29th October 2002, 04:35 PM
Deepa ji,
Zara Suniye
aap ki gazal padi, aur sach kahoon to pehli baar main samaj hi nahi aaya ki "yeh sirf ek gazal thi ya phir kisi ki shikayat".
haalan ki (gazal) maaf kijiyega "shikayat" bahut hi umda thi. sach main it was excellent. main kabhi sapne main bhi aisa nahi likh sakta. particularly yeh line
khud nazron se gir jaayega jo ham kehne pe aayeN
hamaarii to sharaafat hai, ham kuch nahi kehte
yeh line to sachmuch bahut hi khoobsurat thi. waise aapne bhi bina kuch kahe, mera matlab hai ki khamoshi ka saath le kar sab kuch kah diya. ya phir yun kahiye ki khamoshi ki juban ka kaafi sahi istemaal kiya hai aapne. bahut khoob....keep on.
jahan tak meri raaye ka sawaal hai, to main itna bata doon ki ek bahut hi adna sa shayar hoon, jise ki raaye lene ki jaroorat hai na ki raaye dene ki. is shayri ki duniya main mera mukaam kaafi chota hai, aur aap ke muqabale main to kaafi chota.
anyway, aab ke liye bye
take care
ursonly
|