYEGA VEER GATHA KAAL
Fatafat rakhi mangayi gayi, ladki dwara ladke ke hath me bandhai gayi
Pitai ne purana rishta tod diya, rakhi ne dono ke bich bhai-bahin ka rishta jod diya
Sacche premiyoun ke sath aisa hi hua ha, ye kaun sa naya sawal hai
Yeh to hindi sahitya ka BHAKTIKAAL HAI
4th kaal
aaj release ho gayi hai
wahan jake dekho
|