Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Ek khat aarzoo ke naam
Old
  (#1)
karan q
Registered User
karan q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of light
 
Offline
Posts: 1,098
Join Date: Jun 2004
Location: 238, Jagriti Enclave - Delhi
Rep Power: 26
Ek khat aarzoo ke naam - 11th November 2005, 12:41 AM

Ek khat Aarzoo ke naam

Meri Qaynaat

































Tumhara muntazir
Karan.q



Mere Zehan ki wusat me usska tasavvur jaise,meri pahunch se door kaheen sookhi hui sehmi hui tanha zamee per Kuch qatre shabnam ke,or usska ehsaas jaise Meri Shayri me rang phoolon ke,Usski yaaden jaise mere Dil-o-dimaag ke beehad or sunaan jangle me hawaaon ka sangeet,usske khwaab jaise kissi marte hue shaks ko aas Zindgi ki,Isske saath Usska kabhi na khatm ho sakne waala intzaar .. kuch na-mukammal duaaen use paane ki,jo her rab se ki gayi thee,Inper bhi ek vaahiyaat umeed usske aane ki jo
maasoom dil-e-nadaan khud me zabt kiye baitha hai,ye sab Apni shaksiyat ke saath tanhayi ke andheron ki chadar me lapete maazi ke samander ki gehrayi me bhooli bisri khwahison ke patther ke niche dabaane ke baad Ek nayaa shaks bann ker zamaane ki mehfilon me laut aaya ,Main andheron ka musafir roshini me laut aaya Ek naya chehra liye ek nayi pehchaan liye,Phir socha ki ek khat likhker ussko alvida keh doon or apne marrne ki ittilaah keh doon,Likhne ke liye na samander si syaahi mili or na he Baadalon ko kaagaz banaa sakaa,kuch sitaare chaahtaa thaa lafzon ki sajaawat ke liye wo bhi tod ker na la sakaa to phir
Dher saari khaamoshi likh ker khat me bhej di maine

Aankhen moond ker Kuch der khamoshi se baitha raha khat likhne ke baad or kuch sochta raha…. Ek tadap or bechaini kuch kho dene ki,jaise Naye Naye Zakhmo per namak ki chees mach jaaye,tilmila ker uttha ,aankh kholi picche mudd ker dekha To sab ke sab mere saamne khade thai, Wo hi shabnami tasavvur usska,phoolon sa rangeen ehsaas wo Surmayi yaaden,or aas se bhare dilchasp khwaab,saamne thaa wo be-aqibat intzaar bhi ,wo na-mukammal duaaen wo vaahiyaat umeeden dil-e-nadaan ki sab andhere ki chadar ke saath mere maazi ke samander se nikal aayi thee,Unn sabko gale lagaa ker kuch der rota raha or Wo shaks jissko maine abhi abhi maara thaa Phir zinda ho gaya…………………….. judaa ho gayi ye zamaane ki mehfilen,or roshini ka safar,Hum andhere ke musafir Humko Tanhaiyaan mubaarak

Ye sab to mere humsafar hain, mera samaan jeene ka, us se bichad ker to phir bhi zinda houn,Inn sabse bichad gaya to kya jee paaunga?


Izzajat
Karan.q

muntazir-- one who is awaited

Wusat--- area

Tasavvur—imagination

shabnam-- morning dew

Zabt-- cantrol

Maazi-- past

Be-aqibat--- non conclusive,


Fainsle Qayamat taq multavee ho gaye
Sach kahe na gaye to shayri ho gaye

Mai or samander,do gehre khwaab khuda ke.....

Last edited by karan q; 11th November 2005 at 12:49 AM..
  Send a message via Yahoo to karan q  
Reply With Quote
hhi
Old
  (#2)
komal5
Eyes and Dreams..
komal5 will become famous soon enoughkomal5 will become famous soon enough
 
komal5's Avatar
 
Offline
Posts: 1,228
Join Date: Jan 2005
Location: Mumbai
Rep Power: 22
hhi - 11th November 2005, 11:46 AM

kuch ehsaas sirf mehsoos kar sakte hain...
unke baare mai kuch kehna mumqin nahi hota...
thx a lott 4 a wonderful reading experience...karan..

tc
komal


~a tender touch~
   
Reply With Quote
Bahut khoob
Old
  (#3)
divyanshi
Registered User
divyanshi is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 15
Join Date: Jul 2005
Location: Delhi
Rep Power: 0
Bahut khoob - 11th November 2005, 03:54 PM

Hi Shayar,

Bahut khoob likha hai.. Mere pass hamesha apke liye alfaz kam padte hain.. Umeed karti hu ki yuhi mere alfaz kam padte rahe. Aur aap isi tarah apne shabdon ke shayri me baya kara kare..

Div..
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
13th November 2005, 09:35 AM

Karan..

Dher saari khaamoshi likh ker khat me bhej di tumne.....

Is khat ki khaamoshi mein jo ankahi si baatein hain,
Un saari khaamosh baaton se,
kuch dard jigar mein ubhare hain...
Jis tarah kuch log bahut pehle mar jaate hain,
magar der se...bahut der se jalaaye jaate hain....
aur marne ka ehsaas dilaa jaate hain.

kisi din meray ghar aao,
meray kamray main baitho...
aur aik aik shay ko gaur se dekho...

kay meri aarzooun ne kis tarha tumhaari aarzoo ki
aur kaise mere khawaabon ne tumhaare khawaab dekhe...

agar ho sakay to...........
kisi din meray ghar aao.....
Kyunke...
Mujhe tum se yeh kehna hai,
tumhe itnaa bataana hai....
Abhi toh kuch nahi badla
Abhi sab pehle jaisa hai...
Abhi jugnu nahi ruthe,
Abhi taare nahi tootey...
Abhi tum yaad aate ho,
Abhi aansuu nahi sookhey...
Abhi aanchal dhalakta hai,
Abhi tak rang nahi roothey...

Mujhe tumse yeh kehna tha!!!
Tumhein itna batana tha...
Sahaamein sard ho jaayein,
Toh roohein jalne lagti hain...
Log duur ho jaayein,
Mohabbat marne lagti hai...
Tumhain yun yaad karne se,
Mujhay Vehshat see hoti hai..
Tumhare Qurb ki Khwaahish..
Dil main phir sulagti hai..
Abhi Sab pehle jaisa hai..
Asey mausam main ghar se,
Akele jaaya nahii karte...
Jo rasta tanha kar de,
Usey apnaya nahii karte...
Jo batain kehna zaruri hon,
Unhain chupaya nahii karte...
Dard hudd se bahar jaaye,
Yeh waqt laya nahii karte...
MOHABBAT KARNAY WALON KO AAZMAAYA NAHII KARTE!!!

Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
ek khat laibat-ul-arz ke naam khaaki General Stories 0 21st June 2008 08:28 PM
Mere Khat Baadshah Ke Naam FRISHTA4U Shayri-e-Dard 2 22nd December 2007 06:27 PM
ek khat bhagwaan ke naam.... KunaaL Inspiring Stories 10 16th August 2005 08:31 AM
DiL Ne LiKha Hai Aaj Khat Un Ke NaaM asgher Shayri-e-Dard 1 25th April 2005 11:50 PM
ek khat ishq ke naam samridh_delhi Shayri-e-Ishq 1 6th January 2005 01:03 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com