Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Aaj Uas "Farishtey" Se Sawaal-O-Jawaab Karana Na-Mumkin Huaa
Old
  (#1)
loveforgudia
Ankahi Kahaani
loveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to behold
 
loveforgudia's Avatar
 
Offline
Posts: 438
Join Date: Jun 2007
Location: USA
Rep Power: 23
Smile Aaj Uas "Farishtey" Se Sawaal-O-Jawaab Karana Na-Mumkin Huaa - 2nd August 2007, 10:45 AM

Hello friends ...aap sabako mera pyaar bhara namaskaar....... Aaj kuchh dil mai jasbaat aaye aur uanhe kaagaz par utaar diya . Yeh ek aese insaan ke liye hai jinase mere dil ki koi baat chhupi nahi rahi ....par fir bhi aaj jaise uanse ek baat karna bada mushkil lag raha tha. Jinake aane se meri zindagi mai bas khushiyaan hi khushiyaan aayi hai ....naa jaane fir bhi .. aaj jaise dil mai uanke liye ek sawaal sa thaa.

Bas wahi likhane ki koshish ki jise mai lafzon mai aaj shaayad bayaan nahi kar paati.

Yeh rachana mere uas sabse achhchhe aur pyaare se dost ke liye jo meri zindagi mai khushiyaan le aaya. Jo Farishtaa banke aaya aur jisane Maseeha banke meri zindagi ko khushiyon se mahekaaya.

*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
Jinase hum ghantto karte the baatein,
aaj uanhe ek baat bataana mushakil huaa.
Jinase jude rahete the har subha-shaam ke lamhe humaare,
aaj sang unake ek lamha bitaana mushakil huaa.
Jinase chhupi na thi humaari har ek saans ki kahaani,
aaj unahe ruki ruki si dhadkan ka sabab samjhaana mushakil huaa.
Jinase bani raheti thi har waqt khushiyaan humaari,
aaj unahe apani dastaan-e-gum sunaana mushakil huaa.
Jinase chhupi na thi kabhi koi baat mann ki humaare,
aaj unahe haal-e-dil sunaana mushakil huaa.

Jinase bani raheti thi dard-o-gum mai bhi muskaan labo pe humaare,
aaj unahe apani khaamoshi ka matlab samjhaana mushakil huaa.
Jinase chhupati na thi kabhi aankhon ki nami humaari,
aaj unahe baheti aankhon ka sailaab dikhaana mushakil huaa.

Jinase bani raheti thi ronak baaton mai humaari,
aaj unahe unahi ki badalti baaton ka rukh dikhlaana bhi mushakil huaa.
Jinase juda hoke ab to ek pal ke liye bhi hum jee paate nahi,
"Gudia" aaj to unase kuchh kahena aur sunanaa bhi mushakil huaa.
Jinase mili duaaon se roshan thi jahaan mai khushiyaan humaari,
aaj uas "Farishtey" se sawaal-o-jawaab karana na-mumkin huaa.

*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
Love: Gudia

Jay Ambe.

------------------------------------------------------------
Puri Hoke Bhi Jo Puri Na Ho Hoon Zindagi Ki Wo Ankahi Kahaani......
-------------------------------------------
-----------------
Ek Aaina Jiski Tasveer Dhundhla Gai,
Ek Dil Jiski Dhadkan Ruksi Gai,
Ek Zindagi Jiski Manzil Ka Koi Pata Hi Nahi,
Ek Daaman Jahaan Se Khushi
yaan Galti Se Bhi Guzarti Nahi.

  Send a message via Yahoo to loveforgudia Send a message via AIM to loveforgudia  
Reply With Quote
Old
  (#2)
jawed
Registered User
jawed will become famous soon enoughjawed will become famous soon enough
 
jawed's Avatar
 
Offline
Posts: 68
Join Date: Jun 2007
Rep Power: 18
2nd August 2007, 10:54 AM

Quote:
Originally Posted by loveforgudia View Post

Bahut Khoob Gudiya ji.....
Aapne waqai mein apne jazbaaton ko jis tarah se bayaan kiya hai..woh waqai mein kaabile tareef hai......Allah kare ki aapki zindagi khishiyon se bher dein....

Jawed...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Mohammad Kashif
DIL KI BAAT DIL TAK
Mohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant future
 
Mohammad Kashif's Avatar
 
Offline
Posts: 1,185
Join Date: Apr 2007
Location: MORADABAD (U.P.)
Rep Power: 37
2nd August 2007, 10:55 AM

GUDIA JI AADAB KESI HAI AAP............WAH kya baat hai ek behtreen kalam apne humko padne ke liye diya hamaapke bahut mamnoon hai aap unhi apne kalam se hume nawazti rahiye khush rahiye apna khayal rakhiye...........aap ka dost

"Do Pal Ruka Khushio.n ka Karwan"

Dunia ke sitam ki koi perwah nahi mujhko,
wo kyoun mujhpe ungliya uthaye ja rahe hain.
Jis shaks ko janta tha ek chehre se ''kashif''
Uske kitne chehre samne laye ja rahe hain.

  Send a message via Yahoo to Mohammad Kashif  
Reply With Quote
Old
  (#4)
jasdeephere
Registered User
jasdeephere is just really nicejasdeephere is just really nicejasdeephere is just really nicejasdeephere is just really nicejasdeephere is just really nice
 
jasdeephere's Avatar
 
Offline
Posts: 657
Join Date: Mar 2007
Location: Chandigarh/Jalandhar
Rep Power: 22
3rd August 2007, 08:40 AM

Gudia G Namaskar

Well kahe bhi to kya kahe. kuch bhi nahi samajh mein aa raha....
Pata hai kal jab aapne yeh post submit kari to main bhi online tha aur shayad aapke submit karte hi yeh sabse pehle maine padi...

muaafi chahunga ke sabse pehle padne par bhi main apko iska reply nahi de paya lekin uski wajah yeh thi ke isse padhne ke baad mere paas alfaaz hi nahi the likhne ko......

aapne sach mein itna achha likha hai ke jaise iski tareef bhi nahi ki ja sakti kyunki shabd hi kam pad jayenge.....

ab dekhiye na aapne isme apne kisi azeez ko kitni izzat bakhshi hai halanki usne aapke dil ko thokar bhi lagai hai jo aap ke shabdo se saaf zaahir hai.
par apka andaaz-e-byan laajwaab hai......
itna dard seh kar bhi aap ne usse "Farishtey" ke naam se nwaza hai.........

Kuch logon ki achhai unke har ek bol mein hoti hai jaise apke mein hamein dikhai di hai....

I just Salute to this beautiful "Nazam" and to u also......

aur main Bhagwan g se yeh pray karunga ke woh uss naadan ko bhi apke jazbaat samajhne ki shakti de aur aapko hamesha khush rakhe.....

Khush rahiye hamesha........

Badnaseeb bhi nahi par mera naseeb bhi nahi
Maana ke main ameer nahi par gareeb bhi nahi
Dil ki gehraaiyon mein chhipaya hai jise
Woh door bhi nahi mujhse par kareeb bhi nahi
Chahta to hoon dena usko khushiyan saare jahan ki
par mil jaayein unke gham "Jasdeep" itna khushnaseeb bhi nahi
  Send a message via Yahoo to jasdeephere  
Reply With Quote
Old
  (#5)
jasdeephere
Registered User
jasdeephere is just really nicejasdeephere is just really nicejasdeephere is just really nicejasdeephere is just really nicejasdeephere is just really nice
 
jasdeephere's Avatar
 
Offline
Posts: 657
Join Date: Mar 2007
Location: Chandigarh/Jalandhar
Rep Power: 22
3rd August 2007, 10:56 AM

Gudia G apki is nazm mein dobara haazir hua hu.
maine aapki yeh nazm bahut baar padi aur isme aapka kisi ke liye beinteha pyaar dekha lekin kuch mayoosi bhi dikhi jis wajah se aap toot gayi aur usse bahut kuch chahte hue bhi kuch nahi keh payiiiii.
par mujhe nahi pata ke jo abhi main apke sahmne likhne wala hoon maine aisa kyu socha, kyu likha, aur kyu post kiya....
lekin itna zaroor jaanta hooon ke aap isse mehaz ek post hi samjhengi aur haan agar isme maine aapke kisi ajeez ke liye thodi c berukhi dikhayi ho to mujhe muaaf kariyega kyunki main isse padhne ke baad apne jazbaaton ko rok nahi saka....
shayad apka is duniya ko dekhne ka nazariya aur hai aur main kisi aur nazariye se dekh raha hoon isliye aapse gustaakhi ke liye muaafi chahoonga......

Hai kaun jisse tu baat karti hai?
Hai kaun jisko tu yaad karti hai?
Tod diya hai jisne dil tera sheesha samajh kar
Aaj bhi uske liye tu fariyaad karti hai?

Jisne na samjhi teri har saans ki kahani
Jisne teri khushiyon ki keemat na jani
Kyu chahti hai usse tu hal-e-dil sunana?
Kyu uske liye zindagi barbaad karti hai?

Naadan hai tu kehti hai Farishta usey
Jab pata hi nahi tera aur uska rishta usey
“Jasdeep” dagebaaz hai yeh duniya sari
kyu dagebaazon se tu swaal-o-jawab karti hai?
kyu dagebaazon se tu swaal-o-jawab karti hai?

Khush rahiye hamesha............

Badnaseeb bhi nahi par mera naseeb bhi nahi
Maana ke main ameer nahi par gareeb bhi nahi
Dil ki gehraaiyon mein chhipaya hai jise
Woh door bhi nahi mujhse par kareeb bhi nahi
Chahta to hoon dena usko khushiyan saare jahan ki
par mil jaayein unke gham "Jasdeep" itna khushnaseeb bhi nahi
  Send a message via Yahoo to jasdeephere  
Reply With Quote
Old
  (#6)
loveforgudia
Ankahi Kahaani
loveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to behold
 
loveforgudia's Avatar
 
Offline
Posts: 438
Join Date: Jun 2007
Location: USA
Rep Power: 23
Smile 8th August 2007, 10:28 AM

Quote:
Originally Posted by jawed View Post
Bahut Khoob Gudiya ji.....
Aapne waqai mein apne jazbaaton ko jis tarah se bayaan kiya hai..woh waqai mein kaabile tareef hai......Allah kare ki aapki zindagi khishiyon se bher dein....

Jawed...

Hello Jawed ji ...aapne mere alfaazon ko padha,uanhe samjha aur apani raay di ...uaske liye mai aapki shukara guzaar hoon ...

aur aapki duaa ke liye bhi thank you very much .... apanaa khayaal rakhiyega

Bhagwaan ji aapko hammesha khush rakhe.

Aapki Dost: Gudia

Khuda Haphiz, Jay Ambe.

------------------------------------------------------------
Puri Hoke Bhi Jo Puri Na Ho Hoon Zindagi Ki Wo Ankahi Kahaani......
-------------------------------------------
-----------------
Ek Aaina Jiski Tasveer Dhundhla Gai,
Ek Dil Jiski Dhadkan Ruksi Gai,
Ek Zindagi Jiski Manzil Ka Koi Pata Hi Nahi,
Ek Daaman Jahaan Se Khushi
yaan Galti Se Bhi Guzarti Nahi.

  Send a message via Yahoo to loveforgudia Send a message via AIM to loveforgudia  
Reply With Quote
Old
  (#7)
loveforgudia
Ankahi Kahaani
loveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to behold
 
loveforgudia's Avatar
 
Offline
Posts: 438
Join Date: Jun 2007
Location: USA
Rep Power: 23
Smile 8th August 2007, 10:30 AM

Quote:
Originally Posted by Mohammad Kashif View Post
GUDIA JI AADAB KESI HAI AAP............WAH kya baat hai ek behtreen kalam apne humko padne ke liye diya hamaapke bahut mamnoon hai aap unhi apne kalam se hume nawazti rahiye khush rahiye apna khayal rakhiye...........aap ka dost

Namste Kashif Ji mai thik hoon ... aapko mera kalaam pasand aaya yeh jaankar bahot khushi hui. bas yunhi saath dete rahiyega ... mai koshish karungi ki hammesha kuchh aesa hi likh paaung jo aap sabko bhi pasand aaye.

Bhagwaan ji aapko hammesha khush rakhe.

Aapki Dost: Gudia

Khuda Haphiz, Jay Ambe.

------------------------------------------------------------
Puri Hoke Bhi Jo Puri Na Ho Hoon Zindagi Ki Wo Ankahi Kahaani......
-------------------------------------------
-----------------
Ek Aaina Jiski Tasveer Dhundhla Gai,
Ek Dil Jiski Dhadkan Ruksi Gai,
Ek Zindagi Jiski Manzil Ka Koi Pata Hi Nahi,
Ek Daaman Jahaan Se Khushi
yaan Galti Se Bhi Guzarti Nahi.

  Send a message via Yahoo to loveforgudia Send a message via AIM to loveforgudia  
Reply With Quote
Jasdeep Ji Aapke Liye
Old
  (#8)
loveforgudia
Ankahi Kahaani
loveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to behold
 
loveforgudia's Avatar
 
Offline
Posts: 438
Join Date: Jun 2007
Location: USA
Rep Power: 23
Smile Jasdeep Ji Aapke Liye - 8th August 2007, 11:09 AM

Jasdeep ji, aapki rachana hume bahot pasand aayi ..aur khushi bhi hai ki aapne itane dil se humari rachana ko padhaabhi sahi. Aur aap maafi maang kar
hume sharmindaa kar rahe ho ... Aapki likhi hui thodi si rukhepan waali baat par aapko apnaa jawaab pesh kar rahi hoon ...gustaakhi maaf karna ...

Bhagwaan ji aapko hammesha khush rakhe.

Aapki Dost: Gudia

Jay Ambe.
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
Hai kaun jisse tu baat karti hai?
Hai koi anjaana jin se hum karte hai baatein,

Hai kaun jisko tu yaad karti hai?
Hai koi khudse bhi pyaara jinhe hum har pal har lamha yaad karte hai.

Tod diya hai jisne dil tera sheesha samajh kar
Jisne suni banke dost toote dil ki sadaaein,

Aaj bhi uske liye tu fariyaad karti hai?
Uaski ek baat pe hoke khafa bas humane fariyaad ki hai.

Jisne na samjhi teri har saans ki kahani
Jisane padhli hai meri bandh aankhon ki kahaani.

Jisne teri khushiyon ki keemat na jani
Jisne har lamha har ghadi khud se bhi zyaada meri kimmat hai jaani

Kyu chahti hai usse tu hal-e-dil sunana?
Kyon na sunaaun mai uase apane dukhate dil ki kahaani,

Kyu uske liye zindagi barbaad karti hai?
Kyon na hojaaun mai Barbaad uaspe jis se hai abaad meri zindagaani,

Naadan hai tu kehti hai Farishta usey
Kaise na kahun Farishta uase jisne har pal mujhe khushiyon ki Saugaat di

Jab pata hi nahi tera aur uska rishta usey
Jab pyaar hai beintehaan jahan, wahan Rishta pata hone na hone ka koi ehsaas hi nahi

“Jasdeep” dagebaaz hai yeh duniya sari
Beshaq ho sakti Hai dagebaaz ye duniya saari ,
par"Gudia"ne maana hai Uanke ilaawa mera koi Raazdaar (Humraaz) nahi,

kyu dagebaazon se tu swaal-o-jawab karti hai?
Tabhi to Kiya nahi maine koi sawaal uanse,
Kyon ki uanke saare jawaab dhadkan meri mujhe khud hi hai sunaati.

kyu dagebaazon se tu swaal-o-jawab karti hai?
Tabhi to Kiya nahi maine koi sawaal uanse,
Kyon ki uanke saare jawaab meri dhadkan mujhe khud hi hai sunaati.

Love: Gudia

Jay Ambe

------------------------------------------------------------
Puri Hoke Bhi Jo Puri Na Ho Hoon Zindagi Ki Wo Ankahi Kahaani......
-------------------------------------------
-----------------
Ek Aaina Jiski Tasveer Dhundhla Gai,
Ek Dil Jiski Dhadkan Ruksi Gai,
Ek Zindagi Jiski Manzil Ka Koi Pata Hi Nahi,
Ek Daaman Jahaan Se Khushi
yaan Galti Se Bhi Guzarti Nahi.

  Send a message via Yahoo to loveforgudia Send a message via AIM to loveforgudia  
Reply With Quote
Old
  (#9)
jasdeephere
Registered User
jasdeephere is just really nicejasdeephere is just really nicejasdeephere is just really nicejasdeephere is just really nicejasdeephere is just really nice
 
jasdeephere's Avatar
 
Offline
Posts: 657
Join Date: Mar 2007
Location: Chandigarh/Jalandhar
Rep Power: 22
8th August 2007, 11:15 AM

Gudia G hamne aapke jawab ko padh bhi aur ise samjha bhi

aapka koi jawaab nahiiiiiiiiiii

kisi ke berukhi ko bhi aapne pyaar mein badal diya kamaal hai
ab hamare paas to aapko kehne ke liye bhi kuch bacha....

Dua hai ke aap hamesha hamesha khush rahe.....
aur hamein aapki mayoosi se bhari hui nahi balke khushi se bhari hui nazme padne ko mile

Khush rahiye hamesha.......

Badnaseeb bhi nahi par mera naseeb bhi nahi
Maana ke main ameer nahi par gareeb bhi nahi
Dil ki gehraaiyon mein chhipaya hai jise
Woh door bhi nahi mujhse par kareeb bhi nahi
Chahta to hoon dena usko khushiyan saare jahan ki
par mil jaayein unke gham "Jasdeep" itna khushnaseeb bhi nahi
  Send a message via Yahoo to jasdeephere  
Reply With Quote
Old
  (#10)
EkDharkan
~~Reshma ke Dil ki~~
EkDharkan will become famous soon enough
 
EkDharkan's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: May 2007
Location: Suriname
Rep Power: 18
9th August 2007, 02:06 AM

Quote:
Originally Posted by loveforgudia View Post
Hello friends ...aap sabako mera pyaar bhara namaskaar....... Aaj kuchh dil mai jasbaat aaye aur uanhe kaagaz par utaar diya . Yeh ek aese insaan ke liye hai jinase mere dil ki koi baat chhupi nahi rahi ....par fir bhi aaj jaise uanse ek baat karna bada mushkil lag raha tha. Jinake aane se meri zindagi mai bas khushiyaan hi khushiyaan aayi hai ....naa jaane fir bhi .. aaj jaise dil mai uanke liye ek sawaal sa thaa.

Bas wahi likhane ki koshish ki jise mai lafzon mai aaj shaayad bayaan nahi kar paati.

Yeh rachana mere uas sabse achhchhe aur pyaare se dost ke liye jo meri zindagi mai khushiyaan le aaya. Jo Farishtaa banke aaya aur jisane Maseeha banke meri zindagi ko khushiyon se mahekaaya.

*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
Jinase hum ghantto karte the baatein,
aaj uanhe ek baat bataana mushakil huaa.
Jinase jude rahete the har subha-shaam ke lamhe humaare,
aaj sang unake ek lamha bitaana mushakil huaa.
Jinase chhupi na thi humaari har ek saans ki kahaani,
aaj unahe ruki ruki si dhadkan ka sabab samjhaana mushakil huaa.
Jinase bani raheti thi har waqt khushiyaan humaari,
aaj unahe apani dastaan-e-gum sunaana mushakil huaa.
Jinase chhupi na thi kabhi koi baat mann ki humaare,
aaj unahe haal-e-dil sunaana mushakil huaa.
Jinase bani raheti thi dard-o-gum mai bhi muskaan labo pe humaare,
aaj unahe apani khaamoshi ka matlab samjhaana mushakil huaa.
Jinase chhupati na thi kabhi aankhon ki nami humaari,
aaj unahe baheti aankhon ka sailaab dikhaana mushakil huaa.
Jinase bani raheti thi ronak baaton mai humaari,
aaj unahe unahi ki badalti baaton ka rukh dikhlaana bhi mushakil huaa.
Jinase juda hoke ab to ek pal ke liye bhi hum jee paate nahi,
"Gudia" aaj to unase kuchh kahena aur sunanaa bhi mushakil huaa.
Jinase mili duaaon se roshan thi jahaan mai khushiyaan humaari,
aaj uas "Farishtey" se sawaal-o-jawaab karana na-mumkin huaa.

*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
Love: Gudia

Jay Ambe.
Hi Gudia ,kaisi ho? Lagta hai achhe hi hai.
Bahot achha likha hai aapne, ehsaas bahot achhe lage aapke. Mann khush ho gaya...

Reshma,

Dunya ke sitam ka koi hisaab nahi,
Lekin meri houslo ka bhi jawaab nahi...
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
tarun_ce
Dard-E-Dil..
tarun_ce will become famous soon enough
 
tarun_ce's Avatar
 
Offline
Posts: 49
Join Date: Sep 2004
Location: Dubai
Rep Power: 0
10th August 2007, 06:01 PM

mere jasbaato ko apne kagaz par utar diya.......
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
loveforgudia
Ankahi Kahaani
loveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to behold
 
loveforgudia's Avatar
 
Offline
Posts: 438
Join Date: Jun 2007
Location: USA
Rep Power: 23
Smile 28th September 2007, 09:22 AM

Quote:
Originally Posted by jasdeephere View Post
Gudia G hamne aapke jawab ko padh bhi aur ise samjha bhi

aapka koi jawaab nahiiiiiiiiiii

kisi ke berukhi ko bhi aapne pyaar mein badal diya kamaal hai
ab hamare paas to aapko kehne ke liye bhi kuch bacha....

Dua hai ke aap hamesha hamesha khush rahe.....
aur hamein aapki mayoosi se bhari hui nahi balke khushi se bhari hui nazme padne ko mile

Khush rahiye hamesha.......
.

Namaste Jasdeep ji, dair se reply ke liye maafi chaahate hai. Jise humane pyaar mai badala woh uanka rukha pan nahi par uanki humaare liye beintehaan chaahat hai. Aur jo itana pyaar karte hai woh thoda bahot khafa bhi to ho hi sakate hai. Aakhir haq banta hai......well thanks a lot aapke itane pyaare pyaare replies ke liye.Take Care.

Bhagwaan ji aapko hammesha khush rakhe,

Aapki Dost: Gudia

Jay Ambe.

------------------------------------------------------------
Puri Hoke Bhi Jo Puri Na Ho Hoon Zindagi Ki Wo Ankahi Kahaani......
-------------------------------------------
-----------------
Ek Aaina Jiski Tasveer Dhundhla Gai,
Ek Dil Jiski Dhadkan Ruksi Gai,
Ek Zindagi Jiski Manzil Ka Koi Pata Hi Nahi,
Ek Daaman Jahaan Se Khushi
yaan Galti Se Bhi Guzarti Nahi.

  Send a message via Yahoo to loveforgudia Send a message via AIM to loveforgudia  
Reply With Quote
Old
  (#13)
loveforgudia
Ankahi Kahaani
loveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to behold
 
loveforgudia's Avatar
 
Offline
Posts: 438
Join Date: Jun 2007
Location: USA
Rep Power: 23
Smile 28th September 2007, 09:24 AM

Quote:
Originally Posted by EkDharkan View Post
Hi Gudia ,kaisi ho? Lagta hai achhe hi hai.
Bahot achha likha hai aapne, ehsaas bahot achhe lage aapke. Mann khush ho gaya...

Reshma,
Hello Reshma ji, sorry for late replying. ek baar fir se aap meri post pe aai aur dil se iase pasand kiya uaske liye thanks a lot. Take Care.

Bhagwaan ji aapko hammesha khush rakhe,

Aapki Dost: Gudia

Jay Ambe, Khuda Hafiz.

------------------------------------------------------------
Puri Hoke Bhi Jo Puri Na Ho Hoon Zindagi Ki Wo Ankahi Kahaani......
-------------------------------------------
-----------------
Ek Aaina Jiski Tasveer Dhundhla Gai,
Ek Dil Jiski Dhadkan Ruksi Gai,
Ek Zindagi Jiski Manzil Ka Koi Pata Hi Nahi,
Ek Daaman Jahaan Se Khushi
yaan Galti Se Bhi Guzarti Nahi.

  Send a message via Yahoo to loveforgudia Send a message via AIM to loveforgudia  
Reply With Quote
Old
  (#14)
loveforgudia
Ankahi Kahaani
loveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to behold
 
loveforgudia's Avatar
 
Offline
Posts: 438
Join Date: Jun 2007
Location: USA
Rep Power: 23
Smile 28th September 2007, 09:25 AM

Quote:
Originally Posted by tarun_ce View Post
mere jasbaato ko apne kagaz par utar diya.......

Hello Tarun ji, Aapko mere ehsaas itane pasand aaye ke uasme aapne apane hi dil ke jasbaaton ko mahesoos kiya jaan kar khushi hui. Thanks a lot.

Bhagwaan ji aapko hammesha khush rakhe,

Aapki Dost: Gudia

Jay Ambe.

------------------------------------------------------------
Puri Hoke Bhi Jo Puri Na Ho Hoon Zindagi Ki Wo Ankahi Kahaani......
-------------------------------------------
-----------------
Ek Aaina Jiski Tasveer Dhundhla Gai,
Ek Dil Jiski Dhadkan Ruksi Gai,
Ek Zindagi Jiski Manzil Ka Koi Pata Hi Nahi,
Ek Daaman Jahaan Se Khushi
yaan Galti Se Bhi Guzarti Nahi.

  Send a message via Yahoo to loveforgudia Send a message via AIM to loveforgudia  
Reply With Quote
Old
  (#15)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
2nd July 2010, 04:04 AM

Bohat khoobsurat ehsaas hai Gudia ji...aapke aur Jasdeep ji ke sawaal jawaab, lajawaab haiN.....dono ko dil se daad...

Gudia jee aapki aur se naye kalaam ka intezaar hai,

Per is baar dard per nahi, koi aysa kalaam jisme khushiyoN ke rang ho.....

khush rahiye

duaoN ke saath

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#16)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
2nd July 2010, 07:53 AM

Gudia Ji........Mera bhi kuch aisa hi kehna hai.......Jaisa Zainy Ji ne upar reply me kaha hai........yeh rachna aur sawal jawaab toh bahut khoob rahe......magar aapki nayi rachna ka intezaar ab bhi barqarar hai ......woh bhi khushnuma qalaam ka.... !

apna theek se khayal rakhen....
duaaon ke saath....

YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...

---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#17)
amit7600
Registered User
amit7600 is just really niceamit7600 is just really niceamit7600 is just really niceamit7600 is just really niceamit7600 is just really nice
 
Offline
Posts: 484
Join Date: Oct 2009
Location: Kolkata-City of Joy
Rep Power: 19
3rd July 2010, 12:30 AM

gudiya....
nice one.....keep it going

aapka

amit7600
Aandhiya Gam Ki Chalegi To Sawar Jaoonga Me
Mai To Dariya Hu Samoondar Me Utar Jaaonga Me
Mujhe Suli Pe Chadane Ki Jaroorat Kya Hai Logo
Mere Haato Se Kalam Cheen Lo Yuhi Mar Jaoonga Me

(When i received You in my heart everything changed for me)

Last edited by amit7600; 3rd July 2010 at 12:35 AM..
  Send a message via Yahoo to amit7600  
Reply With Quote
Old
  (#18)
kwahish
An Incomplite Dream
kwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud of
 
kwahish's Avatar
 
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
4th July 2010, 05:20 PM

Gudiyaa Jee AadaaB!

Aapko yahaaN pahleli baar padh raha huN......
Per jo padha to padhta hi rah gaya aise laga aapne yahaaN kuch likha nahi aapne dil ke har ahsaas ko har baat ko dil ki gehrai se kah diya..

Aapke ahsaasoN ko bahut achche aur sade se shabdoN meiN dhala hai aapne.... dil ko chu gaye aur aapne mazi kii kuch baateN yaad aa gayi.... Jahan yeh banda bhi kisi se bhi bindaas kuch bhi kah deta tha per ek baat ke dard ko dil mein dabaye baitha raha wahaaN aapne dil ka haal tak kisi se bataya nahi gaya..... aa jata hai aisa waqt bhi ke kahne ko hazaaroN shikwe gile hote hai dil meiN per laboN per laane ki himmat nahi juta pate..... aise hi waqt ko aapne bayaaN kiya bahut dil ko lag sa gaya.....

Likhati rahiye......
Khush rhaiye.......
Khuda aapko humesha khush aur salamat rakhe....
Khuda Hafez........

  Send a message via Yahoo to kwahish  
Reply With Quote
Old
  (#19)
sajid_ghayel
Registered User
sajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant future
 
sajid_ghayel's Avatar
 
Offline
Posts: 1,849
Join Date: Feb 2009
Location: Mumbai
Rep Power: 32
5th July 2010, 04:02 AM

Bohat khoobsurat peshkash hai...........Allah pak aapko aur yeh Nazm jis farishtey ke liye likhi gayee thi dono ko salamat rakhe. AAMEEN

Jhoot kehdu yeh meri fitrat me nahi shamil

Par tujhe bevafa bhi kehna achcha nahi lagta...

Mob.: +971 501297654
  Send a message via Yahoo to sajid_ghayel  
Reply With Quote
Old
  (#20)
shayari
Registered User
shayari is a jewel in the roughshayari is a jewel in the roughshayari is a jewel in the roughshayari is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 272
Join Date: Jun 2010
Rep Power: 17
5th July 2010, 10:37 AM

namaskaar aapki kosish achi lagi par main jyada parbhavit nahi ho paya pata nhi kyou shayad shero main gehrai ki kami thi maafi chaunga

apni aadat se majbur hu isliye ek sher hazir hai

na jane use kya vehem hai meri taraf se
jo rat ko bhi khwab main tanha nahi aata

pawan(shayari)
   
Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
"kameene","laffange parindo.n" ki "badmaash compny" parveen komal Shayri-e-Dard 9 17th August 2010 11:59 PM
*aataa hai yaad mujhako guzaraa huaa zamaanaa...." Sir Mohammed Iqbal Jee"* Diggaj_Dave Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 10th July 2006 09:44 AM
ab to "SaaGar" ye qissaa puraanaa huaa Neha Haroon Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 29th April 2003 02:08 PM
"khud hi sawaal" fersahab Shayri-e-Dard 1 28th October 2002 04:42 PM
"farishtey" shyam Shayri-e-Dard 0 12th May 2002 04:46 PM

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com