aaj ek bichhada hua saathi yaad aaya hai
jise main aksar dreamgirl kaheta tha
na subah ka pata tha na khabar shaam ki thi
har pal har lamha uski aagosh me raheta tha
uski hasi bachho jaisi aur gussa aag se tez tha
phir bhi us se baat kiye bina ek pal nahi gujarta tha
meri zindagi me aake jisne zindagi sawar di thi
uska pyaar khuda ki khudai se jyada achha lagta tha
kaheti thi kabhi chor ke mat jana jee nahi paungi
uski is baat pe saath zindagi bitane ke sapne dekhta tha
jaise waqt badalta gaya wo bhi saath badalti gai
phir bhi kambakht dil usi se pyaar karta tha
uski zindagi me kisi aur ke aane se khush thi wo
akela main kone me baith ke aansu bahata tha
kyu aai thi wo meri zindagi me jab jana hi tha use
bas yahi ek sawal apne khuda se karta raheta tha