Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Personal Messages > Introduction Forum

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Rajveer ji ke saath guftagu...
Old
  (#1)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
Thumbs up Rajveer ji ke saath guftagu... - 1st June 2010, 10:37 AM

Doston aaj hum "Guftagu" ka silsila aagay badhate huye...Rajveer ji ka naam announce kar rahe haiN...

Rajveer ji taqreeban 4 saal se is site ke member haiN, is site ke ek bohat hi acche shayer haiN,inki likhi har ghazal ek se badhkar ek hai, jinki lafzoN me tareef karna namumkin hai...bohat hi shaant mizaaj , saaf dil aur ek seedha saadhe shaqs haiN

Rajveer jee aap ko is 'Interview' ke katghare meiN, maiN poore 'Shayri.com' ki jaanib se swaagat karti huuN..

Aapse kuch sawaal....


1:.Sabse pehle to aap apne baare me kuch bataiye, aapki family, friends, education, profession,hobbies..etc

2:Shayri ka shouq aapko kab aur kaise hua..??

3.Aapke pasandida shayer kauN haiN?

4.In 4 saloN me aapne SDC per kya kya tabdeeliyaN mehsoos ki...

5..SDC ko behtar banaane ke liye koi sujhaav...

Chaliye filhaal aap in sawaloN ke jawaab dijiye..MaiN kuch aur sawaloN ke saath phir hazir hojaoungi....




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
1st June 2010, 01:19 PM

big B:

Pranaam!

Shaa'iree Parivaar ke kaTh-Ghare meiN aapka haardik swaagat haii... aapke baare meiN waise to sab kuChh jaantaa hii huuN... par ees interview ke zar'iiye kuChh aur bhee jaanne ko mileNgaa!

Best of Luck..!

duaao.n ke saath ijaazat

aapka ChhoTu

~ Dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
1st June 2010, 01:20 PM

Rajveer Ji..... Aadaab !

Abhi Zidd Sahab ka Kaamiyaab aur aitiihaasik interview khatam hue kuch pal hi Guzre hai.....Aur Zainy Ji Ne SDC ke Ek aur Badhe Sitaare ko Interview ke katghare me talab kiya hai....mubarak !

Rajveer Ji.....aapka Interview-Manch par dil se swaagat karta hu...abhi tak main aapko jitna bhi jaanta hu...bahut kareeb se toh nahi.....par aapki likhi Ghazale ......humesha dil ke bahut nazdiik rahi hai.....aap mere sdc ke pasndiida shayron me se ek hai....Aur interview ke zariye ...aapko aur bhi nazdik se jaanne ka pura avsar rahega..... !

Aur aapke interview ki ghoshna ke baad se .....Andar ek khushi ki lehar sii chal rahi hai.....

Bhagwaan aapke iss safar ko kaamiyaab banaye....aur aapka hum sabhi ke saath accha waqt Guzrega.....yahi duaa hai...

aap humesha khush rahen...
apna theek se khayal rakhen...
duaaon ke saath....




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----

Last edited by naresh_mehra110; 1st June 2010 at 01:30 PM..
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#4)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
1st June 2010, 01:29 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Doston aaj hum "Guftagu" ka silsila aagay badhate huye...Rajveer ji ka naam announce kar rahe haiN...

Rajveer ji taqreeban 4 saal se is site ke member haiN, is site ke ek bohat hi acche shayer haiN,inki likhi har ghazal ek se badhkar ek hai, jinki lafzoN me tareef karna namumkin hai...bohat hi shaant mizaaj , saaf dil aur ek seedha saadhe shaqs haiN

Raj.. kush jiyada hi keh diya zainy ji aapne is khaakhsaar ke baare me,khair !!!!!!

Rajveer jee aap ko is 'Interview' ke katghare meiN, maiN poore 'Shayri.com' ki jaanib se swaagat karti huuN..

Raj.. bhut bhut shukria sabhi members or zainy ji aapka.....chaliye ham hazir hain...jitne bhi ho sakega main reply karne ki koshish karunga....lakin sach bolne ki koi gruntee nahi leta....!!!!!
Aapse kuch sawaal....


1:.Sabse pehle to aap apne baare me kuch bataiye, aapki family, friends, education, profession,hobbies..etc

Raj.. 1. zarre ki okaat kyaa chahe falak pe ho ya zamee pe
bass qadmon me hai uski jagha chahe rahe kahin pe....(yeh khyaal hai mera apne baare me)


2. family me mere mata ji, mera bhai, meri biwi or teen bache hain do betiya or ek beta, chhote bhai ki wife or uski beti jo mere bhai ke saath germany me rehte hain.....mere pita ji ka intkaal ho chuka hai takreeban 15 saal qabal...

3.dost koi khaas nahi, dosti se mujhe gujreez hai...(phoolon ki aarzoo mein bare zakham khaye hain)

4. maine B.com kiya hai.....

5. mera computer hardware or money changer ka karobaar hai ab ek naii line shuru kar raha hu bass usii me bussy rehta hoon....

6.hobbies koi khaas nahi...(jab se jeene ka shonk pala hai, har shonk dil se nikala hai..)

2:Shayri ka shouq aapko kab aur kaise hua..??

Raj.. shayri mera shonk nahi majboori hai.....(jab koi khyaal ya koi ehsaas seene me karwate leta hai to bhut bechaini hone lagti hai, aise me khud ko baichani se nizaat dilaane ke liye un khyalon ko kagaz pe utaar deta hoon...waise ye majboori tab se hi kayam hai jab maine zindagi ki kitaab ko parh kar samjhna shuru kiya or aakhri saans tak is majboori ka gulaam rahunga...)

3.Aapke pasandida shayer kauN haiN?

Raj.. sudarshan faqir sahib, qateel shafaii sahib, mirza galib sahib, gulzaar sahib, bashir badr sahib or sabse aziz shayar hain janisaar akhtar sahib.....

4.In 4 saloN me aapne SDC per kya kya tabdeeliyaN mehsoos ki...

Raj.. ye site ek safar hai ek qafila hai jisme log jurte or bichharte rehte hain...or koi khaas tabdeeli nahi dekhi.....

5..SDC ko behtar banaane ke liye koi sujhaav...

Raj.. main is baare mein kush nahi keh sakta kiyon ki mere khud ke paas waqt nahi hai kaise kahu ki apna jiyada se jiyada waqt de is site ko....bass sabhi dosto se guzarish hai ki apne ache ache qalaam post karte raha kijiye...main sabhi ko parhta hoon site pe magar reply nahi kar pata majboori hai waqt ki bhut kami hai..

Chaliye filhaal aap in sawaloN ke jawaab dijiye..MaiN kuch aur sawaloN ke saath phir hazir hojaoungi....
sabhi dosto ko se guzarish hai ki apne sawaal zaroor puche mujhe acha lagega...aapka khadim.....Raj......


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)

Last edited by rajveeer; 1st June 2010 at 01:45 PM..
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#5)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
1st June 2010, 01:53 PM

Quote:
Originally Posted by Dhaval View Post
big B:

Pranaam!

Shaa'iree Parivaar ke kaTh-Ghare meiN aapka haardik swaagat haii... aapke baare meiN waise to sab kuChh jaantaa hii huuN... par ees interview ke zar'iiye kuChh aur bhee jaanne ko mileNgaa!

Best of Luck..!

duaao.n ke saath ijaazat

aapka ChhoTu

~ Dhaval
mere chhotu ko mera namaskaar....main teh-e- dil se hazir hoon chhotu, jo dil me hai puchh lena...intezaar rahega.....


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#6)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
1st June 2010, 01:55 PM

Quote:
Originally Posted by naresh_mehra110 View Post
Rajveer Ji..... Aadaab !

Abhi Zidd Sahab ka Kaamiyaab aur aitiihaasik interview khatam hue kuch pal hi Guzre hai.....Aur Zainy Ji Ne SDC ke Ek aur Badhe Sitaare ko Interview ke katghare me talab kiya hai....mubarak !

Rajveer Ji.....aapka Interview-Manch par dil se swaagat karta hu...abhi tak main aapko jitna bhi jaanta hu...bahut kareeb se toh nahi.....par aapki likhi Ghazale ......humesha dil ke bahut nazdiik rahi hai.....aap mere sdc ke pasndiida shayron me se ek hai....Aur interview ke zariye ...aapko aur bhi nazdik se jaanne ka pura avsar rahega..... !

Aur aapke interview ki ghoshna ke baad se .....Andar ek khushi ki lehar sii chal rahi hai.....

[COLOR=darkorchid]Bhagwaan aapke iss safar ko kaamiyaab banaye....aur aapka hum sabhi ke saath accha waqt Guzrega.....yahi duaa hai...[/COLOR]

aap humesha khush rahen...
apna theek se khayal rakhen...
duaaon ke saath....


naresh ji ko Raj ka namaskaar, janaab bhut khushi huii aapko yahan dekh kar...umeed hai aap jo bhi mujhse puchoge main imaandaari se uska jawaab de paounga.....


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#7)
dilip200
Adhoori Aas
dilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud of
 
dilip200's Avatar
 
Offline
Posts: 1,543
Join Date: Jul 2006
Location: india , shivpuri
Rep Power: 31
1st June 2010, 02:55 PM

Rajveer ji namaskaar !!!

badi hii khushi ki baat hai ki SDC per aapka interview shuru huaa hai, ummid hai aapka interview shandar hoga.

baise se aapne zainy ji ke sawalon ke jawabon main itna kuch kah diya hai ki aur kuch poochna mushkil lag raha hai per fir bhii sawalon ka silsila badane ki main thodi sii koshish karta hoon. yakeenan aap inka jawab denge.

1) jab hum bahut khushi main hon ya fir bahut gam main, kis waqt nikli huyii baat ( jise hum shayri kahte hain ) jyada asardar hoti hai.

2) jindgii ke janib sabse jyada taqleef aapko kab hotii hai.

3) SDC ke safar ki koi esii baat jo aapko aaj tak yaad hai, even aap jise apne jeevan hamesha yaad rakhna chahenge..........

bus itna hii poochna hai abhi to, banki waqt milne par fir se haziri lagaunga....

shukriyaa

aapka dost

Dilip


" Dilip " -Ek Adhoora khwab


Dard bantne se ab darr lagta hai
mere gamo ka usnane falsafa bana diya
  Send a message via Yahoo to dilip200  
Reply With Quote
Old
  (#8)
mann_chand
Registered User
mann_chand has much to be proud ofmann_chand has much to be proud ofmann_chand has much to be proud ofmann_chand has much to be proud ofmann_chand has much to be proud ofmann_chand has much to be proud ofmann_chand has much to be proud ofmann_chand has much to be proud of
 
mann_chand's Avatar
 
Offline
Posts: 1,089
Join Date: Jun 2004
Location: Toronto,Canada
Rep Power: 31
1st June 2010, 06:59 PM

Raj jee,

Sat siri Akal jee,

kaise hain aap? Aaj aapko yahaan dekh kar bahut khushi hue.... aur interview section mein aapka tah-e-dil se swagaat hain....

main bhi aaugii kuch sawalon ke saath ....

enjoy and take care

duaaon ke saath

mandeep



~ Mandeep Kaur ~
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
5th June 2010, 06:10 PM

Mere pyaare VEER ji ko mera pranaam,

Apke interview ke bare me pata chala or aapki gudiya aa gai yaha pe ...
waise apke bare me thhoda bahot to hum jante hi hain...jo nahi jaante vo ab jaan jayenge...

1. AAP APNI TASVIR KAB LAGA RAHE HAIN YAHA...(apko yaad hai apko pahali bar dekha thha tab maine kaha tha ke aapki mucche mujhe bahot pasand aai...to jaldi se tasvir laga daliye yaha pe apni)

2. Aap bachpan me kaise the...i mean sharaarti ya masoom/bhole-bhale ?

3. Apki koi bhi 3 wishes bataiye jo puri na ho saki ho or aap unhe pura karna chaahte ho..

4. Apki zindagi ka koi aisa pal jab aap bahot khush hue ho or apki aankh bhar aai ho...

bas abhi itna hi baki fir kabhi...lekin in sab savaalo ka javaab mujhe sidhe sadhe shabdo me chaahiye.......taki mujhe samajh aa jaye..

Grazie

Apki
Gudiya


===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
5th June 2010, 07:00 PM

Rajveer ji aapke baare meiN jaanker accha lagaa, aapne mera sawaloN ke bade hi sabr ke saath jawaab diye iske liye aapki shukrguzaar huuN..

Jaise ki Pooja ji ne kaha hai, aapse guzarish karna chahungi ke aap apne avtaar meiN apni tasweer lagayeiN, isse jaan pehchan aur gehri hogi..aysa hamara manna hai, per yeh comnpulsary nahi hai,aapki marzi hai..

Dusri guzarish yeh hai ke aap apne likhe, aur aapke favourite kuch writing ki links yahaaN paste kijiye, taake naye members aapke likhe ghazal padh sake.....





Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Welcome
Old
  (#11)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Thumbs up Welcome - 6th June 2010, 12:23 PM

Rajveer ji Namaskaar

es guftagu mein aapka dil se suwagat hai
bahuttttttt accha laga aapko interview ke katgahre mein dekh kar, aapke bare mein taqreeban bahut kuch jaanti hoon maiN...hai na.
agar kuch nahi jaanti hoongi to ab jaan jauNgi

abhi to aapko welcome hi kahne aaye thi, sawaaloN ke saath bahut jaldi aauNgi....taiyaar rahiyega

aapki dost


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#12)
sajid_ghayel
Registered User
sajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant future
 
sajid_ghayel's Avatar
 
Offline
Posts: 1,849
Join Date: Feb 2009
Location: Mumbai
Rep Power: 32
6th June 2010, 01:41 PM

Batein to hoti rahegi sabse pehleeeeeeee Rajweer saheb apna chand sa chehra to dikhaye..........ise apne is nadaan dost ka hukm hi samajh le.


Jhoot kehdu yeh meri fitrat me nahi shamil

Par tujhe bevafa bhi kehna achcha nahi lagta...

Mob.: +971 501297654
  Send a message via Yahoo to sajid_ghayel  
Reply With Quote
Old
  (#13)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
6th June 2010, 05:46 PM

Quote:
Originally Posted by dilip200 View Post
Rajveer ji namaskaar !!!

badi hii khushi ki baat hai ki SDC per aapka interview shuru huaa hai, ummid hai aapka interview shandar hoga.

baise se aapne zainy ji ke sawalon ke jawabon main itna kuch kah diya hai ki aur kuch poochna mushkil lag raha hai per fir bhii sawalon ka silsila badane ki main thodi sii koshish karta hoon. yakeenan aap inka jawab denge.

1) jab hum bahut khushi main hon ya fir bahut gam main, kis waqt nikli huyii baat ( jise hum shayri kahte hain ) jyada asardar hoti hai.

2) jindgii ke janib sabse jyada taqleef aapko kab hotii hai.

3) SDC ke safar ki koi esii baat jo aapko aaj tak yaad hai, even aap jise apne jeevan hamesha yaad rakhna chahenge..........

bus itna hii poochna hai abhi to, banki waqt milne par fir se haziri lagaunga....

shukriyaa

aapka dost

Dilip
1) jab hum bahut khushi main hon ya fir bahut gam main, kis waqt nikli huyii baat ( jise hum shayri kahte hain ) jyada asardar hoti hai.

Raj.. dilip ji namaskaar...dilip ji asar to har us likhawat me hota hai jo dil se nikli ho,phir chahe wo dukh me likhi ho ya khushi me.....(ehsaas to ehsaas hote hain, chahe gam ke ho ya khushi ke.)

2) jindgii ke janib sabse jyada taqleef aapko kab hotii hai.

Raj..... jab zindagi jeene ko majboor karti hai,tab zindagi sab se jiyada takleef deti hai...(zindagi jiye ja raha hoon, khud pe ehsaan kiye ja raha hoon.)

3) SDC ke safar ki koi esii baat jo aapko aaj tak yaad hai, even aap jise apne jeevan hamesha yaad rakhna chahenge..........

Raj....ek baar koi ARNAB JI hain unho ne mujh pe iljaam lagaya thaa ki main dusron ke qalaam chori karke post karta hoon, us waqt mere dosto ne mera poora saath diya thaa jo main kabhi nahi bhool pata hoon....

dilip ji umeed hai aapko apne sawaalon ke jawaab mil gaye honge.....khush rahiye.....apka raj..


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#14)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
6th June 2010, 05:48 PM

Quote:
Originally Posted by mann_chand View Post
Raj jee,

Sat siri Akal jee,

kaise hain aap? Aaj aapko yahaan dekh kar bahut khushi hue.... aur interview section mein aapka tah-e-dil se swagaat hain....

main bhi aaugii kuch sawalon ke saath ....

enjoy and take care

duaaon ke saath

mandeep
mandeep ji sat sri akaal ji.....thanu aithe dekh ke bhut khushi hoyii.....par hor v khushi hundi je tusi kuj sawaal laike hazir hunde so mainu thuade sawala da intezaar rahega ji....Raj...


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#15)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
6th June 2010, 06:06 PM

Quote:
Originally Posted by pooja_d View Post
Mere pyaare VEER ji ko mera pranaam,

Apke interview ke bare me pata chala or aapki gudiya aa gai yaha pe ...
waise apke bare me thhoda bahot to hum jante hi hain...jo nahi jaante vo ab jaan jayenge...

1. AAP APNI TASVIR KAB LAGA RAHE HAIN YAHA...(apko yaad hai apko pahali bar dekha thha tab maine kaha tha ke aapki mucche mujhe bahot pasand aai...to jaldi se tasvir laga daliye yaha pe apni)

2. Aap bachpan me kaise the...i mean sharaarti ya masoom/bhole-bhale ?

3. Apki koi bhi 3 wishes bataiye jo puri na ho saki ho or aap unhe pura karna chaahte ho..

4. Apki zindagi ka koi aisa pal jab aap bahot khush hue ho or apki aankh bhar aai ho...

bas abhi itna hi baki fir kabhi...lekin in sab savaalo ka javaab mujhe sidhe sadhe shabdo me chaahiye.......taki mujhe samajh aa jaye..

Grazie

Apki
Gudiya
1. AAP APNI TASVIR KAB LAGA RAHE HAIN YAHA...(apko yaad hai apko pahali bar dekha thha tab maine kaha tha ke aapki mucche mujhe bahot pasand aai...to jaldi se tasvir laga daliye yaha pe apni)

Raj.... puja meri gudiya ko mera bhut sara pyar....kaisi ho gudiya rani? tumne to sawaalon ki jhari laga di hai...khair koi baat nahi ham bhi hazir hain.....meri tasveer? gudia kiyon sab ko daraana chahti ho? jo thora bhut pyar mil raha hai dosto ka wo hi kaafi hai kahin meri surat dekh kar sab mujhe reject na kar de, so ye possible nhi hai...(shayad meri surat wo na keh sake jo mere lafaz kehte hain,surat me mera saya or lafzon me ham rehte hain.)

2. Aap bachpan me kaise the...i mean sharaarti ya masoom/bhole-bhale ?

Raj... bachpan me main bhut shararti thaa dunia ki koi bhi aisi shaitaani nahi jo maine na ki ho...or bjut maar bhi khaii hai..praii likhaii me bilkul nayalak thaa, or khelne or sharat me sabse awal hua karta thaa..

3. Apki koi bhi 3 wishes bataiye jo puri na ho saki ho or aap unhe pura karna chaahte ho..

Raj.....abhi main tumhare is sawaal ka reply nahi de sakta kiyon ki abhi umeed baaki hai, or zindagi baaki hai....so lets see kya poora hota hai or kyaa nahi....(abhi umeed baaki hai , abhi zindgaani baaki hai, abhi kush aahaye baaki hain aankho me paani baaki hai.)

4. Apki zindagi ka koi aisa pal jab aap bahot khush hue ho or apki aankh bhar aai ho...

Raj....jab mujhe ye galatfehmi huyii thii ki wo mujhe pyar karti hai.....tab meri aankh khushi se lab laba gayii thii....(tune jo na kaha main wo sunta raha, bewajha kham khaa khaab bunta raha.)

gudia hope tere sawaalon ke jawaab tujhe mil gaye honge or tu apne naye sawaalon ke saath jald dobara hazir hogi...Raj....


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#16)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
6th June 2010, 06:08 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
Rajveer ji Namaskaar

es guftagu mein aapka dil se suwagat hai
bahuttttttt accha laga aapko interview ke katgahre mein dekh kar, aapke bare mein taqreeban bahut kuch jaanti hoon maiN...hai na.
agar kuch nahi jaanti hoongi to ab jaan jauNgi

abhi to aapko welcome hi kahne aaye thi, sawaaloN ke saath bahut jaldi aauNgi....taiyaar rahiyega

aapki dost
sunita ji namaskaar, khushi huyii aapko yahan dekh kar...umeed hai aap jaldi apne sawaalon ke saath hazir hongi.....Raj....


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#17)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
6th June 2010, 06:10 PM

Quote:
Originally Posted by sajid_ghayel View Post
Batein to hoti rahegi sabse pehleeeeeeee Rajweer saheb apna chand sa chehra to dikhaye..........ise apne is nadaan dost ka hukm hi samajh le.
ghayal bhai ko raj na bhut sara pyar or namaskaar.....dost tum isko request samjho ya meri majboori lakin ye mumkin nhi ki main apna chehra dikha saku to filhaal ap mere lafzon ko hi mera chehra samjh lo...aapka dost raj....


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#18)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
6th June 2010, 06:14 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Rajveer ji aapke baare meiN jaanker accha lagaa, aapne mera sawaloN ke bade hi sabr ke saath jawaab diye iske liye aapki shukrguzaar huuN..

Jaise ki Pooja ji ne kaha hai, aapse guzarish karna chahungi ke aap apne avtaar meiN apni tasweer lagayeiN, isse jaan pehchan aur gehri hogi..aysa hamara manna hai, per yeh comnpulsary nahi hai,aapki marzi hai..

Dusri guzarish yeh hai ke aap apne likhe, aur aapke favourite kuch writing ki links yahaaN paste kijiye, taake naye members aapke likhe ghazal padh sake.....

zainy ji adaab, mohtrma mujhe apne sabhi qalaam pyare hain, main kisi ek ko khaas keh ke baaki ke qalamon ko touheen nahi kar sakta....to filhaal dosto se guzarish hai ki aap mere saare qalaam parh lijiye.... rahi baat tasveer ki to mera reply wahi hai...main apni surat nahi dikha sakta hoon..Raj...


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#19)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
7th June 2010, 01:44 PM

Big B:

Pranaam!

mai.n bhee haazir huuN apne kuChh sawaalo.n ke saath

1>> Khud ke dard ko bayaa.n karnaa muShkil haii ya auroN ke dard ko bayaa.n karnaa muShkil ho jaataa haii liKhate huye??

2>> jab kabhee bhee aap bahot hi ziyaadaa'h KhuSh ho jaate haiN tou KhuShii kaa mazaa kis taraH uThaate haiN?

3>> Shaa'iree Parivaar se juDne waale naye sadasyo.n ko aap kya kehnaa chaahe.nge

4>> maine paRhaa ki aap bachpan meiN baDe hi Sharaaratee the.. aik aisii Sharaarat jo aapko aaj bhee yaad hoN aur muskaan de jaatee hoN wo jaannaa chaahu.ngaa

5>> clg life kaisii rahiiN aapki ?

6>> mai.n aksar sochtaa huuN ki bachpan kaa daur sab se achChha hotaa haii kyuuNki aSl dunyaa se hum waaqif nahiiN hote.. aapka kyaa maan'naa haii ees par?

7>> School life meiN ya clg life meiN aapne apne teacher ko kabhee pareShaan kiyaa thaa? Gar haaN tou wo kissa humeiN bataa'iiye

8>> "Pyaar" par kuChh lafz aapki aur se...

9>> Gar hamaarii sabhee KhwaahiShe,n poorii ho jaaye tou?

10>> "kaaSh" lafz dil-o-dimaaGh meiN aata hai tou kyaa mehsoos karte haiN aap?

11>> kyaa badaltaa huaa waqt hamaari zindagee se juDii har cheez badal ke chalaa jaataa haii?

filhaal ke liye itnaa hii..

ab ijaazat

aapka

~ Dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
10th June 2010, 08:32 PM

1>> Khud ke dard ko bayaa.n karnaa muShkil haii ya auroN ke dard ko bayaa.n karnaa muShkil ho jaataa haii liKhate huye??

Raj.. mere chhotu ko mera bhut sara pyar....ache sawaal hain...chhotu mere khyaal mein ooro ke dard ko byaan karna bhut mushkil hai, kisi dusre ki feelings ko byaan karn mere hisaab se namumkin hi hai..or khud ka dard to khud b khud byaan ho jata hai......

2>> jab kabhee bhee aap bahot hi ziyaadaa'h KhuSh ho jaate haiN tou KhuShii kaa mazaa kis taraH uThaate haiN?

Raj.... main jiyada khushi ya jiyada gam mein aksar gaadi lekar long drive pe chala jaata hoon or ghumta rehta hoon...

3>> Shaa'iree Parivaar se juDne waale naye sadasyo.n ko aap kya kehnaa chaahe.nge

Raj..is pariwaar mein sabse pehle to naye members ka sawagat krunga dil se or sabhi se yahi guzarish karunga ki is gulsan ko apne ehsaason ki mehak se mehkaye rakhe or apne lafzon ki khubsurti se iski khubsurti ko chaar chaand lagaye....

4>> maine paRhaa ki aap bachpan meiN baDe hi Sharaaratee the.. aik aisii Sharaarat jo aapko aaj bhee yaad hoN aur muskaan de jaatee hoN wo jaannaa chaahu.ngaa

Raj... chhotu waise to bhut sii hain lakin ek sharat ko main kabhi nahi bhool pata hoon..us waqt meri umr koi 11 ya 12 saal ki hogi, ham ikathay hi khela karte thay uska naam jyoti thaa wo meri bhut achi dost thii, or bhii bhut thay hamari toli me lakin wo or main hamesha saath rehte thay, dopehar ka waqt thaa ham titliya pakar rahe thay, ek titli bhut pyari c thii usne kaha ki plz mere liye us titlii ko pakar do, maine bhut mehnat karke uske liye wo titlii pakri mujhe choot bhi bhut lagi main kaanto bhari jhaadi me gir gyaa, main wo titlii pakad ke laya magar usne ek hi jhatke me usko udda diya, mujhe bhut bura lagga, ki maine itni mehnat ki lakin usne titlii udaa di, main us se naraaz ho gyaa, ham kaii din tak nahi bolle aapas me, phir ek din usne paper par waisi hi titlii banaii or mujhe dii ki lo apni titlii wapis le lo main haste huye uskee haath ko daba diya..aaj bhi jab is wakya ko sochta hoon to uski yaad aa jaati hai kitna masoom bachpan thaa.....

5>> clg life kaisii rahiiN aapki ?

Raj.. clg lyf bhut mast thii, sara din awara gardi, or strick ke bahane dhundhna yahi thaa hamara kaam, hamare clg ki ghanti poen ne kam or hamne jiyada bajaii hogi....bhut yaad aata hai wo waqt....

6>> mai.n aksar sochtaa huuN ki bachpan kaa daur sab se achChha hotaa haii kyuuNki aSl dunyaa se hum waaqif nahiiN hote.. aapka kyaa maan'naa haii ees par?

Raj... umr ka har lamha or har waqt acah hi hota hai..hame us khuda ka shukarguzaar hona chahiye jo usne hame ye zindagi dii hai...

7>> School life meiN ya clg life meiN aapne apne teacher ko kabhee pareShaan kiyaa thaa? Gar haaN tou wo kissa humeiN bataa'iiye

Raj.. bhut pa nge liye teachers ke saath bhii...ek baar hamari ek teacher thii punjabi ki unka naam bhupinder kaur thaa, unki height bhut kam hai hamne jab bhi claas miss karni hoti thii ham darwaze ko andar se band karke bahar nikal jaate thay khirkiyon se, or khud unke saath khare hokar dor kharkaate thay or kehte thay ki mam shayad koi shararti larka kundi laga ke bhaag gyaa hai to aaj lecture nahi lagate..to wo maan jaati thii, ek din pata chala ki unko hamari shaitani ka pata thaa magar wo kehti kush nahi thii to hamne unse maafi maangi, or dobara kabhi unko tang nahi kiya....

8>> "Pyaar" par kuChh lafz aapki aur se...

Raj.....pyar ke baare mein sabke apne apne experiance hote hain kai to isko khuda ka roop maante hain or jo asfal hote hain unke liye pyar se bara ko abhshaap nahi....
9>> Gar hamaarii sabhee KhwaahiShe,n poorii ho jaaye tou?

Raj....to koi bhagwaan ko naa maane....khud khuda bann jaye....

10>> "kaaSh" lafz dil-o-dimaaGh meiN aata hai tou kyaa mehsoos karte haiN aap?

Raj....yahi ki kaash ye KAASH na hota.....

11>> kyaa badaltaa huaa waqt hamaari zindagee se juDii har cheez badal ke chalaa jaataa haii?

Raj...waqt ka kaam badlna hai wo badalta rehta hai magar hamari zindagi mein kush baate aisi hoti hain jo kabhi nahi badlti....kush log aise hote hain jo hamesha hamre saath rehte hai.....so mujhe nahi lagta ki waqt badlne se zindagi poori tarha se badal jaati hai...

umeed hai tujhe tere sawalon ja reply mil gya hoga....Raj.....


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#21)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
10th June 2010, 10:23 PM

aapke sawaalo.n ke jawaab bahot saheeH lage.n.. !

mai.n aapka tah-e-dil se ShuKraGuzaar huuN..!

rab rakhaa!


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
Ritu18525
Registered User
Ritu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud of
 
Ritu18525's Avatar
 
Offline
Posts: 839
Join Date: Sep 2008
Location: India
Rep Power: 30
11th June 2010, 10:20 AM

Raj jee,
NAmaskaar!
Apko paDh kar accha laga.
Ap me.N Ek saNjeeda aur bahut sulajha hua vyaktitva najar aaya.
Yahi aapki pehchan hai.
Aaj to kuch sawal nahi.N hai, jaldi hi sawalo.N ke sath aauNgi.
Tab tak ke liye ijajat,
God Bless you.
Aopki dost
Ritu


"Life laughs at you when you are unhappy...
Life smiles at you when you are happy..
But,
Life salutes you when you make others happy!!"
# Feel The Difference #
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
janumanu
Banned
janumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 2,586
Join Date: Jun 2008
Location: New Delhi
Rep Power: 0
11th June 2010, 10:55 AM

raaj bhayee

aapka titli pakdna bahut acha laga

titli wali ko bhi pakdna chahiye tha
  Send a message via Yahoo to janumanu  
Reply With Quote
Old
  (#24)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
19th June 2010, 10:46 AM

Rajveer ji .....chaliye kyuN na ek rapid fire round hojaaye.....



1)Do you think that you are strong?


2)What is your least favorite thing in the world?


3)Who do you miss most right now?


4)Have you ever been on radio or television?


5)Are you a dare devil?


6)Have you ever told a secret you swore you wouldn't?


7)Have you ever misused a word and it sounded
absolutely stupid?


8)Do you think there is a pot of gold at the end of the rainbow?


9)How do you release anger?


10)What was your favorite toy as a child?




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#25)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
Love 19th June 2010, 03:20 PM

Raaj bhai
radhe radhe

aapke baare me padhkar achha laga aapki rachnaayon ko padhkar aur is guftgu ko padhkar nazar aaya ki aap ek prabhav shaali vyaktiv ke swaami hain isi tarah aapka vyaktiv nikharta rahe aur parvaan chadta rahe aapki lekni me aur chaar chand lage yahi meri dua hai


Aapka Apna
Ishk


'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है


email: rkm179@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#26)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
28th June 2010, 03:15 AM

Rajveer ji kahaaN ghayab haiN aap....??????...

Log yahaaN besabri se
aapka intezaar kar rahe haiN.....




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#27)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
28th June 2010, 09:38 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Rajveer ji .....chaliye kyuN na ek rapid fire round hojaaye.....



1)Do you think that you are strong?


2)What is your least favorite thing in the world?

Raj....zainy ji adaab, ye dono sawaal ek dusre ko kaat te hain, agar main kisi ko chahta hoon ya koi cheez meri favorite hai to main satrong nahi ho sakta kiyonki kisi cheez ko bhut chahna kamzori hota hai...plzz aap ye dono sawaal ek saath na puche....


3)Who do you miss most right now?

Raj....zainy ji yaad usko karte hain jo bhool gya ho, or mere dost hamesha mujhe yaad rehte hain......


4)Have you ever been on radio or television?

Raj....kai dafa....main punjabi ke kai mushairo me aksar tv or radio par aata rehta hoon....or hindi gazal bhi kai dafa meri akhbaaro mein chhap chuki hain....


5)Are you a dare devil?

Raj...kai mayeno mein hoon bhi or kai mein nahi bhi....


6)Have you ever told a secret you swore you wouldn't?

raj...i think never...


7)Have you ever misused a word and it sounded
absolutely stupid?

Raj...kai dafa ho jata hai..


8)Do you think there is a pot of gold at the end of the rainbow?

Raj....i think there is lots of rainbows at the top of the GOLD pot.....


9)How do you release anger?

Raj....no i cant control my anger.....


10)What was your favorite toy as a child?

my glass balls or my kites.....
....................zainy ji umeed hai mere jawaab aapko ache lagenge......Raj


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#28)
Amanush...
Tanhaa Raahi
Amanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Amanush...'s Avatar
 
Offline
Posts: 3,700
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 54
29th June 2010, 01:03 PM

Raj Ji ko Danny ka namaskaar...!

Aap se hamare jaan pehchaan kuch puraana hai, Raj Ji, aur mere pasandidaa shaayron main se ek aap hein...!

Aap ke guftagoo par hamari haaziri na ho, aisa ho hi nahin sakta...!

Bas, aap se ek chota sa sawaal :

Aap ki nazar main kya farq hai jeene main aur zindaa rehne main...!

Kuch vistaar main bataaeinge to khushi hogi...!

Apna khayaal rakhein,ok...?

Duaaon ke saath



Jeene ke liye mujhe ek sapna dedo
Haqeekat meri jaaN liye jaa rahi hai

  Send a message via Yahoo to Amanush... Send a message via MSN to Amanush...  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com