Baat Kuch Bhi Nahin -
31st December 2022, 09:32 PM
Baat kuch bhi nahin zara hawa hai toofan na karo...
Zamin ko zamin hi rahne do aasman na karo....
Mar jayenge our mar jane mein bada farq hai
Wafa mushkil hai ise itni aasan na karo
Tumhein mohobbat nahin na sahi koi baat nahin
Ye muskurakar paas aakar mujhe pareshan na karo...
Naqli gulab mein kaanta bhi nahin our khushbu bhi bahut hai
Chaman waise hi pareshan hai use our hairan na karo...
Jo chaha wo mil nahin yahi silsila raha
Behtar yahi hai "kaash" koi armaan na karo...
|