Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
bohat yaad voh aaye......ek nayi Ghazal
Old
  (#1)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
bohat yaad voh aaye......ek nayi Ghazal - 29th April 2006, 08:36 PM

dostoN ki shikayat thi ke maikash miyaaN aap kuch post nahiiN karte to ek taaza Ghazal mehfil ki nazar kar raha huuN, ummiid hai ke kam se kam paras aur pulkit saahab ko ab koi gilaa na rahega

mulaii'zaa farmaayeN :-


matla pesh-e-khidmat hai :-

1.
reh reh ke bohat yaad voh aaye tam'aam shab
mar mar ke maine lamhe bitaaye tam'aam shab

*tam'aam shab = saari raat


2.
kam ho saka na dard-e-juda'ii ka aNdhera
humne charaaGh-e-ashk jalaaye tam'aam shab


3.
aisii bhi ko'ii raat muqaddar meiN kaash ho
hum rooTh jaayeN ko'ii manaaye tam'aam shab


4.
hoti rahi barsaat aaNsuuyoN ki saari raat
baadal GhamoN ke dil pe the chhaye tam'aam shab


5.
raatoN ko jaagne ka mujhe shauq to nahiiN !!
kambakht dil ka zaKhm sataaye tam'aam shab


6.
zaalim hai teri tara'h, terii yaad bhi jaanaaN
ashkoN ka zehar mujhko pilaaye tam'aam shab


7.
voh khwaab ki duniya meN thi,baiThaa tha maiN yahaaN
palkoN ko raaste pe bichhaye tam'aam shab


8.
kaise maiN maan luuN ke buri hai sharaab, yeh
marham mere zaKhmoN pe lagaaye tam'aam shab


ab maqta haazir hai :-

9.
"maikash" likhi gayi nahiiN hai yuuN hi yeh Ghazal
kaGhaz pe baDe ashk bahaaye tam'aam shab


apni aara se zaruur nawaazeN

rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#2)
shrdh
Registered User
shrdh will become famous soon enoughshrdh will become famous soon enough
 
shrdh's Avatar
 
Offline
Posts: 1,474
Join Date: Dec 2005
Location: singapore
Rep Power: 21
29th April 2006, 08:58 PM

maikash ji bhaut hi umda gazal hai padh kar bhaut achha laga tmamam shab
har ek sher apne aap mai gazab hai

aisii bhi ko'ii raat muqaddar meiN kaash ho
hum rooTh jaayeN ko'ii manaaye tam'aam shab

piyaar ki umeeden bhaut achhe se jatayi hai

umeed hai aapko padhne ka mouka milta rahega

shrdh


  Send a message via Yahoo to shrdh  
Reply With Quote
Re: bohat yaad voh aaye......ek nayi Ghazal
Old
  (#3)
Rohin
Registered User
Rohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to behold
 
Rohin's Avatar
 
Offline
Posts: 3,937
Join Date: Dec 2003
Rep Power: 32
Re: bohat yaad voh aaye......ek nayi Ghazal - 30th April 2006, 03:45 AM

Maikash sahab,

Beautifully written... and yes we will now not complain so often... but we would like to see you around more often...

tc
Rohin


http://www.thoughtsunbound.com a place for my thoughts
   
Reply With Quote
Re: bohat yaad voh aaye......ek nayi Ghazal
Old
  (#4)
Diggaj_Dave
EK CHAMAKTA HUA SITARA
Diggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to behold
 
Diggaj_Dave's Avatar
 
Offline
Posts: 1,884
Join Date: Jun 2005
Location: Rajasthan,India
Rep Power: 26
Re: bohat yaad voh aaye......ek nayi Ghazal - 30th April 2006, 07:33 AM

Vaise kam hi padhne ko milta hai aapka par jab bhi milta hai ....padhne mein maza aa jata hai


"voh khwaab ki duniya meN thi,baiThaa tha maiN yahaaN
palkoN ko raaste pe bichhaye tam'aam shab"


Ye sher kuch jayada hi acha laga.... vaise sabhi sher bohat
ache hai lekin jaha naye khayal dikhte hai mujhe waha kincha chala jata hu.....ye sher alag laga....


Aur ishe padhkar Meri Fav. Abida jee ki gazal yaad aa gayi vaise aapki gazal kaafi alag lekin "tamaam shab" dekhar vaisi lagi


"Aapki yaad aati rahi raat bhar
Chandni dil dukhti rahi raat bhar "


Yahi umeed hai hamein aapka likha jalad hi aur padhne ko milega


Shukriyah



Quote:
Originally posted by maikasH
dostoN ki shikayat thi ke maikash miyaaN aap kuch post nahiiN karte to ek taaza Ghazal mehfil ki nazar kar raha huuN, ummiid hai ke kam se kam paras aur pulkit saahab ko ab koi gilaa na rahega

mulaii'zaa farmaayeN :-


matla pesh-e-khidmat hai :-

1.
reh reh ke bohat yaad voh aaye tam'aam shab
mar mar ke maine lamhe bitaaye tam'aam shab

*tam'aam shab = saari raat


2.
kam ho saka na dard-e-juda'ii ka aNdhera
humne charaaGh-e-ashk jalaaye tam'aam shab


3.
aisii bhi ko'ii raat muqaddar meiN kaash ho
hum rooTh jaayeN ko'ii manaaye tam'aam shab


4.
hoti rahi barsaat aaNsuuyoN ki saari raat
baadal GhamoN ke dil pe the chhaye tam'aam shab


5.
raatoN ko jaagne ka mujhe shauq to nahiiN !!
kambakht dil ka zaKhm sataaye tam'aam shab


6.
zaalim hai teri tara'h, terii yaad bhi jaanaaN
ashkoN ka zehar mujhko pilaaye tam'aam shab


7.
voh khwaab ki duniya meN thi,baiThaa tha maiN yahaaN
palkoN ko raaste pe bichhaye tam'aam shab


8.
kaise maiN maan luuN ke buri hai sharaab, yeh
marham mere zaKhmoN pe lagaaye tam'aam shab


ab maqta haazir hai :-

9.
"maikash" likhi gayi nahiiN hai yuuN hi yeh Ghazal
kaGhaz pe baDe ashk bahaaye tam'aam shab


apni aara se zaruur nawaazeN

rab raakha
maikash


Navard-e-ishq mein kya hua kya bataye hum
kabhi humne yu khud ko harata naa dekha


Kaise Samjhau Dil-e-hasarat-nasiib Ko Apne
K Sab Kuch Milta Nahi Chah Lene Se Ish Zamane Mein..... "Diggaj"
 Send a message via ICQ to Diggaj_Dave Send a message via Yahoo to Diggaj_Dave Send a message via AIM to Diggaj_Dave  
Reply With Quote
Old
  (#5)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
30th April 2006, 10:14 AM

reh reh ke bohat yaad voh aaye tam'aam shab
mar mar ke maine lamhe bitaaye tam'aam shab

kam ho saka na dard-e-juda'ii ka aNdhera
humne charaaGh-e-ashk jalaaye tam'aam shab

Bahut khoob bhai....


aisii bhi ko'ii raat muqaddar meiN kaash ho
hum rooTh jaayeN ko'ii manaaye tam'aam shab

hoti rahi barsaat aaNsuuyoN ki saari raat
baadal GhamoN ke dil pe the chhaye tam'aam shab

nice expression...


raatoN ko jaagne ka mujhe shauq to nahiiN !!
kambakht dil ka zaKhm sataaye tam'aam shab

zaalim hai teri tara'h, terii yaad bhi jaanaaN
ashkoN ka zehar mujhko pilaaye tam'aam shab

Waaaahh... I love the way u address jaanaa...


voh khwaab ki duniya meN thi,baiThaa tha maiN yahaaN
palkoN ko raaste pe bichhaye tam'aam shab

kaise maiN maan luuN ke buri hai sharaab, yeh
marham mere zaKhmoN pe lagaaye tam'aam shab

waaaaahhh... yahaan sharaab ke baad 'yeh' me thehraav accha laga... aur pehla sher bhi khoob hai...


"maikash" likhi gayi nahiiN hai yuuN hi yeh Ghazal
kaGhaz pe baDe ashk bahaaye tam'aam shab

kahut khooob....

Dear Maiksash bhai,

Its good to see your post here... bahut hi khoobsurat andaaz me haal-e-dil bayana kiya hai aapne... Sabhi sehr bahut pasand aaye mujhe...meri dil se daad kubool kijiyega... Likhte rahiye yun hi aur sahre bhi kate rahiye yahaan.... apna khayal rakhiyega...

Ab itni khoobsurat ghazalon se mehroom rehna padhe to complaints to hongi hi naa....


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai

Last edited by Pulkit_gupta; 30th April 2006 at 10:17 AM..
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#6)
sukanya
Registered User
sukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the rough
 
sukanya's Avatar
 
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
30th April 2006, 12:59 PM

aisii bhi ko'ii raat muqaddar meiN kaash ho
hum rooTh jaayeN ko'ii manaaye tam'aam shab

hoti rahi barsaat aaNsuuyoN ki saari raat
baadal GhamoN ke dil pe the chhaye tam'aam shab


Namaskar Maikash ji

Ek bahut khoobsurat nazm hay.......Hamare daad kabul kijeyega....Asha kartey hain aap aagey bhi apney khoobsurat qalam parhney ka mauqa daingey ki hum bhi kuch seekh sakein aapse...

Regards
   
Reply With Quote
Re: bohat yaad voh aaye......ek nayi Ghazal
Old
  (#7)
acharya_mj
Zakhm-e-Rooh
acharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud of
 
acharya_mj's Avatar
 
Offline
Posts: 2,220
Join Date: Nov 2004
Location: ahmedabad
Rep Power: 33
Re: bohat yaad voh aaye......ek nayi Ghazal - 30th April 2006, 04:46 PM

Quote:
Originally posted by maikasH
dostoN ki shikayat thi ke maikash miyaaN aap kuch post nahiiN karte to ek taaza Ghazal mehfil ki nazar kar raha huuN, ummiid hai ke kam se kam paras aur pulkit saahab ko ab koi gilaa na rahega

mulaii'zaa farmaayeN :-


matla pesh-e-khidmat hai :-


1.
reh reh ke bohat yaad voh aaye tam'aam shab
mar mar ke maine lamhe bitaaye tam'aam shab

*tam'aam shab = saari raat

waah waa maikhash bhaita ghazab likha hai

2.
kam ho saka na dard-e-juda'ii ka aNdhera
humne charaaGh-e-ashk jalaaye tam'aam shab

bahut khoooooob

3.
aisii bhi ko'ii raat muqaddar meiN kaash ho
hum rooTh jaayeN ko'ii manaaye tam'aam shab

wow nice wording maikashbhaiya


4.
hoti rahi barsaat aaNsuuyoN ki saari raat
baadal GhamoN ke dil pe the chhaye tam'aam shab

ufffffffff ye line to...........................

5.
raatoN ko jaagne ka mujhe shauq to nahiiN !!
kambakht dil ka zaKhm sataaye tam'aam shab

dil ko chhoooo gayi ye bhi

6.
zaalim hai teri tara'h, terii yaad bhi jaanaaN
ashkoN ka zehar mujhko pilaaye tam'aam shab

zalim tere kalaam ne kya kya sitam dhaaye hai
Padhkar mere sine ke zakhm mushkuraaye hai

7.
voh khwaab ki duniya meN thi,baiThaa tha maiN yahaaN
palkoN ko raaste pe bichhaye tam'aam shab

Socha kare tere khyaal ko, khwaabo ko is tarah
Ankho se neend ke sabhi raaste bhulaaye hai

8.
kaise maiN maan luuN ke buri hai sharaab, yeh
marham mere zaKhmoN pe lagaaye tam'aam shab


bahut achhae

ab maqta haazir hai :-

9.
"maikash" likhi gayi nahiiN hai yuuN hi yeh Ghazal
kaGhaz pe baDe ashk bahaaye tam'aam shab

Jo bhi padhe deewaana ho jaaye tamaam shab
Aap ki is ghazal koi na bhul paaye tamaam shab


apni aara se zaruur nawaazeN

rab raakha
maikash

bahut khubsurat likha hai maikshbhiya aap ne har ek share khud mai bahtareen hai

take care
wid regards
manu
  Send a message via Yahoo to acharya_mj  
Reply With Quote
Old
  (#8)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
1st May 2006, 05:21 AM

shrdh sahiba

aapne Ghazal pasaNd farmaayi aur daad bhi ataa ki bohat shukriya jee aapka...ummiid hai aap aa'iiNdaa bhi yuuN hi hausla badhaati raheNgii


khair aNdesh
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#9)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
1st May 2006, 05:27 AM

Rohin saahab

i'm well aware of the fact that u r a busy man and i sincerely appreciate ur time ... i've been around quite regularly recently but only tending to my admin duties and i sure will try my best to share some of my work as often as possible


regards
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#10)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
1st May 2006, 10:03 AM

Arre Waah! Maikash Mian aapki kalam tau qahar dhaati hai dilon par...jee hamein koyi gila nahin...infact hamara keyboard ek gustakhi kar gaya aapke inn dil lazeez ashaaron par...gar ijazzat ho tau....

milein na kyun phir kisi bahane se tumko jaanaa
rahe jhuuthe waadon se dil ko behlaaye tamaam shab

jo jhaanke koyi khayalon mein hongi badi ruswaayiaan
ki aake shokh adaaon se wo humko sataaye tamaam shab

khush rahiye...yeh silsila jaari rakhiye


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
ranju bhatia
Registered User
ranju bhatia is a jewel in the roughranju bhatia is a jewel in the roughranju bhatia is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 544
Join Date: Mar 2006
Location: Delhi
Rep Power: 21
1st May 2006, 10:40 AM

hoti rahi barsaat aaNsuuyoN ki saari raat
baadal GhamoN ke dil pe the chhaye tam'aam shab

bahut khub...........

raatoN ko jaagne ka mujhe shauq to nahiiN !!
kambakht dil ka zaKhm sataaye tam'aam shab

pehali baar aapko pada ...bahut khubsurat likha hai aapne.....

pad ke bahut accha laga.........

with best wishes

ranju


ranjana
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
akelijaan
Mai shayar to nahi
akelijaan is a jewel in the roughakelijaan is a jewel in the roughakelijaan is a jewel in the rough
 
akelijaan's Avatar
 
Offline
Posts: 739
Join Date: Feb 2006
Location: mumbai,india
Rep Power: 21
1st May 2006, 05:24 PM

kya kahen maikash ji,aaj pehli baar aapko padha hai aur padhte hi aapki shayri ke dewaane hogaye.bahut acha likha aapne.khas kar yeh sher to behad pasand aaya hamein,

aisii bhi ko'ii raat muqaddar meiN kaash ho
hum rooTh jaayeN ko'ii manaaye tam'aam shab.


isi tarah likhte rahiye aur is mehfil ki shaan badhaaye.

akelijaan.
  Send a message via Yahoo to akelijaan  
Reply With Quote
Old
  (#13)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
1st May 2006, 08:12 PM

Diggaj_Dave saahab


namaste


miyaaN aapne to lajawaab kar diyaa....!!

aapko ek she'r khasuusan pasaNd aaya, dil ko tassalli ho gayi ke mehnat zaya na gayi........aapki muhabbat ka maskoor-o-mamnuun huuN saahab.....


jis Ghazal ka matla aapne arz kiya usii zamiin meN maine bhi ek GHazal kahi hai kabhi post karuNgaa.....




shukriya
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Re: bohat yaad voh aaye......ek nayi Ghazal
Old
  (#14)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
Re: bohat yaad voh aaye......ek nayi Ghazal - 2nd May 2006, 08:27 AM

Quote:
Originally posted by maikasH
dostoN ki shikayat thi ke maikash miyaaN aap kuch post nahiiN karte to ek taaza Ghazal mehfil ki nazar kar raha huuN, ummiid hai ke kam se kam paras aur pulkit saahab ko ab koi gilaa na rahega

mulaii'zaa farmaayeN :-


matla pesh-e-khidmat hai :-

1.
reh reh ke bohat yaad voh aaye tam'aam shab
mar mar ke maine lamhe bitaaye tam'aam shab

*tam'aam shab = saari raat


2.
kam ho saka na dard-e-juda'ii ka aNdhera
humne charaaGh-e-ashk jalaaye tam'aam shab


3.
aisii bhi ko'ii raat muqaddar meiN kaash ho
hum rooTh jaayeN ko'ii manaaye tam'aam shab


4.
hoti rahi barsaat aaNsuuyoN ki saari raat
baadal GhamoN ke dil pe the chhaye tam'aam shab


5.
raatoN ko jaagne ka mujhe shauq to nahiiN !!
kambakht dil ka zaKhm sataaye tam'aam shab


6.
zaalim hai teri tara'h, terii yaad bhi jaanaaN
ashkoN ka zehar mujhko pilaaye tam'aam shab


7.
voh khwaab ki duniya meN thi,baiThaa tha maiN yahaaN
palkoN ko raaste pe bichhaye tam'aam shab


8.
kaise maiN maan luuN ke buri hai sharaab, yeh
marham mere zaKhmoN pe lagaaye tam'aam shab


ab maqta haazir hai :-

9.
"maikash" likhi gayi nahiiN hai yuuN hi yeh Ghazal
kaGhaz pe baDe ashk bahaaye tam'aam shab


apni aara se zaruur nawaazeN

rab raakha
maikash


Mere maikash,

dard ko shabd mai sahaj pirona...
n raah nazar aati hai na manjil... jaha tak nazar pahunch paaye .. dard bichha nazar aata hai ..

Meena
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
2nd May 2006, 05:08 PM

khoob kahi ye Ghazal bhi Maikash sahab..

kabhi waqt mile to aapse iski beher ke mu'tallik baat hogi

khyaal rakhiyega

Varinder


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
zarra
Registered User
zarra is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 9
Join Date: Jan 2006
Rep Power: 0
2nd May 2006, 05:35 PM

maikashji,
bahut khuubsurti ke saath apne ehsaasat ko aapne
kagaz pe uutara hai,

"kaise main maan luun ke buri hai sharaab,yeh
"marham mere zakhmon pe lagaaye tammam shab"

aapko padhne ke mauke jaldi diya kijiye....shukriyaa
zarra....
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
2nd May 2006, 06:20 PM

maikash saheb

ek au rkhoobsurat ghazel takhleeq ki hai aap ne.
nihaayet mauzoon alfaaz se aaraasta yeh ek shahkaar ghazel hai.
aap ke bare mein akser saathiyon se kehta hoon ke is forum per ager kisi ko achchi shayri parhna hai to maikash saheb ko parhe.
her shayr ek mukammil daastaan hai soaz o gudaash ki, pyaar ki , khushbu ki.
bohat pasand aayee aap ki yeh ghazel.

meri bharpoor daad qabool karein.
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
2nd May 2006, 06:38 PM

Pulkit saahab


Ghazal ki pazi'raii ke liye behadd shukurguzaar huuN aapka......janaab koshish karta rahuNga ke gaahe-ba-gaahe kuch na kuch post karta rahuN ...ummiid hai aa'iiNda aapko shikayat ka mauqa na milega


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#19)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
2nd May 2006, 07:43 PM

Wow...

Maikash ji,

Itne dinon baad phir se aap ko parh ke bahut achha laga, what can say about this creation, it's fantastic, an amazing...

reh reh ke bohat yaad voh aaye tam'aam shab
mar mar ke maine lamhe bitaaye tam'aam shab

kam ho saka na dard-e-juda'ii ka aNdhera
humne charaaGh-e-ashk jalaaye tam'aam shab

voh khwaab ki duniya meN thi,baiThaa tha maiN yahaaN
palkoN ko raaste pe bichhaye tam'aam shab


I like this sher a lot... keep writting & keep coming. take care!


   
Reply With Quote
Old
  (#20)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
3rd May 2006, 06:40 AM

sukanya jee

namaste


aapne Ghazal ke chaNd ash'aar pasaNd farmaaye bohat shukriya, ummiid hai aap yuuN hi hausla badhaati raheNgi



rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#21)
saathi
Registered User
saathi is on a distinguished road
 
saathi's Avatar
 
Offline
Posts: 36
Join Date: Mar 2006
Location: Hindustan
Rep Power: 0
3rd May 2006, 04:30 PM

Adaab Maikash ji
Ek zamaane ke baad yahan ek behtareen ghazal ko padney ka lutf uthaya. Daad qubul kijiyega janaab.


sabka
Saathi
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
24th May 2006, 04:24 AM

manu sahab

namaste

bhai aap jis tarha daad ataa farmaate hai khud pe guruur hone lagta hai


bohat shukriya miyaaN


khair aNdesh
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#23)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
29th May 2006, 07:50 AM

paras sahiba


namaskaar

pehle to aapke khat ka jawaab dene meiN hui ta'khiir ke liye mazrat chahta huuN,rozi-roti ke mas'alley ne is qadar baaNdhaa hua hai ke puuchiye mat....khair....daad ke liye shukriya aur mohtarma lafz-e-gustaakhi aapne fazuul meiN kharch kiya, jo dil meN kehna chahiye aur wahi aapne kiya maiN mamnoon huuN aapka


aati jaati raha kareiN

khair aNdesh
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Re: bohat yaad voh aaye......ek nayi Ghazal
Old
  (#24)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
Re: bohat yaad voh aaye......ek nayi Ghazal - 29th May 2006, 06:19 PM

Quote:
Originally posted by maikasH
dostoN ki shikayat thi ke maikash miyaaN aap kuch post nahiiN karte to ek taaza Ghazal mehfil ki nazar kar raha huuN, ummiid hai ke kam se kam paras aur pulkit saahab ko ab koi gilaa na rahega

mulaii'zaa farmaayeN :-


matla pesh-e-khidmat hai :-

1.
reh reh ke bohat yaad voh aaye tam'aam shab
mar mar ke maine lamhe bitaaye tam'aam shab

*tam'aam shab = saari raat


2.
kam ho saka na dard-e-juda'ii ka aNdhera
humne charaaGh-e-ashk jalaaye tam'aam shab


3.
aisii bhi ko'ii raat muqaddar meiN kaash ho
hum rooTh jaayeN ko'ii manaaye tam'aam shab


4.
hoti rahi barsaat aaNsuuyoN ki saari raat
baadal GhamoN ke dil pe the chhaye tam'aam shab


5.
raatoN ko jaagne ka mujhe shauq to nahiiN !!
kambakht dil ka zaKhm sataaye tam'aam shab


6.
zaalim hai teri tara'h, terii yaad bhi jaanaaN
ashkoN ka zehar mujhko pilaaye tam'aam shab


7.
voh khwaab ki duniya meN thi,baiThaa tha maiN yahaaN
palkoN ko raaste pe bichhaye tam'aam shab


8.
kaise maiN maan luuN ke buri hai sharaab, yeh
marham mere zaKhmoN pe lagaaye tam'aam shab


ab maqta haazir hai :-

9.
"maikash" likhi gayi nahiiN hai yuuN hi yeh Ghazal
kaGhaz pe baDe ashk bahaaye tam'aam shab


apni aara se zaruur nawaazeN

rab raakha
maikash
Maikash ji ... honestly speaking, aapne is dauran jitni bhi gazale likhi sab behad umda aur khoobsoorat... but this one made me reply here... ab exam se thodi fursat mili hai to isse aaj fir padha ... dilfareb gazal hai ye ... hamaari tahe dl se daal qubool farmaiyega...
apna khayaaal rakhiyega


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
30th May 2006, 06:04 AM

ranju saahab

namaste

bhai shukr hai aapne padha to sahi vagarna aise ehbaab bhi haiN jo kambakht padhte bhi nahiiN

aapko kaavish pasaNd aayi, meri khushnasiibi, ummiid hai aayiiNda bhi yuuN hi aap hausla badhaate raheNge


shukriya

maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
nayi ghazal hai .. amaan7am Ghazal Section 2 26th November 2013 03:12 PM
bekhudi-nayi ghazal tabiib.azeez Shayri-e-Dard 3 23rd December 2009 06:51 PM
nayi ghazal shashwat Shayri-e-Ishq 0 1st December 2004 09:42 AM
ek nayi ghazal from altamash altamash Shayri-e-Dard 1 8th June 2004 08:27 PM
saath beete huve lamhaat bahut yaad aaye(nayi ghazal) shumaila Aapki Shayri 24 14th July 2002 12:27 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com