tera aasraa kyun hai........... -
19th July 2006, 09:46 PM
salaam namastey to the members of the forum..........
kaafi dino baad aayaa hoon is forum pe........ kuch yaad aa raha tha to socha sunaataa chaloon..... pasanad na-pasand karnaa aapka kaam hai.......
'tu bewafaa hai magar teraa aasraa kyun hai,
har ek lamha tujhe dil yeh dhoondhta kyun hai,
meri nazar mein, jigar mein mere khayal mein tu,
zaraa kareeb to aajaa yeh faaslaa kyun hai.'
'mere dost Mushtaq "Banarasi" Sahab ki kalam se'
Mohammad Danish
Duniya se jo darte ho khwabon mein chale aanaa........ do bol mohabbat ke tanhaai mein keh jaana.
|