Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
TaRapte rah gaye roti ko kya dawa karte
Old
  (#1)
WAQUIF ANSARI
Registered User
WAQUIF ANSARI will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 52
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 14
TaRapte rah gaye roti ko kya dawa karte - 16th September 2010, 02:22 PM

yaaraan.e.meHfil: tasleemaat!



Mohtaram Janab Sarwar Alam Raz Saheb ne mundarja zail micre tarah par do ghazlen (aik 17 saal pahle aur doosri 17 saal baad ki) yahan inaayat ki hain:



:junoon.e.shauq meiN seHraa.navard kyaa karte?:



In donon ghazlon ko paRhne k baad chunke ye zameen mujhe bahut achchhi lagi, is liye main ne bhi mundarja baala zameen mein kuchh kahne ki koshish ki hai. Mujhe pata nahin k main kahan tak kaamiyaab hua hoon phir bhi aap logon ke peshe-nazar ye ghazal rakh raha hoon:



Bayeed kuchh bhi nahiN iske maasiwa karte
Fuzul baatoN se hat ke khuda khuda karte


Ki chaak chaak jigar ke sabhi qaba karte
Alam ki raat guzaari hai ilteja karte


Jo dil ho dil ki tarah dil to muddoa karte
Ruju dil ke nawaaoN se baarha karte


Qadaawari ki riyaasat mein ja-ba-ja karte
Ik aaine ke baraabar ik aaina karte


Bana k web pe Urdu ki Anjuman SARWAR
Faraaz-o-fikr ko dekha hai hum ne wa karte


Nazar ne dekha hai sahra-naward aapko bhi
Junoon-e-ishq meiN pairoN ko aabla karte


Zamana aapke naqshe-qadam pe chalta rahe
Hamaari zindagi guzri hai ye dua karte


Milan ki aas liye jeete haiN har ik saa-at
Tire khayaal pe hum kaise iktifa karte


Latafat-e-lab-o-rukhsaar thi agar haasil
Is ibteda-e-safar ki phir inteha karte


Ik aaine ke tasauur meiN usko dekha hai
KhatoN ki shakl meiN kaaghaz ko aaina karte


Gham-e-ma-aash se muhlat mile to hum uske
Khayaal-o-khwab-o-tasauur se raabta karte


Asa banaate qalam ko to koi baat bhi thi
Usi ke zor se paani meiN raasta karte


Hamaari jaan isi waste gayee WAQUIF
TaRapte rah gaye roti ko kya dawa karte


(Waquif Ansari)

Last edited by WAQUIF ANSARI; 16th September 2010 at 02:27 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
krishna
Registered User
krishna is just really nicekrishna is just really nicekrishna is just really nicekrishna is just really nicekrishna is just really nice
 
Offline
Posts: 112
Join Date: Jul 2010
Location: Lucknow
Rep Power: 18
1st October 2010, 03:44 PM

Quote:
Originally Posted by WAQUIF ANSARI View Post
yaaraan.e.meHfil: tasleemaat!




Mohtaram Janab Sarwar Alam Raz Saheb ne mundarja zail micre tarah par do ghazlen (aik 17 saal pahle aur doosri 17 saal baad ki) yahan inaayat ki hain:



:junoon.e.shauq meiN seHraa.navard kyaa karte?:



In donon ghazlon ko paRhne k baad chunke ye zameen mujhe bahut achchhi lagi, is liye main ne bhi mundarja baala zameen mein kuchh kahne ki koshish ki hai. Mujhe pata nahin k main kahan tak kaamiyaab hua hoon phir bhi aap logon ke peshe-nazar ye ghazal rakh raha hoon:



Bayeed kuchh bhi nahiN iske maasiwa karte
Fuzul baatoN se hat ke khuda khuda karte


Ki chaak chaak jigar ke sabhi qaba karte
Alam ki raat guzaari hai ilteja karte


Jo dil ho dil ki tarah dil to muddoa karte
Ruju dil ke nawaaoN se baarha karte


Qadaawari ki riyaasat mein ja-ba-ja karte
Ik aaine ke baraabar ik aaina karte


Bana k web pe Urdu ki Anjuman SARWAR
Faraaz-o-fikr ko dekha hai hum ne wa karte


Nazar ne dekha hai sahra-naward aapko bhi
Junoon-e-ishq meiN pairoN ko aabla karte


Zamana aapke naqshe-qadam pe chalta rahe
Hamaari zindagi guzri hai ye dua karte


Milan ki aas liye jeete haiN har ik saa-at
Tire khayaal pe hum kaise iktifa karte


Latafat-e-lab-o-rukhsaar thi agar haasil
Is ibteda-e-safar ki phir inteha karte


Ik aaine ke tasauur meiN usko dekha hai
KhatoN ki shakl meiN kaaghaz ko aaina karte


Gham-e-ma-aash se muhlat mile to hum uske
Khayaal-o-khwab-o-tasauur se raabta karte


Asa banaate qalam ko to koi baat bhi thi
Usi ke zor se paani meiN raasta karte


Hamaari jaan isi waste gayee WAQUIF
TaRapte rah gaye roti ko kya dawa karte



(Waquif Ansari)
ansari saheb bahut khoob likha hai,hamari taraf se daad kubool karen.ye sher mujhe bahut achchhe lge
Asa banaate qalam ko to koi baat bhi thi
Usi ke zor se paani meiN raasta karte



Hamaari jaan isi waste gayee WAQUIF
TaRapte rah gaye roti ko kya dawa karte

krishna



NA JANE NEENDON SE KYON DUSHMNI HUEE krishna
KHULI PLAK PE KOEE KHWAB LIYE FIRTA HUN
KRISHNA
sprjp@yahoo.com
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
6th October 2010, 09:11 AM

MASHALLAH!!... Bohat hi khoobsurat ghazal hai Waqhif sahab....................

Aap Sarwar sahab ki jin di ghazaloN ki baat kar rahe haiN, maine bhi padhi hai, shayed Sdc per bhi maujood haiN woh ghazaleiN, agar mil gayi tou yahaaN unka link zarur post karungi...

Aapki ghazal bhi har lehaaz se, un ghazaloN ke muqable kam nahi.....

Yuhi likhte rahiye.




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#4)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
6th October 2010, 09:13 AM

http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=16230




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com