Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
na jhukaate bhii nazar aur milaate bhii nahiN - tarahii ghazal
Old
  (#1)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
na jhukaate bhii nazar aur milaate bhii nahiN - tarahii ghazal - 26th September 2014, 04:38 PM

dostoN,

Daagh Dehlvi saab kii ghazal, uzr aane meN bhii hai aur bulaate bhii nahiN ke misre pe ek tarahii ghazal likhne kii gustaakhii kii hai....

aapkii raaeye kaa muntaziir rahungaa...........

misraa: uzr aane meN bhii hai aur bulaate bhii nahiN

----------------


na jhukaate bhii nazar aur milaate bhii nahiN
hai muhabbat jo unheN kyuN wo jataate bhii nahiN

fikr unko jo mare hum na mare to ye kahe
maut hai aage khaDii aur wo jaate bhii nahiN

unko ki jo wo kahe hum wo suneN kuchh na kaheN
wo ki sunte bhii nahiN hum ko sunaate bhii nahiN

hum rahe dar pe haram ke ki kisii ne ye kahaa
kaise baiTHaa wo yahaaN log uTHaate bhii nahiN

parda-daari bhii ajab hai na jo ho to bhii kya
roo chhipaate bhii nahiN noor dikhaate bhii nahiN

unko kehnii hai jo baateN wo kahe maiN sunuuN
yuN hi baTHaa maiN rahaa aur wo bataate bhii nahiN

dar se guzruuN to ye sochuuN ki wo kiis baat pe KHafaa
uzr aane meN bhii hai aur bulaate bhii nahiN


~ Adil "Safiir"



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif

Last edited by aadeil; 26th September 2014 at 04:41 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Pankaj Mishra
Registered User
Pankaj Mishra is a glorious beacon of lightPankaj Mishra is a glorious beacon of lightPankaj Mishra is a glorious beacon of lightPankaj Mishra is a glorious beacon of lightPankaj Mishra is a glorious beacon of light
 
Pankaj Mishra's Avatar
 
Offline
Posts: 244
Join Date: Sep 2014
Location: New Delhi
Rep Power: 14
26th September 2014, 04:55 PM

Quote:
Originally Posted by aadeil View Post
dostoN,

Daagh Dehlvi saab kii ghazal, uzr aane meN bhii hai aur bulaate bhii nahiN ke misre pe ek tarahii ghazal likhne kii gustaakhii kii hai....

aapkii raaeye kaa muntaziir rahungaa...........

misraa: uzr aane meN bhii hai aur bulaate bhii nahiN

----------------


na jhukaate bhii nazar aur milaate bhii nahiN
hai muhabbat jo unheN kyuN wo jataate bhii nahiN

fikr unko jo mare hum na mare to ye kahe
maut hai aage khaDii aur wo jaate bhii nahiN

unko ki jo wo kahe hum wo suneN kuchh na kaheN
wo ki sunte bhii nahiN hum ko sunaate bhii nahiN

hum rahe dar pe haram ke ki kisii ne ye kahaa
kaise baiTHaa wo yahaaN log uTHaate bhii nahiN

parda-daari bhii ajab hai na jo ho to bhii kya
roo chhipaate bhii nahiN noor dikhaate bhii nahiN

unko kehnii hai jo baateN wo kahe maiN sunuuN
yuN hi baTHaa maiN rahaa aur wo bataate bhii nahiN

dar se guzruuN to ye sochuuN ki wo kiis baat pe KHafaa
uzr aane meN bhii hai aur bulaate bhii nahiN


~ Adil "Safiir"

Waah....kya ada hai ........kya bechaini hai ....sahab !!! bahut pasand aaye aap is kalaam se.....dhero daad....aise hi kuch likh diya humne aapke initiation per...is sher ko bhi dekhen..

Ishq me kuch to jagah hoti hai izhaar-e-dil ki lekin ...
Wo chupate bhi nahi aur jataate bhi nahi ......


Bahut gumraah karna chahta hai aaina mujhko !
Magar wo apni hi fitrat se hardam haar jaata hai !!
(Pankaj Mishra 'Nawaab')

Last edited by Pankaj Mishra; 26th September 2014 at 05:00 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
26th September 2014, 08:53 PM

Quote:
Originally Posted by aadeil View Post
dostoN,

Daagh Dehlvi saab kii ghazal, uzr aane meN bhii hai aur bulaate bhii nahiN ke misre pe ek tarahii ghazal likhne kii gustaakhii kii hai....

aapkii raaeye kaa muntaziir rahungaa...........

misraa: uzr aane meN bhii hai aur bulaate bhii nahiN

----------------


na jhukaate bhii nazar aur milaate bhii nahiN
hai muhabbat jo unheN kyuN wo jataate bhii nahiN

fikr unko jo mare hum na mare to ye kahe
maut hai aage khaDii aur wo jaate bhii nahiN

unko ki jo wo kahe hum wo suneN kuchh na kaheN
wo ki sunte bhii nahiN hum ko sunaate bhii nahiN

hum rahe dar pe haram ke ki kisii ne ye kahaa
kaise baiTHaa wo yahaaN log uTHaate bhii nahiN

parda-daari bhii ajab hai na jo ho to bhii kya
roo chhipaate bhii nahiN noor dikhaate bhii nahiN

unko kehnii hai jo baateN wo kahe maiN sunuuN
yuN hi baTHaa maiN rahaa aur wo bataate bhii nahiN

dar se guzruuN to ye sochuuN ki wo kiis baat pe KHafaa
uzr aane meN bhii hai aur bulaate bhii nahiN


~ Adil "Safiir"

waahhhhhh kyaa andaaze bayaN hai safeer saahab.... dil khush kar diyaa aapne.... lagta hai ke aapki kalam choom loon..... ek behad purkhuloos, purmuqammal ghazal kahi hai aapne is baar... meri dili daad aur mubaarakbaad aapko.......... dil se daad bhai mere.... likhte rahiye

Shaad......


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
26th September 2014, 11:56 PM

Saaheb

Namaste

Umdaah aur dilkash Ghazal likhi hai aapne. . Bazm ki shaan ko aage bhi yuunhi badhaate rahiye. . Dil se daad

Duaaon ke saath ijaazat

Aapka

Dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
27th September 2014, 02:02 AM

Aadeil miyaaN,

aadaab aur namaste


bhai pehli baar aapko paDhne ka lutf haasil hua hai aur malaal bhi ke is se qabl kyoN aapki kaavishoN par tavvajo na gayi, ba-sad-mazrat yahii keh sakta hooN ke yeh meri naalaayiqi rahi aur mera bharpoor nuqsaan bhi hua hai

kya Ghazal kahi hai!

aapka sukhan aur aapki fiqr yaqeenan daad-o-mubaarikbaad ki haqdaar haiN to bhai meri taraf se "Tikaa" lijiye


aapka shukriya adaa karna bhi mera farz ban'ta hai, shukran alag se "Tikaaiiye"

rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#6)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,724
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
26th October 2014, 09:49 PM

waaaaaaaaaahhhhhh !!!!! behad hi khoobsurat tarahi ghazal kahi Adil sahab aap ne!! Padh kar behad lutf haasil hua .... gehri fiqr aur dilkash bayaan !! Daagh saahab ke andaaz ka ehsaas bahaut achchee tarah se mehsoos hua !! Zabardast koshish rahi !!! Aap ko bahaut si daad aur dher saari mubaarakbaad !!


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Harash Mahajan
MaiN Our Meri Tanhaayii
Harash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud of
 
Harash Mahajan's Avatar
 
Offline
Posts: 984
Join Date: Oct 2006
Location: Delhi
Rep Power: 31
27th October 2014, 08:16 PM

Waah Adeil sahab kya baat hai.......ek behatreen Ghazal hui hai ........ Janab Bahut Khubsurat Ghazal Inayat Ki Appne. Dili Daad Qubool Kijiye. Likhte Rahiye Aur Khush Rahiye
  Send a message via Yahoo to Harash Mahajan Send a message via MSN to Harash Mahajan  
Reply With Quote
Old
  (#8)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
28th October 2014, 12:36 PM

Quote:
Originally Posted by Pankaj Mishra View Post
Waah....kya ada hai ........kya bechaini hai ....sahab !!! bahut pasand aaye aap is kalaam se.....dhero daad....aise hi kuch likh diya humne aapke initiation per...is sher ko bhi dekhen..

Ishq me kuch to jagah hoti hai izhaar-e-dil ki lekin ...
Wo chupate bhi nahi aur jataate bhi nahi ......
Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
waahhhhhh kyaa andaaze bayaN hai safeer saahab.... dil khush kar diyaa aapne.... lagta hai ke aapki kalam choom loon..... ek behad purkhuloos, purmuqammal ghazal kahi hai aapne is baar... meri dili daad aur mubaarakbaad aapko.......... dil se daad bhai mere.... likhte rahiye

Shaad......
Quote:
Originally Posted by Dhaval View Post
Saaheb

Namaste

Umdaah aur dilkash Ghazal likhi hai aapne. . Bazm ki shaan ko aage bhi yuunhi badhaate rahiye. . Dil se daad

Duaaon ke saath ijaazat

Aapka

Dhaval
Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
Aadeil miyaaN,

aadaab aur namaste


bhai pehli baar aapko paDhne ka lutf haasil hua hai aur malaal bhi ke is se qabl kyoN aapki kaavishoN par tavvajo na gayi, ba-sad-mazrat yahii keh sakta hooN ke yeh meri naalaayiqi rahi aur mera bharpoor nuqsaan bhi hua hai

kya Ghazal kahi hai!

aapka sukhan aur aapki fiqr yaqeenan daad-o-mubaarikbaad ki haqdaar haiN to bhai meri taraf se "Tikaa" lijiye


aapka shukriya adaa karna bhi mera farz ban'ta hai, shukran alag se "Tikaaiiye"

rab raakha
maikash
Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
waaaaaaaaaahhhhhh !!!!! behad hi khoobsurat tarahi ghazal kahi Adil sahab aap ne!! Padh kar behad lutf haasil hua .... gehri fiqr aur dilkash bayaan !! Daagh saahab ke andaaz ka ehsaas bahaut achchee tarah se mehsoos hua !! Zabardast koshish rahi !!! Aap ko bahaut si daad aur dher saari mubaarakbaad !!
Quote:
Originally Posted by Harash Mahajan View Post
Waah Adeil sahab kya baat hai.......ek behatreen Ghazal hui hai ........ Janab Bahut Khubsurat Ghazal Inayat Ki Appne. Dili Daad Qubool Kijiye. Likhte Rahiye Aur Khush Rahiye
sabhii dostoN kaa teh-e-dil shukrguzaar hooN aur der se aane ke liye muaafii bhii chaahungaa.....



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com