Rahi Chala Chal -
22nd March 2006, 02:01 PM
Raahi Chala chal tu is Jindagi ki safar mein
Na ruk ta hua kisi ek dagar mein
Kai aur Manzilien hai tujko pana
Kai aur Carvan hai tujse Judna
Magar itna yaad rakna
Ki yeh safar hai na koi sapna
Raahi Chala chal tu is Jindagi ki safar mein
Na ruk ta hua kisi ek dagar mein
Har carvan apni aap me sahi hai
Phir bhi logon key apne maaine hai
Kaash yeh baat her koi samaj lein
Ki Uske hatoon me door dein
To roz ki kashmakash se chute
Na dil koh jalakar aasun phute
Raahi Chala chal tu is Jindagi ki safar mein
Na ruk ta hua kisi ek dagar mein
Rab ne agar chaha hoga
To har manzil mein aage hoga
Kisi se na shikayat hogi
Dil se dil ki Milan hogi
Tab Aisa samah hogi
Ek Nayi duniya hogi
|