yaad -
31st August 2017, 12:17 AM
Ek arse ke baad lautna hua hai sdc mai
Kuch pesh kar raha hu , glti ho to maaf kare...
Maanta nahi ye dil meri baat , kya karu
Bas me nahi ab jazbaat , kya karu
Na rahte kabu me alfaaz mere
Aati hai jab teri yaad , kya karu
Har pal tuje dekhne ko jee chahta hai
Par mushkil hai ab mulakat , kya karu
Na nind hai raaton me , na din me chain hai
Ajeeb se hai ye halaat , kya karu
Ki ab to aao sama jaao mujme tum
Jal raha hai "CHIRAG" or lambi hai ye raat , kya karu .......
|