Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
ho gaya...?
Old
  (#1)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
ho gaya...? - 17th November 2010, 08:32 PM

Mehfil ke tamaam membaraan ko adaab,

Ummeed hai aap sabhi khairiyat se honge...kuch din pehle ek kalaam hua tha lekin yahan pesh nahi karr paayaa aaj mohlat mili hai tau pesh-e-khidmat hai. Apni beshkeemati raaii se zaroor nawazein..

================================================== ==

jo bal se ho na paya woh chhal se ho gaya,
jo pagg se ho na paya aanchal se ho gaya.

*bal=power/strength, chhal=kapaT/cheating
*pagg=pagdi/men, aanchal-pallu/women

pushteni dushmani ke niche lagaav bhi tha,
sadiyoN se mell naa hua pal se ho gaya.

sunte the aadmi bhi ek jaanwar hi hai,
rishta imaaratoN ke jungle se ho gaya.

sheeshe se mera rishta kyuN tooTta nahi,
khiDki se teri tooTa botal se ho gaya.

kuch saal huye sab kuch behtar hi lag raha tha
harr jumla shuru ab tau "AAJ KAL" se ho gaya.

Rishta main chahta ho jo paak ho pukhta ho,
asthee ka jaise ganga ke jal se ho gaya.

paak=clean/pavitr, pukhta=strong

ho pyaas jiski choTi do waqt chaahe roTi,
uska tua kaam nal se aur hal se ho gaya.

"Talib" iraade tere chaTTaan reh chuke hain,
abb harr khayaal naazuk badal se ho gaya?


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#2)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 86
18th November 2010, 07:57 AM

sunte the aadmi bhi ek jaanwar hi hai,
rishta imaaratoN ke jungle se ho gaya.

sheeshe se mera rishta kyuN tooTta nahi,
khiDki se teri tooTa botal se ho gaya.

kuch saal huye sab kuch behtar hi lag raha tha
harr jumla shuru ab tau "AAJ KAL" se ho gaya.

Rishta main chahta ho jo paak ho pukhta ho,
asthee ka jaise ganga ke jal se ho gaya.


Bahut Khoob ...... Talib Sahab !

Zindagi ke aas paas ki soch ko bahut khoobi se ubhaarne ki acchi koshish ... Yeh baat Tamaam Ghazal ke ashaar me dikhaai di mujhe ... har ashaar ki gehraai ... baar baar insaani fikR o khayal ka aainaa saabiit hui ... bahut accha laga ... arse baad aapko padhnaa ... tahe dil se daad hazir hai ... yunhi aate rahen aur likhte rahen aage bhi ... khush rahen ...

duiaaon ke saath ...




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#3)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
18th November 2010, 10:01 AM

sheeshe se mera rishta kyuN tooTta nahi,
khiDki se teri tooTa botal se ho gaya.

uuper wale misra gar yu.n hota to rawangi or behtar hoti..sheeshe se mera rishta tooTta kiyon nahi,

gaur kijiyega....

talib bhai ko raj ka adaab, janaab bhut umdah gazal kahi aapne or ye share to haasil-e-gazal raha.......daad kabool kijiyega.....Raj....


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#4)
janumanu
Banned
janumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 2,586
Join Date: Jun 2008
Location: New Delhi
Rep Power: 0
18th November 2010, 10:08 AM

Quote:
Originally Posted by talib View Post
Mehfil ke tamaam membaraan ko adaab,

Ummeed hai aap sabhi khairiyat se honge...kuch din pehle ek kalaam hua tha lekin yahan pesh nahi karr paayaa aaj mohlat mili hai tau pesh-e-khidmat hai. Apni beshkeemati raaii se zaroor nawazein..

================================================== ==

jo bal se ho na paya woh chhal se ho gaya,
jo pagg se ho na paya aanchal se ho gaya.

*bal=power/strength, chhal=kapaT/cheating
*pagg=pagdi/men, aanchal-pallu/women

pushteni dushmani ke niche lagaav bhi tha,
sadiyoN se mell naa hua pal se ho gaya.

sunte the aadmi bhi ek jaanwar hi hai,
rishta imaaratoN ke jungle se ho gaya.

sheeshe se mera rishta kyuN tooTta nahi,
khiDki se teri tooTa botal se ho gaya.

kuch saal huye sab kuch behtar hi lag raha tha
harr jumla shuru ab tau "AAJ KAL" se ho gaya.

Rishta main chahta ho jo paak ho pukhta ho,
asthee ka jaise ganga ke jal se ho gaya.

paak=clean/pavitr, pukhta=strong

ho pyaas jiski choTi do waqt chaahe roTi,
uska tua kaam nal se aur hal se ho gaya.

"Talib" iraade tere chaTTaan reh chuke hain,
abb harr khayaal naazuk badal se ho gaya?
sunte the aadmi bhi ek jaanwar hi hai,
rishta imaaratoN ke jungle se ho gaya.

sheeshe se mera rishta kyuN tooTta nahi,
khiDki se teri tooTa botal se ho gaya.



taalib bhayee
jhor ka jhatkaa dhere se laga ....
khiDki se teri tooTa botal se ho gaya.

kyaa kaha hai,

mazaa aa gayaa bhayee

aur ye bhi

rishta imaaratoN ke jungle se ho gaya.

kamaal hai

repsss

  Send a message via Yahoo to janumanu  
Reply With Quote
Old
  (#5)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
19th November 2010, 12:51 PM

Talib saheb
aaj taweel arse baad aana huaa yahan, aap ka kalam hamesha ki tarah hamare ird gird ki jeeti jaagti tasweer hai. Aap ka mashahida aur uska bharpoor izhaar khuubsurat andaaz e bayan aap ki shayrana salahiyeton ka muunh bolta suboot hai.
Dua go hoon aap ki kaamiyaabiyon aur khushiyon ke liye.
God bless you.
Allah Hafiz
musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
20th November 2010, 12:04 PM

Talib jee:

namaste!

kaise hai.n aap? aik arse baad aapki koShiSh ko bazm mei.n deKhaa,, umdaa'h soch aur dilkaSh ehsaas..!

mazaa aa gayaa!

mere dil se daad aur duaae.n!

yuuNhi aate rahe.n.. KhuSh rahe.n... apnaa Khayaal raKhe.n

duaao.n ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
Love 20th November 2010, 12:52 PM

Quote:
Originally Posted by talib View Post
Mehfil ke tamaam membaraan ko adaab,

Ummeed hai aap sabhi khairiyat se honge...kuch din pehle ek kalaam hua tha lekin yahan pesh nahi karr paayaa aaj mohlat mili hai tau pesh-e-khidmat hai. Apni beshkeemati raaii se zaroor nawazein..

================================================== ==

jo bal se ho na paya woh chhal se ho gaya,
jo pagg se ho na paya aanchal se ho gaya.

*bal=power/strength, chhal=kapaT/cheating
*pagg=pagdi/men, aanchal-pallu/women

pushteni dushmani ke niche lagaav bhi tha,
sadiyoN se mell naa hua pal se ho gaya.

sunte the aadmi bhi ek jaanwar hi hai,
rishta imaaratoN ke jungle se ho gaya.

sheeshe se mera rishta kyuN tooTta nahi,
khiDki se teri tooTa botal se ho gaya.

kuch saal huye sab kuch behtar hi lag raha tha
harr jumla shuru ab tau "AAJ KAL" se ho gaya.

Rishta main chahta ho jo paak ho pukhta ho,
asthee ka jaise ganga ke jal se ho gaya.

paak=clean/pavitr, pukhta=strong

ho pyaas jiski choTi do waqt chaahe roTi,
uska tua kaam nal se aur hal se ho gaya.

"Talib" iraade tere chaTTaan reh chuke hain,
abb harr khayaal naazuk badal se ho gaya?
talib bhai
radhe radhe


bahut khoob............................................. .


Aapka Apna
Ishk


'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है


email: rkm179@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
21st November 2010, 07:03 PM

Bohat khoob Talib sahab................................




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#9)
Radhika_2
RooH Se RooH Tak
Radhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Radhika_2's Avatar
 
Offline
Posts: 1,247
Join Date: Feb 2010
Location: Delhi
Rep Power: 53
23rd November 2010, 10:40 AM

Quote:
Originally Posted by talib View Post
Mehfil ke tamaam membaraan ko adaab,

Ummeed hai aap sabhi khairiyat se honge...kuch din pehle ek kalaam hua tha lekin yahan pesh nahi karr paayaa aaj mohlat mili hai tau pesh-e-khidmat hai. Apni beshkeemati raaii se zaroor nawazein..

================================================== ==

jo bal se ho na paya woh chhal se ho gaya,
jo pagg se ho na paya aanchal se ho gaya.

*bal=power/strength, chhal=kapaT/cheating
*pagg=pagdi/men, aanchal-pallu/women

pushteni dushmani ke niche lagaav bhi tha,
sadiyoN se mell naa hua pal se ho gaya.

sunte the aadmi bhi ek jaanwar hi hai,
rishta imaaratoN ke jungle se ho gaya.

sheeshe se mera rishta kyuN tooTta nahi,
khiDki se teri tooTa botal se ho gaya.

kuch saal huye sab kuch behtar hi lag raha tha
harr jumla shuru ab tau "AAJ KAL" se ho gaya.

Rishta main chahta ho jo paak ho pukhta ho,
asthee ka jaise ganga ke jal se ho gaya.

paak=clean/pavitr, pukhta=strong

ho pyaas jiski choTi do waqt chaahe roTi,
uska tua kaam nal se aur hal se ho gaya.

"Talib" iraade tere chaTTaan reh chuke hain,
abb harr khayaal naazuk badal se ho gaya?
ji har ek aashar bhaut khoob likha aapne..................bhaut sunder............

Rishta main chahta ho jo paak ho pukhta ho,
asthee ka jaise ganga ke jal se ho gaya.

Speechless................



Radhika

Seene Me Zakham Utarey Chale Gaye
Jo Humpe Guzari Guzarey Chale Gaye

Woh Aayega Ek Din Milne Humse
Naam Uska Hi Pukarey Chale Gaye


E-mail : radhika.nm2@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
23rd November 2010, 02:08 PM

Quote:
Originally Posted by talib View Post
Mehfil ke tamaam membaraan ko adaab,

Ummeed hai aap sabhi khairiyat se honge...kuch din pehle ek kalaam hua tha lekin yahan pesh nahi karr paayaa aaj mohlat mili hai tau pesh-e-khidmat hai. Apni beshkeemati raaii se zaroor nawazein..

================================================== ==

jo bal se ho na paya woh chhal se ho gaya,
jo pagg se ho na paya aanchal se ho gaya.

*bal=power/strength, chhal=kapaT/cheating
*pagg=pagdi/men, aanchal-pallu/women

pushteni dushmani ke niche lagaav bhi tha,
sadiyoN se mell naa hua pal se ho gaya.

sunte the aadmi bhi ek jaanwar hi hai,
rishta imaaratoN ke jungle se ho gaya.

sheeshe se mera rishta kyuN tooTta nahi,
khiDki se teri tooTa botal se ho gaya.

kuch saal huye sab kuch behtar hi lag raha tha
harr jumla shuru ab tau "AAJ KAL" se ho gaya.

Rishta main chahta ho jo paak ho pukhta ho,
asthee ka jaise ganga ke jal se ho gaya.

paak=clean/pavitr, pukhta=strong

ho pyaas jiski choTi do waqt chaahe roTi,
uska tua kaam nal se aur hal se ho gaya.

"Talib" iraade tere chaTTaan reh chuke hain,
abb harr khayaal naazuk badal se ho gaya?

aadaab
bahot hi haseen khiyaalaat aor kalaam ki aamezish hai
daad haazir hai
masood hassaas
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
29th November 2010, 05:15 PM

Naresh Bhai Namaste,

Aap ki daad aur kalaam ko pasand farmaane ki meherbaaniyoN ka shukr guzaar hoon...aapko mera likha ek aam aadmi ki soch aur fikr lagi..yeh jaan kar masarrat haasil huee..aage bhi islaah farmaate rahenge yehi ummeed hai..apna khayaal rakhiyega..


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#12)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
29th November 2010, 05:24 PM

Rajveer Bhai Adaab,

Aap ne jiss sher ka intekhaab kiya hai woh mera bhi pasandeeda hai, aur aapne jo soorat bataayee hai woh bhi gaur talab hai..aapka bohot bohot shukriya rehnumaayee ke liye..aage bhi islaah farmaate rahiyega..behad mamnoon hoon..apna kiyaal rakhiyega..Allah Hafiz.


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#13)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
29th November 2010, 05:28 PM

JanuManu Jee Adaab,

Ha Ha Ha...zor ka jhaTka dhire se lagaa aapko...huzoor jab yeh sher banaake maine bhi paDha tau khud chauNk gayaa thaa..aur khushi huee aapko bhi ek jhaTkaa de karr..LOL...daad ke liye aur repss ke liye bhi bohot bohot shukriya..chaltaa hoon..


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#14)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
29th November 2010, 05:31 PM

Musharraf Sir Salaam,

Ek arse baad dekh rahaa hoon aapko, umeed hai mijaaz ba-khair honge. Khushi huee aapko yahaaN dekh karr. Aap hamesha hi tareef karr zaraa nawaazi karte hain..apna khayaal rakhiyega..aur aate jaate rahaa kijiye...Aapki DuaoN ka Mohtaaj.


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#15)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
29th November 2010, 10:34 PM

Quote:
Originally Posted by talib View Post
Mehfil ke tamaam membaraan ko adaab,

Ummeed hai aap sabhi khairiyat se honge...kuch din pehle ek kalaam hua tha lekin yahan pesh nahi karr paayaa aaj mohlat mili hai tau pesh-e-khidmat hai. Apni beshkeemati raaii se zaroor nawazein..

================================================== ==

jo bal se ho na paya woh chhal se ho gaya,
jo pagg se ho na paya aanchal se ho gaya.

*bal=power/strength, chhal=kapaT/cheating
*pagg=pagdi/men, aanchal-pallu/women

pushteni dushmani ke niche lagaav bhi tha,
sadiyoN se mell naa hua pal se ho gaya.

sunte the aadmi bhi ek jaanwar hi hai,
rishta imaaratoN ke jungle se ho gaya.

sheeshe se mera rishta kyuN tooTta nahi,
khiDki se teri tooTa botal se ho gaya.

kuch saal huye sab kuch behtar hi lag raha tha
harr jumla shuru ab tau "AAJ KAL" se ho gaya.

Rishta main chahta ho jo paak ho pukhta ho,
asthee ka jaise ganga ke jal se ho gaya.

paak=clean/pavitr, pukhta=strong

ho pyaas jiski choTi do waqt chaahe roTi,
uska tua kaam nal se aur hal se ho gaya.

"Talib" iraade tere chaTTaan reh chuke hain,
abb harr khayaal naazuk badal se ho gaya?


aadaab
taalib bhai
bahot khoom merey yaar
aapka ek sher sakil bhaike yaahaan dekhaa to aaokpparhne ki khwaahish jaag gayi achha hihuwaa is tarah aap ke kkhiyaalaat se mulaaqaat ho gayi
aap taalib nahi matloob hain
aapkiudaan bahot buland hai keep it up
masood hassaas
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
1st December 2010, 10:26 PM

Dhaval Saaheb Jai Shri Krishna,,

Kem cho saaheb badhu majaama che ne..?

Aap ko mera kalaam pasand aayaa aur aap ki jazbaat aapki tareef mein mehsoos karr payaa hoon. Insha Allah koshish rahegi likhte rehne ki aur bazm mein haazir rehne ki bhi..apna khiyaal rakhiyega...Dua Go.


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#17)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
1st December 2010, 10:32 PM

Rajendra Jee Raadhe Raadhe,

Kalaam pasand karne ke liye shukriya ummeed hai mijaaz ba-khair honge. Khayaal rakhiyega apna..filhaal chalta hoon.


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#18)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
1st December 2010, 10:33 PM

Zainy Jee Adaab

Shukriya bohot bohot waqt nikaal kar koshish par nazr-e-inaayat farmaane ki..Thanx a lot. Tk Cr.


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#19)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
1st December 2010, 10:39 PM

Radhika Jee Namashkaar,

Aapne jiss sher ka intekhaab kiya hai usse andaaz laga raha huun aap ke mijaaz ka...hmm..waise Bohot Bohot mashkoor-o-mamnoon huun ke aapne itni tareef ki...aate jaate rahiyega...aur duaoN mein yaad rakhiyega..Tk Cr.


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#20)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
1st December 2010, 11:00 PM

Hazrat Hassaas Masood Saheb,

Adaab-o-Tasleemaat...Aapne mujh jaise nau sikhiye ki iss tarah himmat afzaaye aur tareef ki hai ke nashaa sa ho gaya mujhe..aur uss pe aapne Shakil bhai ki post parr likhe sher ki bhi tareef ki...aapki dariya dili ka kayal huwaa.. aur bareeq nazar pe hairaan bhi..aap beshaq kaafi Danaa maloom hote hain aapse darkhwaast hai ke hum nadaanoN ki rehnumaayee karne ki koshish karein, aur khaas taur par mere kisi bhi kalaam mein koi bhi behtari/sudhaar ki gunjaaish ho, tau beshaq aap naseehat kar dein koi naaraazgi ki baat nahi hai.

Aap ke kalaam kaafi alaa darje ke hote hain aur urdu zubaan ka aapka ilm bhi beshaq kaafi gehraa hain..ummeed hai ke apne khoobsurat kalaam se mehfil sajaate rahenge..main bhi aapki tarah Middle East mein hi makeen hoon..lekin meri shareeq-e-hayaat mere saath hai.. Allah ka Karam hai...Apna khayaal rakhiyega...DuaoN ka mohtaaj..Ismail.


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#21)
Dard-e-sush
Registered User
Dard-e-sush is a jewel in the roughDard-e-sush is a jewel in the roughDard-e-sush is a jewel in the rough
 
Dard-e-sush's Avatar
 
Offline
Posts: 605
Join Date: Jul 2003
Location: Moscow, Russia
Rep Power: 23
25th February 2011, 06:40 PM

Asslam-o-alaikum Bhai Talib!

***********
pushteni dushmani ke niche lagaav bhi tha,
sadiyoN se mell naa hua pal se ho gaya.

"Talib" iraade tere chaTTaan reh chuke hain,
abb harr khayaal naazuk badal se ho gaya?
*********************

Bahut hi gehre khayalat pesh kiye aapne hamesha ki trha. Nostalgac for me. Thanks for posting. padhkar Chand laines yaad aa rahi hein: -

"Pada hei waqt to lagta hei sehma sehma sa
Wo ek chirag jo bujhta na tha bujhane se"

Regards
Sushil


लब पे मुस्कान को लिए ऐ दोस्त, काँधों पे लाश अपनी ढोते हैं,
इस भरे शहर में हम Dard-e-Sush, जो न पाया उसे भी खोते हैं!

lab pe muskaan ko liye ae dost, kandhon pe laash apni dhote hein
is bhare sheher me ham dard-e-sush, jo na paaya use bhi khote hein
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
27th February 2011, 12:39 PM

Quote:
Originally Posted by talib View Post
Mehfil ke tamaam membaraan ko adaab,

Ummeed hai aap sabhi khairiyat se honge...kuch din pehle ek kalaam hua tha lekin yahan pesh nahi karr paayaa aaj mohlat mili hai tau pesh-e-khidmat hai. Apni beshkeemati raaii se zaroor nawazein..

================================================== ==

jo bal se ho na paya woh chhal se ho gaya,
jo pagg se ho na paya aanchal se ho gaya.

*bal=power/strength, chhal=kapaT/cheating
*pagg=pagdi/men, aanchal-pallu/women

pushteni dushmani ke niche lagaav bhi tha,
sadiyoN se mell naa hua pal se ho gaya.

sunte the aadmi bhi ek jaanwar hi hai,
rishta imaaratoN ke jungle se ho gaya.

sheeshe se mera rishta kyuN tooTta nahi,
khiDki se teri tooTa botal se ho gaya.

kuch saal huye sab kuch behtar hi lag raha tha
harr jumla shuru ab tau "AAJ KAL" se ho gaya.

Rishta main chahta ho jo paak ho pukhta ho,
asthee ka jaise ganga ke jal se ho gaya.

paak=clean/pavitr, pukhta=strong

ho pyaas jiski choTi do waqt chaahe roTi,
uska tua kaam nal se aur hal se ho gaya.

"Talib" iraade tere chaTTaan reh chuke hain,
abb harr khayaal naazuk badal se ho gaya?

Talib bhai Aadaab.. aapki ye ghazal jitni baar padhta hoon.. utni hi baar sukoon me izaafa hota jaata hai..... bahot khushnaseeb samajhta hoon jo ise padh sakaa.. likhte rahen..Duaaon ka talabgaar.

shaad...


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
6th March 2011, 04:28 PM

ValekoomSalaam Sushil Bhai,

Ek muddat baad aap ke deedaar hue hain..ummeed hai sab khairiyat hai..

PaDa hai waqt tau lagta hai sehma sehma sa,
woh ek charaag jo bujhtaa na tha bujhaane se.

Bohot khoob huzoor..shaayad harr koi iss daur se guzrta hai...ek haqeeqat, jiss ka saamna na chaahte hue bhi karnaa tau hoga hi..

Aapki tareef aur himmat afzaayee ke liye shukriya..aate rahaa kijiye mehfil mein..apnaa khayaal rakhiyega.


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#24)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
6th March 2011, 04:33 PM

Adaab Sameer bhai.

Khushkismati meri hai jo aapne ghazal parr nazr-e-inaayat farmaayee. Aage bhi koshish karoonga behtar likh paane ki. Aap ki tareef se dil-e-shaakir liye ijazat chaahta hoon..mukhlis...


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com