ek ghazal... NAAZ aur MEGHNA ke naam..... -
22nd May 2009, 08:05 PM
meri ye koshish meri pyaari dost NAAZ aur MEGHNA ke naam karti hu.....meri dost MEGHNA kuch bure daur se guzar rahi hai..uske dard se muje bhi bahut taklif hoti hai...shayad use hamari taklif ka andaza bhi nahi hai...
rahi baat NAAZ ki....wo bewakoof ladki bhi kabhi kabhi chup chup ke roti hai aur ye samajti hai ki hume pata nahi chalta....hai na NAAZ??...
in dono paagal ladkiyon ko apni is ghazal ke zariye apne ehsaas batana chahti hu.........
apne dil ki haalat hume bhi bataa to zara,
us bewafaa ki yadein dil se mita to zara,
usne chaha hi nahi kabhi shiddat se tuje,
jo jaa chuka hai use dil se bhoola to zara,
khamosh rehkar ghum ko apne nasoor na bana,
mujrim hai tera ab de use sazaa to zara,
tere zakhmo se hota hai dard humko bhi,
gar andaza hai tuje to de dawaa to zara,
chup chup ke akele ashkon ke saagar na bahaa,
dede apna har dard hume de dosti ka sila to zara,
teri muskurahat ek anmol khazana hai hamara,
ae dost, thoda sa ise humpar luta to zara..............
"LAMHA"
mujhko acchaa nahiiN lagtaa ko段i hamnaam teraa ,
ko段i tujhsaa ho to phir naam bhii tujhsaa rakhe....
Last edited by LAMHA; 22nd May 2009 at 08:13 PM..
|