Quote:
Originally Posted by red_ruchika
Jab mausam itna haseen hota hai..to ya to ankhon me chamak ati hai ya fir dil gam se bhar jata hai...aur samajh nahi pata ki zindagi kahan chal rahi hai...sab kuch hokar bhi kami kahan hai ye samajh nahi pata...hum bhi apna rukh shayri ki taraf mod lete hain kuch aise lamho me...kyunki zindagi ki gehrai sirf isi me milti hai.aik ghazal ap sab ke liye...acchi lage to batana zarur...
us se hain hansi ab,us hi se hain ankho me nami ab,
jo uska ji chahe to wo bana de,na chahe to mita de...
wo masum sa hai duniyadari nahi samajhta,
is zamane ki buri nazar se usko bacha de...
yakeen uspar bhi hai aur khudpar bhi,
kamzor dil ki shak-e-fitrat ko majbut bana de...
ham apna sabkuuch gawan de,sirf gar wo,
apni khusbu hamare ghar ki hawa me mila de...
"sanam" hasraton ki udaan uspar hi ruk gai hai,
uske sath ke liye fir chahe ab koi lakhon saza de...
Ruchika Jain
(sanam)
|
ruchika jee bahut dino baad aapko pada shayad beech mein aap aa bhi nahin aa rahi thi. Bahut hee badiya likha hai aapne, har sher mein aapki bhawnayein jhalak rahi hain. Yun hee mehfil mein aati rahiye aur apni racnaon se roshan karti rahiye.