Kitna Pyara Hai Tu ~ Rudrah -
21st February 2015, 04:04 AM
Na chaand hai na tara hai tu
Phir bhi kitna pyara hai tu
Duniya chahe kuch bhi kahe
Maa baap ka apna dulara hai tu
Raaste sabhi teri hi or aayen
Kashti ka humari kinara hai tu
Dard ki dawa, marham zakham par
Ankhon ka haseen nazara hai tu
Roshan hai zindagi tumse Rudrah
Ananthpak, pari ka sitara hai tu
_______________________________________________ PRANEETA
Kaash k khamoshi bhi ek zabaaN hoti
Main dekta rehta unhe aur haal-e-dil bayaaN hota
Ananthpak
|