Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Aur aankhon mai hai summandar ka paani
Old
  (#1)
loveforgudia
Ankahi Kahaani
loveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to behold
 
loveforgudia's Avatar
 
Offline
Posts: 438
Join Date: Jun 2007
Location: USA
Rep Power: 23
Aur aankhon mai hai summandar ka paani - 7th September 2007, 09:56 AM

Ae dost aaj tere sawaalon ke jawaab mai de na paai,
Kaise de deti tujhe wo jawaab jisme chhupi thi meri daastaane gum saari,
Dil mai hai dard ke toofaan kai,
Aur aankhon mai hai summandar ka paani,
Na jaane kyon dard nikala na baahar aaj banke lafz meri zubaani,
Jaane kaise tu aaj samjha na mere khaamosh dil ki kahaani,
Kaise kar deti bayaan wo lamha jo guzara hai mujhpe,
Uasme to ae dost hoti mere Pyaar mere Dil-Bar ki ruswaai,
Samjhaaun kaise tujhe ki chaah kar bhi zubaan aaj tujhase kahe na paai ki,
Sanam ne hi mere mujhe aaj chot kaisi hai lagaai,
Samjha paati shaayad mai tujhe apane dil ki majburiyaan saari,
Bahe rahi thi jab mai apani hi aankh se hoke paani paani,
Uas waqt jaane kyon hoke khafa tune dosti mai humaari hai duriyaan badhaai,
Kaash ke dikha paati mai tujhe ae dost ki,
Dosti hai teri mujhe apani jaan se bhi pyaari,
Par dil se tere Aaj nikal jaae na koi Baddua mere Maheboob ke liye,
Yahi soch kar shaayad mai tere sawaalon ke jawaab de na paai,
Fir na samajh ke mujhako jaane kaisi ab tune mujhase yeh naraazagi hai dikhaai,
Khafa hone se pahele! Yoon mujhase rooth ne se pahele,
Kya ek baar bhi tere dil se koi awaaz na aai,
Khaamoshi ne meri kya dil pe tere koi dastak na lagaai,
Aaj tu chhod chala mujhe akeli uan halaat mai ae dost,
Jab Tinako mai bikhar rahi thi meri Duniyaa saari,
Par shaayad aaj jaake "Gudia" samajhi hai ki,
Har kisi ki hoti hai apani zindagaani,
Aur har zindagi ki hoti hai lamha lamha ek aur nai kahaani.

Love: Gudia

Jay Ambe.


------------------------------------------------------------
Puri Hoke Bhi Jo Puri Na Ho Hoon Zindagi Ki Wo Ankahi Kahaani......
-------------------------------------------
-----------------
Ek Aaina Jiski Tasveer Dhundhla Gai,
Ek Dil Jiski Dhadkan Ruksi Gai,
Ek Zindagi Jiski Manzil Ka Koi Pata Hi Nahi,
Ek Daaman Jahaan Se Khushi
yaan Galti Se Bhi Guzarti Nahi.



  Send a message via Yahoo to loveforgudia Send a message via AIM to loveforgudia  
Reply With Quote
Old
  (#2)
jasdeephere
Registered User
jasdeephere is just really nicejasdeephere is just really nicejasdeephere is just really nicejasdeephere is just really nicejasdeephere is just really nice
 
jasdeephere's Avatar
 
Offline
Posts: 657
Join Date: Mar 2007
Location: Chandigarh/Jalandhar
Rep Power: 22
7th September 2007, 10:11 AM

Gudia G namaskar

Ek baar phir aapki bahut hi behtreen koshish.
isme ek bahut bada raaz chhipa hai jise samajh pana kaafi mushkil hai........

par mujhe aapke ehsaas har baar ki tarah is baar bhi bahut pasand aaye....

Khush rahiye hamesha.....



Badnaseeb bhi nahi par mera naseeb bhi nahi
Maana ke main ameer nahi par gareeb bhi nahi
Dil ki gehraaiyon mein chhipaya hai jise
Woh door bhi nahi mujhse par kareeb bhi nahi
Chahta to hoon dena usko khushiyan saare jahan ki
par mil jaayein unke gham "Jasdeep" itna khushnaseeb bhi nahi
  Send a message via Yahoo to jasdeephere  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
7th September 2007, 10:34 AM

Gudiya jee:

namaskaaR..

seedhe dil sey nikle huye lafz ko paRh ke baRaa hi sukuuN milaa.. YuuN to poori kavviSh Bahot hi Khuub rahi Gudiya jee.. par kosiSh ke aaKhir meiN jo aapne baat kahi hay,,"har zindagi ki hoti hai lamha lamha ek aur nai kahaani." wo baat dil ko chhu gaYii.. Bahot sahi kahaa haii aapne.. kii har ziNdagee ki hoti hai laMhaa laMhaa ek aur naYii kahaani..! bahot Khuub!! daad!!

guzaariSh hay aap YuuNhi liKhate raheN aage bhee.. !

apnaa Khayaal raKheN.. KhuSh raheN..

duaaoN ke saath ijaazat..jai Shree kriShna..!

aapka dost

~ Dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
nice
Old
  (#4)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
nice - 7th September 2007, 05:52 PM

Quote:
Originally Posted by loveforgudia View Post
Ae dost aaj tere sawaalon ke jawaab mai de na paai,
Kaise de deti tujhe wo jawaab jisme chhupi thi meri daastaane gum saari,
Dil mai hai dard ke toofaan kai,
Aur aankhon mai hai summandar ka paani,
Na jaane kyon dard nikala na baahar aaj banke lafz meri zubaani,
Jaane kaise tu aaj samjha na mere khaamosh dil ki kahaani,
Kaise kar deti bayaan wo lamha jo guzara hai mujhpe,
Uasme to ae dost hoti mere Pyaar mere Dil-Bar ki ruswaai,
Samjhaaun kaise tujhe ki chaah kar bhi zubaan aaj tujhase kahe na paai ki,
Sanam ne hi mere mujhe aaj chot kaisi hai lagaai,
Samjha paati shaayad mai tujhe apane dil ki majburiyaan saari,
Bahe rahi thi jab mai apani hi aankh se hoke paani paani,
Uas waqt jaane kyon hoke khafa tune dosti mai humaari hai duriyaan badhaai,
Kaash ke dikha paati mai tujhe ae dost ki,
Dosti hai teri mujhe apani jaan se bhi pyaari,
Par dil se tere Aaj nikal jaae na koi Baddua mere Maheboob ke liye,
Yahi soch kar shaayad mai tere sawaalon ke jawaab de na paai,
Fir na samajh ke mujhako jaane kaisi ab tune mujhase yeh naraazagi hai dikhaai,
Khafa hone se pahele! Yoon mujhase rooth ne se pahele,
Kya ek baar bhi tere dil se koi awaaz na aai,
Khaamoshi ne meri kya dil pe tere koi dastak na lagaai,
Aaj tu chhod chala mujhe akeli uan halaat mai ae dost,
Jab Tinako mai bikhar rahi thi meri Duniyaa saari,
Par shaayad aaj jaake "Gudia" samajhi hai ki,
Har kisi ki hoti hai apani zindagaani,
Aur har zindagi ki hoti hai lamha lamha ek aur nai kahaani.

Love: Gudia

Jay Ambe.
gudia ab kyaa kahu ab kyaa andaza lagau ki wo dost kon hai?jo tumhe chhor ke chal diya.....usko aisa bilkul nahi karna chahiye thaa....khuda se duaa hai ki wo dost aapka wapis aa jaye.....aapki pukaar mein dam hai usko wapis aana hii hoga.....raj........


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#5)
tarun_ce
Dard-E-Dil..
tarun_ce will become famous soon enough
 
tarun_ce's Avatar
 
Offline
Posts: 49
Join Date: Sep 2004
Location: Dubai
Rep Power: 0
7th September 2007, 09:14 PM

bahot pyara likha hei...lekin apke dard ka ehsas apke sathi ho hota hei
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
paani hi to hai zakhmee ashiq Shayri-e-Dard 14 20th February 2010 11:40 AM
Paani Betab Dil Shayri-e-Ishq 0 9th November 2004 08:26 PM
Paani Bankar nilofer17 Shayri-e-Dard 1 25th October 2004 11:42 AM
Guzar gaee raat aankhon aankhon main baba Shayri-e-Ishq 0 31st December 2003 02:21 PM
paani de gaya kishor Shayri-e-Dard 0 30th March 2003 10:35 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com