Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
kabhi aana hamari basti......
Old
  (#1)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
kabhi aana hamari basti...... - 5th October 2001, 08:53 AM

tukdon mein bikhra hua
kisi ka jigar dikhayenge
kabhi aana hamari basti
tumhe apna ghar dikhayenge

honth kaanp jaate hain
thar-tharaati hai zabaan
toote dil se nikli huii
aahon ka asar dikhayenge

kabhi aana hamari basti
tumhe apna ghar dikhayenge........

aik pahunch paata nahin
aik aur chhalak jaata hai
palkon se daaman tak ka
ashqon ka safar dikhayenge

kabhi aana hamari basti
tumhe apna ghar dikhayenge.........

kahin tasveer hai teri
kahin likhaa hai tera naam
mandir-masjid jitna paak
aik deewar-o-dar dikhayenge

kabhi aana hamari basti
tumhe apna ghar dikhayenge.........

aksar takti rehti hai
sunsaan raahon ko sanam
darwaaze par baithi huii
sapno ki nazar dikhayenge

kabhi aana hamari basti
tumhe apna ghar dikhayenge....................



maikasH


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
22nd October 2003, 03:15 PM

Kitni achhi tarha bayan kiye aapne. Dilki kalam bohot dilko choo gayi. Specially this lines,
kahin tasveer hai teri
kahin likhaa hai tera naam
mandir-masjid jitna paak
aik deewar-o-dar dikhayenge
Keya kahu!! Pyaar hoti hi aisi shayed. Janam janam intezar ke baad hi aisi Pyaar kisiko naseen hoti hein. Shukriya. Aapna khayal rakhiyega. God bless you.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Hamari Mohabbat Jo Kabhi Naakam Ho Gayi Mohammad Kashif Shayri-e-Dard 16 3rd June 2008 07:33 PM
kabhi lout aana...... ajnabi-musafir Shayri-e-Dard 4 29th May 2007 10:18 AM
::kabhi lout aana...... ajnabi-musafir Shayri-e-Dard 4 18th May 2007 08:34 PM
Dil Ki Basti Bhi ... anshikha_12 Shayri-e-Ishq 0 3rd June 2004 05:07 PM
ghazal:Yeh basti.. Afshan Shayri-e-Sharaab 15 27th July 2003 12:46 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com