Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
maan
Old
  (#1)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
maan - 10th May 2004, 11:18 AM

Doston mother’s day ke is mauqe per apni MAAN (AMMI JAAN) ki nazr amjad islam amjad ki yeh nazm pesh ker raha hoon,
Doston meri maan ko mujh se bichre 4th year hai, magar mein aaj bhi apni maan ko apne saath mehsoos kerta hoon, Un ki duayon ke tufail mujhe aap duniya ki tamam naimatein haasil hain magar naheen hain to voh naheen hain.


Mein jidhar gaya, mein jahan gaya
Mere saath thaa
Wahi ek chehra-e-meherbaan
Voh jo ek saya-abr thaa sir-e-aasmaan
Pas-e-her gumaan
Voh jo ek hirf-e-yaqeen thaa
Mere her safar ka ameen thaa
Voh jo ek baagh-e-erum numa, sabhi mausamon mein hara raha
Voh ujar gaya
Voh jo ek dua ka chiraagh sa , mere raaston mein jala raha
Voh bikhar gaya
Mere gham ko jar se ukharta
Voh jo ek lams-e-azeez thaa
Kisi kapkapate se haath ka, voh naheen raha
Voh jo ankh rehti thee jaagti mere naam per
Vohi so gaee
Voh jo ek dua-e-sakoon thee mere rakht mein
Vohi kho gaee

Musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
10th May 2004, 05:54 PM

mere mushi dost,
.................................................. ..

meena
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#3)
pari
Registered User
pari will become famous soon enoughpari will become famous soon enough
 
pari's Avatar
 
Offline
Posts: 687
Join Date: May 2003
Location: USA
Rep Power: 22
hi - 10th May 2004, 06:03 PM

Waqui Musarrafhussain saheb...ye to bahut hi umdaa nazm hai..
mein bhi is waqt apni maa se bahut door hu.....lekin is nazm ko padhte hue aisa laga jaise wo bahut kareeb ho.....
bahut shukriya is nazm ko humare saath baantne ke liye....
aapko ko bhi Mothers Day ki shubhkaamnayein....
pari


Chadha hai aaj bhi uska Rang, jisne kabhi Ranga hi nahi :-)
   
Reply With Quote
Re: maan
Old
  (#4)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: maan - 10th May 2004, 07:29 PM

musharaff bhai saheb
bahooot immotional kar diya aap ke kalaam ne mujhe,,,aur usse bhi kahin jayada aapke likhe chand alfazon ne jaise dil mein halchal macha di,,,,Khuda,Bhagwaan ko is jaahan mein kisis ne nahin dekha,,,agar unka roop kahain dikhta hai to wo hai MAA....Maa ke pyar se badh kar pavitr aur paak kuch nahin.....ek geet ke bol yaad aa gaye....

usko nahin dekha hamne magar par iski jaroorat kya hogi...
a maa teri surat se alag Bhagwaan ki surat kya hogi..
tu hai to andhere path mein hamein suraj ki jaroorat kya hogi...

daad kubool kijiye
-Manoj


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#5)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
11th May 2004, 10:21 AM

meena dost

behad shukriya aap ka.
jazbon ki sadaqat yehi hai, jise aap ne mehsoos kiya.
wishing you all the best

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
11th May 2004, 10:24 AM

Pari

yeh jo maan, behan aur beti ki rishta hai naa, yeh hai hi aisa, jise aap sirf mehsoos ker sakte hain, bayan kerna bohat mushkil hai, magar apni apni isteta-ut ke mutabiq her koee bayan kerne ki koshish zaroor kerta hai,
behad shukriya aap ka, God bless you.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
11th May 2004, 10:30 AM

manoj mere bhai

aap ke jawab se behad taqviyat aur tamaniyat hui mujhe.
haan dost yeh maan hai hi aisi, her cheez se mubarra hai yeh rishta.
last year mein ne maan ke liye wasi shah ki ek nazm post ki thee.
us ke jawab mein sawera hayat ne chand shayr mujhe post kiye they, dost woh shayr mere dil per naqsh hain aaj bhi aur mujhe talash hai is pur ghazal ki agar kaheen se mil sake to doston se durkhyast hai mujhe zaroor post karen, mashkoor honga, us ke 2 shayr mujhe yaad hain;
MAAN
MEIN TERI PYAAR KI LAZZAT NAHEEN BHUULA AB TAK
VOH MOHABBAT VOH AQEEDAT NAHEEN BHUULA AB TAK
AAJ BHI DIL TERE AAGHOASH MEIN SOANA CHAHE
AAJ BHI DIL TERE BAAZUU MEIN SAMONA CHAHE

manoj ek baar phir aap ka behad shukriya dost.
wishing you all the best

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
sanjoo
MriiGchiika
sanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to all
 
sanjoo's Avatar
 
Offline
Posts: 1,664
Join Date: Sep 2002
Location: INDIA (Mumbai)
Rep Power: 28
11th May 2004, 11:01 AM

musharrafhusain...mere bhai mujhe dusraii baR apni baat kehane kii jaga milii.....sirf ap kii post par.....inn jassbato ko kehne samjh k liye alfaaz kam padte hai....puurii kayanaat mai gar mai MAA likh duu too jagah kam padtii hai......joo khoo chhuka hai uskoo paa luu.....shayad woh sakun muhe mauT mai hii milegaa....wahii mai fhir apni maa kai anchal mai sukun se soo sakungaa...shukriyaa dost shukriyaa.....jo mujhe fhir se khuD ko yaad dilane kaa....Sanju!
Too hii tao ek thii
JissNe kooN se sicha tha mujhe
Mere hone se
Tere anson muskurayeN the
Mere harr ansooN ko
Achal maiN chupaya tha tuNe
Kitanni raatoN koo
Zhuule ka pankH laga sulaya tha mujhe
Abb bhi main woh hii
Tere Pyaar aur dulaar seN bana sanju huN.....
..... ????
Terii saseN jab thamm gayii
Mere saseN bhii kyon na ukhad gayii
Mere harr armaaN
Yatiim ho gayeN haiN tujjh binN
Dundhtii haiN ankheN tujhe
Har jagaH har...
kyon too tassviron maiN sirfh nazar aatii mujheN........!!!!

Mai ap kai kalaam kai bare mai kyaa kahu...mehsus hota hai....apne jaisa ek dard.....


Jindagi se to khair shikvaa tha,

muddato mout ne bhi tarsaaya hame..

.....

Last edited by sanjoo; 11th May 2004 at 11:11 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
11th May 2004, 11:37 AM

Too hii tao ek thii
JissNe kooN se sicha tha mujhe
Mere hone se
Tere anson muskurayeN the
Mere harr ansooN ko
Achal maiN chupaya tha tuNe
Kitanni raatoN koo
Zhuule ka pankH laga sulaya tha mujhe
Abb bhi main woh hii
Tere Pyaar aur dulaar seN bana sanju huN.....
..... ????
Terii saseN jab thamm gayii
Mere saseN bhii kyon na ukhad gayii
Mere harr armaaN
Yatiim ho gayeN haiN tujjh binN
Dundhtii haiN ankheN tujhe
Har jagaH har...
kyon too tassviron maiN sirfh nazar aatii mujheN........!!!!

mere sanjjjjjjj,

..................................

maa ke jaane par bachae ki saans is liye nahi ukhad jaati... kyun ki bachae ko maa ka sapna poora karna hota hai. kuchh ban ke dikhana hota hai. aise makaam tak pahunchna hota hai ... jo maa ne humesha zhuula zulaate huae sanjoya hota hai.

tumhari................
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
11th May 2004, 04:26 PM

Sanj dost
Aap ne is post ko parha samjha aur saath mein itni khoosurat nazm ki surat mein reply kiya. Mein tah-e-dil se mamnoon hoon aap ka. Aaap ke itne khoobsurat ehsasaat jaan ker dil ko bohat khushi huee aur ek apne pan ka ehsaas hua.
Meri shubh kaamnayen sab aap ke liye.

Musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
11th May 2004, 04:28 PM

Meena meri dost
Hamare dirmiyan shayri.com ne yeh jo rishta dosti ka bana diya hai, voh to apni jagah hai hi, saath mein dost aap ke yeh nek, aur purkhaloos jazbaat aur ehsasaat bhi hamein is haseen bandhan jise sab dosti ka naam dete hain baandhe huey hain.
Maan ke liye aap ki khoobsurat nazm hamari soach aur khayalaat ki yagangat ka khoobsurat izhaar hai.
To mein kyun na fakhr karoon aap per aur aap ke in khoobsurat aur dilnasheen ashaar per.
Voh jo mein kehta hoon aksar yehi to hai voh apna pan.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
hello
Old
  (#12)
akant
Registered User
akant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to behold
 
akant's Avatar
 
Offline
Posts: 1,774
Join Date: Apr 2003
Location: UP, India
Rep Power: 30
hello - 11th May 2004, 05:09 PM

Musharraf ji

aapki kavita padhi bahut hi achchhi lagi. kavita se mom ki mujhe bhi bahut yaad aane lagi.yah sahi hai ki mothers day maine nahi manaya per mom ko her roj yaad ker hi leta hoon mom meri gav(villege) mein rahati hain per vah hamehsa her ghadi mere sath hoti hai..meri her khushiya se leker her uljhan mein sath hoti hai..dil se abhari hoon aapki rachana ke liye.



Akant...


*********
आहट सी कोइ आये तो समझ लेना कि तुम हो...
AahaT si koi aaye to samajh lena ki tum ho...
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
12th May 2004, 04:15 PM

akant dost

thanks for sharing your sentiments.
wishing you all the best

musharrafhusain
   
Reply With Quote
hello
Old
  (#14)
san04
ansoon aur muskan....
san04 is just really nicesan04 is just really nicesan04 is just really nicesan04 is just really nice
 
san04's Avatar
 
Offline
Posts: 751
Join Date: Mar 2004
Rep Power: 24
hello - 12th May 2004, 05:22 PM

heelo mussharraf ji
apki is nazm ko parhkar na jane kyun ankheyin bhar ayi,,hum kitne badnaseeb hotey hain,,ki jab maan ko sabse jyada hamari jaroorat hoti hai,,wo humse door ho jati hain,,jab ki khud kitne dukh jhelker aur khud ek ek pal jalker usne apne khoon se seencha hua hota hai humeyin,,,,aaj mujhe kai saal pehle likhi hui ek poem yaad aa rahi hai...

her dukh apne seeney mein chupati hui
muskeraker jindgi ko aasan banati hui
ek maan,,,,,! kattti hai kaise dino ko...
mehsoos kiya hai maine
kai baar raat ki tanhai mein uski her tarap ko
jab ek sannata,,chaunka deta tha
aur sehmker wo apne baachon ko
apne anchal mein chupati hui,,
doosron ki badjuban suntey hue,,
chot kahtey huey,,jazbat ki maine mehsoos kiya hai..
.
kiski khatir????sawal hai///
sirf apne baachon ki khatir...
jo shayad apne hoker bhi apne na ho sakey
phir bhi.......
unhey daman se chiptati hui....unhey tassali deti hui....
pyar se chup kerati hui...
kyun?????????
tabhi achanak dil sargoshi kerta hai,,,,
"MAAN HOON NA"

sach..aaj apne mujhe apani us maan ke kareeb mehsoos kera diya,,jo mujhse bahut door hai,,,,
per lagta hai,,ki meri her sanson mein uski rooh hai,,,
..thx...
swati

Last edited by san04; 12th May 2004 at 05:26 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
12th May 2004, 06:31 PM

swati dost
aap ke jazbaati reply se mein behad muttassir hua hoon.
bhai maan ki mohabbat ka yaqeenan koee naimul badal naheen hai.
aur yeh jo aap ham apni apni maaon ko yaad ker rahe hain yeh is baat ki alaamat hai ke hamein apni maan ki un tamaam khidmaat ka puura puura ehsaas hai.
bas ham un ka badla isi tarah de sakte hain ke achchay insaan banein aur apne character ko itna mazboot aur mustehkam ker lein ke jis tarah hamari maan hamare liye roll model hai aise hi ham apne bachchon ke liye ban saken, aur jis tarah ham apne maan baap per fakhr kerte hain hamare bachchay bhi ham per fakhr ker saken.
aap ki baat ko aage barhate hue ek shayr yaad aa raha hai
"UMR BHAR HAM AAP KI AAGHOSH MEIN PALTE RAHE"
JAB HUEY KHIDMAT KE QAABIL AAP RUKHSAT HO GAEY"

wishing you all the best

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
12th May 2004, 07:40 PM

Musharraf sahib..

Mujhe to Mother's day kab hai ye maloom hi na tha,ye tau Meena ji ki wajah se mujhe pata chala us din ke aaj Mother's day hai.Magar main tau ye kahoonga ke har roz agar aadmi apni maan ki sewa kar le ya fir usse yaad hi karr le to woh kisi bandagi se kamm to nahin hoga..

Anyways aapne yahan is roz amjad islam amjab ji ki ye khoobsurat rachna pesh ki..bahut hi gehri likhi gayi hai ye nazm,aur na jaane q aanko mein aansoo le aayi ye nazm apne saath..

Is khoobsurat nazm ko hamare beech laane ka bahut shukriya..
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
13th May 2004, 10:45 AM

ghayal dost

aap ne bilkul sahi kaha , ke yaad to usey karen jis ka khayal kabhi kabhi aataa ho, maan to her waqt hamare dil o dimaagh per chaayee hui hai.
Us ka jism hamare saath naheen magar ruuh to her dam hamare saath hai.
aap ke khayalat hamesha ki tarah mere liye laiyeqe qadr hain.
dua go hoon aap ke liye, God bless you.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
maan bhi jao 'jana' ab maan bhi jao kabir_shayer Ghazal Section 0 12th November 2009 07:37 PM
aiy MAAN. musharrafhusain Shayri-e-Mashahoor Shayar 4 14th July 2005 03:34 PM
maaN yasir rashdi Aapki Shayri 2 18th October 2004 01:58 PM
Dil Maan ja KimatGoyal Shayri-e-Ishq 0 17th June 2004 09:14 AM
Maan Ke arvindsony Shayri-e-Ishq 5 11th November 2003 04:35 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com