|
|
|
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
dard kyaa hota hai bataayeNge kisi roz -
25th April 2005, 09:11 AM
aik taaza Ghazal.......ehbaab ki nazar
mulai'zaa farmaayeN
dard kyaa hota hai bataayeNge kisi roz
maikash ki Ghazal tumko sunaayeNge kisi roz
thi unki yeh zidd ke maiN jaauN unko manaane
mujhko yeh veham tha voh bulaayeNge kisi roz
allah qasam maine to socha bhi nahiiN tha
voh "itnaa" mere dil ko dukhaayeNge kisi roz
har roz aayi'ne se yahi puuchta huuN maiN
kya rukh pe tabbassum bhi sajaayeNge kisi roz..?
udne do in pariiNdoN ko aazaad fazaa meiN
tumhaare hoNge agar lauT hi aayeNge kisi roz
apne sitam ka dekh lena khud hi asar tum
zakhm-e-jigar tam'aam dikhaayeNge kisi roz
"maikash miyaaN" jo peete rahe yuuN hi dosto
hum keh rahe haiN jaan gaNwaayeNge kisi roz
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
|
25th April 2005, 09:45 AM
Aapke bayaan mein shaamil hain...
Bahut khoobsurat alfaaz,
aur us se bhi khoobsurat andaaz.....
Kuch humari taraf se bhi arz hai....
Mujhko apne dard-e-dil ke zakhm na dikhaana,
apni ghazalon se kabhi mujhko na behlaana...
meri zidd mein khudaa-ra mujhko na jhukaana,
mere bulaane se pehle tum mujhko manaana...
Yeh to jugalbandi ho gayi!
Abhi bas itna hi...
Mohabbat...
Naina
Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
|
|
|
|
|
madhoSH shaKHs
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 24
|
25th April 2005, 10:18 AM
haaye, shabdoN mein itnii bebasii ko qeh'd rakhnaa achii baat nahiN hai mere bhai! ..jinke liye dil tadapta hai, kaash woh bhii paD sakte apne aashiqoN ke jazbaat.
bahot zordaar ghazal hai miyaan, aur har sher daad ke qaabil hai!
"udne do in pariiNdoN ko aazaad fazaa meiN
tumhaare hoNge agar lauT hi aayeNge kisi roz"
«-- waaaaaah! kya umDa khayaal hai janaab! laa-jawaab.. bahot hii geh'raaii mein le gaye aap to khayaalat kii kashtii ko!
aapkii ghazaloN mein chuphaa ek aaiina hai, aur aapke alfaaz ki parchaayii mein main aksar khud ko paataa hoon; aglii ghazal kaa be'sabrii se intezaar rahe gaa!
mehfil sajaate rahiiye, aur duaa hai kii ek din aapkii mehboob ko yeh ghazaleiN paDne kaa maukaa mile
aman
"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"
kya karooN? aisa hi hooN maiN..
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 22
|
25th April 2005, 12:17 PM
Adaab Maikash Sahab,
Bohot acchha laga aapko yaha vaapis paa kar. Janab ek bohot hi umda ghazal pesh ki hai aapne jis ke liye humari daad qabool kare. Ek ajeeb se bebasi, kuch naummeedi aur kaafi dard. Bohot khoob. Likhte rahe.
Luvs,
Salim
If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul
Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.
We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
|
|
|
|
|
Paigaam-e-Aman
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 27
|
25th April 2005, 01:30 PM
udne do in pariiNdoN ko aazaad fazaa meiN
tumhaare hoNge agar lauT hi aayeNge kisi roz
Maikash Sahab SSA.....
aapke aane se bazm phir dilkash ho uthi hai......
aur rahi baat aapke kalaam ki to......use padna humesha hi aacha lagta hai.....
dard aur sitam se bhare is kalaam pe is nacheez ki daad kabool kijiye.....
umeed hai aage bhi aap isi tarah se bazm ko sajate rahenge......
**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......
AMAN RAHI
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 28
|
Re: dard kyaa hota hai bataayeNge kisi roz -
26th April 2005, 10:33 AM
Maikash Miyaan...
Ghazal tau aap khuub kehte hain janaab...yeh aakhiri sher dil ko chaak chaak karne pe tula hai...
"maikash miyaaN" jo peete rahe yuuN hi dosto
hum keh rahe haiN jaan gaNwaayeNge kisi roz
ab aap jis alam mein yeh likh gaye hain...usi ko barqaraar rakhte huye...yeh Faiz sahib ke chand ashaar apki nazar karti hoon...
tez hai aaj dard-e-dil saaqii
talKhii-e-may ko tez-tar kar de
josh-e-mahashar hai tashnaakaam abhii
chaak-e-daaman ko taa-jigar kar de
Do shauq-e-shahadat rakhne wale, mere azeez Shayron ko ek saath yahan dekh bus yaad aaya...Jee Sharaabi Sahib aap bhi zara nazar-e-sani kijieygaa...
jahaan bhi rahieye...khush rahieye...
paras
nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho
mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho
--Sayyidaa Fatimaa Hasan
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
|
26th April 2005, 10:33 AM
maikash saheb
mein behad khush hoon ke aap ne arse baad is forum ke liye kuch likha.
hazb e mamool aap ka kalam aap ka khoobsurat andaaz e bayan, laayeq e satayesh hai.
her shayr bohat khayal afreen, aur lateef jazbe ka haamil hai.
meri bharpoor daad qabool karein, aur please isi tarah is forum ko apne kalam se roshan kerte rahein.
meri duayein aap ke liye aap ki khushiyon aur sehat ke liye.
musharrafhusain
|
|
|
|
|
Yaadon ka!
Offline
Posts: 6,801
Join Date: Jan 2002
Location: gujarat-India
Rep Power: 47
|
26th April 2005, 06:51 PM
bahut hi accha likha hain apne maikashjee.............shabdon ka pirona bhi kamal ka hain.....
udne do in pariiNdoN ko aazaad fazaa meiN
tumhaare hoNge agar lauT hi aayeNge kisi roz
apne sitam ka dekh lena khud hi asar tum
zakhm-e-jigar tam'aam dikhaayeNge kisi roz
mausam
Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN
Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se
|
|
|
|
|
kuch baatein kuch yaadein
Offline
Posts: 1,748
Join Date: May 2003
Rep Power: 23
|
16th May 2005, 12:44 PM
maikashji
aapki ghazal behad pasand aayi
sonal
~~ u never know where ur destiny takes u ~~
There would come a time when
we have to stop loving a person
not because that person started hating us .....
but because we found out that they'd be happier if we let me go.....
|
|
|
|
|
Humanity
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 43
|
Re: dard kyaa hota hai bataayeNge kisi roz -
16th May 2005, 12:58 PM
dard kyaa hota hai bataayeNge kisi roz
maikash ki Ghazal tumko sunaayeNge kisi roz
thi unki yeh zidd ke maiN jaauN unko manaane
mujhko yeh veham tha voh bulaayeNge kisi roz
WaaaaH.. bahut khoob!!
allah qasam maine to socha bhi nahiiN tha
voh "itnaa" mere dil ko dukhaayeNge kisi roz
har roz aayi'ne se yahi puuchta huuN maiN
kya rukh pe tabbassum bhi sajaayeNge kisi roz..?
Waaahhh... !!
udne do in pariiNdoN ko aazaad fazaa meiN
tumhaare hoNge agar lauT hi aayeNge kisi roz
apne sitam ka dekh lena khud hi asar tum
zakhm-e-jigar tam'aam dikhaayeNge kisi roz
Behad khoobsurat!!
"maikash miyaaN" jo peete rahe yuuN hi dosto
hum keh rahe haiN jaan gaNwaayeNge kisi roz
Waaaaahhh!!
Maikash ji!
Ek aur behad khoobsurat kalaam.. bahut accha laga ise padhkar... yun hi khhobusrta ashaar humaare beech laate rahiyega....
Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 25
|
2nd July 2005, 12:18 AM
Bahut khoob...
Jitni tareef karoongs kamm hi hogi..
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 75
Join Date: Jul 2005
Rep Power: 20
|
hi -
29th July 2005, 07:54 PM
thi unki yeh zidd ke maiN jaauN unko manaane
mujhko yeh veham tha voh bulaayeNge kisi roz
wow tooo good
pyaar koii bol nahii.n, pyaar aavaaz nahii.n
ek khaamoshii hai sunatii hai kahaa karatii hai
naa ye bujhatii hai naa rukatii hai naa Thaharii hai kahii.n
nuur kii buu.Nd hai sadiyo.n se bahaa karatii hai
sirf ehasaas hai ye, ruuh se mahasuus karo
pyaar ko pyaar hii rahane do, koii naam naa do.....
hamane dekhii hai in aa.Nkho.n kii mahakatii khushabuu
haath se chhuuke ise rishto.n kaa ilzaam na do...........
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 585
Join Date: Jan 2003
Rep Power: 24
|
9th August 2005, 08:15 PM
wah wah wah,
mujhe is jagah aap se bohot kuch seekhne ko mila, mai bohot inspire hoti hoon aap ki shayri se.
zeba
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 36
|
10th August 2005, 09:05 AM
maikash ji,
taarif mai koi jawaab nahi milae aisi gajal.
khush raho.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 27
|
21st March 2006, 01:12 AM
wow...
Very nice maikash ji...
Take care!
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 68
Join Date: Dec 2001
Location: ahmedabad
Rep Power: 24
|
bhai waah -
24th March 2006, 10:06 PM
Aadaab huzoor. i hope ki aapne pehchaan to liya hi hoga. arse baad in sheroN ke zariye mulaakaat ho rahi hai.
bahot khoob ghazal hai. Aaj ek arse baad shayri.com per lauta aur aapki ye ghazal padhi to dil khush ho gaya. Reply kiye bina dil nahi mana. Ek aur baar mubaarakbaad dena chaahunga. Bahot acchi ghazal hai.
chaliye aapki ghazal padhte padhte 2 sher zahen me aa gaye. aapki nazar kar raha hun.
Raat itni to teri baahoN me guzaar lunga.
ki saher tarsegi har pal, saher hone tak.
ek aur.... mulaaizaa farmaayein..
Kal raat mujhse meri besabr zindagi ne kaha
Soch lo "rahul" kal fir vohi saher hogi.
aise na jaane tamaam sher zahen me aate rehte hain. waqt ki paabandi ki wajah se mehfil me aa nahi pata. per jab bhi waqt milta hai aapki ghazalein search kar ke jaruur padhta hun. Shumailaa jee se bhi hamara aadaab kahiyega.
Chalta hun.
Rab aapko salaamat rakkhe.
Rahul.
ek sher aur likh lun... azal hote hote
ek umr ho gayi hai... ghazal hote hote
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
11th September 2006, 06:57 PM
Maiksah bhaa'i,
paRh kar mazaa aaa gaya.. MaikaShi ka kyaa aalam hai.. bohat khoob!
ess naa-cheez ka daad haazir hai, qubool keejiye...
-Mayank
|
|
|
|
|
"Taish meN hai Taish"
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 49
|
11th September 2006, 08:48 PM
maikash sir ek aur bahut hi udma peshkash thi ye aapki.aapko jab v padhte hain jee karta hain padhte rahen.aapse bas yahi guzarish karunga ki aap aage v bas yunhi likhte rahiye hum jaise nacheezon ke liye.taki hume kuch andaaz-e-bayaan seekhne ko mil jaye.
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
12th September 2006, 01:11 AM
kya kaheN bhai ye miyaaN maikash kuch ziyada hi bad'tameez ho gaye haiN aaj-kal....dostoN ne itni muravvat se apne tabsire se nawaaza aur huzuur ne kisi ka bhi shukriya adaa nahiiN kiya...!!
dosto sabse mazrat chahta huuN......tabiyat zaraa na'saaz hai isliye sabhi ka ek hi post maiN dhanyavaad karne ki gustaakhi kar raha huuN
Ghazal ko dobara na padhne ki jurrat shayad isliye nahiiN ke is Ghazal ki beher meiN behisaab laGhzisheiN numaayaaN haiN...isko maine pphir se kehne ki koshish ki hai kisi roz post karuuNga
jin dostoN ne husala badhaaya hai unka shukurguzaar huuN
rab raakha
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 43
Join Date: Oct 2005
Rep Power: 0
|
12th September 2006, 03:22 AM
thi unki yeh zidd ke maiN jaauN unko manaane mujhko yeh veham tha voh bulaayeNge kisi roz
Wah wah kya baat hai..........bahut acche....Really liked it!!!
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 875
Join Date: Nov 2004
Location: udaipur
Rep Power: 36
|
12th September 2006, 11:05 AM
bahut dino bad kuch aisa padha hai ... jisk ek ek shabd ko taar bana du ... to tar ki jhankaar se dard ka sitaar baj uthe....!!
maaf karna dost taarif k liye shabd nahi hai ... mehroom rahna padega tumhe !!!
|
|
|
|
|
Zakhm-e-Rooh
Offline
Posts: 2,220
Join Date: Nov 2004
Location: ahmedabad
Rep Power: 34
|
hi -
12th September 2006, 11:27 AM
maikash ji aap ki ghazal jab bhi padhte hai, bas padhate hi rahate hai,kyaa khoob rawaani hai ,padh kar sach mai mazaa aa gaya,aap ki agli ghazal ka besabri se intzaar rahegaa,aur is dilkash kavish par meri dil se daad kabool kijiyega janaab
likhte rahiyega
regards
manu
|
|
|
|
|
Guest
|
hello -
27th September 2006, 04:12 PM
Quote:
Originally posted by naina_cooleyes
Aapke bayaan mein shaamil hain...
Bahut khoobsurat alfaaz,
aur us se bhi khoobsurat andaaz.....
Kuch humari taraf se bhi arz hai....
Mujhko apne dard-e-dil ke zakhm na dikhaana,
apni ghazalon se kabhi mujhko na behlaana...
meri zidd mein khudaa-ra mujhko na jhukaana,
mere bulaane se pehle tum mujhko manaana...
Yeh to jugalbandi ho gayi!
Abhi bas itna hi...
Mohabbat...
Naina
|
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 34
|
29th September 2006, 08:58 PM
sabse pahale pranam maikash ji,
to ab shuru karu............?
dard kyaa hota hai bataayeNge kisi roz
maikash ki Ghazal tumko sunaayeNge kisi roz
shayad hum aapki gazal hi parh rahe hai ji..........
''dard kyaa hota hai bataayeNge kisi roz'' ye line achhi lagi hume.
har roz aayi'ne se yahi puuchta huuN maiN
kya rukh pe tabbassum bhi sajaayeNge kisi roz..?
ye tabbassum kya hota hai?
apne sitam ka dekh lena khud hi asar tum
zakhm-e-jigar tam'aam dikhaayeNge kisi roz
masha allah..............
"maikash miyaaN" jo peete rahe yuuN hi dosto
hum keh rahe haiN jaan gaNwaayeNge kisi roz
maikash miyaan aapne kya likha hai ye..............behatariin. bahot hi pyara sher laga ye hume..........
apki gazal ki jitni tariif karun kam lagti hai,
humari to palken bhi aaj num lagti hai..
hmmmm kahan se laye itna dard haa boliye boliye.....
sach kaun to aapki ye gazal dil ko chhu gai aaj humare....unhi likhte rahiye ji yahi dua hai dene ke liye
ok ji bye bye
graze
aapki dost
pooja
===========Deepika=========== Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 64
|
29th August 2008, 05:08 PM
maikash bhaii.....bahut khoob kaha aapne...har sher kabiley tareef hai....par yeh sher sabse khaas laga :
udne do in pariiNdoN ko aazaad fazaa meiN
tumhaare hoNge agar lauT hi aayeNge kisi roz
bahut umda khayaal haiN
kush rahiye
god bless u
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
.....Sunita Thakur.....
यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 36
Join Date: Jul 2008
Rep Power: 0
|
29th August 2008, 05:24 PM
lafzo ki tarah dil ki kitab main milenge,
ya banke mahak aapko gulab main milenge,
milne ke liye e dost zara theek se sona,
aaj hum tumse khwabon main milenge....
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 585
Join Date: Jan 2003
Rep Power: 24
|
26th July 2009, 12:41 AM
aap ko padh ke kabhi dil wah wah kiye bagair is site par se nahi jaata.
|
|
|
|
|
Aapki dost
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
|
17th October 2009, 08:11 PM
Soch rahi hooN kaise is kalaam par nazar nahiN gayi meri ab Tak!! Is Ke Liye pehle to mein aap se maafi Chaahugi! ..
KahNe Ko Kaafi kuch hai.. par Samjh meiN nahiN aa raha ki Shuru kaha se Kare, Har sher Laa-jaawaB hai
Jis tarah se baayaaN kiya hai aapne usay pad Kar bahuT aasudgi mili wakay ye kalaaM khabil-e-tareef hai!
Bohat hi khuubsurat aur dil azeez ghazal likhi hai aap ne... padha to sirf padhti hi reh gayi..
maikash ji... aap shayri.com ke un shayeroN me shaamil haiN jin ke Ghazalein yahaan ki raunaq badha deti hain....
aapki ghazaloN ka hamesha se intezaar rehta hai...
yuhi likhte rahiye...
Zainy
PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...
Nm
|
|
|
|
|
masttt...
Offline
Posts: 2,152
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 41
|
24th November 2009, 09:46 PM
Quote:
Originally Posted by maikasH
aik taaza Ghazal.......ehbaab ki nazar
mulai'zaa farmaayeN
dard kyaa hota hai bataayeNge kisi roz
maikash ki Ghazal tumko sunaayeNge kisi roz
thi unki yeh zidd ke maiN jaauN unko manaane
mujhko yeh veham tha voh bulaayeNge kisi roz
allah qasam maine to socha bhi nahiiN tha
voh "itnaa" mere dil ko dukhaayeNge kisi roz
har roz aayi'ne se yahi puuchta huuN maiN
kya rukh pe tabbassum bhi sajaayeNge kisi roz..?
udne do in pariiNdoN ko aazaad fazaa meiN
tumhaare hoNge agar lauT hi aayeNge kisi roz
apne sitam ka dekh lena khud hi asar tum
zakhm-e-jigar tam'aam dikhaayeNge kisi roz
"maikash miyaaN" jo peete rahe yuuN hi dosto
hum keh rahe haiN jaan gaNwaayeNge kisi roz
maikash
|
Maikash saheb Adaab!!!
Janaab takreeban teen mahine hue haiN mujhe sdc join kiye aur meri badkismati dekhiye ki jo khojta hua aaya tha woh mujhe aapki Ghazal meiN teen mahine baad mila....
Pehle aapko na padh paana shayad ghaflat ho sakti hai, lekin ab na padhna badkismati hogi...
Main Kya tareef karunga aapki Ghazal ki, likhne ka sabab matr apni haazari darz karvana tha...
Ijaazat...
Vikram
'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....
vikramjethi@gmail.com
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 64
|
18th January 2013, 03:29 PM
Maikash ji, aapki yeh gazal aaj maine Facebook ke apne page Shayri Through Emotions par share ki hai...muje behad pasand hai yeh gazal....!!
rabb raakha
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
.....Sunita Thakur.....
यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...
|
|
|
|
|
.. ek andaaz
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
|
18th January 2013, 04:48 PM
Wuaahhhh saaheb..
Mazaa aa. Gaya ..purasar kalaam zabardast aihsaas ..
Jitnii tareef kareiN utni kam
special thanks to sunita jee
daad qubool farmaaeiN
Last edited by kshitiz; 18th January 2013 at 04:51 PM..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 64
|
18th January 2013, 05:07 PM
Quote:
Originally Posted by kshitiz
Wuaahhhh saaheb..
Mazaa aa. Gaya ..purasar kalaam zabardast aihsaas ..
Jitnii tareef kareiN utni kam
special thanks to sunita jee
daad qubool farmaaeiN
|
Kshitiz ji.....ham Maikash ji ki gazal ka thanx karte hai, uske bahane aapne hame yaad to kiya :-) kahaN busy rehte hai aap...kuch likhiye na bazm ko aapke taaza kalaam ka intezaar hai
god bless u
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
.....Sunita Thakur.....
यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 748
Join Date: Oct 2009
Location: new york U.S.A.
Rep Power: 29
|
18th January 2013, 05:56 PM
udne do in pariiNdoN ko aazaad fazaa meiN
tumhaare hoNge agar lauT hi aayeNge kisi roz
maikash ji poori maikash hai yeh gazal.........zabardast.
rajinderseep
|
|
|
|
|
.. ek andaaz
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
|
18th January 2013, 06:19 PM
Sunita jee ..
Kaisi haiN aap ..yaad to use karte haiN jise bhula diya jaaye ..
Maine ek ghazal likhi hai shayad dard section ke pehle page pe hi hai
Aapka intezaar hai
|
|
|
|
|
Member
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 27
|
18th January 2013, 07:57 PM
Maikash ji,
bahut behtereen ghazal...Ek baar punjabi poetry
section mein Shiv di Ghazal thread.me aap se mukhatib
hua tha...
aaj aap ki gazal Kisi roz pari , bAut khoob.
sanjay sehgal
khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
|
|
|
Thread Tools |
|
Display Modes |
Rate This Thread |
Linear Mode
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
|