Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
~*Khaamoshiyon ke shor...*~
Old
  (#1)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
~*Khaamoshiyon ke shor...*~ - 9th February 2015, 11:18 AM

Raat bhar khaamoshiyon ke shor se Darte rahe,
khud hi ghabraate rahe aur khud sambhal jaate rahe.

jab unhe dekhaa, to bas dekhaa kiye pahroN talak,
jaane kyuN ek daastaa.n aansoo mere kahte rahe.

main akelaa yaad me uske nahi thaa mubtilaa
ye daro deewaar us kaa tazkiraa karte rahe.

ham ne ek hi shaks pe qurbaan kar dii zindagee,
aur hazaaro.n humsafar unki galee milte rahe.

jabse vaade lout kar aane ke usne kar diye,
kuch charaagoN se merii palkoN tale jalte rahe.

hamne shaad apnii kahaani hi sunaa daali unhe,
aur wo kisse samajh kar taa-sahar sunte rahe.





रात भर खामोशियों के शोर से डरते रहे,
खुद ही घबराते रहे और खुद संभल जाते रहे.

जब उन्हे देखा, तो बस देखा किए पहरों तलक,
जाने क्यूं एक दास्तां आंसू मेरे कहते रहे.

मैं अकेला याद मे उसके नही था मुब्तिला
ये दर ओ दीवार उस का तज़किरा करते रहे.

हम ने एक ही शख्स पे क़ुर्बान कर दी ज़िन्दगी,
और हज़ारों हमसफ़र उनकी गली मिलते रहे.

जबसे वादे लौट कर आने के उसने कर दिये,
कुछ चरागों से मेरी पलकों तले जलते रहे.

हमने शाद अपनी कहानी ही सुना डाली उन्हें,
और वो किस्से समझ कर ता-सहर सुनते रहे.


Shaad...

Last edited by sameer'shaad'; 9th February 2015 at 11:20 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
tabaah
Registered User
tabaah has a spectacular aura abouttabaah has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 239
Join Date: Nov 2013
Rep Power: 12
9th February 2015, 11:50 AM

bahut khoob Shaad Saheb..
lekin eimaandaari se kahu to is peskash m utna maja naa aa paya jitna aapki pehle wali gazalo m aaya tha..
maaf kijiye ager meri baat se bura laga ho to..
lafzo ki gazal m piroone ka aapka andaaz oro se ek dum juda hai.. aapki kalam oro se alag h aap kisi dard ko ek alag hi andaaz m bayaa'n karte hai jisse dil se apne aap "Aah" nikal aati hai.. aapki gazale oro se alag hoti h but ye waali thodi comman lagi isliye aisa kaha...
kush rahe..
or mere chote muh se kuch badi baat nikal gayi ho to Maaf kare..


Mujse ab Shayriya nahi hoti,
mujhe Lafzo ne maar dala hai...nm
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
9th February 2015, 02:53 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Raat bhar khaamoshiyon ke shor se Darte rahe,
khud hi ghabraate rahe aur khud sambhal jaate rahe.

Wah Behad umdaa

jab unhe dekhaa, to bas dekhaa kiye pahroN talak,
jaane kyuN ek daastaa.n aansoo mere kahte rahe.

flowing like waterfall bhai, kudos


main akelaa yaad me uske nahi thaa mubtilaa
ye daro deewaar us kaa tazkiraa karte rahe.

Bahut khoob aapke is sher ne tanhaai ka zikr bhi kiya aur khamoshi ka saath bhi bayaan kiya - flawless


ham ne ek hi shaks pe qurbaan kar dii zindagee,
aur hazaaro.n humsafar unki galee milte rahe.

Phirse kehnaa chahunga yeh to aapka signature style hai


jabse vaade lout kar aane ke usne kar diye,
kuch charaagoN se merii palkoN tale jalte rahe.

umdaa janaab - bahut kam hote hai to is tarz par mukarar baat keh jaayein


hamne shaad apnii kahaani hi sunaa daali unhe,
aur wo kisse samajh kar taa-sahar sunte rahe.

Ab kya kahun yaha tak aate aate to ghayal ho gaya tha aur is sher se baariiki se qatl kar diya




रात भर खामोशियों के शोर से डरते रहे,
खुद ही घबराते रहे और खुद संभल जाते रहे.

जब उन्हे देखा, तो बस देखा किए पहरों तलक,
जाने क्यूं एक दास्तां आंसू मेरे कहते रहे.

मैं अकेला याद मे उसके नही था मुब्तिला
ये दर ओ दीवार उस का तज़किरा करते रहे.

हम ने एक ही शख्स पे क़ुर्बान कर दी ज़िन्दगी,
और हज़ारों हमसफ़र उनकी गली मिलते रहे.

जबसे वादे लौट कर आने के उसने कर दिये,
कुछ चरागों से मेरी पलकों तले जलते रहे.

हमने शाद अपनी कहानी ही सुना डाली उन्हें,
और वो किस्से समझ कर ता-सहर सुनते रहे.
Kuch log hote hai jo aacha likhte hai aur kuch aise log aise hote hai jo na sirf aacha likhte hai par daad muh se keench kar nikaal lete hai. Aapko bas kya kahuN, bas dua hi aapki yeh shayri hameshaa mujhe padne ko milti rahe. Salaamat rahe aur yunhi nayaab ghazlein humhe sunaate rahe.



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#4)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
9th February 2015, 08:44 PM

Waah ji waah....fir se kamaal..
Har sher ek kahani kahta hai...bahut pasand aayi mujhe aapki gazal hamesha ki tarah...
हमने शाद अपनी कहानी ही सुना डाली उन्हें,
और वो किस्से समझ कर ता-सहर सुनते रहे
bahut bahut bahut khoob....



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
9th February 2015, 10:16 PM

Shad bhai ...apka title khamoshioN ka shor per ker ek kick si lagi bheeter meiN aur ehsaas hua ki kuch khas baat milegi parne ko,,

Aur hasta e mamool aapne canvas per rang bikherna shuru kiya aur sher d sher aap nikherte rahe apne ehsaason mein ... Aur makta tau kamal kar diya aapne ..Jaisa ki mast bhai ne apne remakrs meiN likha ki aap ki peshkash pe khud b khud wah wah nikal jati hai ..

YuN hi aate raho aur mehfil sajate raho.

Sanjay Sehgal



khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
10th February 2015, 11:11 AM

Quote:
Originally Posted by tabaah View Post
bahut khoob Shaad Saheb..
lekin eimaandaari se kahu to is peskash m utna maja naa aa paya jitna aapki pehle wali gazalo m aaya tha..
maaf kijiye ager meri baat se bura laga ho to..
lafzo ki gazal m piroone ka aapka andaaz oro se ek dum juda hai.. aapki kalam oro se alag h aap kisi dard ko ek alag hi andaaz m bayaa'n karte hai jisse dil se apne aap "Aah" nikal aati hai.. aapki gazale oro se alag hoti h but ye waali thodi comman lagi isliye aisa kaha...
kush rahe..
or mere chote muh se kuch badi baat nikal gayi ho to Maaf kare..

tabaah saahab... sabse pahle to bazm me main aapka swaagat karta hoon, aur dhanyawaad dena chahungaa jo aapne saaf man se seedhi tarah se apne dil ki baat kahi... main behad shukrguzaar hoon aapka... kisii shaayar ya lekhak ke safal hone ke peeche unke chaahnewalon ke saath saath critics ka bhi kaafii aham role hotaa hai..... aap ne jis baareeki se apni baat kahii hai usse ye lagta hai ke aap hame kaafi gahraai se aur kaafii man se padhte hain.. ek shaayar ke liye isse badh kar koi baat ho hi nahi saktii.....

jahaan tak mera khayaal hai is kavita ke baare me to ho sakta hai koi bhool chook ho gayee ho likhne me magar main aapse sirf yahi ek baat kahna chahunga ke ye sab nazariya ka fer hai.. ho sakta hai aapko jo cheez bahot pasand ho wo kisii aur ko naa ho ya jo aapko pasand nahii ho wo kisii aur ko bahot ajeez ho to to ye human tendency hai, isme koi buraa lagne waali baat nahi hai.....
main tahe dil se aap sab ke sawaalon aur sujhaawon ka aadar karta hoon aur intzaar bhi karta rahta hoon... ummeed hai aage bhi aapka saath pyaar aur sneh bana rahegaa.... aate rahiyega........

Duaaon ke saath.....

Shaad....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
10th February 2015, 11:18 AM

Quote:
Originally Posted by mast View Post
Kuch log hote hai jo aacha likhte hai aur kuch aise log aise hote hai jo na sirf aacha likhte hai par daad muh se keench kar nikaal lete hai. Aapko bas kya kahuN, bas dua hi aapki yeh shayri hameshaa mujhe padne ko milti rahe. Salaamat rahe aur yunhi nayaab ghazlein humhe sunaate rahe.
Anu bhai urf mere pyaare mast bhai...... agar sau baaton ki ek baat kahun to aapko apni bazm me dekh kar aur aapke alfaazon ko padh kar mann gadgad ho uthtaa hai aur main yaqeenan mast ho jaata hoon...
aapne jis darja nacheeez ke ek adna se kalaam ki pazeeraai farmaaai hai aur jis tarah se mujhe palkon pe bithaaya hai wo yaqeenan mere liye bahot hi zyaada fakhr ki baat hai.... main us kaabil nahi jis tarah se aapne meraa maan badhaaya hai..... aur yaqeenan aapki is darja daad aur muhabbat haasil huii hai to beshaq kuch theek thaak likh gaya hounga........ aap sab doston ki duaaen hi hain jo khaaksaar ko kuch likhne ka hauslaa detii hain.. merii iltija hai ke aage bhi aapka yoonhii sath banaa rahegaa... aap apni duaaon se hame nawaazte rahenge... isi ummeed ke saath ijaazat lete hain, fir haazir hoenge..... aap bhi apna khayaal rakhiyegaa.... shukriyaa

Shaad...


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
10th February 2015, 08:22 PM

Shaad bhai adaab !
Samajh nahi aaraha kahan se shuru karooN.
Aapka yeh kalaam mere qalb-o-zehen mein bastey ehsaas ki aqsii kar raha hai. Khud ko iske saath iss qadar munsalik mehsoos kar raha hooN jaise aapne mere mann ki keh daali ho.
Nacheez ki taraf se dheroN daad aur duayein aapke iss kalaam keliye.
Ghazab ka kuchh likh daala hai aapne.
Shaad rahein, abaad rahein !


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
bhushan
Registered User
bhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 13
11th February 2015, 09:13 AM

Shaad Bhai aadab

Bohot hi khoobsurat gazal kahi aapne......jasbaat aur alfazo ki behad umdah jugalbandi karte hai aap......
Daad kubul frmayen

Aapki kalam ka talabgaar

Bhushan



Bhushan Joshi
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
tabaah
Registered User
tabaah has a spectacular aura abouttabaah has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 239
Join Date: Nov 2013
Rep Power: 12
12th February 2015, 08:52 AM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
tabaah saahab... sabse pahle to bazm me main aapka swaagat karta hoon, aur dhanyawaad dena chahungaa jo aapne saaf man se seedhi tarah se apne dil ki baat kahi... main behad shukrguzaar hoon aapka... kisii shaayar ya lekhak ke safal hone ke peeche unke chaahnewalon ke saath saath critics ka bhi kaafii aham role hotaa hai..... aap ne jis baareeki se apni baat kahii hai usse ye lagta hai ke aap hame kaafi gahraai se aur kaafii man se padhte hain.. ek shaayar ke liye isse badh kar koi baat ho hi nahi saktii.....

jahaan tak mera khayaal hai is kavita ke baare me to ho sakta hai koi bhool chook ho gayee ho likhne me magar main aapse sirf yahi ek baat kahna chahunga ke ye sab nazariya ka fer hai.. ho sakta hai aapko jo cheez bahot pasand ho wo kisii aur ko naa ho ya jo aapko pasand nahii ho wo kisii aur ko bahot ajeez ho to to ye human tendency hai, isme koi buraa lagne waali baat nahi hai.....
main tahe dil se aap sab ke sawaalon aur sujhaawon ka aadar karta hoon aur intzaar bhi karta rahta hoon... ummeed hai aage bhi aapka saath pyaar aur sneh bana rahegaa.... aate rahiyega........

Duaaon ke saath.....

Shaad....
Shaad Bhai mai aapse sehmat hu ho sakta h mere nazariye m fark ho.. lekin haa itna jarur pata hai aapke kalam m koi kami nahi..
Allah aapke Noor me or izafa kare..
kush rahe or dua hai aap hamesha apne naam ki tarah "SHAAD" rahe ..
or anjaane me is nachij ki baat chubhe to maaf kare..
aapki agli peshkash ke intzaar main..


Mujse ab Shayriya nahi hoti,
mujhe Lafzo ne maar dala hai...nm
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
12th February 2015, 11:54 AM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
Waah ji waah....fir se kamaal..
Har sher ek kahani kahta hai...bahut pasand aayi mujhe aapki gazal hamesha ki tarah...
हमने शाद अपनी कहानी ही सुना डाली उन्हें,
और वो किस्से समझ कर ता-सहर सुनते रहे
bahut bahut bahut khoob....

Masha Allah kyaa kahne aapke andaaze guftagoo ke , jis anddaaz me aapne adna se alfaazon ki pazeeraai farmaai hai woo kaabile tareef hai.... aapki daad mere sar maathe pe Madhu saahiba... aapne jis darja khuloos aur muhabbat ke saath is kalaam ko saraaha hai wo mere liye bahot badii baat hai.... aage bhi aapke aane ka intzaar rahega..... shukriyaa

Shaad....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
12th February 2015, 11:57 AM

Quote:
Originally Posted by Hamdam View Post
Shad bhai ...apka title khamoshioN ka shor per ker ek kick si lagi bheeter meiN aur ehsaas hua ki kuch khas baat milegi parne ko,,

Aur hasta e mamool aapne canvas per rang bikherna shuru kiya aur sher d sher aap nikherte rahe apne ehsaason mein ... Aur makta tau kamal kar diya aapne ..Jaisa ki mast bhai ne apne remakrs meiN likha ki aap ki peshkash pe khud b khud wah wah nikal jati hai ..

YuN hi aate raho aur mehfil sajate raho.

Sanjay Sehgal

Sanjay saahab tak nacheez ka salaam pahoche...... aapkee daad ne yakeen maaniye yoon laga goyaa murda jism me kisii ne zindagee ki chaahat fir se paidaa kar dii ho.... ksii ne fir se banjar zamee ko baarish ki boondon se haraa kar diyaa ho..... aapka hausla-afzaai karna mere liye bahot badee baat hai, aapki duaaen miltii rahen to hame bas aur kya chahiye... ye kalam bhi chaltii rahegii Insha Allah.... aap sab ke saath aur pyar ki ummeed ke saath filhal ijaazat....... fir milenege kisii aur bazm me..... khayaal rakhiyegaa apna


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
13th February 2015, 11:20 AM

Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna View Post
Shaad bhai adaab !
Samajh nahi aaraha kahan se shuru karooN.
Aapka yeh kalaam mere qalb-o-zehen mein bastey ehsaas ki aqsii kar raha hai. Khud ko iske saath iss qadar munsalik mehsoos kar raha hooN jaise aapne mere mann ki keh daali ho.
Nacheez ki taraf se dheroN daad aur duayein aapke iss kalaam keliye.
Ghazab ka kuchh likh daala hai aapne.
Shaad rahein, abaad rahein !
Saagar saahab ko shaad ka aadaab .....

aapka khat padhaa yaqeen maaniye masarrat aur zahnii sukooN ka wo aalam hai ke bayaani ke baahar ho jaise..... aapne jis darja muhabaaton se hame nawaazaa hai wo waaqai hamaari auqaat ke baahar ka hai.... ham is qaabil nahi jo shukriyaa kahke is daad ko qubool kar paate... bas aapka ehsaan samajh kar sar pe lagaa rakhnege......
aage bhi aapke aane ke ummeed me baithe hain... aate rahiyega aur yunhii duaaon se nawaazte rahiyegaa... bahot shukriyaa

Shaad.....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
19th February 2015, 12:59 PM

Quote:
Originally Posted by bhushan View Post
Shaad Bhai aadab

Bohot hi khoobsurat gazal kahi aapne......jasbaat aur alfazo ki behad umdah jugalbandi karte hai aap......
Daad kubul frmayen

Aapki kalam ka talabgaar

Bhushan
Bhushan ji , ummeed karta hoon khush aur khairiyat se honge.....
aapki daad, tareefen aur duaaen mere liye bahot aham hain mere bhai, aap doston ki muhabbat hi hai jo yahaan kheench laatiii hai..... aur main kuch likhne ke liye protsaahit hota hoon..... aap sab ka saath aur pyaar bana rahe main yunhi likhta raahungaa.......
duaaon me yaad rakhiyega bhai...

Shaad...


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
19th February 2015, 01:00 PM

Quote:
Originally Posted by tabaah View Post
Shaad Bhai mai aapse sehmat hu ho sakta h mere nazariye m fark ho.. lekin haa itna jarur pata hai aapke kalam m koi kami nahi..
Allah aapke Noor me or izafa kare..
kush rahe or dua hai aap hamesha apne naam ki tarah "SHAAD" rahe ..
or anjaane me is nachij ki baat chubhe to maaf kare..
aapki agli peshkash ke intzaar main..
bahot bahot shukriyaa aapka tabaah saahab.... main duaa karta hoon ke aap bhi sadaa khush rahen, salaamat rahen, aur nek raaah par chalte rahen.....

aate rahyiegaa...

Shaad.
...


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
19th February 2015, 01:36 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Raat bhar khaamoshiyon ke shor se Darte rahe,
khud hi ghabraate rahe aur khud sambhal jaate rahe.

jab unhe dekhaa, to bas dekhaa kiye pahroN talak,
jaane kyuN ek daastaa.n aansoo mere kahte rahe.

main akelaa yaad me uske nahi thaa mubtilaa
ye daro deewaar us kaa tazkiraa karte rahe.

ham ne ek hi shaks pe qurbaan kar dii zindagee,
aur hazaaro.n humsafar unki galee milte rahe.

jabse vaade lout kar aane ke usne kar diye,
kuch charaagoN se merii palkoN tale jalte rahe.

hamne shaad apnii kahaani hi sunaa daali unhe,
aur wo kisse samajh kar taa-sahar sunte rahe.





रात भर खामोशियों के शोर से डरते रहे,
खुद ही घबराते रहे और खुद संभल जाते रहे.

जब उन्हे देखा, तो बस देखा किए पहरों तलक,
जाने क्यूं एक दास्तां आंसू मेरे कहते रहे.

मैं अकेला याद मे उसके नही था मुब्तिला
ये दर ओ दीवार उस का तज़किरा करते रहे.

हम ने एक ही शख्स पे क़ुर्बान कर दी ज़िन्दगी,
और हज़ारों हमसफ़र उनकी गली मिलते रहे.

जबसे वादे लौट कर आने के उसने कर दिये,
कुछ चरागों से मेरी पलकों तले जलते रहे.

हमने शाद अपनी कहानी ही सुना डाली उन्हें,
और वो किस्से समझ कर ता-सहर सुनते रहे.
Wow! Har baar ki tarah shabd nahi hain aapke tareef ke
Iiye Mere paas . Bohut khoob.

Aise hi likhte rahiye.

Bohut Bohut sundar.


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
20th February 2015, 09:59 AM

Quote:
Originally Posted by masti View Post
Wow! Har baar ki tarah shabd nahi hain aapke tareef ke
Iiye Mere paas . Bohut khoob.

Aise hi likhte rahiye.

Bohut Bohut sundar.

Saarika jee aadaab....

behad inaayat huii hai aapki mujh par jo aap ne is darja kalaam ki pazeeraaii farmaai haii...... aapko kalaam pasand aayaa mere liye saubhaagya ki baat hai..... aati rahiye, padhtii rahiye.. khush rahiye

Shukriyaa.............


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
aru
Main shayar to nahin.....
aru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.com
 
aru's Avatar
 
Offline
Posts: 2,796
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 50
22nd February 2015, 06:41 PM

shoiab bhai .....kya kahu is kalaam ke baare mein......bahut hee umda likha hai.......daad kubul karein.....



एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था

Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
  Send a message via AIM to aru  
Reply With Quote
Old
  (#19)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
23rd February 2015, 02:59 PM

Quote:
Originally Posted by aru View Post
shoiab bhai .....kya kahu is kalaam ke baare mein......bahut hee umda likha hai.......daad kubul karein.....

behad shukriyaa aapka Aru ji.... aap aaye mahfil me bahaar aayee......
aage bhi aate rahiyega,, padhte rahiyegaa.... shukriyaa

Shaad......


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
koi to ho
Registered User
koi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to behold
 
koi to ho's Avatar
 
Offline
Posts: 3,851
Join Date: Dec 2005
Location: karachi
Rep Power: 31
2nd March 2015, 12:40 AM

Sameer ji bohat hi allaa ghazal paish ki aap ne bht hi zaberdast bs aik cheez ki nishandahi kerna chahungi is sher main >>


Raat bhar khaamoshiyon ke shor se Darte rahe,
khud hi ghabraate rahe aur khud sambhal jaate rahe.

sambhal jaate rahe ki jaga sambhalte rahe lafz use karain to ziada behter lage umeed hai apko bura nahi lagega


Waqt ke jisam ki kharash hoon main
apne ander se pash pash hoon main
zaaat hai aetbaar e zaaat nahin
ab to main khud bhi apne saath nahin
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
5th March 2015, 10:11 AM

Quote:
Originally Posted by koi to ho View Post
Sameer ji bohat hi allaa ghazal paish ki aap ne bht hi zaberdast bs aik cheez ki nishandahi kerna chahungi is sher main >>


Raat bhar khaamoshiyon ke shor se Darte rahe,
khud hi ghabraate rahe aur khud sambhal jaate rahe.

sambhal jaate rahe ki jaga sambhalte rahe lafz use karain to ziada behter lage umeed hai apko bura nahi lagega

Aadaab mohtarmaa...... aapko pahlii dafaa dekhaa hai apnii mahfil me aurr yaqeen maaniye behad khushii mahsooos huuii ye dekh kar ke aapne hamaare jazbaaton me utar kar usko itnii gharaai se padhne ki zahmat kii hai......

aapkaa kahnaa ekdam durust hai, agar main dil ki suntaa to yaqeenan ise sambhalte hi rahne detaa... magar zamaane ki aur tahzeeb ki bandishin me badh kar bas sambhal jaaate rahe to jaate rahe........ ummeed hai merii baaton ki rabt ko aapne mahsoos kiyaa hogaa......

jazaaq Allah.... tashreef laatii rahiyegaa......

Shaad....


Shaad...
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com